Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Khush Naseeb by Javed Ch.

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Khush Naseeb by Javed Ch.

    Assalam-0-Alaikom
    Attached Files
    For New Designers
    وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

  • #2
    Re: Khush Naseeb by Javed Ch.

    very nice sharing Rida
    I aM Not a complete Idiot......Some parts are Missing........

    Comment


    • #3
      Re: Khush Naseeb by Javed Ch.

      Walaikum Asssalaam

      Bohat khoob Rida, bohat hi khoobsurat tehreer share ki hay aap nay, aik haqeqi aur sabaq amooz tehreer jo humain zindagi main laRnay kay saath saath halaat say bhi samjhoota karnay ki talqeen kar rahi hay.

      Baat main tou inki bhi tazaad hay, magar waazhay hay kay humain apnay haal main KHUSH reh kar achay aur haseen MUSTAQBIL per nazar rakhni chayeh aur mehnat say kabhi peechay nahin hatna chayeh.


      Aanay Waalay Kal Ki Khaatir Apna Har Pal Qurban Kia..!
      Haal Ko Dafna Daitay Hain Hum, Jeenay Ki Tayaari Main


      Keep sharing, and khush rahyeh
      sigpic

      Comment


      • #4
        Re: Khush Naseeb by Javed Ch.

        Originally posted by thefire1 View Post
        Walaikum Asssalaam

        Bohat khoob Rida, bohat hi khoobsurat tehreer share ki hay aap nay, aik haqeqi aur sabaq amooz tehreer jo humain zindagi main laRnay kay saath saath halaat say bhi samjhoota karnay ki talqeen kar rahi hay.
        wo kaysay bhai zara wahat farmaiye ga baat khuch samjh main naheen aai? :embarasse
        ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

        Comment


        • #5
          Re: Khush Naseeb by Javed Ch.

          shukriya aabi2cool :)

          Aap unki tehreer kay aakhir jumloon ko aik baar phir paRhain uss main kamazkam mujhay tou yehi message mila kay hum aksar apnay mustaqbil ko behtar bananay ki tagadou main apnay haal jo kay aik naimat say kam nahin ko bhula daitay hain aur jab iss baat ka ehsaas hota hay kay aaj hum bohat kuch ban gayay hain uss waqt woh fitrat jo chand saal pehlay hoti hay, woh maturity ki shakal ikhtiyaar kar daiti hay aur hum aik pukhta zindagi basar kartay hain.

          iss tehreer say yehi seekha kay aap khoob mehnat karain aur uss mehnat main apnay daily entertainment, apni gharailoo zindagi yaa apnay halqa-e-ehbaad ko muntashir na karain... yaani apnay mustaqbil say laRain apnay haal main khush hokar ya samjhoouta kar kay!!

          aur shaair jo main nay likha woh bhi issi baat ko waazhay kar raha hay
          sigpic

          Comment


          • #6
            Re: Khush Naseeb by Javed Ch.

            Originally posted by thefire1 View Post
            shukriya aabi2cool :)

            aap unki tehreer kay aakhir jumloon ko aik baar phir parhain uss main kamazkam mujhay tou yehi message mila kay hum aksar apnay mustaqbil ko behtar bananay ki tagadou main apnay haal jo kay aik naimat say kam nahin ko bhula daitay hain aur jab iss baat ka ehsaas hota hay kay aaj hum bohat kuch ban gayay hain uss waqt woh fitrat jo chand saal pehlay hoti hay, woh maturity ki shakal ikhtiyaar kar daiti hay aur hum aik pukhta zindagi basar kartay hain.

            iss tehreer say yehi seekha kay aap khoob mehnat karain aur uss mehnat main apnay daily entertainment, apni gharailoo zindagi yaa apnay halqa-e-ehbaad ko muntashir na karain... Yaani apnay mustaqbil say larain apnay haal main khush hokar ya samjhoouta kar kay!!

            aur shaair jo main nay likha woh bhi issi baat ko waazhay kar raha hay
            شکریہ بھائی لیکن میرا اشارہ آپکے اس قول کی طرف تھا جو کہ درج زیل ہے ۔ ۔ ۔

            aik haqeqi aur sabaq amooz tehreer jo humain zindagi main larnay kay saath saath halaat say bhi samjhoota karnay ki talqeen kar rahi hay.
            میں یہ سمجھنے سے قاصر ہوں کہ آدمی ایک ہی وقت میں حالات کے ساتھ کیسے لڑ بھی سکتا ہے اور ساتھ ہی میں سمجھوتہ بھی کرسکتا ہے ؟؟؟ یہ کیسے ممکن ہے ؟؟ باقی جاوید چوہدری صاحب نے واصف علی واصف کی بات سے جو اخذ کیا ہے اس سے اختلاف بھی کیا جاسکتا ہے
            ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

            Comment


            • #7
              Re: Khush Naseeb by Javed Ch.

              Yehi tou jazba hay jo paida karnay ki baat horahi hay, aik waqt main insaan apnay haal say khush reh kar apnay mustaqbil ko khush haal banayay, hum aksar apnay haal ko pas-e-parda rakh kar mustaqbil ko paanay kay liye woh sab kuch kho daitay hain jinn naimatoon say ALLAH SWT nay humain nawaaza hua hay, humain har haal main ALLAH SWT ka shukar ada kar kay apnay aap ko sanwanrna chayeh.

              Originally posted by aabi2cool View Post
              شکریہ بھائی لیکن میرا اشارہ آپکے اس قول کی طرف تھا جو کہ درج زیل ہے ۔ ۔ ۔




              میں یہ سمجھنے سے قاصر ہوں کہ آدمی ایک ہی وقت میں حالات کے ساتھ کیسے لڑ بھی سکتا ہے اور ساتھ ہی میں سمجھوتہ بھی کرسکتا ہے ؟؟؟ یہ کیسے ممکن ہے ؟؟ باقی جاوید چوہدری صاحب نے واصف علی واصف کی بات سے جو اخذ کیا ہے اس سے اختلاف بھی کیا جاسکتا ہے
              sigpic

              Comment


              • #8
                Re: Khush Naseeb by Javed Ch.

                Nice:)

                Comment

                Working...
                X