Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Nazriyati Saleebi Jung

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Nazriyati Saleebi Jung

    Assaalm-o-Alikum WR WB

    FeamanAllah
    Attached Files
    Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
    Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga



  • #2
    Re: Nazriyati Saleebi Jung

    very ncie info :)
    Allah

    Comment


    • #3
      Re: Nazriyati Saleebi Jung

      Bohat achha likha hai.
      Jaisey main aik arsey sey likh raha hoon keh hamari pastee mein sab sey bada qasoor hamara apna hai. Duniya ki tareekh mein hamesha aisa huwa hai keh "dusham" ney har woh chaal chali hai jo "dushman" ko kamzoor kar sakti ho. Hamari bad'qismati yeh hai keh hamarey khilaf chali chali gaee hai magar ham ney ussey hawa khud di hai. Hamein khatam karney ki sazish ki gaee hai aur ham is sazish ka sab sey bada hissah khud hain, hamara eeman hamein apney ohdon sey aziz nahin raha. Ham apney eeman ko apney mufaad per qurbaan karney waley musalmaan hain. Ham ney apni ROOTS ko chhorr diya hai aur yeh qasoor hamara hai, hamarey dushman ney JUST hamari khamiyon ko be'naqab kiya hai aur ham taish mein aa ker apni khamiyon ko mazeed hawa dey rahey hain.

      Hamein kisi ko dosh deney ki bjaey sab sey pehley apney aap ko mazboot bnana hai, jab tak ham khud ko mazboot nahin bnaein gey koi hamari baat nahin suney ga. Ham musalsal bikhertey jaa rahey hain aur is mein sab sey bada qasoor hamara apna hai. Yahan per yeh to btaa diya geya hai keh amerika jo paisa Iraq jang per sarf kar raha hai woh kaee mumalik key budget sey ziyada hai, woh ayyashiyaan nahin btaee gaein jo Arab shehzadey kar rahey hain!!! Jitna paisa arab barbaad kar rahey hain uska hisaab kahan hain? Apney gareeban mein jhaank kar dekhney ki zaroorat hai!!! Ham doosron ko bura bhala kah kar mazboot nahin hon gey, hamein sab sey pehley apni aasteen key sanpon ka sar kuchalna ho ga aur hamarey na'soor yeh badey badey naam nehaad leader hain.

      Belive me yeh kaam bhi USA hi hamarey liye kar raha hai. Saddam ko khatam karna, Osama ko khatam karna aur jab zaroorat parrey gi to yeh Musharraf aur doosrey naam nehaad leaders ko bhi khatam kar dein gey - DAR'ASL yeh hamari nijaat ka bando'bast kar rahey hain aur hamein aik platform per jama honey ki taraf ley ker jaa rahey hain. Amerikyon ko abhi is baat ki pattah nahin, woh is samajh mein hain keh Saddam unka dushman tha, magar Saddam unka apna saathi tha, Osama unka apna purzah tha. Aahista aahista jab yeh naam nehad leaders khatam hon gey, hamein hamari manzil milley gi - so the fact is, US is doing the work for us - woh apni maut khud tayyar kar rahey hain, without KNOWING that.
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • #4
        Re: Nazriyati Saleebi Jung

        Bahut achha article hai BP and Masood bhai, thanx for sharing.

        Arab mulk mein girls ka gharon se bahar nikalna aur sales girls ka kaam karna yeh khilafat nahin balke waqt ka taqazah hai, Saudi Arab mein bhi be- rozgari badh rahi hai, aurtein bhi gharon se bahar nikal kar ma'ashi ki talash mein hai.

        Madina ke ek bahut badey hospital (jiska mujhey naam yaad nahin) mein Saudi auratein as a janitors, laborers and cleaners kaam kar rahi hain, Airhostess, nurses ki to koi baat nahin, kuchh creami layer Pilot bhi ban rahey hain.

        Iss saal Riyadh mein Cinema hall khula jisme English Cartoon filmo ko Arabic mein dubb kar ke pesh kiya...haan yeh mumkin hai ke yeh future mein Cinema hall ban jaye, (According to Arab News) kyon ke yehan ke younge generation cinema hall ke demand kar rahey hain, lagbhag 10-12 saal pehle Jeddah mein bhi Cinema hall tha, jisey band kar diya, jisme aksar Iraqi aur Misri filme chalti thein.

        Aayie aap ko Dhahran le chalte hain

        Yeh Saudi Arab ke Eastern province mein ek shahar hai, naam Saudi Arab ka hai but totally Americans, you will se girls in their western dresses. This city is based Saudi Aramco Oil Company, (yeh na-chiz issi company hai), wo mera location dekh rahey hain "Half Moon Beach", lagta hai kisi American ya European off shore hai, but this beach is in Saudi Arabia.
        Yehan 4 jagah mein 4 cinema hall hai
        Dhahran, Abqaiq, Najmah and Udhailiyah, jisme rozana english filmey chalti hain. (See "The Arabian Sun" newspaper)
        Last edited by Spy009; 20 November 2005, 10:18.
        Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
        Hamarey naam ka patthar zaroor milega

        Comment


        • #5
          Re: Nazriyati Saleebi Jung

          aik masla in sab baaton key sath ye bhi hai key aaj Islam ko bohot different tareekey sey pesh kiya jata hai,
          Hamarey apney Pakistan mey deen ko is tarhan bayaan kiya jata hai jaisey koi bohot sakht aur mushkil cheez ho.....jahan Islam ka naam aya....wahan behas shuru ho jati hai .....aur anjaam bohot khatarnaak bhi hota hai....

          leykin aaj ki naujan nasl apney deen per wapas loat bhi rahey hein, wo ye baat bhi jaantey hein key hamein waqt key sath chalna....aur Islam hamein yahi seekhata hai key ....deena aur dunya ko sath ley ker chalo...

          aaj Muslim Ummah ko doctors, engineers, professionals, etc sab ki zaroorat hai

          Allah karey hamien waqt sey pehley aqal aa jaye inshAllah.
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment

          Working...
          X