Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Pakistan mey Sahafat?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Pakistan mey Sahafat?

    Kabhi sahafat aik mission thi-- aur jab ye mission thi to ye kai mulkon ki azaadi ka sabab banien--

    Aaj sahafat aik tijarat ban gai hai--isi liye apna maqaam kho beythi hai

    Hamarey mulk ko aaj phir aik aeysi hi sahafat ki zaroorat hai jo key aik mission ki tarhan ho ?

    kya aap Pakistan ki aaj ki sahafat sey mutamain hein?
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

  • #2
    Re: Pakistan mey Sahafat?

    Assalam-o-Alikum WR WB

    Aap nay bhot sahi kha hy Gul ! ky aaj sey barso pahaly sahfat ka jo mukaam tha wo aaj nahi hay ... aur mein ya samjhta hu ky majooda sahfat to sirf aik asa Bussines ban gya hay jis main raato raat log kha sey kha ban jatay hy ...... ab to Mashaalh sey Sahafat ny Auryaaniyat aur bayhuda pan bhi ikhtiyar kar liya hay

    Majooda sahfat ab shayd 20 % hi bachi ho

    FeamanAllah
    Meri Taqdeer Main Likha Tha Khuda Ny Aik Din
    Tu Jisay Cha-hyga Wo Shaks Paraya Ho Ga


    Comment


    • #3
      Re: Pakistan mey Sahafat?

      Originally posted by barg.e.gul
      Kabhi sahafat aik mission thi-- aur jab ye mission thi to ye kai mulkon ki azaadi ka sabab banien--

      Aaj sahafat aik tijarat ban gai hai--isi liye apna maqaam kho beythi hai

      Hamarey mulk ko aaj phir aik aeysi hi sahafat ki zaroorat hai jo key aik mission ki tarhan ho ?

      kya aap Pakistan ki aaj ki sahafat sey mutamain hein?
      Gul sahafat merey nazdeek aik muqaddas paisha hai. Aisa paisha jis key zariyey aap awwam tak maloomat ko baham pohanchatey hain. Ab kis ko kaun si maloomat kis andaaz mein faraham karney per ma'moor kiya jata hai it's a different question. Yahan Denmark mein kaee wazeer sahafat key shobey sey wabasta hotey they, tv per news caster they.

      Sahafat kaheen ki bhi ho, safahat aazad nahin!! BBC ho ya CNN unki safahat yahan tak hi sachi hai keh woh waqeyaat jahan ru'numa hotey hain wahan pohanch jatey hain, magar khabrein apney andaaz mein pesh kartey hain. Aur apna andaaz yeh hota hai keh khaber yun di jaey jo apney mulk key mufaad mein ho. Aap ko sun ker shayid hairat ho gi, CNN jo aap ham Europe mein dekhtey hain aur jo coverage iski baqi duniya ki hai, woh USA key ander nahin dikhaee jati, it's completely different CNN inside US.

      Apne mulk ki baat hi kya hai? wahan per to sahafat uski taqat jiski. Wahan per to tehreerein bikti hain (mera article yaad hai Bolo Ji Tum Kya Kya Khareedo Gey) Sansani khaiz andaz mein khabrein shaya karna hi sahafat ka naam rah geya hai. Likhney walon key qalam girwee parrey huwey hain, sach likhna aasan to hai, magar sach parhna aasan nahin, to phir likhney wala kyun likhey?
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment


      • #4
        Re: Pakistan mey Sahafat?

        Originally posted by barg.e.gul
        Kabhi sahafat aik mission thi-- aur jab ye mission thi to ye kai mulkon ki azaadi ka sabab banien--

        Aaj sahafat aik tijarat ban gai hai--isi liye apna maqaam kho beythi hai

        Hamarey mulk ko aaj phir aik aeysi hi sahafat ki zaroorat hai jo key aik mission ki tarhan ho ?

        kya aap Pakistan ki aaj ki sahafat sey mutamain hein?
        Kabil-e-Tareef thread barg-e-gul sister!:)

        yaqeenan...sahafat wo cheez hai jo ik qoom ko ik plate form per khara ker sakti hai or phir sab ko jama ker k unki acchayan or burayan unk samne biyaan ker sakti hai yuun acchai ko farogh or burai ka khatma ho sakta hai...per afsoos aj hamari sahafat bhi thiik nahi...

        per iski waja kia hai??kia awaam ne kabhi awaaz buland ki ke humin alaa sahafat chahiye or sahafat ka buland or aala miyaar chahiye.actually ab perne walon main bhi josh-o-jazba nahi hai....ajj hum perne wale bhi buhat gehri neend mai hain

        younsters ki minority news papers perti hai....warna main ne aksar old uncles n aunties ko hi news paper parte dekha hai jabk young generation ko bhi is taraf jana chahiye...

        LIKHNE main buhat power hai kise ki tehreer next person ka mind change ker sakti hai...is liye hamari TAHREER khoobsorat or powerful honi chahiye jo ab nahi hain

        ziada ter news papers stupid cheezin ziada discuss kerte hain jese aj kal k news papers main 4/5 rape cases rooz perne ko milte hain jin main koi khaas bat nahi hoti per phir bhi bus ik hi bat sab tak deliver kerte hain
        take sab ko pata chal jai???

        Comment


        • #5
          Re: Pakistan mey Sahafat?

          AOA,

          Main masood bahi ki baat se mokamal itafaaq karta hoon lakin har jaga ache aur bore loog modood hote hain main manta hoon koch ahse hain jo zard sahaft karte lakin wo ziyada arsa nain eah sakte benakaab ho jate hain koch ahse b hain jo har hakomat ki kathpotli hote hain aur koch ahse hain jin ko sahafi kahne pe sar fakhar se boland ho jata hai lakin sab aik se nain hote.


          Sohail Abbas.
          Apna haq ada karo.

          Comment


          • #6
            Re: Pakistan mey Sahafat?

            back to old topics :D
            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment


            • #7
              Re: Pakistan mey Sahafat?

              Originally posted by yellowsky View Post
              Kabhi sahafat aik mission thi--

              My URDU is weak...what's mean of sahafat
              Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
              Hamarey naam ka patthar zaroor milega

              Comment


              • #8
                Re: Pakistan mey Sahafat?

                Originally posted by yellowsky View Post
                back to old topics :D
                maiN nahee bataonga :blush:, warna loog kahaiN gaiy ghar ka bhaidi lanka dhaiy :hehe:
                sochtay haiN kuch :lpop:
                That's Enough...!!

                Comment


                • #9
                  Re: Pakistan mey Sahafat?

                  Originally posted by Spy009 View Post
                  My URDU is weak...what's mean of sahafat
                  Sahafat = Journalism
                  " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                  Comment


                  • #10
                    Re: Pakistan mey Sahafat?

                    Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
                    maiN nahee bataonga :blush:, warna loog kahaiN gaiy ghar ka bhaidi lanka dhaiy :hehe:
                    sochtay haiN kuch :lpop:
                    aap zaroor btayein beyshak aap time ley lein "schoney key liye" ...:thmbup:

                    :insha:
                    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                    Comment

                    Working...
                    X