Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Mubahisa I - Cricket

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Mubahisa I - Cricket

    Pesh Lafz:

    Assalamo Allaikum Dosto!

    Aaj sey ham aik naey silsiley ka aagaz kar rahey hain. Iska naam hai MUBAHISA. Is mein ham waqtan fawaqtan mukhtalif amoor per behas karein gey. Is tarha ham jo soch us topic key mutaliq rakhtey hain, jo raaey rakhtey hain woh samney aaey gi aur ham uss per behas karein ge. Is tarha na siraf hamein aik naey zaviyey sey sochney ko milley ga balkey mukhtalif amoor per yeh janeney ko milley ga keh ham kya sochtey hain aur hamarey dost kya sochtey hain. Is mein apney khiyalaat ka khul ker izhaar kijiye - keh koi soch ghalat nahin hoti aur har kisi ko apney andaaz mein sochney ka haq hasil hai. Zaroorat siraf is baat ki hai apni baat kahein aur doosron ki baat sunein, mumkin hai kuchh amoor mein jo aap soch rahey hoon, uska aik pehloo aur bhi ho.

    Let's start the conversation
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

  • #2
    Mubahisa: ~*~ CRICKET ~*~

    Ji to hamara pehla mozu hain Cricket.

    Aik game jis ney hamarey mulk mein har cheez ko pichhey bars-ha-bars sey bhula rakha hai. Aur khasoosan jab Pak-India matches hotey hain.

    ICC key mutabiq har team jo apney home ground per Test Series khailti hai ussey doosrey mulk mein bhi jaa kar khailna chahiye. Aur aisa hota hai, magar koi mulk Pakistan aaney ko tayyar nahin hota, agar hota hai to badi mushkil sey. Is mein kotahee kis ki hai? ICC ki jo apney hi bnaey huwey qawaneen per amal nahin karwa sakti. Hamari keh hamarey mulk mein aman aur sakoon nahin jiski wajjah sey khasoosan safed-fam teams yahan nahin aatin? Sponsership ka keh Pakistan mein Cricket Series mein bohat kam paisa milta hai?

    Chalein behas ka aagaz in nuqaat sey kartey hain, phir aagey behas ko ley ker chaltey hain.
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment

    • #3
      Re: Mubahisa

      Walikum Assalam!

      n grr8 thread....i like it....keep it up:)

      Comment

      • #4
        Re: Mubahisa: ~*~ CRICKET ~*~

        Originally posted by Masood
        Ji to hamara pehla mozu hain Cricket.

        Aik game jis ney hamarey mulk mein har cheez ko pichhey bars-ha-bars sey bhula rakha hai. Aur khasoosan jab Pak-India matches hotey hain.

        ICC key mutabiq har team jo apney home ground per Test Series khailti hai ussey doosrey mulk mein bhi jaa kar khailna chahiye. Aur aisa hota hai, magar koi mulk Pakistan aaney ko tayyar nahin hota, agar hota hai to badi mushkil sey. Is mein kotahee kis ki hai? ICC ki jo apney hi bnaey huwey qawaneen per amal nahin karwa sakti. Hamari keh hamarey mulk mein aman aur sakoon nahin jiski wajjah sey khasoosan safed-fam teams yahan nahin aatin? Sponsership ka keh Pakistan mein Cricket Series mein bohat kam paisa milta hai?

        Chalein behas ka aagaz in nuqaat sey kartey hain, phir aagey behas ko ley ker chaltey hain.
        Hmm cricket...1 of my fav. game:)

        hamari country main piches bhii too thiik naahi hain naa?:embarasse :cc:
        herr waqt pitches kaa prroob rehhta haii orr agerr Barish hoo jai too phir to..:lol ....mujhee aksaar darr laagta haii ke inzii bhai phiisal hii naa jain:lol :tomato:

        Comment

        • #5
          Re: Mubahisa

          Originally posted by Barish
          hamari country main piches bhii too thiik naahi hain naa?
          yeh baat meri aagey ki behas ka hissah thi. Aur 2. test mein yeh baat bohat afsos naak lagi keh is tarha ki dead pitches bnaa kar kya cricket khaili jaa rahi hai jahan per siraf batsmen hi kaamyab hotey hain. Aur bowlers becharey sara din dhoop mein kharrey rehtey hain, kuchh key to rang bhi jal gaey hain hain :lol

          Mujhey is soch per bohat afsos hota hai, lagta hai hamarey haan is baat ka khof hai keh agar pitches fast bnaee jaein gi to hamarey superstars (jo in pitches per bhi mushkil hi sey achha score kartey hain) woh flop hotey jaein gey. Kuchh bhi hai, pitches ka standard absolutely bad bad bad hai.
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment

          • #6

            dekha mai kitniiii aage hoon:lol aagee kii behees abhii ker dii saab se pehle:wk :eye: ....

            Jii yee too buuhat burri baat haii orr iinkoo too chahiyye kee saab see zabar10 pitch Pakistan mai hoo taakee hamaare players her qissm kii ball koo strong pitch perr khelnee ki praactice kerr sakiin n then dosrii countries mai uunko koi prob shrob naa hoo...:embarasse

            Comment

            • #7
              Re: Mubahisa

              AOA,

              :masha Jo bahais aap nain sharo ki uss pe aap ko kharji tahseen paish karta hoon .asal main baat sari hamare cricket k un ohdedaraan ki hai jo k qabza kar k korsi b barjaman hain un ko chaye k wo ye masla icc main uthayain lakin jane wo icc ka naam son k he dar jate hain unhain to saanp soong jata hai agar koi team yahan ka dora nain karti to ye wahan kion jate hain?lakin jab in ki bari ati hai to kahte hain k kal k bajye aj jain to yahan ye baat kable zikar hai k hamare ohdedaraan uss muk k shaidayi hoon ge warna to koi muzaika nain k agar aap k haan koi nain khailne ata to aap b na jain sachi baat to ye he nazar ati hai:)

              Sohail Abbasi.
              Apna haq ada karo.

              Comment

              • #8
                Re: Mubahisa

                Originally posted by Masood
                yeh baat meri aagey ki behas ka hissah thi. Aur 2. test mein yeh baat bohat afsos naak lagi keh is tarha ki dead pitches bnaa kar kya cricket khaili jaa rahi hai jahan per siraf batsmen hi kaamyab hotey hain. Aur bowlers becharey sara din dhoop mein kharrey rehtey hain, kuchh key to rang bhi jal gaey hain hain :lol

                Mujhey is soch per bohat afsos hota hai, lagta hai hamarey haan is baat ka khof hai keh agar pitches fast bnaee jaein gi to hamarey superstars (jo in pitches per bhi mushkil hi sey achha score kartey hain) woh flop hotey jaein gey. Kuchh bhi hai, pitches ka standard absolutely bad bad bad hai.
                Masood bhai main Match dekhne Stadium gaya......pehel bih jaya karta tha lekan afsos waqui main Faisalaabad ke pitch bohat slow hay...bowler ke lye koi Advantage nahi hay is mian...aur ground bhi chota hay kaafi....no 2 Lights nahi hain is main......daily 15 minut ka match kha jatey hain Empires Bad Lights ka bahana laga kar :)
                Allah

                Comment

                • #9
                  Re: Mubahisa

                  Originally posted by Adnan
                  Masood bhai main Match dekhne Stadium gaya
                  aap kab gaey they match dekhney aur kahan baithey they? aap ki pichhli seat per koi angrez to nahin baithey they? TV per kisi ko dikhaya to mujhey yaqin laga aap hain :D
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment

                  • #10
                    Re: Mubahisa

                    yeh kisi kon hay......main kal aur parson gaya tha 2 days..Masood bhai Police lathi charge karti hay bara rush hota hay whan per .....bari mushkil se jana parta hay wahan per.....wahan kahin bhi bethne ko jaga mil jaye to bari ganeemat hay..albatta main betha tha...:D: lekan kuch maza nahi match dekhne ka aisae main...
                    Allah

                    Comment

                    • #11
                      Re: Mubahisa

                      That si not my department Masood:(. Cant say anything about cricket, sirf itna hi k jub pakistani team play ker rhi ho to dua kerti hoon k Allah in ko surkh'ru karna, ameen

                      Iss se zayada mein kuch nhi keh skti.:)

                      Comment

                      • #12
                        Re: Mubahisa

                        Pakistan mey cricket grounds aur pitch itni kharab hein to phir is per kaam zaroor hona chahiye (honey ko to kafi kuch hona chahiye hamarey mulk mey leykin ho key nahi deyta :) )

                        aik reason security ki hai ... jo media theek thak propaganda kerti hai Pakistan ko unsecure zahir kerney ka .... meyra nahi khayal key itney burey halaat hein wahan key....
                        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                        Comment

                        • #13
                          Re: Mubahisa

                          AOA,

                          Chalain hum pitch ki he baat karte hain to pitch agar slow hoti hai ya taiz ho ti to asal baat ye hai k hamain pitch banane ka pata he nain hai hum slow banane ki koshish karte hain hamara kaptan daikhta hai k slow hai baal gomain ga to danish malik aur afridi pe inhasar kia jata hai jab match sharo hota hai to mahloom parrta hai k pitch to taiz hai phir un ko masla hota hai pitch banana to hamara kam hai k jo shoba hamare pass acha ho us k mutabik hum pitch banain:)

                          Sohail Abbasi.
                          Apna haq ada karo.

                          Comment

                          • #14
                            Re: Mubahisa

                            kahaan taak pohanchii baat....kahaan see niklii orr kahaan jaa pohanchii?:)

                            Comment

                            • #15
                              Re: Mubahisa

                              Originally posted by Muskan
                              dua kerti hoon k Allah in ko surkh'ru karna, ameen
                              Hamari team duaoun per hi to jeet'ti hai :D - main aik baar pakistan mein tha, wahan per akhbar mein khaber aai keh hamari team key captain ney Data Darbaar jaa ker team ki kaamyabi key dua maangi - to merey column ki surkhi thi: DATA AAP HAMAREY 12.ven KHILADI HAIN :lol

                              Originally posted by barg.e.gul
                              jo media theek thak propaganda kerti hai Pakistan ko unsecure zahir kerney ka .... meyra nahi khayal key itney burey halaat hein wahan key....
                              Agree mera zaati khiyaal yeh hai keh pakistan mein na khailney ki wajah sab sey badi yeh hai keh wahan per paisa kam milta hai. Aur aik team jo 2 maah apney mulk sey bahir rahey aur phir paisa bhi kam miley to kya faidah?

                              Originally posted by khan
                              Chalain hum pitch ki he baat karte hain to pitch agar slow hoti hai ya taiz ho ti to asal baat ye hai k hamain pitch banane ka pata he nain hai hum slow banane ki koshish karte hain hamara kaptan daikhta hai k slow hai baal gomain ga to danish malik aur afridi pe inhasar kia jata hai jab match sharo hota hai to mahloom parrta hai k pitch to taiz hai phir un ko masla hota hai pitch banana to hamara kam hai k jo shoba hamare pass acha ho us k mutabik hum pitch banain
                              Hamarey mulk mein achhi achhi pitches bnaney waley mojood hain, aur yehi woh log hain jo sharjah mein pitches bnatey hain. Masla yeh nahin keh pitches sahi nahin bantin, masla yeh hai keh inhein batsmen freindly pitches bnaney ko kaha jata hai jo bowlers ki help na karein. Yeh faisla board karta hai keh kaisi pitches bnaee jaein aur hamari team selection pehley hi sey un pitches key mutabiq ki jaa chuki hoti hai. Captain is understandable of the state of the pitch - lekin captain apney hi kiyey huwey faislon ko ghalat sabit kar deta hai apni naqis hikmat-e-amli ki wajah sey.
                              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                              Comment

                              Working...
                              X