Re: Modernism & Roshan Khiyali?
Sab pehli baat to yeh keh ham ney apney mazhab mein kaun si tabdeeli hai jo nahin ki? Ham Quraan-e-Pak sey istifadah siraf
apni mansha key mutabiq kartey hain, jo aayaat hamarey zehan key muwafiq aati hain unhein apna letey hain. Jehad iska sab
sey badi misaal hai - kuchh ulmaa ney har us shakhs jo LA'ELAHA ILLALA na kahey uskey khilaaf jehad ka fatwa diya hai. Aur
woh log jo kalima parh kar bhi qartoot kafiron jaisey rakhtey hain unkey khilaf fatwa nahin detey - yeh mazhab ki kaun si
tafseer hai????
Islam aik naee roshanee ley ker duniya key liye namudaar huwa hai. Islam aik "MODERN" nizaam ley ker hi aaya tha aisa
nizaam jo aaj tak duniya key kam-o-besh har mulk mein raaeej hai. Duniya k jo aaj social system mila hai woh islam ka
mutarif kardah hai, duniya ki taraqi ki rahin jis ilm per khuli hain, go uski base ancient greek key ilm per base magar
ancient greek ka woh ilm andheron mein boseedah ho chuka tha jissey Ahl-e-Islam ney aik naee rooh bakhshi (kya us door mein
ussey MODERN nahin kaha geya ho ga??). So tajdeed to Islam ki base hai.
Magar iska matlab hargiz yeh nahin keh ham is mein khurafat ko shamil kar lein. Woh khurafat jo maghribi roshan'khiyali ney
pedah kiyey hain aur jiski har raah behayaee aur bad'bakhti ki janib liyey jati hai. Aur mazhab ki roots sey door kiyey
jati hai.
Modernism ka matlab yeh bhi nahin keh aurat ko be'libas kar diya jaey, aisey jaisey aaj europe mein aurat ko uryani ka
symbol bnaa diya geya hai. Main ney apni aik tehreer "Bolo Ji Tum Kya Kya Kharedo Ge" mein iska hawala diya hai keh ham aaj
kal un ko modern samajhtey jahan larkiyaan aur larkey behoodah music ki ley per apney jismon ko lehratey phirrein.
Dar'haqeeqt yeh us POSH tabqey ki aik bhiyanak tasweer hai jahan per aisa karna koi mayoob nahin samjha jata.
Allama Muhammad Iqbal ney farmaya tha keh "AAZADI-e-UFKAAR HAI SHAITAN KI AEJAD". Jab insaan ki fiker har band sey aazad ho
jati hai to wahan per khurafaat ko modernism samjha jata hai. Main aaj bhi jab koi music concert dekhta hoon to mujhey
wahan per naachti hui larkiyaan kisi paisha'war naachney wali auraton sey ziyada nahin lagtin. Aur meri soch jaisa keh main
ney Bolo Ji Tum Kya Kya Khareedo Ge mein kaha tha: "kabhi yun sar-e-aam nachna kanjron ka karobaar samjha jata tha, aaj
muhazzab gharano ki larkiyaan naach rahi hain". Agar yeh modernism hai to lanaat hai aisey modernism per!
Baat yeh hai keh ham log bohat ziyada aazad ho gaey hain. Ham ney apney mulk ki aazadi ki hifazat, apni ana ki aazadi ki
hifazat karney ki bjaey aazadi ko ghalt maano mein istimaal karna shuru kar diya hai. Maghribi mumalik sey DOLLERS ki
imdaad hasil karney key liye apney aap ko dao per lgaa diya hai. Dolat mein badi taqat hai, yeh eeman tak khareed leti hai
aur hukmraan tabqah to hamesha hi sey eeman bechta chala aaya hai. Afsos to yeh hai keh main ney awam ki satah per bhi
logon ko apna eeman beechtey dekha hai. Ham aik maflook-ul-zehan qom hain Barish, hamari tabahi hamarey apney hathon ho gi.
Originally posted by Barish

Comment