Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Fatwa Film The Message

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Fatwa Film The Message

    Originally posted by Masood
    Mujhey is baat ki samajh nahin aati keh jab koi aisi film ya waqiya hamarey samney aata hai to hamein fatwey yaad aatey hain, jab keh hamarey cable per ikhlaaq soz filmein, gaaney, dramas aik arsey sey dikaey jaa rahey hain. Jo log fatwa talab kar rahey hain kya unhein GEO per siraf yehi aik film mili thi aetraaz key liye? Halankeh Cable per ikhlaaq soz mandwa aik muddat sey dikhaya jaa raha hai! Hamara ehtejaaj hai to har ikhlaaq soz shey key khilaf hona chahiye - mehaz aik do cheezon per aetraaz nahin karna chahiye!
    Asslam-o-Alikum WR WB

    u r right Masood

    FeaamnAllah
    Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
    Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga

    Comment

    • #17
      Re: Fatwa Film The Message

      Asslam-o-Alikum WR WB

      Baki jitny bhi membres hay ... un sab nay apni apni jagha sahi kha hay , main kisi ki baat ko ghalt nhi khata hu Adnaan nay bhi bilkul shai kha hay aur SPy ki baat sey bhio itafq kar skata hu ....

      laykin jis trha tafseel sey Masood ny byan kya hay wo may samjhta hu ky bhot had tak shai hay

      Main smajhta hu asi moves jo ky aap ko maloomat farham kary aur aap ky ander islam ko janay aur smajhny ak shok ho koi burai nahi hay .... kuo ky aap is ko asy bhi ly skatay hay kay ya aik trha ka massage hay . aik trha sey ya non muslims tak islam ki rasaai hy kay wo janay ky ISLAM kya hay kyua nhi hy ....

      kum sey kum un moves sey to bhot bahter hay jo sirf love aur is type ki hazro fhashiyo ko janam deyti hy ....

      Ajj kay dor main shayd hi koi asi larki ya larka ho jo is type ki moves dekh kar apny ander na jayaz harkto ko feel na karta ho .. per agr aik islamic move dekh kar koi islam ko smajh skata hay to koi buari nhi hy ... meins majhat hu ky shayd move ko aik shai treeky sey use kya gya hay

      Baki rahi baat fatway ki .... to Pakisatn main islam kya hay aur kha tak hay ya sab hi bhot achi trha jaantay hay .... Fatwa jin bato per deyna chiya un per aaj tak nhi diya gya hay . per is film ka isshue bana kar main nhi smajhat koi right hy

      Thx aap sab ka again ky aap logo ny apny khyalat byan kya

      FeaamnAllah
      Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
      Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga

      Comment

      • #18
        Re: Fatwa Film The Message

        T.m
        Attached Files

        Comment

        • #19
          Re: Fatwa Film The Message

          Originally posted by Bheegi-Palkain

          Islam mein jo chiz mamnoo hai wo mamnoo hai aur ghair Islamic, thik hai kuchh log kahtey hain ke iss tarah apne Anbiya A.S. aur Sahaba R.A. ki sarguzashat jaan payenge, to main puchhta hoon kya un logon ka zehan waqayi itna shallow ho gaya hai ke baghair kirdar wajahat ke samajh nahin saktey, baghair TV serial ke samajh nahin saktey, agar abhi film saaz ko mauqa de diya jaye Anbiay A.S. aur Sahaba R.A. per filmen bananey ka to aage aaney wale log iss baat ka mauqa uthayenge aur kahenge aisa maazi mein ho chuka hai, phir dheerey dheerey Nabiyon aur Sahabaon per filme common ho jayegi...jo sarasar ghair Islamic hai.

          Ab kisi ko Quran shareef ki aayeten yaad nahin hoti, lekin filmi song badi asaani se yaad ho jati hain jo log fatwa ka sahara le kar kahte hain ke isko iss tarah se pesh karo zehan mein memorize ho jayega. (la haul villa) to wo ghalat hai.

          Rah gayi fatwa wali baat to aaj kal ka fatwa mujhey pata hai, aise aise aalim hain jo magarmachh (Aligator) ko khana halal batatey hain. Unka fatwa kaisa hoga.
          Quran aur Ahadeesh ki roshni mein chalen...yehi achha hai.

          Baaqi Allah o Elm
          Allah ma'af kare
          Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
          Hamarey naam ka patthar zaroor milega

          Comment

          • #20
            Re: Fatwa Film The Message

            Main ne yeh film dekhi hai, is main koi burayi kuch galat tha ke nahi :donno:

            magar is main sarey waqiyat to wahi they jo hum ne kitabon main parhey hain, ous ke sath kuch nayi batein jan'ney ko mili, ab yeh fatwa .............. wht to say :donno:
            sigpic

            Comment

            • #21
              Re: Fatwa Film The Message

              Hnmmm The Message k baray mein Fatwa bhi parha, aap sub behn bhaiyon ki raaye bhi nazer se guzree...........Mein ne yeh film 15 ya 16 saal pehlay dekhi thi, mujhey exact year yaad nhi k yeh kub bani thi...... uss waqt bhi humaray ulmaye karaam mein se kisi nah kisi k ilm mein zaroor aaya ho ga k yeh film bnaai gai hey to meray zehn mein yeh swaal ubher rha hey k uss waqt humaray ulmaa e karaam kahan thay? uss waqt aisa fatwa kiyun nhi jari kiya gya tha? zaroori nhi hey k awaam mein se koi mufti saahb se aisa swaal karay to tub hii wo fatwa jari karain, yeh ulmaa e karaam ki boht barri deeni zimedaari hey k wo aisi cheezon ko ilm mein rakhein aur awaam alnnas tak pohnchnay se pehlay hi fatwa jari ker dein aur unn ki rok thaam karein, Hakoomat e Pakistan aik islami mumlikat ki zimedaar hey to yeh film GEO channel walay kaisay dikha sktay hein jub tak k hakoomat se ijazat nah lee gai ho? ya phir PRIVATISATION ka yeh matlab hey k koi bhi uth ker aik channel khol lay aur jo marzi dikhata phiray aur hakoomat k afraad bass aankhein band kiye iwan e sadar mein aik doosray per tanqeed kertay rahain.
              Jahan tak film The Message per fatway ka taluq hey to IsLAM mein aik simple see baat bta di gai hey k tasweerain bnana haraam hey, chahay wo hath se bnai gai hon, cameray se lee gai hon, ya movie ki soorat mein hon, sub haraam hein......darakhton ya qudrati nizaron ki hon to jayez hein............phir yeh TV per jo kuch bhi nazer aata hey chahay wo aik deeni program ho, ya nachnay ganay ka program ho, chahy drama ho, koi quiz program ho to uss roo se sub haraam hey...to ulmaa e karaam iss baray mein kia kehtay hein?........kiyun khamosh hein?.........kisi bhi islamic country ka koi bhi channel le lein uss per aap ko dramay aur sub kuch dekhnay ko milta hey.....kiyun???.........yeh sub shiroo hotay waqt hi kiyun nhi roka gaya??Uss waqt ulmaa e karaam kahan thay? Aaj kal ulma e karaam ki apni videos banti hein, kiyun? kia yeh haraam nhi hey??........The Message aik drama ya movie hey, TV per poori dikhai jaye ya serial ki shakl mein........aik soorat mein bilkul haraam hey k tasweer banana harram hey, doosri traf iss ko dekha jaye to yeh islam k baray mein sahaba e karaam k baray mein information frahem kerti hey...........ager to iss mein islaam k baray mein kami ya baishi ki gai hey to qabil e muzammat hey....................jayez ya najayez ka fatwa to humein mil hi chuka hey mein sirf apna khyal zaher ker rahi hoon..........jahan tak shaba e karaam ki kirdar doosray logon ne nibhaaye wo mein samjhti hoon k unn k paon ki dhool k baraber bhi nhi hein aur nah hi unn jaisi azmat koi haasil ker sakta hey..............ager as a drama liya jaye to mein samjhti hoon k iss mein koi buraai nhi hey.........aaj k taiz raftaar daur mein jub technology ne itni taraqqi ker lee hey to iss ko ager islam ki isha'at k liye JAYEZ AUR SAHEE TREEQAY SE istemal kiya jaye to iss mein kia qabahat hey!

              Comment

              • #22
                Re: Fatwa Film The Message

                Originally posted by Spy009
                Islam mein jo chiz mamnoo hai wo mamnoo hai aur ghair Islamic, thik hai kuchh log kahtey hain ke iss tarah apne Anbiya A.S. aur Sahaba R.A. ki sarguzashat jaan payenge, to main puchhta hoon kya un logon ka zehan waqayi itna shallow ho gaya hai ke baghair kirdar wajahat ke samajh nahin saktey, baghair TV serial ke samajh nahin saktey, agar abhi film saaz ko mauqa de diya jaye Anbiay A.S. aur Sahaba R.A. per filmen bananey ka to aage aaney wale log iss baat ka mauqa uthayenge aur kahenge aisa maazi mein ho chuka hai, phir dheerey dheerey Nabiyon aur Sahabaon per filme common ho jayegi...jo sarasar ghair Islamic hai.

                Ab kisi ko Quran shareef ki aayeten yaad nahin hoti, lekin filmi song badi asaani se yaad ho jati hain jo log fatwa ka sahara le kar kahte hain ke isko iss tarah se pesh karo zehan mein memorize ho jayega. (la haul villa) to wo ghalat hai.

                Rah gayi fatwa wali baat to aaj kal ka fatwa mujhey pata hai, aise aise aalim hain jo magarmachh (Aligator) ko khana halal batatey hain. Unka fatwa kaisa hoga.
                Quran aur Ahadeesh ki roshni mein chalen...yehi achha hai.

                Baaqi Allah o Elm
                Allah ma'af kare
                Asslam-o-Alikum WR WB

                SPY :) aap nay apny khayalat ka izhaar khul kar kya bhot acha laga hamain , aur sab sey achi baat ya lagi ky khamshi nhi aap nay rakhi ...

                Ab ata hu aap ky khayalat ki taraf ... aap nay kha ky aaj agr Sahaabine ky uppr move banai jay gi to kal ko Prophets per bhi bany gi ? aur banay walo ko moka mil jay ga :) Spy ji ! shayd aap ky ilam main nhi hy Hazart Eesa Alhy Salmz per top ban bhi chuki hay aur ya main suni sunai nahi kha rha hu infact mery pass move parhi hui hy ... aur my ny khud dekhi hy per ab agr main ya kha du kay fala shaks Hazart Eesa alahy salmz jasa tha ya us ka charcter ya wo to us waqt main gunha gar ho ga .. kuo ky i know kay wo aik imagine hay ... un ka maksaad logo ko apny mazahib sey kareeb krna tha ... jo ky unhoo ny kya aur bara fayda bhi hua .... aap ny kha kay agr ksii ko quran nahi ata hay to wo kya songs ki suart main parhay ... to Spy ji aaj aap QTV khuly us main aap ko Quran gata hua mil jay ga ... i know ya sab 100 % gunha hay main is baat sey inkaar nahi kar rha hu ky Gunha nhi hy ya main janta hu Gunha hay ... per quran to parha jaa rha hay na isi trah

                Ab Fatwa ki baat hui hy to main aap sey 100 % agree hu ky Mashalah hamaray Asia side ky Mulwi hazrto ny to islam ki asi ki tasi kar ky rakh di hay main to un ky mu bhi nhi lgta hu . kai baar mu mari hui hay per kya kha jay .. infact afsoos ho ta hay kay achay khasay parhy likhy log hy hamaray haan per islam ky mamlay main jahil aur smajhna bhi nhi chatay hay ....

                Baki raha aap ny kha kay film nhi bani chiya ... to aap ki ray ka bayhad ahtraam hay ... aap apni jagha sahi hay ... balky main ya khonga kay agr main aapk i jagha ho ta tab bhi yhi kho ga aur maion khud bhi asi ray rakhta hu ,.,, per aap zara dosra rukhbhi dekhya . hamaray mashary main bhot sey log still jahil hay... bilkul anghta chap auir saath sath zahno sey bhi anghotay chap hay ... agr media ka ya hisa jo paisgh kya gya wo agr ksi shaks ko islam ky baray main vidio bana kar dkeha sakaty hay tom ain nhi smjhat ky bura kya hay

                FeaamnAllah :)
                Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
                Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga

                Comment

                • #23
                  Re: Fatwa Film The Message

                  Muslmano tum ko kiya ho giya hai ..

                  Bheegi-Palkain .. app ka bhut bhut shukria ka app nain yeh fatwa post kiya ..
                  ALLAH app ko as ka ijra e azeem ataa farmey

                  jo bhi discuion oper howi hai us ka anwer kuch points main detaa hoon

                  1. Faitwa kaisa hai ..
                  afssos ke baat hai deen ka ek alaam jo 8 sall tak sirf den e islam ke taleem haisal kertaa hai
                  aur aur deen ke masley per apna jawab detaa hai hum us ke "conformation".
                  ya us per ray un loogon sey le rehy hain jin ko sirf door door sey deen ke maloomat hain

                  .. seedhi se baat hai fatwa 100% dursat hai ..

                  2. kiya yeh movie bruey programes sey achi hai ?
                  hairat ke baat hai key loog as movie ko burey programs sey aur films sey compare ker
                  key "acaha" keh rehy hain .. afsoos

                  main nain as phely bhi ek thread main lekhaa tha ke jab dena ka alam na ho tu
                  aus masley per khmaosh rehna behter hai
                  merey bhen bhayo as film ko agher ulma nain bur khaa hai tu dosri films ko kab achaa kaha hai ? un ko bhi hiram he khaty hain humary ulma. fatwaa tu le ker dekin
                  and again lack of relegious knowledge .. key bur movies dekhty hain tu as main kiya harj hai .. deen ke masil ka jawab youn nahin diya jata.. as per complet answer lekhoon tu 2 pages ho jain ke problem ka answer ulma kasiy detey hain

                  3.buri kiya hai?
                  ..
                  mujey dil sey batin kiya koi shakis Hazart e bilal (RATU) ko ya deger sahiba ko reprsent ker sakta hai ???? .......... kash kash kash ke hum apna miyar dunai ko aur christiens ko na banin
                  unhoon nian agher Eisa aleh slam per movi bani hai tu hum bhi banin yah khaan ka usool hai ..
                  shid app loogon ko pata nahin ke Bible main Anbiya alhe slaam ke shaan main kaisi kasi
                  gustakihan hain .. jin ka app soch nahin sakty tu kiya abb bhi us ko follow kerin gey.. Astegfirullah..

                  bhut kuch lekhna ko dil chah rehaa hai per itnaa lamba reply shid log na padhin
                  so simply jos as movie key khliaaf hain woh haq per hain aur jo as ko burah nahin kehtaa woh galaat keh rahi hain un ko apni islaah kerni chahiya

                  ALLAH ke liey apni deni knowledge ko ulmaa ke ray per tarjeh mat dein
                  bemari ziyda honain per Doctor ke pass jatin hain app log tu deni masil per Ulmaa ke paas kiyaon nahin?
                  Last edited by tauseeftariq; 8 December 2005, 14:41.
                  Zaid Hammid on Sawat War..
                  A must Watch..

                  Comment

                  • #24
                    Re: Fatwa Film The Message

                    Originally posted by Spy009
                    Islam mein jo chiz mamnoo hai wo mamnoo hai aur ghair Islamic, thik hai kuchh log kahtey hain ke iss tarah apne Anbiya A.S. aur Sahaba R.A. ki sarguzashat jaan payenge, to main puchhta hoon kya un logon ka zehan waqayi itna shallow ho gaya hai ke baghair kirdar wajahat ke samajh nahin saktey, baghair TV serial ke samajh nahin saktey, agar abhi film saaz ko mauqa de diya jaye Anbiay A.S. aur Sahaba R.A. per filmen bananey ka to aage aaney wale log iss baat ka mauqa uthayenge aur kahenge aisa maazi mein ho chuka hai, phir dheerey dheerey Nabiyon aur Sahabaon per filme common ho jayegi...jo sarasar ghair Islamic hai.

                    Ab kisi ko Quran shareef ki aayeten yaad nahin hoti, lekin filmi song badi asaani se yaad ho jati hain jo log fatwa ka sahara le kar kahte hain ke isko iss tarah se pesh karo zehan mein memorize ho jayega. (la haul villa) to wo ghalat hai.

                    Rah gayi fatwa wali baat to aaj kal ka fatwa mujhey pata hai, aise aise aalim hain jo magarmachh (Aligator) ko khana halal batatey hain. Unka fatwa kaisa hoga.
                    Quran aur Ahadeesh ki roshni mein chalen...yehi achha hai.

                    Baaqi Allah o Elm
                    Allah ma'af kare

                    afssos howa ulmaa e kraam ke bary main app ke rai padh ker

                    as faitwaey per tu main apney commnets de chukhaa hoon per app ke aur rai per apni rai zaroor doon ga
                    app mujey sirf yeh baataa dein ke app kitny ulma ko janty hain

                    main yakeen sey keh saktaa hoon app sirf pakistan key 200 ulama ke naam
                    bhi nahin bataa sakty .. tu pakistan ke sary aur phir pori dunia ke ulmaa ke
                    bary main app kiya khaak janty hoon gey..

                    ek do ya kuch loogon ya kisi ek grooh ke wajaa sey sub ko buraa na kahin

                    Ulmaa waris e Anbya(alhe slam) .. app nain khaa quran aur hades dekhin
                    tu app yeh batana pasand kerin gey ke Ulma e karaam kiye dekh ker jawab dety hain ???????
                    aur yeh banaa pasan kerin ge key hadith ke books kis nain lekhin hain
                    aur quran ka urdu translation kis nain kiya hai

                    kiya yeh sub ulmaa nain nahin kiya???
                    aur jinhoon nain haidth ke books lekin woh loog koon thay ke "deen e islam"
                    key alaam nahin they ??

                    afsoos ,, sad afssos hai app ke soch per
                    Zaid Hammid on Sawat War..
                    A must Watch..

                    Comment

                    • #25
                      Re: Fatwa Film The Message

                      plez also post this great fatwaa in islam>Ahlesuant section
                      Zaid Hammid on Sawat War..
                      A must Watch..

                      Comment

                      • #26
                        Re: Fatwa Film The Message

                        Originally posted by tauseeftariq
                        afssos howa ulmaa e kraam ke bary main app ke rai padh ker

                        as faitwaey per tu main apney commnets de chukhaa hoon per app ke aur rai per apni rai zaroor doon ga
                        app mujey sirf yeh baataa dein ke app kitny ulma ko janty hain

                        main yakeen sey keh saktaa hoon app sirf pakistan key 200 ulama ke naam
                        bhi nahin bataa sakty .. tu pakistan ke sary aur phir pori dunia ke ulmaa ke
                        bary main app kiya khaak janty hoon gey..

                        ek do ya kuch loogon ya kisi ek grooh ke wajaa sey sub ko buraa na kahin

                        Ulmaa waris e Anbya(alhe slam) .. app nain khaa quran aur hades dekhin
                        tu app yeh batana pasand kerin gey ke Ulma e karaam kiye dekh ker jawab dety hain ???????
                        aur yeh banaa pasan kerin ge key hadith ke books kis nain lekhin hain
                        aur quran ka urdu translation kis nain kiya hai

                        kiya yeh sub ulmaa nain nahin kiya???
                        aur jinhoon nain haidth ke books lekin woh loog koon thay ke "deen e islam"
                        key alaam nahin they ??

                        afsoos ,, sad afssos hai app ke soch per
                        Mr. Tauseef Khan,

                        Yehan jung nahi ho rahi hai, apney apney khyalat ka ezhar kar rahey hain, aap zara soft words mein baat karen. Maine yeh observe kiya hai, (sirf abhi nahin, gharz 1 year pehle se bhi) ke aap ko hamari har reply se eitraz rahta hai aur aap usse hamesha Islamic mouzu se jodtey hain.

                        Aap ka yaqin waqayi daad ke mustaheq hai, beshak main kisi aalim ko nahin jaanta aur naa hi jan-ney ki zaroorat hai.
                        Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                        Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                        Comment

                        • #27
                          Re: Fatwa Film The Message

                          Dear Friend Spy009 ......... what i want to say

                          Spy009 agher app ko merey words kuch bury lagey hain tu " i am sorry"
                          i dont want to hurt any ones fellings..

                          Lekin jab humary nojawan Un loogon ko jinhoon nain deen ke leiya khud ko waqaf ker rekhaa hai .. Un ka mazaq udtey hain .. ya koi asia baat kerty hain tu .. i get hurt
                          mujey bhut dukh hotaa hai .. ya soch haumari nahin sirf Angreezon ke de howi hai
                          un ke Hindustan main anyen ke baad.. he lafa "Moulvi" ,,aur "Mula" tahkeer ke soort
                          main astamaal howy..
                          so plez ulam e kraam ka addab ke jieya.. ho saktaa hai jo app ko wrong lag raha hoo woh wrong na hoo
                          ulaam ko jannin ke zarrot kiyaon?
                          Spy009 app nain kaha mujey zarrot bhi nahin ulma ko janin ke .. so said..
                          aj kal loog 3 ya 4 doctors ko specialist ko janaaty hain kiyon ke un sey bemari ke sorat main kam padtaa hai ,,, asi tarah sayasi loogon ko
                          young log tu pori film industry ko janty hain
                          per jin sey deen ke muamilay main rahi lenai hai un ko nahi??? dont u think
                          "key u afssos ka muqaam hai"..?????

                          why always islamic point of view
                          islamic point of view is liey merey bhi ke muslman ke zindgi islam ke mutabiq honi chahiya .. even agher woh umal nhin bhi ker rehy us ko sahi islami point of view pata hona chaiya us topic per....
                          aur main tu ziyda ter wahin baat kertaa hoon ... jhaan zarrot hai khaas tur per
                          Islam sey related problems per agher loog ulmaa ke bajy khud rahi dien tu us ko
                          main dursat nahin samjthaa

                          sorry once again if any ones felling got hurt.........
                          agher ko buraa laga tu sori.. per meri batin sahi thein .. ye main ab bhi keh raha hoon
                          Zaid Hammid on Sawat War..
                          A must Watch..

                          Comment

                          Working...
                          X