Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Ghairat

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Ghairat

    [ATTACH]83026[/ATTACH]









  • #2
    Re: Ghairat

    Allah T'ala hamein kuch achey ghairat mand leaders dey Ameen....
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment


    • #3
      Re: Ghairat

      Originally posted by Z. View Post
      Allah T'ala hamein kuch achey ghairat mand leaders dey Ameen....
      Sumameen :rose

      Comment


      • #4
        Re: Ghairat

        Assalaam-O-Alaikum Khan

        Bohat bohat shukriya kay aap nay humain itnay achay column say nawaaza paRh kar wohi hona tha jaisa aap reaction dekhna chatay thay, yaani humari ghairat jaag gayi, dil khoul utha, aur zehan main kayi aur misaalain ghoomnay lagi.... jo chand saal pehlay ki baatain hain!!

        Srif humari hukoomat hi nahin humaray awam main iss be-ghairti main qadam ba qadam mila kar chal rahi hain....

        1. Pakistan kay zalzalay ko kaun bhool sakta hay, kayi janoon ka ziya hua, aalmi imdad aur NGO's mukhtalif mulkoon say imdaad lainay aayay tou Airport per unn logon say entry fees lee gayi jo kay humaray apnay logon ki madad karnay doosray mumalik say aayay thay, jin main doctors bhi shaamil hain!

        2. Ek shaks nay zalzalay main halak hoyee aurat ka ki kalayi kaat kar uski sonay ki choRiyan nikaal lee.

        3. Choti umar kay bachoon ko aghwa kar liya jinn main laRkian bhi shaamil hain aur unhain hawas kay pujaari logon ko baich dia gaya

        4. Hospital main medicinces aik gate say daakhil hokar dosray gate say bahir kar dii gayi...

        Kitna likhoon Khan sahab, har roz akhbaar humari ba-ghairtiyon kay qisoon say bhara hua hota hay, hum bazat-e-khudh apnay andar hi koi musbat tabdeeli nahin laa sakay tou humkumat say kia tawaqoo karain.... aakhir yeh bhi tou hum main say hi hain na!!!

        Main jab apnay mahool per nazar daalta hoon tou yeh alfaaz meray dimagh main goonjnay lagtay hain "Jaisi qoum uss per waisa hukumraan"!!!

        ALLAH SWT humain izzat ata farmayay aur humain iss kay haqeeqi meaning samajhnay aur uss per amal karnay ki toufeeq ata farmayay! AMEEN

        Fi Amaan ALLAH
        sigpic

        Comment


        • #5
          Re: Ghairat

          Walaikum Salaam Ali

          Aap k kahe gaye hurf ba hurf se mai waqif bhi hon or agree bhi karta hon.

          Abhi zyada nahi sirf 2 month pehle ki hi baat hai jub load shading Pakistan me apne peak per thi us waqt Karachi ke ek area Aisha Manzil per logon ne apni bharaas nikaalne k liye ek mamoli sa ehtijaaj kiya jis me sirf banners or naaray bazi thi , us ka result ye nikla ke Partywalon or Police ne mil kar un per straight firing ki jis ke nateeje me 2 nujawaan moqay per hi dum tor gaye ye sub mai aap ko apna aankhon daikha haal bata raha hon....

          Kiya ab bhi aap kahen ge ke awaam ki ghalti hai.??

          Pakistan ki politics sirf ginti ke chund logon ke haath me ghoom rahi hai...jin ki aksariyat unki hukumat.........

          Ab waqt hai khooni inqilaab ka.........

          Comment


          • #6
            Re: Ghairat

            Khan Sahab, main nay iss haqeqat say inkaar nahin kia kay humari hukumat ko ghairat ki zaroorat hay main bhi Ayesha Manzil say chand minutes doori per hi rehta hoon.... aur aisay kayi waqiye roz dekhta hoon.... kabhi live tou kabhi TV news per... yeh aik mamool ban chuka hay..... kabhi yeh silent demonstration fire demonstration main tabdeel hojaati hay pata nahin chalta, pehlay police ki hoti hay ya awam ki, yeh andaaza lagana bhi bohat mushkil lagta hay....

            Mizaaj main tabdeeli dono ko hi karni baRay gi, Khooni inqilaab iss ka hal nahin hay, sab say pehlay apnay wajood ko sahi karain, apnay maqaasid ko pehchaanain uss kay baad hamla karain.... hum inqilaab ka naara lay kar aagay tou baRahin magar unn sab ko bhi taleem dain kay aakhir hum laR kis baat kay liye hain....

            Aik 21 saala noujawaan baRay zour shoor say "Kala Baag Dam" kay construction ki mukhalifat kar raha tha tou aik reporter nay uss say poocha kay aap ka pata hay kay yeh Kala Bagh Dam kaha hay aur yeh kiyon bann raha hay aur aap iss ki kiyon mukhalfat kar rahay hain.... uss nay baRay dheetpan say muskuraatay huway kaha... "mujhay kia pata kay yeh kala bagh dam "kaun" hay, meray abbu nay kaha tou main shamil hogaya"

            Agar yehi haal humaray naujawaanoon ka hay tou AFSOOS yehi hoga kay humaray mulk ki baagdouR bohat hi serious KHATRAY main hay!!!

            May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN
            sigpic

            Comment


            • #7
              Re: Ghairat

              Azeez Dost . Kisi ek shakhs ko point out kar ke aap hukumat ki hatdharmi ko jhutla nahi sakte....

              Woh dour bhi hua karta tha jub mehngaii, jobs, bijli taqreeeban zindagi ke har shoubay me Pakistan uski awaam or hukumat mustehkam thi....

              Phir kiya hua aaj??? Kia awaam badal gaii hai?

              Mai aap ki baat se inkaar nahi karta k " Jesi Qoum Wese Hukmuraan "

              Ye baat bilkul sahi hai.........

              Magar qoum ka maqsad pakistan me aam awaam nahi hai bulkay qoum ka maqsad woh quom hai jin ki jaiben ye kam-zarf hukmuraan bharte hen....

              Pakistan me kabhi fair election nahi hue warna aaj Pakistan ka haal aisa nahi hota ......

              Mai ne aaj tuk apna vote use nahi kiya....... Jub 1st time vote daalne gaya tha tub Polling both per ja k pata chala k mera vote to pehle hi dal chuka hai....

              Kiya is me bhi awaam ki ghalti hai?????

              Bhai every1 is corrupted in Pakistan from A to Z.....

              Comment


              • #8
                Re: Ghairat

                Thank you Khan Sahab for your message, aap nay apni aakhiri line main hi woh keh diya jo main kehna cha raha tha.... mazeed kehnay ki gunjaish hi nahin haa ek fact aap say zaroor share karoonga..

                Chand saal pehlay I think it was year 2005, Pakistan main aik Chineese company survery karnay aayi thi kay "How to Get rid of Corruption in Pakistan", unhoon nay har tabqay, har umar aur har caste kay, aur har paishay say taaluq rakhnay waalay logon say sawaal kiye aur 2 saal baad report jaari ki.... complete study documents kay saath aur uss report main likha tha....

                "If Pakistan wants to get rid of corruption it must kill everyone above the age 7" (Sahi yaad nahi 7 years tha kay 9 years).... tou meray bhai jinn jawaanoon ko aap inqilaab ka naara dilwa rahay hain woh iss qabil hi nahin... agar waqayi kuch karna hay tou NEW GENERATION ko koi sahi messages dain aur un main sacayi aur neeki ki baatain paida karain taakay woh aagay chal kar iss mulk ko corruption say nijaat dila sakain!!!


                may ALLAH SWT light and guide our ways, AMEEN

                Fi Amaan ALLAH
                sigpic

                Comment


                • #9
                  Re: Ghairat

                  Attached Files
                  I aM Not a complete Idiot......Some parts are Missing........

                  Comment


                  • #10
                    Re: Ghairat

                    bhikariyon me bhi kabhi gherat hua karti he:think:

                    Comment


                    • #11
                      Re: Ghairat

                      Originally posted by unity View Post
                      bhikariyon me bhi kabhi gherat hua karti he:think:
                      What do u want to say???

                      Comment


                      • #12
                        Re: Ghairat

                        Ali sahab mere khayaal se Pakistan me rehne ke bawajood aap ab tuk is baat ko tasleem nahi kar sake hen ke yahan Might Is Right ka rule chalta hai.....

                        Jis tarah se aap keh rahe hen New Generation Ki falah ke liye ,is kaam k liye buhat si tanzeem barwe kaar aaiin hen magar result zero ka zero, waja ye thi ke is mulk ki politics wohi gine chune 2 chaar logon k haath me ghoom rahi hai jin ki population is mulk me zyada hai aur mere khayaal se ye baat to sirf ek pakistani nahi bulkay worldwide bhi log is baat ko maante hen.

                        Aisi halaat me jub koi sincere or dedicated team Pak ki behtri or koshan ho to usay bilkul is tarah se saaf kar dya jata hai jese aisi team ka kabhi koi wajood hi na ho....

                        Anyways , behas buhat lambi hai jis ka result zero hi nikalna hai..
                        Sirf baaton se kuch nahi hone wala.....
                        Aap ne apne hisse ka kaam sar anjaam dena hai or mujhy mere....:)

                        I will ever try my best to do something better for my people :rose

                        Comment


                        • #13
                          Re: Ghairat

                          bohat khoob Tanha Hassan, bohat acha likha aap nay...

                          Khan sahab aap ki baat say bhi itifaaq hay mera, humain apnay hissay ka kaam karna chayeh aur koshish karni chayeh kay humaray kisi fail aur qoul say mulk ko kisi bhi kisam ka nuqsan na poohanchay chahay woh infiraadi hoo ya ijtimayi. Think Positive and be optimistic... Assi ve vaikh rayay nay, tussi ve vekho :)

                          May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN
                          sigpic

                          Comment

                          Working...
                          X