Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Aur Zindagi Badalti Hai

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Aur Zindagi Badalti Hai

    YEH ZINDAGI DOKH SOKH ki KALI CHADAR kay SAHARAY RAFTA RAFTA aagay barhti hai tou kabhi KHAIL KHAIL MAIN aur kabhi kisi PLATE FORUM per PARAO daal dati hai.zindagi kay SAFAR main bay shomar MANZILAIN aati hain.MOSAFATAIN tae ki jati hain.kabhi JEWAN humaray lian khushyoon ki BISAAT bicha deta hai aur hum insaan in khushyoon ki KASHISH main kho ker APNOO SE DUUR ho jatay hain.diloon kay darmyaan QRBATAIN AUR FASLAY DORYANA AUR RANJEESHAIN aur KARB ki mojidgi insaan ko DEMAK ki tarhan chat jati hai.MOHABATAIN aur CHAHATAIN khowab o khayal ki batain lagnay lagti hain.dard ki CHINGARI ZEEST ko DOZAKH bana dati hai.ZAMEEN hum per tang honay lagti hai aagar koi DARD KAY FASLAY ko patnay ki KOSHISH bhi karta hai tou mashrah naam o nayad NA KHUDA is ko is jurm ki PADASH main zindagi kay RYZGAAR main TANHA chor datay hain..
    DUNYA kay AJAEB GHAR main loog GEERGEET ki tarhan rang badaltay hain.koi apnay paroon ki dhool main kisi ki RAHAIN gum ker data hai , kisi ko DUNYA DARI apni GERAFT main lay lati hai.koi unchi URRAAN urranay ki KHOHISH main yeh bhool jata hai kay is kay tou KANCH KAY PER thay jis ki pohanch BULANDI tak nahi ho sakti..
    zindagi main kabhi aisay bhi LAMHAT bhi attay hain kay koi shadeed TAMANA LAKH KOSHISH aur JOSTOOJO kay bawajood pori nahi hoti aur hum KHALI HATH rah jatay hain.is kay beech SAMAJ ki DEWARAIN hail ho jati hain likin humain yeh baat nahi bholni chahya kay HAAR JEET tou zindagi kay DASHET ka hisa hoti hai..
    mohabat zindagi ki aik khubsorat HAQEEQAT aur nahayat hi pyara BANDHAN hai.WAFA aur SACHAY jizbay is ka SINGHAR o ITABAR hain likin KABHI KABHI PYAAR MAIN loogoon ko HAQEEQAT aur SACHAI kay US PAAR dakhnay ki MOHLAT hi nahi milti hai aur jab in ki QISMAT BAY WAFAI se ibarat ho ker dosroon k lian EBRAT banti hai tab inhain AHSAS hota hai kay mohbatoon ki MANDI kay dhokay main unhoon nay DALDAL main qadam rakh diya tha.
    AAO HUM DUA KARAIN kay aaie allah ! IS THORI SE ZINDAGI ko JANAT bana day.issay aisa AISHYANA bana day , jo na sirf apnoo kay lian balkay gharoon kay lian bhi aik BAY MISAAL PANHA gha ban jay.aisa na ho kay koi AIK UMEED lay ker aap kay ghar ki taraf sawali ban ker aie aur aap kay dil aur ghar kay BAND DARWAZAY dekh ker REZAH REZAH ho gay...

    apna khayal rakhya ga...
    aur duaoon main yaad...
    mehwish afsar


    میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


    میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے
Working...
X