Assalaam-o-Alaikum Respected members
Poverty is curse to the country specially for the developing countries even once our holy Prophet Muhammad SAW said "Kay Duwa Maango Ghurbat Say Panaah Ki"... Pakistan duniya main child labour kay hawaalay say teen mulkoon main shumar hota hay Nigeria, Hindustan aur phir Pakistan. Aap nay srif woh bahcay dekhay hain jo aap ko srif rastay main nazar aatay hain srif Karachi kay andar roze ghar say bhaagay huway 3000 bahcay train aur bazariya-e-bus daakhil hotay hain aur Lahore main yeh tadaad 2000 roz ki hay... Yeh srif misaal do baRay shehroon ki hay aur yeh humaray figure uss say kayi kam hay jo kay Abdul Sattar EDHI yaa Ansar burni Trust batayay ga~ Furthermore, base child, orphan child, wandering child, aur corporal child iss kay ilaawa hain!
Iss kay ilaawa unn bachoon ki baRi tadaad choukoon aur bazaroon main dekhi jaati hay jo kay gaRiyon main aur motorcycles sawaroon kay saath baith kar unki sexual satistacion ka zarya bantay hain yeh sab GHURBAT hi tou hay phir yehi cheese mashray ka bouj bharatay huway unn ko Drug ki taraf lay jaati hay aur woh Drugs use kartay hain.. ThoRay baRay hotay hain tou underworld yaa drug trafficers ki source ban jaatay hain aur maashray ki Tabahee bharatay huway Mazahabi INTIHAPASANDI (Religious Extermism), Lasaani Intihaapasandi (Lingual Extremism), aur Grohi Intihapasandi (Commiunal Violence) main istaymaal hotay hain.. Yeh GHURBAT ki aisi lakeer khench jaatay hain jo sahyed kabhi naa mitay.. Yeh sab ghareeb log hotay hain koi ATCHISON, Laurance, aur grammer schoolon ka pardha hua naheen huta.
Education haasil naa karna GHURBAT ko bharanay main maawan saabit hota hay Education hi aik aisi source hay jo Ghurbat ko khatam kar sakti hay laikin uss MULK main jahan kam-az-kami aik COPY ki keemat Rs.10/- ho, Pencil Rs.5/- ki ho, aur kitaab Rs.50/- ki aik hoo tou koi ghareeb aadmi inn halaat main apnay bachoon ko Primary education nahin dilwa sakta AALA taleem tou bohat dour ki baat hay! Education kitni important hay Ghurbat ko Mitaanay main iss ki zinda misaal SRILANKA, VEITNAM, TAIWAN, aur MEXICO hain jahan 20 saal pehlay GHURBAT ki ratio Pakistan say bhi kayi ziyada thee Laikin EDUCATION ki waja say woh iss maqam tak poohanch gayay kay unn ka shumaar intihayi taizi say bhartay huway ab DEVELOPING countries main kiya jaata hay.
Second world war kay ikhtitaam per Heroshima aur Nagasaaki duniya kay naqshay say mit gayay, Japan tabahee say badhaal tha, khanay ko roti aur pehannay ko kapRa naa honay kay barabar tha, Japani emporor aur Parliament Sar Jour Kar baithin...SAb nay apnay ghardonate kar diye primary aur secondary education kay liye SHEHNSHAH ki property per scientific research hona shuro hoyi, logon ko kaha gaya kay bachoon ko parhayain, inhi bachoon ko kharcha poora karnay kay liye Khiloonay bananay ki industry main lagaya gaya, Khilonay bananay ki industry poori duniya main pheli aur uss ki sale ki waja say educaion ka standard high huwa aur ghurbat ka ratio kam huwa, Khilonoon say bhartay huway woh Motor cycle aur Cars ki taraf aayay aur aaj Duniya ka SAB SAY BARA INDUSTRIAL MULK kehlaya jaata hay! (FIRST ONE IN THE WORLD) srif Educaion ko aam karnay say aur DEVOTION kay saath!
Ab zara kuch apnay mulk kay baaray main, Parliament kay aik MEMBER ki salary taqreeban Rs.60,000/- hay jabkay Provincial assembly kay member ki Rs, 40,000/- Per month hay, Senators, Musheer hazrat (Advisors) aur Ministers (Provincial and Federal) 2 say 3 laakh Rs. Tak poohanch jaatay hain! Uss kay nateejay main woh Pakistani Awaam ko kiya daitay hain yeh sab aap sab kay saamnay hay... Yeh lag bhag 1000 say 1200 kay qareeb NAWAAB LOG hain aur Mahinay ka Pakistani Govt. inn per taqreeban Rs. 24 Caroor (i.e. 240 Million Rs.) jo kay saalana Rs. 2 Arab 88 Caroor (i.e. 2.88 billion Pak Rs.) Aik saal inn ko agar Aadhi TANKHUWAYAIN aur PACKAGES NAHIN diye jaayain tou PAKISTAN main saalana 400 Vocational, Primary aur Secondary School ban saktay hain.. Issi tarahan 2 saalon say yeh log hukumraan hain tou taqreeban 2000 kay kareeb school with LAB facilities, sports facilities, computer facilities and Gym facilities kay saath tayaar kiya jaasaktay thay..
Ilaawa azeen WAPDA kay chairman,Steelmill kay Chairman, PIA kay Chairman, Charron Soboon (Four Privinces) kay Chief Minister, charoon soboon kay Governors taqreeban 2 Billion Rs. ka tayaara (Personal Aircraft) apni transport kay liye istimaal kartay hain.... ! Aap zara sochain agar yeh bhi aam admiyon ki tarhan safar karain tou Govt. 20 Billion tou aisay hi save kar sakti hay jis say college, universties aur School (Taqreeban 6000 kay lag bhag) tammer hosakatay hain aur ussmain FREE EDUCATION provide kee jaasakti hay! tou 5 saloon main kitnay school, universties, vcational instiutes tameer hosaktay thay? (i.e. 30000 kay lag bhag) (Yahan per hum nay President aur Prime minister ka zikar nahin kiya kiyonki chalain unka tou PROTOCOL ban hi jaata hay haalankay UNKA bhi HAQ nahin banta kiyonki Quaid-e-Azam Rs.1/- Per Month Tankhuwa laitay thay ...Jee haan SRIF AIK RUPEE PER MONTH)
Akhbaar main aik Dil kharaash waqaya publish huwa tha, "Aik Aadmi apni Biwi aur bemaar Bachi kay saath Doctor kay paas gaya, Doctor nay kaha kay issay tou inthihayi sakht HAIZA hay iss ka tou Ilaaj ho ga unhoon nay rotay huway Doctor say kaha hum Ilaaj kahan say karwayain gain, shadeed haizay ki waja say Ilaaj naa honay ki waja say aaj hi humara Bacha MAR gaya aur uss ki dead body ghar main hay aur padosiyoon ko ghar main bitha kar hum iss kay Ilaaj kay liye aayain hain!" (Javeed Choudri ka Column tha JANG akhbaar main) GHURBAT per iss say ziyada aur kiya discuss karoon kay PAKISTAN main LAHORE ka Governor House Bakhingham Palace London say kahin baRa hay aur Jahan yeh Waqiya Paish Aaaya woh SHAH-DARA Lahore ki aik Nawaahi Basti hay!
Poverty in Pakistan according to the planning commission of Pakistan (which is also a Govt. agency) has been increased 40% in the last three years even we have a WORLD BANK FINANCIAL Minister Shaukat Aziz as a Premier of Pakistan. This ratio is worst then any country of the world even Euthopia may could not reach this figure!
Dont even consider POSH areas of Karachi, Islamabad and Lahore as PAKISTAN yahan tou srif Pakistan kay 5% log rehtay hain aur baaqi 95% logon ka aap khudh andaaza laga lain kay woh kis haal main aur kis majboori main apnay aur apnay bachoon kay saath guzaara kar rahay hongay iss MEHGANYI kay dour main kay jahan Sarghoda say jab KEENO (Orange) nikalta hay Rs.15/- Dozen hota hay phir Ardhti (Middle Man), dukaandaar, patharaydaar aur raiRidaar say hota huwa hum tak woh Rs.40/- Dozen poohanch jaata hay, Khair Poor main Khajoor Rs.20/- per KG milay gi magar Karachi main Rs.60/- Lahore main Rs.80/- aur Islamabad main Rs.100/- ki milay gi, Govt. ko chayeh kay MIDDLE MAN ka kaam KHUDH anjaam day taakay log MEHGANYI say mehfooz reh sakain. Iss ki zinda Example AATA (Flour) hay; humari Govt., Middle Man, Flour Mills Owners ki naa ahli ki waja say AATA aaj Rs.28/- say Rs.30/- per KG kay hisaab say mil raha hay jabkay Pakistan aik Agricultral country hay! Cheeni ka tou aap ko pata hi hay kay kia haal hay!!
Baat niklay gi tou bohat Doooooooooooooooooooooour tak jayay gi.. Issi liye apni baat ko yahin khatam kartay hain!
May ALLAH light and guide our ways AMEEN
Aap ki duwayoon ka talabgaar, ek khaksaar
ALLAH HAFIZ
PS: TAWEEEEEEEEEEEEEEEEEL post kay liye aik baar phir bohat bohat mazrut kiya karain jab ungliyaan chalti hain tou ruknay ka naam hi nahin laiti gokay baad main ungliyoon main dard bhi bhota hota hay magar achi baat per discuss karna aur achayi ko pehlanay main mujhay yaqeenan bohat khushi mehsoos hoti hay!

Comment