Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

kia karna chaye ?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • kia karna chaye ?

    assalamalikum

    acha yeh bataye insaan koi kaam karna chahta hai agar usay apni pasand ka kaam nahi mill raha to jo mila hai woh kaam kar leena chaye ya apni pasand kay kaam milnay ka intazaar karna chaye ??//
    kaam koi bhi hoo saktay hain ..faraz karain aap ko job karni hai ...or jo job aap ko mili hai woh aap ki qualification kay hissab say buht kam hai aap main zaida achi job karnay ki salaheyat hai ...to kia woh job kar leeni chaye aap ko ? ya apni pasand ki job ki talash jari reakhni chaye ?
    aap kisi institute main parhna chahtay houn jo institute mila hai woh itna acha nahi hai ..aap ko lagay kay is main sirf pesay hi zaya houn gay parhai nahi hoo gee...to aisai surat main bhi kia apni pasand ki cheez ka intazar karna chaye ???

    zindagi kay kai mamulaat main humey aisai situation ka samna karna parta hai to aisay halat main kia kia karna chaye ?:)
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔


  • #2
    Re: kia karna chaye ?

    mera khyal ye he ke kaam kar lena chaey,beshak wo aap ko pasand nahi he ya aap ki qualification ke hisab se bhi kam he lekin kuch na karne se to behter he is tarah insan kuch na kuch seekh hi leta he experience me izafa hota he or sath sath behter kaam ki talash jari rakhi jaey.isi tarah baki moamlat me bhi yehi soch rakhni chaey kiun ke perfection ki umeed me chote mawake zaya nahi karne chaen.kuch na hone se kuch hona behter he.

    Comment


    • #3
      Re: kia karna chaye ?

      Let me finish my sandwich phir reply karta hoon
      Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
      Hamarey naam ka patthar zaroor milega

      Comment


      • #4
        Re: kia karna chaye ?

        Aisa kaam jis main aap ki izzat-e-nafs majroh nahi hoti us ko is surat-e-haal main fowran qubool kar laina chahiye..us job par rehtay huway aap apni hasb-e-marzi job talaash kartay rahain aur Itminan yeh rahay ga k jobless to hain nahi..is liye apni marzi ki job talaash kartay huway majburan waali job jaari rakhaein jab insha Allah job mil jaey to jo us idarey kay qawaneen hain un ko madd-e-nazar rakh kar usi hisaab say un ko inform kar k job chowr dein aur apni hasb-e-marzi waali job join kar lijiye..
        :roseENIGMA:rose

        Comment


        • #5
          Re: kia karna chaye ?

          Originally posted by shy
          mera khyal ye he ke kaam kar lena chaey,beshak wo aap ko pasand nahi he ya aap ki qualification ke hisab se bhi kam he lekin kuch na karne se to behter he is tarah insan kuch na kuch seekh hi leta he experience me izafa hota he or sath sath behter kaam ki talash jari rakhi jaey.isi tarah baki moamlat me bhi yehi soch rakhni chaey kiun ke perfection ki umeed me chote mawake zaya nahi karne chaen.kuch na hone se kuch hona behter he.
          hmmm acha yeh bhi to hota hai na us kaam ki taraf aap ka dil bhi nahi hota ...soouch humesha vohan rehti hai jo hamari pasand ki cheez hai ....jo kaam dil say na kia jaye pher us kay karnay ka faida :cc:
          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

          Comment


          • #6
            Re: kia karna chaye ?

            Yes Kaam ker lenaa chahiye.. Specialy Jobs

            Mera proffesionla expriecnce hai key jo job mil rahi woh ker loo .. phir saath saath
            ap apni Pasan ke job dohndty rahin... wasey agher app ek jaga on job on tu dosri compnies
            waly bhia app ko ziyda value dety hain

            Education...... continue honi chahiye
            education bhi continue rahkni chahiya apni pasan ka subject anhin mil raha yaa institue
            tu kisi aur jagaa pahd ker hard work ker lien waqat ziyda mat kerin

            zindgi key dosry kaam
            dosry kamoon main bhi soch lein... ziyda ter tu Khwabbon ke dunai main rehnain sey perheez kerin .. haqaeet pasan ban ker faisala kerin
            kuch chezin hain jin ka wait kiya ja sakta ha.. warna akser intzar bekar hotaa hai
            Zaid Hammid on Sawat War..
            A must Watch..

            Comment


            • #7
              Re: kia karna chaye ?

              Originally posted by Aanchal
              assalamalikum

              acha yeh bataye insaan koi kaam karna chahta hai agar usay apni pasand ka kaam nahi mill raha to jo mila hai woh kaam kar leena chaye ya apni pasand kay kaam milnay ka intazaar karna chaye ??//
              kaam koi bhi hoo saktay hain ..faraz karain aap ko job karni hai ...or jo job aap ko mili hai woh aap ki qualification kay hissab say buht kam hai aap main zaida achi job karnay ki salaheyat hai ...to kia woh job kar leeni chaye aap ko ? ya apni pasand ki job ki talash jari reakhni chaye ?
              aap kisi institute main parhna chahtay houn jo institute mila hai woh itna acha nahi hai ..aap ko lagay kay is main sirf pesay hi zaya houn gay parhai nahi hoo gee...to aisai surat main bhi kia apni pasand ki cheez ka intazar karna chaye ???

              zindagi kay kai mamulaat main humey aisai situation ka samna karna parta hai to aisay halat main kia kia karna chaye ?:)
              Life mein do very important chiz satisfactory milni chahiye...Job and Life Partner, agar yeh satisfactory naa miley, pasand ki naa miley to zindagi badi mushkil ho jati hai,

              Agar jo deserve karta ho aur usey uski salahiyat and qualification ke hisab se below level ka job mila ho to ussey yaqinan wahan resign kar dena chiyie, dusri baat agar job meyar ke mutabiq naa ho lekin paise mil rahey hon, to usmey interest paida karna chahiye, waise bhi jo kaam intereset se hota hai wo achha hi hota hai.
              Last edited by Spy009; 10 December 2005, 10:55.
              Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
              Hamarey naam ka patthar zaroor milega

              Comment


              • #8
                Re: kia karna chaye ?

                Originally posted by Spy009
                Let me finish my sandwich phir reply karta hoon
                serious topic main sandwich kha rehay hoo :a stick:
                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                Comment


                • #9
                  Re: kia karna chaye ?

                  Originally posted by Aanchal
                  assalamalikum

                  acha yeh bataye insaan koi kaam karna chahta hai agar usay apni pasand ka kaam nahi mill raha to jo mila hai woh kaam kar leena chaye ya apni pasand kay kaam milnay ka intazaar karna chaye ??//
                  kaam koi bhi hoo saktay hain ..faraz karain aap ko job karni hai ...or jo job aap ko mili hai woh aap ki qualification kay hissab say buht kam hai aap main zaida achi job karnay ki salaheyat hai ...to kia woh job kar leeni chaye aap ko ? ya apni pasand ki job ki talash jari reakhni chaye ?
                  aap kisi institute main parhna chahtay houn jo institute mila hai woh itna acha nahi hai ..aap ko lagay kay is main sirf pesay hi zaya houn gay parhai nahi hoo gee...to aisai surat main bhi kia apni pasand ki cheez ka intazar karna chaye ???

                  zindagi kay kai mamulaat main humey aisai situation ka samna karna parta hai to aisay halat main kia kia karna chaye ?:)
                  jo kaam miley wohi ker lena chahye... koz mann marzi... inni jaldi poori nahen hoti.. chahye qualifications hon bhi... lekin... dua bhi kerni chahye mann marzi ka kaam milney ki .. dhoondtey bhi rehna chahye aur... lagan aur himmat nahen chorrni chahye... koz it can never be the end .!!! :) :embarasse
                  Visit My Early PS Work
                  You Are Welcome To Comment

                  Comment


                  • #10
                    Re: kia karna chaye ?

                    Originally posted by Aanchal
                    hmmm acha yeh bhi to hota hai na us kaam ki taraf aap ka dil bhi nahi hota ...soouch humesha vohan rehti hai jo hamari pasand ki cheez hai ....jo kaam dil say na kia jaye pher us kay karnay ka faida :cc:
                    haan ye bhi he par dekho na ager ye baat ham job ke moamle me karen ge to aik lamba arsa bekaar bethe rahen ge.ab itna arsa bekaar bethne se behter he na ke koi choti moti job kar li jaey or bajaey dusron par bojh banne ke apni pocket money to khud nikali jaey or sath me aik achi job ki talash jari rakhi jaey.
                    isi tarah ager hamen education haisl karne ka moka na mile apne fav institute me ya hamre city me na ho to poori koshish karen or ager na ho sake to us se kam par razi ho jaen.
                    isi tarah anchal life me bohat sari baton par insan ko kamtar par razi hona parta he.bohat se ese kaam karne parte hen jo pasand nahi hote.kiun ke life is not a bed of roses:D: compromises karne hi parte hen na:)

                    Comment


                    • #11
                      Re: kia karna chaye ?

                      Originally posted by Aanchal
                      assalamalikum

                      acha yeh bataye insaan koi kaam karna chahta hai agar usay apni pasand ka kaam nahi mill raha to jo mila hai woh kaam kar leena chaye ya apni pasand kay kaam milnay ka intazaar karna chaye ??//
                      kaam koi bhi hoo saktay hain ..faraz karain aap ko job karni hai ...or jo job aap ko mili hai woh aap ki qualification kay hissab say buht kam hai aap main zaida achi job karnay ki salaheyat hai ...to kia woh job kar leeni chaye aap ko ? ya apni pasand ki job ki talash jari reakhni chaye ?
                      aap kisi institute main parhna chahtay houn jo institute mila hai woh itna acha nahi hai ..aap ko lagay kay is main sirf pesay hi zaya houn gay parhai nahi hoo gee...to aisai surat main bhi kia apni pasand ki cheez ka intazar karna chaye ???

                      zindagi kay kai mamulaat main humey aisai situation ka samna karna parta hai to aisay halat main kia kia karna chaye ?:)
                      jo cheez mein chahta hoon ussay hasil karnay ki koshash bhi karta hoon aur intezaar bhi.... lakin jo kaam start karon phir meray under wiswasay nahi aatay..... agar aap kisi cheez ko hasil karnay ka intezaar nahi kar sakti tu bus sharo kar diya karo.... vo insaan buzdal hojata hai jab under mein wiswasay paida hoon.... jo decision karo bus ussi per kaim raho... sahi galat pehlay socha karo.... me tu jo karna hota hai kar dalta hooon.... apun nay kabhi darna nahi seekha.... lion ki aankh mein bhi baat karnay ki jurrat rakhta hoon.... karna chahiye ya nahi mat socha karein.... bus kadam barhao her manzal aasan paao gay....
                      :alhamd::SubhanAllhaa::alhamd::jazak::insha:

                      Comment


                      • #12
                        Re: kia karna chaye ?

                        Originally posted by Aanchal
                        assalamalikum

                        acha yeh bataye insaan koi kaam karna chahta hai agar usay apni pasand ka kaam nahi mill raha to jo mila hai woh kaam kar leena chaye ya apni pasand kay kaam milnay ka intazaar karna chaye ??//
                        kaam koi bhi hoo saktay hain ..faraz karain aap ko job karni hai ...or jo job aap ko mili hai woh aap ki qualification kay hissab say buht kam hai aap main zaida achi job karnay ki salaheyat hai ...to kia woh job kar leeni chaye aap ko ? ya apni pasand ki job ki talash jari reakhni chaye ?
                        aap kisi institute main parhna chahtay houn jo institute mila hai woh itna acha nahi hai ..aap ko lagay kay is main sirf pesay hi zaya houn gay parhai nahi hoo gee...to aisai surat main bhi kia apni pasand ki cheez ka intazar karna chaye ???

                        zindagi kay kai mamulaat main humey aisai situation ka samna karna parta hai to aisay halat main kia kia karna chaye ?:)

                        Hmmmmm............. wese to akser ne yeh kaah hai aap ko ker lena chahiyeh wo kaam, mei bhi yahi kahoon gi, casue some thing is better then nothing. Bhaley hi wo aap ki qualification ke mutabiq na ho, aap ki pasand ke mutabiq na ho, magar atleast it tarah se aap kisi track main to raho gi, kiu ek insan zindagi ke her morh per, her kaam se kuch na kuch naya zaror seekhta hai, aur ho sakta hai infuture yahi experience aap ko apni marzi ki job kerne main muawan sabit ho. I started my carier in same way, i got a job which i never wanted, but continued it for 1 1/2 and then got much better job.
                        sigpic

                        Comment


                        • #13
                          Re: kia karna chaye ?

                          Assalaam o alaikum
                          sawal acha hay job to kar laini chahiyai q k iss say aap ka waqt aur dimaagh kaheeN na kaheeN surf ho rahay hotay haiN aur kuch na kuch aa hi raha hota hay waisay b bohat khush qismat hota hay wo insaan jis ko apni pasand ki jon mil jayai.
                          doosray case maiN bilkul b nahi uss ko bilkul uss institute maiN daakhla nahi laina chahiyai balkay kisi achi jagah paRhna chahiyai. q k meray saamnay apnay bhaee ki misaal hay jis ko uss ki marzi say aik institute maiN daakhil karwaya laikin wahaan aik saal zaya kia fail ho k wahaN say kisi aur college main jama karwaya aur wahaaN wohi student jo k buri tarah fail hua tha aaj kal baghair fees k aik bohat behtareen college maiN scholership pay paRh raha hay. nisaabi ghair nissabi sargarmioN maiN bharpoor hissa b laita hay q k mentally satisfied hay.
                          Wassalam
                          Raza Baykamal

                          kyoN RAZA mushkil say Dariay----jabb nabi S.A.W mushkil kusha ho

                          Comment


                          • #14
                            Re: kia karna chaye ?

                            Walikum Assalam Anchal!:)

                            thx 4 sharing such a nicoo topic wid us!

                            Mere khiyaal mai JOB ka kerna kuch baton per depend kerta hai:

                            - Roozi kamaaney or Ikhrajaat poora kerney k liye
                            - apney shoq k liye
                            - apni degree ko utilize kerney k liye

                            ab ager in mai se 1st option ko dekha jai to jo bhi job miley usko sabar shuker se accept ker leena chahiye (kuch naa honey se kuch hoona behter hai) or behter se behhareen ki taraf jaaney ki tag-o-dau mai lagey rehna chahiye

                            2nd n 3rd option mai ap behter jobs ka wait ker saktey hain per mera personal opinion to yaahi hai k ager job kerne ka shoq ya zaroorat ho to joo miley ker leni chahiye is se bhi ap buhat kuch gain kerte hain + aagey jaaney k moqee berh jaate hain

                            KHUSH RAHIYYE!:rose

                            Comment

                            Working...
                            X