Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mubahissa-III--Muslim World key Massail aur un key hal?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Mubahissa-III--Muslim World key Massail aur un key hal?

    Asalam alaikum,
    teesra topic mey shuru ker deyti hun :-)

    aur hamara topic hai

    Muslim world key Massail aur un key hal

    ye Mumaalik beyshumar wassayil sey maala maal hein

    dunya key aham tareen zameeni, samundri aur hawaon key raaston key malik hein

    maadniyat, zari paidawar ki koi kami nahi in mulkon mey

    leykin afsos key sath kehna perhta hai key Iteyhad aur ta'wun ki kami ka shikar hein isi liye ye apna Tashakhus khotey ja rahey hein ...
    ----
    Muslim dunya ko aaj bohot saarey massail ka saamna aur un sab per hum inshAllah bari bari baat karein gey

    ayein is sisiley ko jari rakhtey huye hum apney pehley massley per roshni daaltey hein aur wo hai
    1-Identity aur unity
    Allama Iqbal key aik hi shair mey ye masla bayan ho jata hai,

    tan ba taqdeer hai aaj un key amal ka andaaz
    thi nihan jin key iraadon mey Khuda ki taqdeer

    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

  • #2
    Re: Mubahissa-III--Muslim World key Massail aur un key hal?

    Originally posted by barg.e.gul
    1-Identity aur unity
    Gul lagta hai aap ney ARY per Dr. Shahid Masood ka program dekah hai :lol.

    Mazmoon bhat achha chuna hai aur pesh'lafz bandhney ka andaaz bohat aala hai. Good work gal keep it up :thmbup:

    Ab aatey hain aap key biyaan kerdah masley ki janib.

    Agar ham pedaish-e-insaani sey pehley ki baat karein to Qasis-ul-Ambia mein likha hai keh insan ki pedaish sey pehley farishtey Allah Tala sey kehtey they keh yeh insaan aapis mein fasad karein gey.

    Duniya ki tareekh ko deikhein to yeh baat sach dikhai deti hai keh insaan aapis mein fasaad kartey rahey hain aur kartey jaein gey. Masla yeh hai keh ham insaan mukhtalif soch rakhtey hain. Aur merey nazdeek insaani ki yehi khoobi bohat aala hai keh ham sb mukhtalif hain. Lekin iska matlab hargiz yeh nahin hona chahiye keh ham aapis mein itfaaq na rakhein - basad afsos yehi hota hai. Yeh nobat us waqt aati hai jab quwat-e-bardasht per quwat-e-amal jazab aa jaey. Insaan jazbati hai. Aur jazbati insaan kabhi united nahin rah sakta. Muthid rehney key liye zaroori hai keh aap doosron ki baat ko sunein, sochein, samjhein aur phir us per amal karein. Aisa usi waqt mumkin ho sakta hai jab apney ander "ana" khatam kar di jaey. Ham log (ab yahan per musalmano ki baat ho rahi hai) mein ana bohat ziyada hai. Allama Iqbal muslamano mein KHUDI dekhna chahtey hain magar ham mein ANA hawi hai. Ana aur Khudi mein imtizaaj karna usu key bas ki baat hai jo baat ko samajh soch kar karney ka aadi ho. Ham log amaal sey ziyada alfaaz per jatey hain aur alfaaz ko pakar kar baith jatey hain keh usney aisa kyun kaha. Har bandah yeh samajhta hai keh jo woh kehta hai wohi drust hai, aisa ho to koi manshoor koi salah koi mashwraa kaam nahin aata aur yehi hota hai keh manshoor bohat bantey hain magar kisi na kaam key. Unity pedah karney key liye ana ko marna hoga aur khudi ko bedaar karna hai ho jo keh aik mushkil kaam hai magar na'mumkin nahin.
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • #3
      Re: Mubahissa-III--Muslim World key Massail aur un key hal?

      AOA,


      Aap nain khud he tamaam batain kar deen k kia hai umma k paas aur kia hain sakte hain faqat iss k hum jab ghair mazhab pe ahtamaad kar k un ko muslim momalik se acha janain ge to natayaij iss se milte jolte he pain ge jaise aj hain aur agar ithaad hota to aj musalmaan piss na rahye hote sab se barra qasoor un ka hai jo ayaash hain aj b main naam nain loon ga kisi ka sab ante hain kon se molk k shahzade aj b ayaash hain aur kharabi doosre momalik main b a gaiyi jo mokhtalif mawake pe nazaar a he jati hai ab shahor un ko nain ya awaam ye sab daikhne k ahdi hain iss baat ka faisla karna thorra sa moshkil hai.


      Sohail Abbasi.
      Apna haq ada karo.

      Comment


      • #4
        Re: Mubahissa-III--Muslim World key Massail aur un key hal?

        nahi Masood bro. mey ney koi Ary nahi deykha ... :D
        mey ney yaheen kuch posts perhi thien jin mey hum western society ki baat ker rahey they ..... hum log in westerns ko aik mukhtalif nazaryé sey deykhtey hein kyon key hum ye jaantey hein key ye sab pehley muslims ka tha....lang. of science pehley Arab hoti thi .... bas isi tarhan ye sab sawal zeyhan mey aatey hein aur phir mey ney socha kyoon na hum is per baat ker lien issi liye mey chahun gi key ziada baat hum Massail key hal per karien inshAllah
        -----

        mey aap dono ki baaton sey muttafiq hun, infact hamein sab massail maloom hien magar aaj key daur yani apney aaj ko deykhtey huye hum in do cheezon ka hal kis tarhan hona chahiye??

        Identity sey meyri muraad ye thi key Muslims aik ajeeb si ahsaasé kamtari ka shikar nazar aatey hein, aur jaisa Masood bro. ney kaha "khudi" ko bedaar ker key ye hum khatam ker saktey hein magar "khudi" ko kis tarhan beydaar kiya jaye??
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment


        • #5
          Re: Mubahissa-III--Muslim World key Massail aur un key hal?

          mujhey abhi tak jawab nahi miley
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment


          • #6
            Re: Mubahissa-III--Muslim World key Massail aur un key hal?

            Originally posted by yellowsky View Post
            Asalam alaikum,
            teesra topic mey shuru ker deyti hun :-)

            aur hamara topic hai

            Muslim world key Massail aur un key hal


            ye Mumaalik beyshumar wassayil sey maala maal hein

            dunya key aham tareen zameeni, samundri aur hawaon key raaston key malik hein

            maadniyat, zari paidawar ki koi kami nahi in mulkon mey

            leykin afsos key sath kehna perhta hai key Iteyhad aur ta'wun ki kami ka shikar hein isi liye ye apna Tashakhus khotey ja rahey hein ...
            ----
            Muslim dunya ko aaj bohot saarey massail ka saamna aur un sab per hum inshAllah bari bari baat karein gey

            ayein is sisiley ko jari rakhtey huye hum apney pehley massley per roshni daaltey hein aur wo hai

            1-Identity aur unity
            Allama Iqbal key aik hi shair mey ye masla bayan ho jata hai,

            tan ba taqdeer hai aaj un key amal ka andaaz
            thi nihan jin key iraadon mey Khuda ki taqdeer

            reply ke liye to bahut kuchh likh sakta hoon

            conclusively yeh kahoonga ke Muslamano ke paas hotey huwey bhi kuchh nahin hai, unki naa apni qabiliyat hai, na hi kuchh kar guzarney ki salahiyat, sirf taqreer bazi, khana aur aish karna rah gaya hai
            Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
            Hamarey naam ka patthar zaroor milega

            Comment


            • #7
              Re: Mubahissa-III--Muslim World key Massail aur un key hal?

              Originally posted by Spy009 View Post
              reply ke liye to bahut kuchh likh sakta hoon

              conclusively yeh kahoonga ke Muslamano ke paas hotey huwey bhi kuchh nahin hai, unki naa apni qabiliyat hai, na hi kuchh kar guzarney ki salahiyat, sirf taqreer bazi, khana aur aish karna rah gaya hai
              Aap key khayal mey is ka hal ??:thmbup:
              " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

              Comment


              • #8
                Re: Mubahissa-III--Muslim World key Massail aur un key hal?

                Muslim world ke masail ka hal meri nazar mein yeh he

                Unity
                Firka-wariyaat se ijtanaab
                Focus on economy, education and technology

                in cheezon pe ghoor kerna chahiye...aur gooron ke buray kaamon ko nazar-andaaz ker ke un ke achay kaamon per bhi kuch inspiration leni chahiye, aur dekhna chahiye ke aakhir un mein aisa kia he jo wo is waqt puri duniya pe hakoomat ker rahay hein...aur hum mein aisi kia kamiyaan hein ke hamari haalat ubtar he aur hum tanzali ka shikaar hein
                :thmbup:

                Comment

                Working...
                X