Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Meri Awaz Suno

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Meri Awaz Suno

    What I read yesterday...

    Ek Pakistani ladki ki sarguzasht padha, aankhon se aansoo nikal aaye ladki kitni thokren khayi, kayi dino tak uss bechari ke saath ismat dari hota raha, yeh sab uske boyfriend ke wajah se huwa aur ek din ussey Lahore ke chakley mein bechney wala tha, ke ain waqt pe uska bichhda huwa bhai mil gaya (his name is Adil), usney uss ladkey ko golli maar di, Adalat nei ussey umar qaid ki saza sunayi.

    Aaj bhi wo shakhs Adil Pakistan ke kisi jail mein umar qaid ki saza kaat raha hai, uski bahan (Nishat, jinhone shahar aur muqam ka naam batane se inkaar kiya) kisi qasbe ke primary school mein guzashta saalon se mulazemat kar rahi hai.

    Wo apne bhai ki raah dekh rahi hai jo bahan ko bikney se bachaney ke liye khamoshi se umar qaid ki saza bhugatney ke liye tayyar ho gaya.

    Adil kahey to kise kahey, koun sunega uski awaz.

    Kya wo beqasoor nahin...?

    Mere khyal mein Aadil beqasoor hai.
    Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
    Hamarey naam ka patthar zaroor milega

  • #2
    Re: Meri Awaz Suno

    Originally posted by Spy009

    Jii nice sharing...yee saab baatin hamaari society kaa hissa hii bann chuuki hain...waja haii Relegion se buhaaat meeloon kii doori....loog gunah-e-kabeera bhii itnee araam see kerrte haiin orr ussko gunaah bhii naahi samaajhte...ager unnhe iss baat kaa ehsaas hoo jaai kee woo kitnaa baraa gunaah kerr raahe hain orr yee ehsaas hoo jaai ke maqsad-e-zindaagii see door hoo raahe hain too woo kaabhi bhii soochain bhii naahi...

    anyways....100% correct!

    Adil Bhai yaqeeenan be-qasoor haiin....
    haamare judges aaise logoon koo too umer qaid orr phansee dee dete hain joo appne bachaO kee liyye kiise ka qatl kariin or professional murderer naa hoon orr unkoo pakaartee bhii naahi haiin joo professional hain orr jinn se herr dosree person koo khatraa laa-haq hai....:fuming:

    be-qasooron koo jail maii daal detee haiin taake woo loogon koo bata sakin kee jails bhare hooe haiin orr hum nee crimnals koo pakraa haii orr mazeed kaam jaarii hai......DHOOKE BAAZ STUPIDS!:fuming: :slap:

    Comment

    • #3
      Re: Meri Awaz Suno

      Kahani ka sun ker koi dhachka nahin laga. Is liye keh - jaisa Barish ney bhi kaha hai keh yeh kahaniyaan hamarey moashrey ka hissah hain - na siraf Pakistan balkey Hindostan ki bhi. Lehaza is per itna dhachka nahin laga.

      Dhachka is baat per bhi nahin laga keh bhai ney apni behan ko goli maar kar khus umer qaid ki sazar kaat raha hai. Dhachka is baat per bhi nahin keh judges ney ussey umer qaid ki saza sunaee hai - qatal ki saza jo kitabon mein likhi hai woh milti hai aur milni chaiye.

      Dhachka agar lagta hai to is baat ka keh hamarey moashrey mein har baat ki buniyaad khokli hai - naqis hai. Har kaam dimagh sey nahin jazbaat sey kiya jata hai. Sab sey pehley behan ko zaroorat kya thi bhai ki talash mein nikalney ki? aur uskey ghar sey nikalney ki kya kahani hai? yeh shayid us kahani mein nahin jo aap ney parhee ho. Iskey peechey aur bohat sey awwamil ho saktey hain keh larki ghar sey nikley.

      Hamara moashra us bhiyanak muqaam per pohanch chuka hai jahan per aik larki apni family key saath nikalti in-secure mehsoos karti hai, yeh to phir bhi akeli nikli hai aur woh bhi wahan jahan qadam qadam peh darindey phirtey hain - aik faisla jo jazbaati hai zehni nahin.

      Bhai ko agar behan mili hi thi to ussey koi haq nahin pohanchta keh ussey goli marey - aik musalman ka doosrey musalman (chahey naam hi ka kyun na ho) goli chalana gunah-e-kabeera mein shumaar hota hai. Lehaza apney liye deen aur duniya ki laanat ley li. Yahan per bhi hamarey jazbaat hamein andha kar detey hain keh ghairat'mand nahin hota agar aisa na karta. Yani Allah Tala ki narazgi seh lena gawara hai, duniya ki batein sunena nahin!!!

      Adalton ka kya hai. Adalton mein insaaf becha bhi jata hai aur kiya bhi jata hai. Ab is jurm ki sazar merey nazdeek umer'qaid hai jo usey mili. Yahan per insaan ya judges ghalt nahin, agar ghalt hain to woh nizaam jis ki buniyadein kamzor hain. Hamarey qawaneen angrezon key waqt key hain. Yahan per aik Muftee hota jis ney moashrey ko dekha hota, halaat ko dekha hota aur unki noayyat ko dekha hota to faesla kuchh aur hota.

      Kuchh bhi hai, kuchh log qayamat sehney key hotey hain, us ney bhi aik qayamat dekhi - qasoor kis ka hai - yeh koi kya janey???
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment

      • #4
        Re: Meri Awaz Suno

        Originally posted by Masood

        Arrrre gooli lerkii koo naahii uss boy koo maarii thii jiss nee uss girl koo bechnaa chaha thaa.....behaan too zinndaa thii

        orr goolii uss nee bilkuul sahee chalaii naa kiyooon kee woo kiyoon usskii sister koo bech rahaa thaa orr ussse zindaa laash bana rahaa tha....

        Comment

        • #5
          Re: Meri Awaz Suno

          Originally posted by Barish
          Arrrre gooli lerkii koo naahii uss boy koo maarii thii jiss nee uss girl koo bechnaa chaha thaa.....behaan too zinndaa thii

          orr goolii uss nee bilkuul sahee chalaii naa kiyooon kee woo kiyoon usskii sister koo bech rahaa thaa orr ussse zindaa laash bana rahaa tha....
          achhhhhha na main samajh shareef mein nahin aaya tha keh goli kis ko lagi thi - bas chalney ka pattah chala tha :lol. Haan aisey insano ko zindah rehney ka koi haqq nahin - magar phir bhi qanoon ko hath mein nahin lena chahiye - aur sab sey pehley maddad qanoon hi sey lena chahiye
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment

          • #6
            Re: Meri Awaz Suno

            Originally posted by Masood
            achhhhhha na main samajh shareef mein nahin aaya tha keh goli kis ko lagi thi - bas chalney ka pattah chala tha :lol. Haan aisey insano ko zindah rehney ka koi haqq nahin - magar phir bhi qanoon ko hath mein nahin lena chahiye - aur sab sey pehley maddad qanoon hi sey lena chahiye
            Kaisa Qanoon... agar logon ko is baat ki guarantee ho key jab wo Qanoon key paaas jayein gey to unhein insaaaaaaaaf miley ga to tab hum ye baat kertey huye achey bhi lagtey hein
            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment

            • #7
              Re: Meri Awaz Suno

              Originally posted by barg.e.gul

              Is baat ki guarantee na bhi ho keh insaaf milley ga, sab sey pehley contact qanoon hi ko karna chahiye. Insaan ko is baat ka haq koi moashra nahin deta keh qanoon ko apney hathon mein ley ker munsif bana jaey. Hamari ghaflaton ki aik wajah yeh bhi hai keh na ham qanoon ko maantey hain, na qanoon waley hamein tahafuz detey hain. Qasoor dono taraf hai. Ham josh-e-jazbaat mein aa ker har woh kaam kar jatey hain jo ikhlaq, samajh, insaaf, mazhab key khilaf ho.
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment

              • #8
                Re: Meri Awaz Suno

                Originally posted by Masood
                Is baat ki guarantee na bhi ho keh insaaf milley ga, sab sey pehley contact qanoon hi ko karna chahiye. Insaan ko is baat ka haq koi moashra nahin deta keh qanoon ko apney hathon mein ley ker munsif bana jaey. Hamari ghaflaton ki aik wajah yeh bhi hai keh na ham qanoon ko maantey hain, na qanoon waley hamein tahafuz detey hain. Qasoor dono taraf hai. Ham josh-e-jazbaat mein aa ker har woh kaam kar jatey hain jo ikhlaq, samajh, insaaf, mazhab key khilaf ho.
                theek hai qanoon key paas chaley bhi gaye to .....kya ho ga ziada sey ziada ....beybas hi lautey ga insaan....aur phir wo kya ker sakta hai??

                mey law and orders ko deny nahi ker rahi hun magar jab Muhafiz lauteyrey ban jayein to aik shaks un key dar ko kyoon ker khata khataye ga ....mazeed lutney key liye???
                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment

                • #9
                  Re: Meri Awaz Suno

                  AOA,

                  Jo batain aap nain batayi hain un ka jaiza liya to abrish ji aur masood sahib ki baat se itafaaq karne ko ji chaha .ye hamare molk main he nain ho raha ye masl hamare parroos main b hai lakim iss ki taraf tawajo nain di jati in haqayaik ko chopaya jata hai kion k bohat se shorfa iss ki zad main a jain ge aur yahan jorRwaan momalik jo hain wo chalte he shorfa se hain yahan kon poche ga hum sirf apne zameer ki awaaz boland kar sakte hain bas ap ka bohat shukria.

                  Sohail Abbasi.
                  Apna haq ada karo.

                  Comment

                  • #10
                    Re: Meri Awaz Suno

                    Un dono bhai bahan (Nishat & Adil) ke walden aapas mein ladtey rahtey thay, father govt. servant but bahut chidchida dimagh tha, dono wife husband mein mara peeti bhi hota, koi aisa diin na hota ke wo dono ladtey naa thay, pura muhalla uss ghar ke halat se waqif tha, un dono ke fitrat ke wajah se unke rishteydaar unke yehan jaana choR diya tha. Aur time to time Adil and Nishat ko bhi dant phatkar aur maar padti, in dono ko kabhi maan baap ka shifqat ya muhabbat nahin mila, ek din baap ne 19 saalah Adil ko aisa dant phatkar lagaya ke wo ghar se nikla to dobarah ghar wapis nahin aaya, aise ghar ke mahol mein Nishat jaise taise Xth class ki, then she was 17 in 1998. aur ek din wahi huwa jo sabke saath hota hai, she was engaged with Ajmal, aur wo shadi ke khwab dekhney lage, Ajmal Nishat ko school se kisi bahaney nikal kar Lahore le gaya, aur ek 42 years aadmi ke hawale kar diya aur kaha ke yeh aadmi (42 wala) bahut unchi pahunch ka banda hai, ham dono ki shaadi karane mein madad karega, tumhari gumshudgi ki report se police harkat mein aaye bhi to inki pahunch itni hai ke case ka file ko daba diya jayega, wo aadmi ne Ajmal ko kuchh rupai diye Nishat ke mutabiq wo rupai 50,000 ya to 100,000 hoga tab Nishat
                    Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                    Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                    Comment

                    • #11
                      Re: Meri Awaz Suno

                      Originally posted by barg.e.gul
                      Kaisa Qanoon... agar logon ko is baat ki guarantee ho key jab wo Qanoon key paaas jayein gey to unhein insaaaaaaaaf miley ga to tab hum ye baat kertey huye achey bhi lagtey hein

                      Originally posted by Masood
                      Is baat ki guarantee na bhi ho keh insaaf milley ga, sab sey pehley contact qanoon hi ko karna chahiye. Insaan ko is baat ka haq koi moashra nahin deta keh qanoon ko apney hathon mein ley ker munsif bana jaey. Hamari ghaflaton ki aik wajah yeh bhi hai keh na ham qanoon ko maantey hain, na qanoon waley hamein tahafuz detey hain. Qasoor dono taraf hai. Ham josh-e-jazbaat mein aa ker har woh kaam kar jatey hain jo ikhlaq, samajh, insaaf, mazhab key khilaf ho.

                      Originally posted by barg.e.gul
                      theek hai qanoon key paas chaley bhi gaye to .....kya ho ga ziada sey ziada ....beybas hi lautey ga insaan....aur phir wo kya ker sakta hai??

                      mey law and orders ko deny nahi ker rahi hun magar jab Muhafiz lauteyrey ban jayein to aik shaks un key dar ko kyoon ker khata khataye ga ....mazeed lutney key liye???
                      Aaj kal qanoon kuchh nahin karta, ulta wo mazaq udata hai, agar ladki wahan jaati to wahan police wale ki zadd mein aa jati...aur wahan bhi wo secure nahin rahti
                      Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                      Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                      Comment

                      • #12
                        Re: Meri Awaz Suno

                        Assalaam o alekum,

                        Qanoooon Qanoon Qanooon kiss qanoon ki baatien ker rahien aap sab :( :( kyaa duniyaan mien koee aisa qanooon bhi hai ke kisi bahen ki luti huee izzat waapis de saktaa hai ??? phir kyoon aap sab qanoon ki baatien kerte hain qanoon kuch nahin aaj kal qanoon sirf ghareeboon ke liye bante hain daulatmand kuch bhi karien unper koee qanoon laagu nahin hootaa,
                        :tang: RISK IS MY BUSINESS

                        DANGER IS MY GAME

                        DONT PLAY WITH ME
                        BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

                        Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

                        Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

                        Comment

                        • #13
                          Re: Meri Awaz Suno

                          Originally posted by khurram_shaikh
                          Assalaam o alekum,

                          Qanoooon Qanoon Qanooon kiss qanoon ki baatien ker rahien aap sab :( :( kyaa duniyaan mien koee aisa qanooon bhi hai ke kisi bahen ki luti huee izzat waapis de saktaa hai ??? phir kyoon aap sab qanoon ki baatien kerte hain qanoon kuch nahin aaj kal qanoon sirf ghareeboon ke liye bante hain daulatmand kuch bhi karien unper koee qanoon laagu nahin hootaa,
                          Walikum Assalam!

                          100% agreed!:(

                          Comment

                          • #14
                            Re: Meri Awaz Suno

                            Asslam-o-Alikum WR WB

                            Spy ! aap ny jo baat byan ki hay .... us main sirf itna kho ga ky ya aap ny shayd parhi hy per ........ asy hazro wakiyaat beet jaty hy ....

                            Allah Pak bass asy manzro sey bachy itna hi kho ga

                            FeaamnAllah
                            Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
                            Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga

                            Comment

                            • #15
                              Re: Meri Awaz Suno

                              Spy Bhai aisa hey k mein ne aisi khabrain parhna chorr dee hein......itna hi kahun gi k insaan pasti pasti ki inteha mein gir chuka hey, insaniyat nam ki cheez hum logon mein mafqood ho gai hey, musalman kehlana to dooor ki bat hum insan kehlanay k haqdaar bhi nhi hein, aik rawaaj chal nikla hey k aisi baton per parda dala jaye, ghar ki bat ghar mein hi khatum ker di jaye, insaf k liye adalat k darwazay khatkhtanay ki in hathon mein himmat bhi nhi rahi aur nah hi insaaf denay walon mein dam hey k wo sahee faisla kar sakain,koi apni rozi per kiyun laat maray? jahan aisi case per khamoshi ya faisla uss k khilaf de ker lakhon rupees aatay hon wahan ghareebon ko insqf ki zarurat hi kia hey? bas apni be bassi per char din ansoo baha liye aur bass qissa khatum! agar kisi ki gherat aaray aati hey to jails hein na sabaq denay k liye, koi itni jurat hi kiyun karay k apni behn ki asmat dari karnay walay ko goli maar day? iss liye aisay logon ki awaz koi nhi sunta, sub behray hein, sub kuch dekhtay huye bhi andhay hein aur bolna nhi chahtay iss liye goongay ban gaye hein,,,,,,,,,,,,,,,janay kitni hi larkiyan nishat ki trah nadani mein lut jati hein aur kitnay hi bhai gherat ki sooli per charh jatay hein lekin MUJRIM azaad hein, insaf kernay walay imaan se khali hein. Allah sub ko hadayet day, ameen

                              Comment

                              Working...
                              X