Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

nothing...

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • nothing...

    ........
    Attached Files
    That's Enough...!!

  • #2
    Re: nothing...

    AstaghfiruAllah..............
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment


    • #3
      Re: nothing...

      Main pakistan ke soye hoe leaders ko yahan jhinjhoor kar kehna chahta hon ke "is bachi ke mulziman ko sakht se sakht saza milni chahye" warna woh din door nai jab aap ki betyon ke sath aisi dirindgee ho...



      Astagfirullah....
      Allah

      Comment


      • #4
        Re: nothing...

        Really Nothing 2 Say.............
        except an ALAAAAAs!!!

        Comment


        • #5
          Re: nothing...

          :( no words .... khuda tallah hi he jo insaaf dilaye. :(

          Comment


          • #6
            Re: nothing...

            :)

            Kuchh bhi to nahin huwa, kuchh bhi to nahin hota, mulk mein aman hai, sakooon hai, har bandey ko insaaf milta hai - insaaf bahal jo ho chuka hai. To phir preshani kya hai? GEO aur Mazey mein GEO ....


            @Rulz
            Khabees tum kidher ho, jantey ho kitna yaad kiya hai tumhein?
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment


            • #7
              Re: nothing...

              Originally posted by masood View Post
              :)

              kuchh bhi to nahin huwa, kuchh bhi to nahin hota, mulk mein aman hai, sakooon hai, har bandey ko insaaf milta hai - insaaf bahal jo ho chuka hai. To phir preshani kya hai? Geo aur mazey mein geo ....


              @rulz
              khabees tum kidher ho, jantey ho kitna yaad kiya hai tumhein?
              اور ان مہذب اور پڑھے لکھے معاشروں کا کیا ؟ کہ جہاں قانون اور انصاف کا بول بالا ہونے کہ باوجود ایک باپ اپنی ہی بیٹی کہ سات بچوں کا باپ بن جاتا ہے ۔ ۔ ۔۔ ؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟ یاد رکھیئے قانون کی بالادستی کا ہرگز یہ مطلب نہیں ہوتا کہ معاشرے گناہ اور جرائم سے پاک ہوجاتے بلکہ قانون کی بالادستی اور انصاف کی بروقت فراہمی سے معاشروں میں اعتدال اور بتدریجا جرائم کی شرح میں کمی واقع ہوتی ہے ۔ ۔ ۔
              ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

              Comment


              • #8
                Re: nothing...

                the nation where the ratio of crime is very low is Saudi Arabia

                crime ratio is low mainly because of Islamic laws and relatively fair Judiciary

                Comment


                • #9
                  Re: nothing...

                  Originally posted by eemaan View Post
                  the nation where the ratio of crime is very low is saudi arabia

                  crime ratio is low mainly because of islamic laws and relatively fair judiciary
                  shukar hai keh kisi nay to islam ka nam liya....
                  sigpic

                  Comment


                  • #10
                    Re: nothing...

                    Originally posted by Masood View Post
                    :)

                    Kuchh bhi to nahin huwa, kuchh bhi to nahin hota, mulk mein aman hai, sakooon hai, har bandey ko insaaf milta hai - insaaf bahal jo ho chuka hai. To phir preshani kya hai? GEO aur Mazey mein GEO ....


                    @Rulz
                    Khabees tum kidher ho, jantey ho kitna yaad kiya hai tumhein?
                    muafii chahta hun mujy kia ap batain gy ke kia ap Pakistani hain ???

                    Originally posted by aabi2cool View Post
                    اور ان مہذب اور پڑھے لکھے معاشروں کا کیا ؟ کہ جہاں قانون اور انصاف کا بول بالا ہونے کہ باوجود ایک باپ اپنی ہی بیٹی کہ سات بچوں کا باپ بن جاتا ہے ۔ ۔ ۔۔ ؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟ یاد رکھیئے قانون کی بالادستی کا ہرگز یہ مطلب نہیں ہوتا کہ معاشرے گناہ اور جرائم سے پاک ہوجاتے بلکہ قانون کی بالادستی اور انصاف کی بروقت فراہمی سے معاشروں میں اعتدال اور بتدریجا جرائم کی شرح میں کمی واقع ہوتی ہے ۔ ۔ ۔
                    belive me mujy es per forum per siraf aik hee aqal mand banda jo laga hay wo abi sahib ap hee hay...ALLAH ap ko khush rakhy
                    [FONT="Arial Black"]Mr. Khalil How much Fake IDs would you make in Pegham... ?

                    See you Real Face in here 372-shed

                    Muhammad Khalil's Real Face [/FONT]

                    Comment


                    • #11
                      Re: nothing...

                      Originally posted by Insaaan View Post
                      muafii chahta hun mujy kia ap batain gy ke kia ap Pakistani hain ???


                      belive me mujy es per forum per siraf aik hee aqal mand banda jo laga hay wo abi sahib ap hee hay...ALLAH ap ko khush rakhy
                      Yahan aik doosrey ke nazryat se ikhtelaaf ho sakta hay lekan us ke matlab yeh har giz nai hota bhai merey ke us ki soch per NAKIS ki stamp laga di jaye ya ussay yeh sabit karney ki koshish ki jaye ke woh BE-AQAL hay. YahaN har aik ko tameez ke dairy main rehtey hoe apne Nazryat, theories, khayalat pesh karney ki ijazat hay. Aap ne aik hi banday ko aqal mand keh ke doosron ko BE-AQaL kehney ki koshish ki hay. Lekan aap se guzarish hay ke sab ko aik circle main mat khenchye. We Respect you ! Try to talk here with care and Respect !
                      Allah

                      Comment


                      • #12
                        Re: nothing...

                        Originally posted by aabi2cool View Post
                        اور ان مہذب اور پڑھے لکھے معاشروں کا کیا ؟ کہ جہاں قانون اور انصاف کا بول بالا ہونے کہ باوجود ایک باپ اپنی ہی بیٹی کہ سات بچوں کا باپ بن جاتا ہے ۔ ۔ ۔۔ ؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟؟ یاد رکھیئے قانون کی بالادستی کا ہرگز یہ مطلب نہیں ہوتا کہ معاشرے گناہ اور جرائم سے پاک ہوجاتے بلکہ قانون کی بالادستی اور انصاف کی بروقت فراہمی سے معاشروں میں اعتدال اور بتدریجا جرائم کی شرح میں کمی واقع ہوتی ہے ۔ ۔ ۔

                        Lagta hai keh Spain mein garmi bohat jald aa gaii hai ya phir aap baton ko kisi garm jaggah beth ker suneney key aadi hotey jaa rahey hain...

                        Sab sey pehli baat to yeh hai keh yahan per kisi ney IN MUHAZZIB MUASHRON ka naam nahin liya balkeh ISLAMI JAMHOORIYAH PAKISTAN ka naam liya geya hai..

                        Doosri baat - chalein ham in muashron ka naam ley bhi letey hain jinki tarf aap ney na'jaaney kyun ishara kar diya hai - yeh haqiqat bhi aap jantey hain keh yahan per agar koi jurm zahir hota hai to uska ASAL mujrim kaifar-e-kirdaar ko pohanchaya jata hai - kya Pakistan mein aisa hota hai?

                        Wahan per - jaisey Umer Shareef kehta hai - agar hathi ko bhi pakar ker jail mein daal diya jaey woh bhi apney mujrim honey ka iqrar kar leta hai...

                        Rulz ney jo baat biyan ki hai zara uskey pas-e-pardah jaa ker dekhein keh yeh waqeya hamein kya btata hai.....Rulz ney iska unwan bohat achha chuna hai NOTHING - kyun keh yeh Pakistan mein koi naii baat nahin hui. Is tarha key hazaron cases dbaa liyey jatey hain... Koi in per nazar nahin karta - aur agar koi kar bhi ley to kya farq parta hai????

                        Is bachi ney jo sitam jheelna tha, jheel chuki hai, woh mar chuki hai magar yeh muashrey key daman per aik mazeed dhaba lag geya hai - insaaf kahan hai? Kaun karey ga insaan? Btaa saktey hain aap?????

                        Aur insaaf hasil bhi kin sey kiya jaey ga? Is bachi key asal mujrimon sey? Kaun hai iska asal mujrim????

                        Is bachi ka mujrim MAIN hoon, AAP hain, MUASHRA hai, HAM SAB hain - per kahan? Ham behas'dar'behas kar key apney zameeron ko mutmaiin karney waley log us bachi key dukh nahin samajh saktey! Ussey insaaf miley ya na koi farq nahin parta...
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment


                        • #13
                          Re: nothing...

                          Originally posted by Insaaan View Post
                          muafii chahta hun mujy kia ap batain gy ke kia ap Pakistani hain ???
                          Let me tell you mister! Pakistani honey ka dawa karna bohat aasan hai, Pakistani hona bohat muskil hai!! Main jitna Pakistani hoon us muqaam tak aap nahin pohanch saktey - magar main jhoot ko sach nahin kah sakta! Jo baat achhi hai ussey achha kehna chahiyey jo ghalt hai ussey ghalt. Jab aap IS nuqtey ko pehchan lein gey us din aap ko patah chaley ga keh Pakistani kissey kaha jata hai :) Filhaal aap jazbaat ki lehar per behtey jao :)
                          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                          Comment


                          • #14
                            Re: nothing...

                            Originally posted by EEmaan View Post
                            the nation where the ratio of crime is very low is Saudi Arabia

                            crime ratio is low mainly because of Islamic laws and relatively fair Judiciary

                            2008 ki statistics btati hain keh duniya mein China aur Iran key baad sab sey ziyada phansi ki saza Saudia mein sunaii gaii hai - zara aedaad dekhiyey:

                            China 1.718+ (470+)
                            Iran 346+ (317+)
                            Saudi Arabia 102+ (143+)
                            USA 37 (42)
                            Pakistan 36+ (135+)
                            Iraq 34+ (33+)
                            Vietnam 19+ (25+)
                            Afghanistan 17+ (15)
                            North Korea 15+ (+)
                            Japan 15 (9)

                            yeh sirf phansi ki sazaein hain, doosrey jaraiim ki fehrist bhi hasil ho sakti hai :) :)
                            Last edited by Masood; 2 April 2009, 00:21.
                            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                            Comment


                            • #15
                              Re: nothing...

                              Originally posted by Masood View Post

                              Is bachi ka mujrim MAIN hoon, AAP hain, MUASHRA hai, HAM SAB hain - per kahan? Ham behas'dar'behas kar key apney zameeron ko mutmaiin karney waley log us bachi key dukh nahin samajh saktey! Ussey insaaf miley ya na koi farq nahin parta...
                              100% agreed with u...
                              sahi kaha..
                              sigpic

                              Comment

                              Working...
                              X