Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mubahissa V--Shaadian........or aap?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Mubahissa V--Shaadian........or aap?

    Assalam-o-Alikum every1!!

    Isko nadaani kehna to ghalat hai q k waqt or culture acchai or burai main tameez to sikha hi deta hai to phir q buhat c fazool rasoomat hamari shadion ka part ban gai hain?

    Shadion per jo rasoomat hoti hain kiya ap us se agree hain?(kiya in k begher shadi na mukammal hai?)

    Kiya ap aj kal ki shadion per hone wali rasoomat se agree hain?

    Waiting 4 replies!

    WASALAM!

  • #2
    Re: Shaadian........or aap?

    AOA,

    Aik aur acha topic aap nain share kia hai nikah aik mazhabi haq hai jo ada karna hai sunat hai aur ye rasomat jo hain ye khushi k lamhaat hain lakin in main bahz ahsi rasomaat hain jo nain honi chayain har ilake main rsmo rawaj alaag hote hain jab se hosh sanbala ye sab daikha ab ahse rach bas gaiye koch wo hisa ban gaiye hain hamre haan khandaan hota hai hum uss se bahir nain ho sakte uss main jarre hoye hain agar kisi rasam ko torrte hain to iss ka matlab hai hum khandaan se nata torr rahye hain ab ahsi sorat main kia ho sakta hai ya iss ka kia hal hai kia karna chaye.

    Sohail Abbasi.
    Apna haq ada karo.

    Comment

    • #3
      Re: Shaadian........or aap?

      Originally posted by khan

      Walikum Assalam!

      Thx 4 liking the topic!

      Wat do u say?:)

      Comment

      • #4
        Re: Mubahissa V--Shaadian........or aap?

        AOA,

        Ye sab se moshkal kaam hai kisi ko kayail karna agar aik ho to yahan to awe ka awa hi bigrra para hai lakin baat wo he hai k hun apne hise ka charaagh roshan zaroor kar sakte hain aur iss se bahtari ki umeed paida zaroor ho gi.aap ka bohat shukria.

        Sohail Abbasi.
        Apna haq ada karo.

        Comment

        • #5
          Re: Mubahissa V--Shaadian........or aap?

          Originally posted by khan
          AOA,

          Ye sab se moshkal kaam hai kisi ko kayail karna agar aik ho to yahan to awe ka awa hi bigrra para hai lakin baat wo he hai k hun apne hise ka charaagh roshan zaroor kar sakte hain aur iss se bahtari ki umeed paida zaroor ho gi.aap ka bohat shukria.

          Sohail Abbasi.
          Walikum Assalam!

          mushkil to hai no doubt...!:)
          ji bilkul bus sirf apne hisse ka hi kam ker lain to wo bhi buhat ziada sabit ho ga....

          KHUSH RAHIYEE!

          Comment

          • #6
            Re: Mubahissa V--Shaadian........or aap?

            Originally posted by Barish
            Assalam-o-Alikum every1!!

            Isko nadaani kehna to ghalat hai q k waqt or culture acchai or burai main tameez to sikha hi deta hai to phir q buhat c fazool rasoomat hamari shadion ka part ban gai hain?

            Shadion per jo rasoomat hoti hain kiya ap us se agree hain?(kiya in k begher shadi na mukammal hai?)

            Kiya ap aj kal ki shadion per hone wali rasoomat se agree hain?

            Waiting 4 replies!

            WASALAM!
            Boys girls ek saath dance karna 'rasoomat' to nahin,

            shaadiyon mein bekar tradition wo hai jispe bekar ki paise barbad hotey hain, jaise Mehdi tradition (This is only in Pakistan), then the biggest evil tradition is 'dowry'

            mere khyal mein to shaadi sirft 20 rupaiy mein ho jaani chahiye...ha ha ha ...joking...

            shaadi simple aur kam se kam paise mein honi chahiye and easy negotiation se
            Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
            Hamarey naam ka patthar zaroor milega

            Comment

            • #7
              Re: Mubahissa V--Shaadian........or aap?

              Originally posted by Spy009
              Boys girls ek saath dance karna 'rasoomat' to nahin,

              shaadiyon mein bekar tradition wo hai jispe bekar ki paise barbad hotey hain, jaise Mehdi tradition (This is only in Pakistan), then the biggest evil tradition is 'dowry'

              mere khyal mein to shaadi sirft 20 rupaiy mein ho jaani chahiye...ha ha ha ...joking...

              shaadi simple aur kam se kam paise mein honi chahiye and easy negotiation se
              Rasam nahi hai combine dance per ik tradition banta ja raha hai...part of Mehndi n Shadi banta ja raha hai...pehle is chez ko mayoob samjha jata tha ab common hai koi nahi rokta ab is se even parents ko bhi bura nahi lagta(not talking abt all)
              yes no doubt dowry is the biggest evil n near me it is the cost of girl when som1 takes the girl in his life along wid some DEMANDS......

              Nice thought!:thmbup:
              is per amal bhi kijiye ga:khi:

              Comment

              • #8
                Re: Mubahissa V--Shaadian........or aap?

                Barish aap ne aik aur sulagta hua topic shirou kiya hey,boht shukriya.

                Aaj kal SHADI ki rasm k nam per jo kuch ho raha hey koi shakk nhi k wo humari aaindah nasalon k liye aik RAWAAYET ban jaye ga. Agar tareekh ko dekha jaye to NIKAH masjid mein parhaya jata tha jo thori boht WALEEMAY ki zayaafat ki jati thi woh bhi masnoon hey, lekin jo rohjaan aaj kal hey k Haal book kiye baghair shadi nhi ho skti, aatish baazi per lakhon rupiya kharch kiya jata hey, larkon aur larkiyon ka ghul mil ker nachna gana bhi humaray culture ka hissa banta ja raha hey, musical groups ko bulaya jata hey k mehmanon k liye tafreeh muhayya ki ja skay, anwah o iqsam k khanay pakwaye jatay hein......................dekha jaye to yeh sirf namood o numayesh hi nhi muhashray mein aik tafreeq ka mayaar qayem ho chuka hey, khatay peetay gharaanay k liye to shadi aik maslah nhi hey mugar yehi log hein jo sufaid posh logon k liye mushkilaat peda kertay hein. aik darmyanay darjay ka shakhs shadi k akhraajat kaisay bardasht karay jub k uss k zehn mein yeh ho k ager aisa nah kiya to zamanay ko kia muhn dikhaoun ga? hum logon ne aisi rasmon ko apni izzat ka mayar bana liya hey.
                Aaj agar dekha jaye to har ghar mein shadi k foran bahd hi larrai jhagrray janam lenay lagtay hein, bamushkil aik ya do saal guzratay hein aur baat talaq tak pohnch jati hey.........agar shadi ki BUNYAD per ghaur kiya jaye to jo fazool aur ghair sharaee rasmain aur rawayetain hum ne bna rakhi hein yeh sub unn ki lahnat ki wajah se hota hey, jis shadi mein Allah aur uss k Rasool S.A.W.W k ziker ki bajaye nach gana ho to wahan barkat aur rehmat k bujaye nahoosat hi ho gi na! jahan ghareebon ko Sadaqa aur Khairaat kernay k bajaye lakhon rupiya kaprron, zewraat aur atishbazi per kharch kiya jaye to aisa rishta kaisay payedaar ho skta hey?..........
                .............ALgharz humein apna muhasba kernay ki asshad zaroorat hey, ager har koi sirf apnay ghar ko theek ker lay to sara muashra khud hi sudher jaye ga. Allah humein hadayet day aur inn kharaafat se bachaye, ameeeeeeeeeeeeeeen

                Comment

                • #9
                  Re: Mubahissa V--Shaadian........or aap?

                  Originally posted by Muskan
                  Barish aap ne aik aur sulagta hua topic shirou kiya hey,boht shukriya. ameeeeeeeeeeeeeeen

                  Topic ki pasandeedgi k liye buhaat sa thx

                  Gr8 point sis!!!

                  KHUSH RAHIYYE!

                  Comment

                  • #10
                    Re: Mubahissa V--Shaadian........or aap?

                    I agree with everyone

                    leykin baat waheen ruk jati hai....step ley ga kaun ?
                    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                    Comment

                    • #11
                      Re: Mubahissa V--Shaadian........or aap?

                      hmmm sahdi ki rasomaat to honi chaian is kay baray to shadi shadi hi nahi lagay gee :D

                      lekan aisi rasoomat jis pay fazool pesa barbaad kia jaye or mehaz deekhwaye key leye houn un say ijteenab karna chaye ......

                      shadi pay to loog khoob dil khool kay deekhwa or numaish kartay hain itnay pesay lutatay hain ...or shadi kay bad sar pakarkay beath jatay hain :lol

                      ham loog batain to buhat kartay hain yeh nahi hona chaye woh nahi hona chaye lekan amal nahi kartay ...isi waja say ab shadi ki rasmian mazeed barhti ja rahi hain...

                      aik dam say to kuch change nahi kia ja sakta lekan kushish ki jaye to ahesta ahesta is pay control kia ja sakta hai :rose
                      اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                      اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                      Comment

                      • #12
                        Re: Mubahissa V--Shaadian........or aap?

                        Originally posted by barg.e.gul
                        I agree with everyone

                        leykin baat waheen ruk jati hai....step ley ga kaun ?
                        Thx sis!:)
                        step hum logon ko hi lena hai sis.....
                        ab jiski bhi shadi ho na to wo in baton ko zehn mai rakhe or in per amal kerne ki koshish kare.....
                        important ye nahi k log or dunya wale kia kahin ge?
                        imp ye hai k jo hum ker rahe hain wo sahee hai k ghalat hamara RELEGION humin iski ijazat deta hai k nahi?

                        log or unki batin to khatam hoti hi nahi hain sis!:)

                        is liye usko to chor hi dena chahiye

                        KHUSH RAHIYYE!

                        Comment

                        • #13
                          Re: Mubahissa V--Shaadian........or aap?

                          Originally posted by Barish
                          Thx sis!:)
                          step hum logon ko hi lena hai sis.....
                          ab jiski bhi shadi ho na to wo in baton ko zehn mai rakhe or in per amal kerne ki koshish kare.....
                          important ye nahi k log or dunya wale kia kahin ge?
                          imp ye hai k jo hum ker rahe hain wo sahee hai k ghalat hamara RELEGION humin iski ijazat deta hai k nahi?

                          log or unki batin to khatam hoti hi nahi hain sis!:)

                          is liye usko to chor hi dena chahiye

                          KHUSH RAHIYYE!
                          yes inshAllah

                          mey phir apni ami jee ka mind abhi sey bana na shuru ker deyti hun .. lol
                          ---
                          leykin mujhey ye baat achi lagi hai, Pegham per hum MashAllah kafi members hein agar hum yahan sey shuru karien, jis mey sab sey pehley hamari apni zaat shamil hai to hum inshAllah ahista ahista ker key bohot saarey logon ko ye Pegham dey saktey hein
                          hopefully ye sab cheezein hamari practice mey aa jayein gi inshAllah
                          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                          Comment

                          • #14
                            Re: Mubahissa V--Shaadian........or aap?

                            Originally posted by barg.e.gul
                            yes inshAllah

                            mey phir apni ami jee ka mind abhi sey bana na shuru ker deyti hun .. lol
                            ---
                            leykin mujhey ye baat achi lagi hai, Pegham per hum MashAllah kafi members hein agar hum yahan sey shuru karien, jis mey sab sey pehley hamari apni zaat shamil hai to hum inshAllah ahista ahista ker key bohot saarey logon ko ye Pegham dey saktey hein
                            hopefully ye sab cheezein hamari practice mey aa jayein gi inshAllah
                            :lol :lol Ji thiik kaha pakkkkka PROMISE le lain Aunty se

                            ji bilkul sis!
                            Actually step to ik baby bhi chota sa hi leta hai na phir berhte berhte wo baby race lagane lagta hai shurua'at to choti c hi hoti hai na.....
                            :insha: .......or Allah kare k Pegham se is nek or acche kam ki shurua'at hon or hum pioneers hon!

                            Comment

                            • #15
                              Re: Mubahissa V--Shaadian........or aap?

                              Originally posted by Barish
                              :lol :lol Ji thiik kaha pakkkkka PROMISE le lain Aunty se

                              ji bilkul sis!
                              Actually step to ik baby bhi chota sa hi leta hai na phir berhte berhte wo baby race lagane lagta hai shurua'at to choti c hi hoti hai na.....
                              :insha: .......or Allah kare k Pegham se is nek or acche kam ki shurua'at hon or hum pioneers hon!
                              :insha: :)
                              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                              Comment

                              Working...
                              X