Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aisa kiyoon hoo rahaa hai....Sochain?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Aisa kiyoon hoo rahaa hai....Sochain?

    Barish aap ne bohat acha topic start kya hay ...humare lye sharm ki baat hay ke .dunyawi hawas humare andar itni ja chuki hay ke hum andhe ho gaye hian...bachYoN ke sath aisa salook.....:( aur wo bhi masoom si...jin ke maN baap un ke sar se uth gayei hian.....jin ke ankhein unhain har pal idher udher dhoondhti hain......
    abhi kuch hi dinoN ke baat ke humare han se aik truck main imdaad gayi idher Muzaffar abad to dakoN ne raste main loot lya...kitne afsos naak baat hay.....rongte khare ho jate hain
    Allah sab ko hadayet de Ameen
    Allah

    Comment

    • #17
      Re: Aisa kiyoon hoo rahaa hai....Sochain?

      hnnnnnnnnnm Barish aap ne jo topic shiru kiya yeh humari (sub muslims) dukhti ragon ko chairrnay k liye kafi hey................hum log aik aur qayamat ko dahwat denay ka bandobast ker rhay hein aik aur azaab ko awaaz de rahay hein.

      Jo kuch bhi ho raha hey pas e pardah ya samnay samnay, hum sub jantay hein, hum awaam, humari hakoomat, humaray flahi idaray..SUB jantay hein, akhbaraat bharay parray mil jayein gay aisay waaqeaat se, internet per serch kijiye koi nah koi muwad zaroor milay ga, Tv aur Radio k idaray shayed thori see sharm k bahes aisi khabrain nasher nah hi kertay hon mugar halaat ki nazaakat se har koi waqif hey....................

      Iss waqt masla yeh janena nhi hey k KIA HO RAHA HEY?.......................masla yeh hey k ISS KO ROKNAY K LIYE HUM MEIN SE KON KIA KER RHA HEY?.....Kia hakoomat ne aisi koi policy bnai hey jo lawaris bachon ki hifazat ki zaamin ho?.............Mein ne sirf itna jana hey k hakoomat ne lawaris bachon ko aik saal k liye kisi ki kafalat mein bhi denay se inkaar ker diya hey,kiyun k aisay boht se waldain abhi zindah hein jo apnay bachon ko talaash ker rahay hein,ya unn bachon k rishtedaar shayd unn ki kafalat ka zima le lein..............yeh sirf aik elaan hey hakoomat ki traf se........jis per amal nam ki koi cheez nhi hey kiyun k baa asar afraad ki pohnch aisay idaaron aur bachon tak hey aur woh unhein wahan se le ja rahay hein, abhi last week khaber thi k pop singer Hadeeqa Kiyani ne aik mah ki lawaris bachi ko god le iya hey jo zalzalay ki wajah se yateem aur lawaris ho gai thi...........agar aisi policies sirf awaam k liye hein to inn ka itlaaq baa aser afraad per kiyun nhi hota? kia wo awaam ka hissa nhi hein?
      Mein ne khud aik bachi ki adoption k liye DM digital channel k through information haasil keen to yehi btaya gaya k aik saal k bahd policy ko review kiya jaye ga uss k bahd hi ager qanoon bana to lawaris bachon ko kafaalat k liye doosray waldain ko diya jaye ga.........yeh kaisa insaaf hey???
      Aur jahan tak prostitution ki baat hey yeh har jagah mojood hey, aisay flaahi idaray jo auraton ki haqooq ki jung kertay hein unn k chehraon per se zara niqab khiskaiye to aap ko pata chalay ga k wo kitnay makrooh hein............apni chand lines k saath khatum kerti hoon,
      kis kis ka niqab ultoon mein
      har koi murdah zameer hey
      zaalim azaad meray watan mein
      mazloom hi pa ba zanjeer hey

      Comment

      • #18
        Re: Aisa kiyoon hoo rahaa hai....Sochain?

        Originally posted by Spy009
        Who inspiring them...find out the poisonious root.

        Off course this is the right age to do something, young genration hi kuchh kar saktey hain.
        point 2 b noted!:thmbup:
        jii bilkuul

        Comment

        • #19
          Re: Aisa kiyoon hoo rahaa hai....Sochain?

          Originally posted by Adnan
          Barish aap ne bohat acha topic start kya hay ...humare lye sharm ki baat hay ke .dunyawi hawas humare andar itni ja chuki hay ke hum andhe ho gaye hian...bachYoN ke sath aisa salook.....:( aur wo bhi masoom si...jin ke maN baap un ke sar se uth gayei hian.....jin ke ankhein unhain har pal idher udher dhoondhti hain......
          abhi kuch hi dinoN ke baat ke humare han se aik truck main imdaad gayi idher Muzaffar abad to dakoN ne raste main loot lya...kitne afsos naak baat hay.....rongte khare ho jate hain
          Allah sab ko hadayet de Ameen

          jiii saab see pehlee too topic per tawajju dene ka buhaaat shukerya...
          2ndly...dakouon kee baare main n doosrii buhaat c baatin jo kee gher ikhlaaqii hain sun'ne mai aai hain....jiinhee soch kerr waqai dukhh hoota hai..

          ALLAH HUMIIN HIDAAYAAAT KEE RAASTE PEEER LAI AMEEEN!!

          Thx 4 ur comments!

          Comment

          • #20
            Re: Aisa kiyoon hoo rahaa hai....Sochain?

            Originally posted by Muskan
            hnnnnnnnnnm Barish aap ne jo topic shiru kiya yeh humari (sub muslims) dukhti ragon ko chairrnay k liye kafi hey................hum log aik aur qayamat ko dahwat denay ka bandobast ker rhay hein aik aur azaab ko awaaz de rahay hein.

            Jo kuch bhi ho raha hey pas e pardah ya samnay samnay, hum sub jantay hein, hum awaam, humari hakoomat, humaray flahi idaray..SUB jantay hein, akhbaraat bharay parray mil jayein gay aisay waaqeaat se, internet per serch kijiye koi nah koi muwad zaroor milay ga, Tv aur Radio k idaray shayed thori see sharm k bahes aisi khabrain nasher nah hi kertay hon mugar halaat ki nazaakat se har koi waqif hey....................

            Iss waqt masla yeh janena nhi hey k KIA HO RAHA HEY?.......................masla yeh hey k ISS KO ROKNAY K LIYE HUM MEIN SE KON KIA KER RHA HEY?.....Kia hakoomat ne aisi koi policy bnai hey jo lawaris bachon ki hifazat ki zaamin ho?.............Mein ne sirf itna jana hey k hakoomat ne lawaris bachon ko aik saal k liye kisi ki kafalat mein bhi denay se inkaar ker diya hey,kiyun k aisay boht se waldain abhi zindah hein jo apnay bachon ko talaash ker rahay hein,ya unn bachon k rishtedaar shayd unn ki kafalat ka zima le lein..............yeh sirf aik elaan hey hakoomat ki traf se........jis per amal nam ki koi cheez nhi hey kiyun k baa asar afraad ki pohnch aisay idaaron aur bachon tak hey aur woh unhein wahan se le ja rahay hein, abhi last week khaber thi k pop singer Hadeeqa Kiyani ne aik mah ki lawaris bachi ko god le iya hey jo zalzalay ki wajah se yateem aur lawaris ho gai thi...........agar aisi policies sirf awaam k liye hein to inn ka itlaaq baa aser afraad per kiyun nhi hota? kia wo awaam ka hissa nhi hein?
            Mein ne khud aik bachi ki adoption k liye DM digital channel k through information haasil keen to yehi btaya gaya k aik saal k bahd policy ko review kiya jaye ga uss k bahd hi ager qanoon bana to lawaris bachon ko kafaalat k liye doosray waldain ko diya jaye ga.........yeh kaisa insaaf hey???
            Aur jahan tak prostitution ki baat hey yeh har jagah mojood hey, aisay flaahi idaray jo auraton ki haqooq ki jung kertay hein unn k chehraon per se zara niqab khiskaiye to aap ko pata chalay ga k wo kitnay makrooh hein............apni chand lines k saath khatum kerti hoon,
            kis kis ka niqab ultoon mein
            har koi murdah zameer hey
            zaalim azaad meray watan mein
            mazloom hi pa ba zanjeer hey
            Thx 4 the long n nice discussion!:thmbup:
            jii bilkuul i agree...jo aapne kahaa wo bilkuul sahee hai....be-shaak hamari hii herkaatin hain jiin ki waja see hum aiisee afaatin bhuugat'te hain

            joo quess apnee uthai...i appreciate...mere quess bhi aapk jese hii hain...

            govt. kee rules saab kee liye iik see hoone chahiyein...kisse ke liye khaas yaa aam nahi....perr aisa nahii hoota naa hameshaa...VIP logon koo ziada prefer kiyaa jaata hai....INJUSTICE

            mujhee yee samaajh naahii aata ke prostitutions jahaan rehtii hain kuch logoon koo too pataa hii hoo gaa naa iss baare main...phiir bhii koi wahaan jaa ker unkoo kuchh nahi samajhaata....log try hii nahii kerte....

            one time i asked my mom 2 do this task n my mom was greatly flustrated at wat i said...but i talked 2 her time n again but couldnt get wat i wanted...then i realized that i cant do this task lonely without the support...

            perr boys can do a lott.....i thiink unko is tarrah kii restriction nahii hooti woo kiyoon kuch nahii kerte?:(

            Comment

            • #21
              Re: Aisa kiyoon hoo rahaa hai....Sochain?

              Hamari ikhlaqi pasti ki abhi had nahin hui! Yeh waqiye is ki janib janey wali aik karree hai. Main ney apney NOOHEY mein likha tha:

              kya btaoun kaliyon ki aabru lut gaee
              gulshan mein qayamat peh qayamat guzar gaee

              Is mein mera ishara un waqeyaat ki janib tha jo aik qayamat key baad doosri qayamat ki soorat mein ubhrey they keh kuchh na'sooron ney zalziley sey zindah bach janey wali larkiyon ki aabru'rezi karna shuru kar di. Yeh na siraf insaan key past tar honey ki daleel hai balkey yeh is baat ki taraf ishara karti hai keh ham per qayamat kyun tooti hai. Hamari zillat-o-ruswaee is liye hoti hai keh ham mein aisey kameeni'siffat rakhney waley log mojood hain jinki wajah sey ham per yeh zulm toot'ta hai.

              Zalziley mein mar janey wali larkiyon aur bachiyon ka dukh nahin, keh Allah ki amantein thin, Allah ney unhein wapis ley liye - chahey jaisey bhi ley liya ho. Azzaiyyat to yeh soch deti hai keh jo masoom kaliyaan zindah bach gaee hain, jinka koi wali'wais nahin un per kya kya qayamat tooti ho gi? Insaan ki soorat mein khofnak bheriyon ney unhein kis kis aziyyat sey guzara ho ga? Aur abhi na'janey mazeed kitni aafatein unho ney bardasht karni hongi.

              Aik qayamat key baad yeh dekhney mein aaya hai keh hamara eeman kitna pukhta hai. Logon ney falahi adaron key naam per loot maar ka bazar garam kar rakha hai. Masood bachon ko aghwa kar key becha geya hai.

              Hamari qom aatish fishaan paharr per khari aik aisi qom hai jiski zehni pastgee ki misaalein bohat dard'nak hain. Yeh woh mulk hai jahan per aewan-e-saddar mein mulk key wazeeron ney colleges ki naujawan aur khubru larkiyon ki aabru'rezi ki hai aur phir bhi is dharti per sar uthaa kar chal rahey hain. Yeh woh mulk hai jahan per aurat ko kisi waqt kisi muqaam per aik bikao maal ki tarha loota jaa sakta hai.

              Parhney waley agar history sey waqif hain to yeh mat samjhein keh main unhein 6. sadi eesvi ki baat btaa raha hoon jahan per aurat ko har cheez ki tarha aik mushtarka maal samjha jata tha aur jiska dil karta tha apney paros mein ghus kar aurat ki tazleel kar deta. Nahin balkey yeh 21veen sadi eesvi mein aik ba'shaoor pakistani moashrey ki jeeti jagti kahani hai. Ham woh log hain jo ikhlaqi pastgiyon key aik aisey aatish fishaan per baithey hain jo kabhi bhi kisi bhi waqt phat sakta hai, aur jab yeh phattey ga to jo tabahi ho gi, woh is zalziley sey bohat badi ho gi.
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment

              • #22
                Re: Aisa kiyoon hoo rahaa hai....Sochain?

                Originally posted by Masood

                Nihayyat mozoon tareeqqe sse aapne iss topiic perr tawajju daali.

                Thx a lot 4 ur comments!

                Comment

                • #23
                  Re: Aisa kiyoon hoo rahaa hai....Sochain?

                  Originally posted by Barish
                  Thx 4 the long n nice discussion!:thmbup:
                  jii bilkuul i agree...jo aapne kahaa wo bilkuul sahee hai....be-shaak hamari hii herkaatin hain jiin ki waja see hum aiisee afaatin bhuugat'te hain

                  joo quess apnee uthai...i appreciate...mere quess bhi aapk jese hii hain...

                  govt. kee rules saab kee liye iik see hoone chahiyein...kisse ke liye khaas yaa aam nahi....perr aisa nahii hoota naa hameshaa...VIP logon koo ziada prefer kiyaa jaata hai....INJUSTICE

                  mujhee yee samaajh naahii aata ke prostitutions jahaan rehtii hain kuch logoon koo too pataa hii hoo gaa naa iss baare main...phiir bhii koi wahaan jaa ker unkoo kuchh nahi samajhaata....log try hii nahii kerte....

                  one time i asked my mom 2 do this task n my mom was greatly flustrated at wat i said...but i talked 2 her time n again but couldnt get wat i wanted...then i realized that i cant do this task lonely without the support...

                  perr boys can do a lott.....i thiink unko is tarrah kii restriction nahii hooti woo kiyoon kuch nahii kerte?:(
                  Barish chandaa.........hum sirf kurh sktay hein, aansoo baha sktay hein, bahs mubahsay ker sktay hein................lekin ager hum kahein k hum amali taur per kuch ker sktay hein to humaray hath bandhay huye hein....chalain farz karein........ mein aur aap .........iss traf pehla qadam uthatay hein ....... humaray sath aur kitnay log shamil hon jayein gay?.......shayed aik qafila ban hi jaye.......lekin iss qaflay k qadam roknay k liye humaray muhashray k bad unwaan anaasar aisi muzahmat karein gay k hum soch bhi nhi sktay...............Barish jahan police muhafiz ban ker lootati ho, wahan kia hum aik qadam bhi chal skain gay?.....humein iss maqsad k liye aik aisi support ki zaroorat ho gi jo har morr per humari ranumaai hi nhi humari madad bhi karay. lekin aisa mumkin hi kahan hey? aap ne khud kaha k jub aik maan sath denay k liye tayar nhi hein to phir ghair to ghair hi huye na! ......... wo bhi iss liye nhi katraati hon gi k wo yeh sub nhi chahteen k khatum ho balkeh unhein halaat aur nataayej ka hum se zayada ilm aur mushaheda ho ga k unhon ne hum se zayada zindagi dekhi hey.
                  Jahan tak baat hey k, jahan prostitutes rehti hein wahan k log?.........wahan k log bhi ussi rang mein rangay huye hein, yeh pooray k pooray bazaar unhi logon ki milkiyat hein aur police ki protection mein yeh sub kuch hota hey.......police ki rozi roti bhi inhi logon ki wajah se chalti hey...........aur humaray govenment k MOAZZAZEEN ki raatein inhi logon k jhurmat mein roshan hoti hein chahay hawas parasti ka nam de lein ya entertainment ka, yeh aam logon k liye nhi hey nah hi aam log yeh entertainment ya beghairti bardasht ker sktay hein yeh raoosa aur umraa ka khasa hein to HUM phir kaisay soch sktay hein k government aisay logon ka qala'a qama'a kiyun nhi kerti?
                  I m sorry to all, shayed mein ne boht harsh words use kiye hein lekin in k bagher koi chara bhi nhi hey.Aakhir kub tak khamoshi ikhtiyar ki jaye?

                  Comment

                  • #24
                    ya Allah agar un masoom bachon key sath kuch bhi bura honey lagey to Aap unhein waqt sey pehley hi apney paas bula leyna....

                    Allah T'ala in masoom logon ko apney Amaan mey rakhey....aur thori si aqal dey dey hamarey hukumraano aur sab logon ko ....

                    jaisey Muskan ney kaha key jab hamari police aur muhafiz hi aeysey to aagey hum keh bhi kya saktey hein...
                    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                    Comment

                    • #25
                      Re: Aisa kiyoon hoo rahaa hai....Sochain?

                      Originally posted by Barish
                      Nihayyat mozoon tareeqqe sse aapne iss topiic perr tawajju daali.

                      Thx a lot 4 ur comments!
                      Ghanta laga key aik bohat zabardast reply likha tha - jab post karney laga to PC crash ho geya :fuming: ji chaha Microsoft wala ka gala dbaa doon :tauba
                      ab dobara create karoon ga to jawab doon ga
                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment

                      • #26
                        Re: Aisa kiyoon hoo rahaa hai....Sochain?

                        Originally posted by Masood
                        Ghanta laga key aik bohat zabardast reply likha tha - jab post karney laga to PC crash ho geya :fuming: ji chaha Microsoft wala ka gala dbaa doon :tauba
                        ab dobara create karoon ga to jawab doon ga
                        Mere saath bhi aisa kai baar huwa...
                        Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                        Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                        Comment

                        • #27
                          Re: Aisa kiyoon hoo rahaa hai....Sochain?

                          Originally posted by Muskan
                          Barish chandaa.........hum sirf kurh sktay hein, aansoo baha sktay hein, bahs mubahsay ker sktay hein................lekin ager hum kahein k hum amali taur per kuch ker sktay hein to humaray hath bandhay huye hein....chalain farz karein........ mein aur aap .........iss traf pehla qadam uthatay hein ....... humaray sath aur kitnay log shamil hon jayein gay?.......shayed aik qafila ban hi jaye.......lekin iss qaflay k qadam roknay k liye humaray muhashray k bad unwaan anaasar aisi muzahmat karein gay k hum soch bhi nhi sktay...............Barish jahan police muhafiz ban ker lootati ho, wahan kia hum aik qadam bhi chal skain gay?.....humein iss maqsad k liye aik aisi support ki zaroorat ho gi jo har morr per humari ranumaai hi nhi humari madad bhi karay. lekin aisa mumkin hi kahan hey? aap ne khud kaha k jub aik maan sath denay k liye tayar nhi hein to phir ghair to ghair hi huye na! ......... wo bhi iss liye nhi katraati hon gi k wo yeh sub nhi chahteen k khatum ho balkeh unhein halaat aur nataayej ka hum se zayada ilm aur mushaheda ho ga k unhon ne hum se zayada zindagi dekhi hey.
                          Jahan tak baat hey k, jahan prostitutes rehti hein wahan k log?.........wahan k log bhi ussi rang mein rangay huye hein, yeh pooray k pooray bazaar unhi logon ki milkiyat hein aur police ki protection mein yeh sub kuch hota hey.......police ki rozi roti bhi inhi logon ki wajah se chalti hey...........aur humaray govenment k MOAZZAZEEN ki raatein inhi logon k jhurmat mein roshan hoti hein chahay hawas parasti ka nam de lein ya entertainment ka, yeh aam logon k liye nhi hey nah hi aam log yeh entertainment ya beghairti bardasht ker sktay hein yeh raoosa aur umraa ka khasa hein to HUM phir kaisay soch sktay hein k government aisay logon ka qala'a qama'a kiyun nhi kerti?
                          I m sorry to all, shayed mein ne boht harsh words use kiye hein lekin in k bagher koi chara bhi nhi hey.Aakhir kub tak khamoshi ikhtiyar ki jaye?

                          KHUSH RAHIYEE ALWAYS!

                          Comment

                          • #28
                            Re: Aisa kiyoon hoo rahaa hai....Sochain?

                            Originally posted by barg.e.gul
                            ya Allah agar un masoom bachon key sath kuch bhi bura honey lagey to Aap unhein waqt sey pehley hi apney paas bula leyna....

                            Allah T'ala in masoom logon ko apney Amaan mey rakhey....aur thori si aqal dey dey hamarey hukumraano aur sab logon ko ....

                            jaisey Muskan ney kaha key jab hamari police aur muhafiz hi aeysey to aagey hum keh bhi kya saktey hein...

                            AMEEN!

                            KHUSH RAHIYYEE AP BHI SIS!

                            Comment

                            • #29
                              Re: Aisa kiyoon hoo rahaa hai....Sochain?

                              Originally posted by Masood
                              Ghanta laga key aik bohat zabardast reply likha tha - jab post karney laga to PC crash ho geya :fuming: ji chaha Microsoft wala ka gala dbaa doon :tauba
                              ab dobara create karoon ga to jawab doon ga

                              :khi: :kr: :kr: :kr:

                              Kinnnnnna acchaa hooa....
                              uss diin meree saath bhii iss see miltaa jultaa prob hooa tha....

                              Comment

                              • #30
                                Re: Aisa kiyoon hoo rahaa hai....Sochain?

                                Originally posted by Spy009
                                Mere saath bhi aisa kai baar huwa...
                                :kr: :tomato: :kr:

                                Comment

                                Working...
                                X