Re: Karachi mein hungaamay, 12 May ki si soorat-e-haal
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Karachi mein hungaamay, 12 May ki si soorat-e-haal
Collapse
X
-
Re: Karachi mein hungaamay, 12 May ki si soorat-e-haal
Originally posted by EEmaan View Postkabootar aankhein bundd ker laitaa hai oor samajtaa hai k ab billii chalii gaii per ehsaa nahe hoota
billi uss ko kahaa jaatiii hai
Pakistan aik jism ki maanid hai
agar aap kay haath mein say khoon nikal rahaa hoon tu sakoon kaisay millay gha
us waqt millay gha jab haath theek ho jaey gha
agar care na kii tu phir shaid haath doctors kaat dein q k behmaarii pooray jism mein phail jaaey ghii
Comment
-
Re: Karachi mein hungaamay, 12 May ki si soorat-e-haal
Originally posted by MSA View PostJo Qoum kare ne'mut ka zeya'n
wahi qoum bane ibrut ka nishan
gilay shikwae sub bhula do
hum aik he sari dunya ko dikhla do
abb wo dour nahi k raho tanha
kyun kurte rahe tum uqul ka ziya'n
ao ehud kurein mil jul k rahien
aik bar phir quwat bun jaein
sangdil na bano...abb bus bhi kuro
yeh waqt karra he kuch hosh kuro...
aao sath chalein aur sath barhein
tang'dasti ho ya khushhali ho.....
dunya me qoum wahi munzil pati he
jo mushkil me aaik ho jati he...
jhande to sabhi bun jate hein
gur jurat ho tabhi lehrate hein
gillay shikwae sub bhula do
huma ik he sari dunya ko dikhla do
qoom main josh peda karnay ki zarorat hai lekan positive andaaz main na kay un main mazeed bechaini peda ki jaye :)
Comment
-
Re: Karachi mein hungaamay, 12 May ki si soorat-e-haal
is soorat e Haal e zaar pe Iqbaal shaa'ir-e-baseerat kaa yeh band yaad aa gayaa:
tum ho aapas meN Ghazab_naak, vo aapas meN raHeem
tum Khata_kaar o Khata_beeN, vo Khata_posh o kareem
chaahte sab haiN k hoN auj-e-suraiya pe muqeem
pahle vaisa koii paidaa to kare qalb-e-saleem
taKht-e-faGhfoor bhii unkaa thaa, sareer-e-kai bhii
yuNhii baateN haiN, k tum me vo jamii'at hai bhii
Fall view from inside my car
near my work place :)
Comment
-
Re: Karachi mein hungaamay, 12 May ki si soorat-e-haal
Originally posted by Aanchal View Postyeh care aisay hoti hai ?:)
hum marz ki sahee taskees kerein
phir us ki heyat ( Seriousness ) kay mutabiq behtreen wasaaeil ka istaamaal ker kay uss ka ilaaj kerein
Comment
Comment