As Salam o Alaikum,
Karachi k aik elaqay "khoRi Garden" maiN aik sakhi mustahiq khawateen maiN rashan taqseem kar raha tha kay wahaN bhag'daR mach janay ki wajah say 18 khawateen aur bachiyaaN apni jaan say haath dho baiTheeN.
jab yeh story table par aai to us maiN chand "maze'dar" aur "dil'chasp" bataiN bhi theeN, jo maiN aap say share karna chahta hoon.
1. jahaN rashan taqseem kia ja raha tha woh 2 manzila building the, 1st floor kay aik tang zeenay say khawateeN ko 2nd floor par ja kar aaTa layna tha aur dosray zeenay say utarna tha, kuch wajohaat ki bina par 2nd rasta band kardia gaya jis par khawateen usi tang zeenay say neechay aanay lageeN to.....!! un kay hathoN maiN mojod thaila neechay khaRi khawateen nay cheen'nay ki koshish ki, neechay wali oopar jana chahti theeN aur oopar wali neechay, is wajah say bhag'daR mach gai.
2. Police nay "Farz'shanasi" ka muzahira kartay howay, rashan taqseem karnay walay shaks ko foran "giraftaar" karlia....!!
ab maiN aap say 3 sawal pochna chahta hoon...
1. Is qoum maiN Sabar, Taham'mul waghaira waghaira ya phir aik lafz "Insaaniyat" kab aur kaisay aaiy gi?
2. agar yeh bhag'dar kisi wazir, MNA ya MPA kay dar'baar maiN hoti, jahaN baRi ta'dad maiN photographerz un ki coverage kar rahay hotay aur un ka "sakhi'pan" pori dunia ko dikha rahay hotay, aisi sorat maiN kia Police apni "Farz'shanasi" dikha sakti thee?
3rd n very important!! yeh "izzat-e-nafs" kis chiRiya ka naam hai aur yeh kahaN pai jati hai???

Comment