Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

ª!ª Hasan Nisar ª!ª

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Walaikum Assalaam Janab

    Aap ka jawaab dainay say pehlay chand FACTS and FIGURES per aap ki tawajoo karwaana chahoon ga aur phir ussi tawajoo per aap kay jawab aap ko mil jayain gain.

    Dr. Adbul Qadir Khan Holland ki labortary main kaam kartay thay, magar, aaj tak Holland Pakistan say ziyada wasayil honay kay bawajood Nuclear Power nahin ban saka, kiyon?

    Einstein Germany aur Austria kay border main paida hua aur German national tha magar uss nay USA ko nuclear power bana diya, kia uss ki qoum nay uss ko Ghddar kaha?

    India nay Russia say Nuclear technology haasil ki magar Indian qoum nay Dr. Abdul Kalaam ko kabhi ghaddar nahin kaha, balkay unhain mulk ka President tak bhi bana dia, kiyon?

    Dr. Adbul Qadeer Khan nay woh formula churaya nahin balkay apnay ZEHANASHEEN kar kay srif aur srif apnay mulk ki khaatir ZA Bhutto kay saath mil kar iss azeem kaam ko paya-e-takmeel tak poohnchaya, aur aaj hum kia aisay QABIL shakshiyat ko chour kehtay huway achay lagtay hain?

    Agar aap MOHAZIBANA zaban ki baat kar rahay hain tou humain bhi apni TEHZEEB nahin bhoolni chayeh, dunya ka koi bhi mohazib shaks itnay azeem ZEHAN aur TALENT rakhnay waalay ko CHOUR nahin keh sakta!!

    Zaidan Zaidan ko Algeria ki team main bhi select nahin kia gaya magar France ki team main uss ko naa srif jaga mili magar uss nay apna talent dikha kar France ko World Cup bhi jitwa diya aur jab kay Algeria ki team aaj tak world qualifying round main bhi jaga nahin bana saki... jee haan mera ishaara yehi hay kay Holland say ZA Bhutto kay kehnay per woh Pakistan aayay aur unhoon nay woh karnaama anjaam dia jis iper poori qoum unki shukar guzaar hay.

    Baaqi jazbaat waali baat ka jawab upper Aabi sahab ki post main day chuka hoon, khush rahyeh.

    May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

    Fi Amaan ALLAH




    Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
    As Salam o Alaikum,

    Ali mujhay chand baataiN batao,

    1. pakistan nay atomic formula kaisay hasil kia?
    2. jis banday nay yeh kaam jis tareeqay say kia usay aap mohaz'zib say mohaz'zib zuban maiN kia kaho gaiy?

    maiN Abid Inayat say behes nahe karta kioN k woh elm kay us darjay par pohanch chuka hai jahaN say jahalat shoro ho jati hai, laikin umeed hai tum say behes kar kay mujhay, tumhaiN aur paRhnay waloN ko kuch hasil bhi hoga.

    tum nay kaha hasan nisar sahab umer kay jis hisay maiN haiN wahan insaan jazbati ho jata hai, mujhay yeh baat kuch ajeeb si lagi, tumhara nahe khayal kay banda umar kay isi hisay maiN jazbati nahe rehta?? maiN nay jo link share keay haiN us maiN bhi aik baar unhoN nay kaha kay "Pakistan sirf 5 salooN maiN bohot kuch kar aur ban sakta hai" phir foran unhoN nay kaha "aur maiN yeh koi jazbati dialogue nahe maar raha, kioN kay umer kay is hissay maiN aakar kam az kam maiN watan aur mazhab kay baray maiN qat'an jazbati nahe" mera bhi yahe khayal hai kay jazbati honay ki umer, tumhari meri aur shayed sab say ziadah Abid ki hai, hasan nisar ki nahe.

    aur jo choTa sa aik TukRa Iqbal kay hawalay say post kia abid nay us maiN mery khayal maiN unhoN nay sirf dosray banday ki baat ignore karnay kay leay yeh kaha kay "iqbal ko choReay abhi"

    hasan nisar sahab nay aik aur baat baRi zubar'dast kahe, kehtay haiN "shakh'siyat parasti, but'parasti say ziadah khatar'naak hoti hai", "but'parasti one way karobar hai"

    baat taveel hogai is leay "shakh'siyat parasti" par baat tumharay jawab tak kay leay uTha rakhta hoon.
    sigpic

    Comment


    • #32
      Originally posted by thefire1 View Post
      Walaikum Assalaam Janab

      Aap ka jawaab dainay say pehlay chand FACTS and FIGURES per aap ki tawajoo karwaana chahoon ga aur phir ussi tawajoo per aap kay jawab aap ko mil jayain gain.

      Dr. Adbul Qadir Khan Holland ki labortary main kaam kartay thay, magar, aaj tak Holland Pakistan say ziyada wasayil honay kay bawajood Nuclear Power nahin ban saka, kiyon?

      Einstein Germany aur Austria kay border main paida hua aur German national tha magar uss nay USA ko nuclear power bana diya, kia uss ki qoum nay uss ko Ghddar kaha?

      India nay Russia say Nuclear technology haasil ki magar Indian qoum nay Dr. Abdul Kalaam ko kabhi ghaddar nahin kaha, balkay unhain mulk ka President tak bhi bana dia, kiyon?

      Dr. Adbul Qadeer Khan nay woh formula churaya nahin balkay apnay ZEHANASHEEN kar kay srif aur srif apnay mulk ki khaatir ZA Bhutto kay saath mil kar iss azeem kaam ko paya-e-takmeel tak poohnchaya, aur aaj hum kia aisay QABIL shakshiyat ko chour kehtay huway achay lagtay hain?

      Agar aap MOHAZIBANA zaban ki baat kar rahay hain tou humain bhi apni TEHZEEB nahin bhoolni chayeh, dunya ka koi bhi mohazib shaks itnay azeem ZEHAN aur TALENT rakhnay waalay ko CHOUR nahin keh sakta!!
      :salam::salam::salam:
      ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

      Comment


      • #33
        Originally posted by aabi2cool View Post
        مظاہر بھائی آپ کے لیے آپ ہی کی تحریر کا سلیس اردو میں ترجمہ حاضر ہے ۔
        wahhh aap nay to mery dil, gurday, phaiphRay aur kalaijay tak kay andar ki baat nikaal lee :jazak:

        yeh to suna tha kay dil aur neyatoN ka haal Allah he janta hai, kia ab aap mujhay yeh kehnay ki ijazat daiN gaiy kay maiN sab ko bata sakooN kay dil aur neyatooN ka haal Allah aur Allah ka aik banda Abid Enayat bhi janta hai?

        wesay Abid mujhay salees urdu bolnay par majbor mat karo, kioN kay aksar yeh hota hai kay jab maiN urdu maiN shoro hota hooN to tumharay monh say panjabi behnay lagti hai
        That's Enough...!!

        Comment


        • #34
          Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
          wahhh aap nay to mery dil, gurday, phaiphRay aur kalaijay tak kay andar ki baat nikaal lee :jazak:

          yeh to suna tha kay dil aur neyatoN ka haal Allah he janta hai, kia ab aap mujhay yeh kehnay ki ijazat daiN gaiy kay maiN sab ko bata sakooN kay dil aur neyatooN ka haal Allah aur Allah ka aik banda Abid Enayat bhi janta hai?

          wesay Abid mujhay salees urdu bolnay par majbor mat karo, kioN kay aksar yeh hota hai kay jab maiN urdu maiN shoro hota hooN to tumharay monh say panjabi behnay lagti hai
          :tasali::tasali::tasali:
          ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

          Comment


          • #35
            Originally posted by thefire1 View Post
            Walaikum Assalaam Janab

            Dr. Adbul Qadeer Khan nay woh formula churaya nahin balkay apnay ZEHANASHEEN kar kay srif aur srif apnay mulk ki khaatir ZA Bhutto kay saath mil kar iss azeem kaam ko paya-e-takmeel tak poohnchaya.

            May ALLAH SWT light and guide our ways AMEEN

            Fi Amaan ALLAH
            Thanks :rose

            mery khayal maiN yeh behtar hai kay maiN apni raiy aur maqsad bata dooN kaheeN yeh na ho kay aap bhi abid ki terhaaN mery dil ki baat jaan laiN...!!

            dar'asl humaray yahaN kuch mazhabi madarioN kay haathoN maiN aik nai dugdugi aagai hai jisay kehtay haiN "Qadiyani", jab aisay ulma kay pass daleel na rahay to phir yeh dosray ko zaleel karnay par utar aatay haiN... jab maiN nay abid kay post kardia link daykhay to un maiN bhi yahe bajti nazar aai, mera nuqta nazar yeh hai kay insaan jab tak apni rewayti soch aur rewayti tareeqa-e-soch say bahar nahe niklay ga usay kabhi shay ki haqiqat ka andaza nahe hoga, kia yeh lazmi hai kay insaan usi digar par chalta rahay jis par usay bachpan say chalaya gaya ho, jahaN riwayti tareeqay say sochna he haram ho wahaN kisi shaks ka kuch baat karna itna uchala jata hai kay aainda dosray bhi toba kar laytay haiN,

            mujhay nahe maloom yeh ghuttan aur habs ka mahool humaray muashray maiN kab tak qaim rahay ga, aur yahaN kab kisi ko azadi-e-izhar ki ijazat hogi.

            maiN batoor pakistani Dr. Abdul Qadeer Khan ki Salahiyat aur un kay karnamay ka mautarif hooN, magar bahar'haal unhaiN bhi aik INSAAN he samajhta hoon, apni last post maiN maiN nay shaksiyat parasti ko point out kia tha aur kaha tha kay yeh but'parasti say ziadah khatar'nak hoti hai, dar'asl humaray yahaN yeh riwaj hai k jab hum kisi ko kuch maan laiN to phir woh humara aqa aur moula ban jata hai, insaan ko insaan he rehnay dia jaiy to yeh us kay apnay haq maiN bhi behtar hota hai.

            Hasan Nisar sahab nay jo kaha kay chour... to jahaN tak mera elm kaam karta hai aur jitni meri samajh haiN aur jitna baghour maiN un ki tehreer ka muta'lea karta hooN to mujhay yahe mehsoos howa kay dar'asl un ka maq'sad bhi yahe tha kay hum aik normal si baat par shakhsiyat ki parastish shoro kar daytay haiN, baraiy meher'bani isay yeh samajhnay ki koshish mat kejeay ga kay pakistan ko atomic power banana koi aam si baat hai... is ko samjhanay kay leay maiN Hazrat Ali ka aik Quote paish karna chahonga kay

            Hazrat Ali say kisi nay mard-e-aaqil ki tareef pochi, to hazrat Ali nay Farmaya.... "Jo Shay ko us k Asal Muqaam par rakhay...."

            mery khayal maiN Hasan Nisar ka yeh kehna tha kay "humaiN yeh maloom hona elm nahe kay kashish-e-saqal newton nay dariyaft ki, balkay newton ka force of gravity ko dariyaft karna ELM hai" jesa kay unhoN nay kaha bhi kay atom maiN jitni qowataiN hoti haiN woh haiN, usay dariayft karnay wala scientist tha, baad waloN nay to us ki dariyaft say faida uThaya hai...!!

            kahani Asal Muqaam ki hai...!!

            jab hum har insaan ko us kay asal muqam par rakh kar daikhna shoro kar daiN gaiy to phir baat baat par aur bila'wajah bhaRakna bhi choR daiN gaiy, aik aur baar baraiy meher'bani mery dil maiN jhaank kar Dr. Abdul Qadeer kay Muqam ka az'khud taiyon na kar lejeay ga :garmi:

            khair, baat kartay haiN Shakhsiyat'parasti ki, Please Define ??
            That's Enough...!!

            Comment


            • #36
              Originally posted by aabi2cool View Post
              :tasali::tasali::tasali:
              :d
              That's Enough...!!

              Comment


              • #37
                Asalaam-O-Alaikum Scorpion_RulzZ

                Aap kay tafseelan jawaab ka aur WAZAHAT ka bohat bohat shukriya aur iss baat ka bhi kay aap nay bohat hadh tak ghuma phira kay wohi kaha jo hum kehna cha rahay hain!!

                Main nay iss baat per ROSHNEE daali hay kay humain Dr. Sahab ko chour nahin kehna chayeh, ab agar unhoon nay qoumi karnama ajnaam diya hay tou unhain hum iss kaam ko anjaam dainay per QOUMI HERO samajhtay hain na kay "Shaskiyat Parasti" ka naam day kar unki Na'azubilah ibaadat, yaa phir unhain koi Naazubillah Peghambar samajhtay hain!

                Baat ko dosri taraf lay jaanay say pehlay iss baat ko ZEHNASHEEN kar lain kay woh srif aur srif aik insaan hain jo kay bharpoor salahiyat kay maalik hain aur hum sab unnki ussi nazaryeh say IZZAT kartay hain....!

                I hope kay hum baatoon baatoon main hum iss topic ka asal maqsad ko na bhula dain aur paRhnay waaloon kay zehan main yeh tasuraat na dain kay hum bas aik dosray ko jawab dainay ki khatir likhtay ja rahay hain. Baat Hasan Nisar sahab aur Dr. Abdul Qadir Khan aur main dono hazrat ki bohat izzat karta hoon, kiyonki un ki soch ka mayar aur unki salahiyat meri salahiyatoon say bohat refined aur behtar hay.... haan aik baat waazhay karta chaloon kay unko pasand karnay ka yeh matlab nahin kay main "Shahskiyat parast" hoon!

                May ALLAH SWT light and guide our ways MEEN

                FI Amaan ALLAH
                sigpic

                Comment


                • #38
                  Originally posted by thefire1 View Post
                  asalaam-o-alaikum scorpion_rulzz

                  aap kay tafseelan jawaab ka aur wazahat ka bohat bohat shukriya aur iss baat ka bhi kay aap nay bohat hadh tak ghuma phira kay wohi kaha jo hum kehna cha rahay hain!!

                  main nay iss baat per roshnee daali hay kay humain dr. Sahab ko chour nahin kehna chayeh, ab agar unhoon nay qoumi karnama ajnaam diya hay tou unhain hum iss kaam ko anjaam dainay per qoumi hero samajhtay hain na kay "shaskiyat parasti" ka naam day kar unki na'azubilah ibaadat, yaa phir unhain koi naazubillah peghambar samajhtay hain!

                  baat ko dosri taraf lay jaanay say pehlay iss baat ko zehnasheen kar lain kay woh srif aur srif aik insaan hain jo kay bharpoor salahiyat kay maalik hain aur hum sab unnki ussi nazaryeh say izzat kartay hain....!

                  i hope kay hum baatoon baatoon main hum iss topic ka asal maqsad ko na bhula dain aur parhnay waaloon kay zehan main yeh tasuraat na dain kay hum bas aik dosray ko jawab dainay ki khatir likhtay ja rahay hain. Baat hasan nisar sahab aur dr. Abdul qadir khan aur main dono hazrat ki bohat izzat karta hoon, kiyonki un ki soch ka mayar aur unki salahiyat meri salahiyatoon say bohat refined aur behtar hay.... Haan aik baat waazhay karta chaloon kay unko pasand karnay ka yeh matlab nahin kay main "shahskiyat parast" hoon!

                  may allah swt light and guide our ways meen

                  fi amaan allah
                  بہت خوب بھائی سید صاحب آپ نے نہایت ہی عمدہ طریقے سے اپنے خیالات کی صورت میں اپنے تبصرے سے نوازا جہاں تک بات ہے ہے تھریڈ کی تو یہ تھریڈ جیسا کے عنوان سے ظاہر ہے حسن نثار صاحب کی ناقدانہ سوچ پر تبصرہ کرنے کے لیے لگایا گیا سب سے پہلے تو یہ یاد رہے کہ تنقید سے کوئی بھی مارواء نہیں نہ میں نہ آپ نہ ڈاکٹر خان اور نہ ہی حسن نثار صاحب دیکھیئے کسی بھی شعبے اور پیشے کا مختلف زاویہ ہائے نظر سے تنقیدی جائزہ لینا اور بحث مباحثے کے بعد خالص علمی انداز میں تقابلی جائزہ پیش کرنا ایک مثبت اور صحت مندانہ طرز عمل ہوا کرتا ہے لیکن اگر یہ تقابلی اور تنقیدی جائزہ محض سطحیت تک محدود ہوکر تنقید برائے تنقید کا باعث بن جائے بلکہ اس سے بھی بڑھ کر محض تنقیص کی صورت اختیار کرجائے تو اسطرح کے تنقیدی اور تقابلی جائزوں سے کچھ فوائد حاصل ہونے کی بجائے الٹا ان سے کئی طرح کے نقصانات کا احتمال رہتا ہے۔ اور اسکے ساتھ ساتھ یہ بھی یاد رکھنا چاہیے کہ تنقید کا بھی ایک معیار ہوا کرتا ہے اور وہ یہ کہ اول تو تنقید ناجائز نہیں ہونی چاہیے یعنی ایوبں خوامخواہ کی تنقید نہ ہو اور دوم کسی پر بھی تنقید کرتے وقت ان خاص زمینی حقائق کو بھی پیش نظر رکھا جانا چاہیے کہ جن کی وجہ سے کوئی بھی خاص عمل کوئی ایسی خاص صورت اختیار کرجاتا ہے کہ جو کہ بعد میں ہدف تنقید ٹھرتی ہے لہزا جب ہم ان سب حقیقتوں کو نظر انداز کرتے ہوئے کسی بھی عمل پر محض تنقید برائے تنقید والا معاملہ اختیار کرتے ہیں تو ایسے میں ہماری تنقید کا ٹمپریچر نقطہ ابال کو چھونے لگتا ہے اور ہمیں ایسی صورتحال سے سابقہ پیش آتا ہے کہ جو حسن نثار جیسے منجھے ہوئے لکھاری کو بار بار پیش آرہی ہے اگرچہ حسن نثار صاحب کے معاملے میں کئی دیگر عوامل بھی کار فرما ہیں ہمیں یہ ماننے میں قطعی کوئی عار نہیں کے حسن نثار صاحب ایک منجھے ہوئے ادیب اور تجزیہ نگار ہیں اور یہ بھی کہ ہم ایک عرصہ تک انکے فین رہے ہیں مگر جب انکی شخصیت کا یہ خاص روپ ہمارے سامنے آیا تو ہمیں سخت افسوس ہوا لہزا ہم نے ایسے خاص معاملات میں انکی تحریر اور تقریر دونوں کا اسلوب تمام قارئین کے سامنے رکھ کر قارئین کو تبصرہ کرنے کی دعوت عام دی تھی۔ دیکھیے یوں تو لکھنا لکھانا اور ادب شناسی اپنے اندر کئی پہلو سمیٹے ہوئے ہیں لیکن جب بھی کوئی بھی لکھاری کچھ لکھتا ہے تو اس کا مدعا فقط اپنے مافی الضمیر کو احساسات کی شکل میں ایک کاغذ پر منتقل کرنا نہیں ہوتا۔ بلکہ لکھنے کا مقصد یہی ہوتا ہے کہ اسے عوام تک بھی پہنچایا جا سکے لہذا جب بھی کوئی تحریر یا تقریر عوام تک پہنچ جاتی ہے تو اس پر بحث و مباحثہ اور تنقید و نتقیص کا حق بھی عوام کے پاس آ جاتا ہے۔ ایسا ممکن نہیں کہ ایک تحریر عوام تک پہنچے اور پھر وہ اسکے مندرجات پر غور نہ کریں یا اس کو اپنی عقل کی کسوٹی پر نہ آزمائیں کوئی بھی ادیب اپنی سوچ اپنا طرز فکر اپنے قارئین پر ٹھونس نہیں سکتا مگر تاہم دلائل و براہین سے حجت قائم کر سکتا ہے مگر دلائل و براہین سے نہ کہ کسی اور زریعے سے ۔ ۔ ۔ ۔
                  حسن نثار صاحب کے ساتھ معاملہ یہ ہے کہ آپ محض سطحی جذباتیت کا مظاہرہ کرتے ہوئے اپنی تحریر اور تقریر سے ہر کسی کو رگید ڈالتے ہیں اور جب کوئی آپ کی اصلاح یا آپ پر تنقید کرنے کی تدبیر کرئے تو آپ اخلاقیات کی تمام حدوں کا پار کرجاتے ہیں جو کہ کسی ادنٰی سے ادنٰی لکھاری کو بھی روا نہیں چہ جائکہ اتنے بڑے ادیب کا یہ طرز عمل ہو ۔ ۔ ۔ حسن نثار صاحب کی بہت سی باتوں سے اتفاق کیا جاسکتا ہے کہ جیسا کہ انھوں نے عالم اسلام کی تنزلی کے باعث بننے والے عوامل کی بجا طور پر نشاندہی کی اور آج جو امت مسلمہ کی دگرگوں حالت ہے اس کا ایک بہت بڑا فیکٹر وہی تمام عوامل ہیں مگر ان سب کا یہ مطلب بھی نہیں کہ اسلام یا مسلمانوں نے اس دنیا کو کچھ بھی نہیں دیا آج کی دنیا میں جتنی بھی علمی ادبی اور سائنسی ترقی ہے اس کے تمام کے تمام شعبوں میں ہر دور کے مسلمانوں کا کسی نہ کسی طور پر ہاتھ رہا ہے ہاں یہ بات الگ ہے کہ آج ہم نے اپنے بڑوں کی میراث جو کہ علم اور تحقیق پر مبنی تھی کو کھو دیا ہے اور اس تنزلی کا شکار ہوگئے ہیں ۔ ۔ ۔
                  اور جہاں تک بات ہے "مظاہر بھائی " کی تو وہ میرے بہت ہی پیارے بھائی ہیں میری طرح خود بھی بہت جذباتی ہیں ہم دونوں ایک عرصہ سے ایک دوسرے کو جانتے ہیں اور اکثر ایک دوسرے کے ساتھ الجھتے ہیں لہزا یہی وجہ ہے کہ انھوں نے اپنی تمام تر رپلائز میں حسن نثار کا دفاع کم اور مجھ خاکسار کو موضوع سخن زیادہ بنایا ہے یہ بھی انکی محبت ہے وگرنہ بندہ کس قابل ۔ ۔ ۔ ۔ ۔آخر میں سید صاحب آپ کے بھرپور تبصرے کا ایک بار پھر سے مشکور ہوں اور امید کرتا ہوں کہ آپ اپنی نگارشات سے آئندہ بھی نوازتے رہیں گے والسلام آپکا خیر اندیش
                  ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                  Comment


                  • #39
                    Assalaam-O-Alaikum

                    Aap ka bohat bohat shukriya Aabi2cool kay aap nay itnay achay alfazoon main hosla afzayi ki...

                    Main itna hi kehna chahoon ga kay main bhi ussi hadh tak BEHAS karnay ka aadi hoon jab tak kay BEHAS aik sehatmand aur postive aspect per ho rahi hoo, jahan mujhay yeh mehsoos honay lagay kay yeh BEHAS ranjishain paida kar rahi hay aur samnay waala apni hi kehnay per datta hay aur auroon ki baat ko koi khaatirkhuwa ahmiyat nahin day raha.

                    Main wohi baat kehta hoon jis ka ilm rakhta hoon, hawayoon main teer chalanay ki yaa suni sunayi baatoon ko main kabhi bhi manzar-e-aam per nahin laata kiyon main samajhta hoon kay meray alfaaza AMAANAT hain aur sahi baat poohchana mera FARZ hay...

                    Mujhay aap ki baat say itifaaq hay kay jahan samyeen aap ko shouq say suntay hoon, naazreen aap ko dekhtay hoon aur qaryeen aap ko shouq say paRhtay hoon wahan lafzoon main sadaaqat kay saath saath mohabbat aur ehtiraam bhi shaamil hona chahyeh, kisi kay baaray main buray alfaaz likhna, kehna aur buray alqaabat say nawaazna bohat hi asaan baat hay aur yaqeen karain humaray maashray main koi TEHZEEB seekhay ya naa seekhay magar yeh hunar har koi bohat ki kam-umri main seekh jaata hay.... Hasan Nisar nay jo kuch bhi kaha woh ghalat hay magar main ab bhi yehi kahoon ga kay hum unhain itni baat kehnay per TRAITOR yaa Dr. Abdul Qadeer ki qabliyat per shak kartay huway unhain CHOUR nahin keh saktay aur naa hi kehna chayeh.... agar kehtay hain tou uss say inn dono hazraat ko tou koi farq nahin paRay ga, hum hi aapas main iss behas ko toooul daitay jayain gain!

                    ALLAH SWT hum sab ko sachi aur achi baat karnay ki toufeeq ata farmayay AMEEN.

                    Duaoon main yaad rakhain aur aik ENGLISH ki qaahwat quote karna chahoon ga kay "If everyone think the same, no one is thinking"

                    Khush rahyeh

                    Fi Amaan ALLAH
                    sigpic

                    Comment


                    • #40
                      Originally posted by thefire1 View Post
                      Asalaam-O-Alaikum Scorpion_RulzZ

                      Aap kay tafseelan jawaab ka aur WAZAHAT ka bohat bohat shukriya aur iss baat ka bhi kay aap nay bohat hadh tak ghuma phira kay wohi kaha jo hum kehna cha rahay hain!!

                      Main nay iss baat per ROSHNEE daali hay kay humain Dr. Sahab ko chour nahin kehna chayeh, ab agar unhoon nay qoumi karnama ajnaam diya hay tou unhain hum iss kaam ko anjaam dainay per QOUMI HERO samajhtay hain na kay "Shaskiyat Parasti" ka naam day kar unki Na'azubilah ibaadat, yaa phir unhain koi Naazubillah Peghambar samajhtay hain!

                      Baat ko dosri taraf lay jaanay say pehlay iss baat ko ZEHNASHEEN kar lain kay woh srif aur srif aik insaan hain jo kay bharpoor salahiyat kay maalik hain aur hum sab unnki ussi nazaryeh say IZZAT kartay hain....!

                      I hope kay hum baatoon baatoon main hum iss topic ka asal maqsad ko na bhula dain aur paRhnay waaloon kay zehan main yeh tasuraat na dain kay hum bas aik dosray ko jawab dainay ki khatir likhtay ja rahay hain. Baat Hasan Nisar sahab aur Dr. Abdul Qadir Khan aur main dono hazrat ki bohat izzat karta hoon, kiyonki un ki soch ka mayar aur unki salahiyat meri salahiyatoon say bohat refined aur behtar hay.... haan aik baat waazhay karta chaloon kay unko pasand karnay ka yeh matlab nahin kay main "Shahskiyat parast" hoon!

                      May ALLAH SWT light and guide our ways MEEN

                      FI Amaan ALLAH
                      w/salam bro.

                      baat ghumana phirana meri aadat nahe... Dr. Abdul Qadeer nay Pakistan ki jo khidmat ki hai woh tareekh maiN wazeh tour par sonehray huroof say likhi jaiy gi, aur yeh baat mery sirf likhnay ki had tak nahe....

                      Hasan Nisar nay jo kaha woh apni souch aur samajh kay hisab say kaha, aur us kay replies maiN unhaiN jis nay Qadiyani aur Watan'duhman banaya us nay apni souch aur samajh say kaam lia....

                      maiN nay last post maiN Shakhsiyat Parasti kay hawalay say pocha tha, magar tum usay apni zaat par lay gaiy, khair....

                      meri nazar maiN AQ Khan aur Hasan Nisar ki apni apni peak hai....
                      That's Enough...!!

                      Comment


                      • #41
                        Assalaam-O-Alaikum ScorpioN_RulzZ

                        Chalain main nay apna nazarya paish kia apni zaat kay hawalay say jo socha aur samjha ussay likh diya, agar aap umoomi baat kar rahay hain tou Shaksiyat parasti or Idealism per main nay apnay interview main Saraah kay sawal kay jawab main kuch likha tha wahan mouqa milay tou zaroor paRhyeh ga.

                        Main Zaati tour per srif aur srif TRUE IDEALISM per jaisay kay humaray pyaray Nabi-e-Karim SAW nay sikhaya, yaani unn ki sunatoon per amal karna, baqi har shaksh jis nay apni apni field main jo karnaamay anjaam diye hain unko sarhaana aur BAS!!

                        Baaqi har kisi ka nazary-e-fikar alag hay, main misaal doon ga kay aik din humari ART ki teacher nay humain aik saada kaaghaz diya aur humain aath (8) qisam kay mukhtalif emotions diye kay aap nay srif aik lakeer khainch kar inn emotions ko bayan karna hay... jin main khushi, gham, judai, wisaal, muskurana, rona, waghaira shaamil hay, hum students main say kisi ki bhi khenchi hoyee lakeer dosray kay emotion say match nahin kar rahi thi... tou unhoon nay humain zindagi ka yeh bohat hi eham sabaq dia... Kay har insan apnay nukta-e-nazar say jo baat sochta hay woh uss ki apni zaat tak uss kay liye perfect hi hoti hay

                        Main Nay Jab Uss Kay Zehan Say Sochay Thay Masa'alay
                        Woh Shaks Har Lihaaaz Say, Haq Per Laga Mujhay........!

                        Yehi baat Hasan Nizar ki lay lain, unhoon nay moujaada halaat main aur apnay ird gird pressure ko feel kartay huway jo kuch bhi kaha uss say unki zaaat mutmaaein hay, magar samayen nay kaisa react kia woh bhi aap kay samnay hay...

                        IDEALISM ya Shaksiyat parasti aik bohat hi waseee subject hay, aur chand lafzoon main iisay samjhanay say hosakata hay kay paRhnay waalay kay zehan main bohat si confusion paida ho jayay issi liye agar aap chahain tou aik alag say thread ka aghaaz karain, jahan tak mujhay knowledge hay main zaroor share karoonga, hosakta hay iss tabadla-e-khayaal say hum sab ko aik acha aur refined message milay.

                        Aap ki duwayoon ka talabgaar, ek khaksaar

                        FI Amaan ALLAH
                        sigpic

                        Comment


                        • #42
                          Originally posted by thefire1 View Post
                          Main Nay Jab Uss Kay Zehan Say Sochay Thay Masa'alay
                          Woh Shaks Har Lihaaaz Say, Haq Per Laga Mujhay........!
                          kia yaad dila dia kabhi yeh bhi dour guzra tha hum par to hum nay aagay say behes karna he band kar di the k kehta to yeh bhi theek hai apni jagah par....

                          mery khayal maiN Ali, yeh wahid hal hai is qism kay mas'aloN ka :rose

                          behes khatam, insha'Allah phir kaheen mulaqat hogi :fly:
                          That's Enough...!!

                          Comment


                          • #43
                            Kia kahoon aap ki post per bas THANKS keh diya NO.5 waala :) khush rahyeh
                            sigpic

                            Comment

                            Working...
                            X