Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Talataeem khaz moojon se wo ghbraya nahi kartay

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Talataeem khaz moojon se wo ghbraya nahi kartay

    Muslmanan-e-hind minto park main mojood thay.un kay rahnuma bhi wahan mojood thay.wo baresaghir hindu muslim kashidgi kay baray main apni raie ka izhar ker rahay thay.phir is shaks ki bari aie kay jis nay pahlay hi se muslmanan-e-hind ko apni walwala angaz shayri se jhnjhor ker rakh dya tha aur khowab-e-ghflat se bay dar kia tha. Yeh dr.alam muhamaad iqbal thay jo ab minto park main mojood thay aur bar-e-saghir kay muslman un ka khitab sunay kay lian bay qarar thay aur akher kar allam iqbal nay muslmanan-e-hind se khitab farmaya aur in kay laboon se aisay alfaz niklay jin ko sun ker muslmanoo kay chahray khushi se jagmaga uthay.jee haan ! Allama iqbal hinduo se nijat hasil karnay ka rasta dekha chokay thay.unhoon nay aisa khowab dekhaya jis ko pora karnay kay lian tamam muslman-e-hind uth kharay howay aur is trhana '' tahr-e-kay khilafat " ka qafla manzil-e-maqsood ki janeeb ranwa dawana howa.
    Phir 14 aug 1947 ko aik dhamaka howa aur sari dunya ki ankhain pathra gain.aisa molk naqshay per obhra kay jis ka aik nazrya aur aik bonyad thi.is molk ko " pakistan " ka naam dya gaya.yeh isi khowab ki tabeer tha jo muslmano nay 23 march 1940 ko dekha tha.
    Aur phir pakistan ki tameer kay baad 28 may 1998 ko zoor daar dhamakay howay jis se fiza goonj uthi aur chaghi ka pahar apna rang tabdeel ker choka tha.yoon lag raha tha kay jaisay yeh pahar kuch loogon ki himat , joorat , aur azmat ko salam paish ker rahay hoon.aisay loogon kay lian shayray mashrik nay kaha hai kay :

    ~ do neem in ki thokar se sahra o darya
    seemat ker pahar in ki habeet se rae

    jee haan ! Yeh wo hi dhamaka tha jis nay " pakistan " ko dunya ki 7 aur alam islam ki 1 taqat banaya."pakistan" nay wo ker dekhaya jis ki umeed shayad us kay dushman ko bhi na thi. Hum " pakistan " kay sciencedano ko salam paish kartay hain jinhoon nay dunya kay samnay humari laag rakhi.
    Likin kia yeh atmi dhamaka karnay se humara farz ada ho gay ??? Meray khayal main tou nahi howa hai.hum is dharti kay maqrooz hain aur humain abhi is kay bohat se qarz chokanay baqi hain.yeh dharti humari maa hai.is kay sinay main bohat se zakham hain.kuch zakham tou is ko qismat nay lagai hainkay is ka bazo hi kat dala hai.likin kuch zakhm tou hum nay diya hain....chori , dakay , firkawarana fasadat , faghara.yeh wo zakham hain jo hum nay khud is ko dya hain aur is waqat aik aur dhamakay ki asad zaroorat hai.yeh wo dhamaka nahi jis kay lian atmi indhan ki zaroorat hoti hai aur zameen apna rang badalti hai.balkay yeh dhamaka hai jis kay lian pokhta iraday aur allah per iman zaroori hai.yeh wo dhamaka hai jo chagi kay paharoon ko bhi maat ker day ga aur jis se barooni taqatain larzah barandam ho jain gin.jee haan ! Yeh mohabat , dosti , itafaq aur yagagant ka zabardast dhamaka ho ga.
    Yeh wo dhamaka hai jis se humaray dil ki dunya badal jay gi.humaray andar soya howa hubolwatni ka jazba jaag uthay ga aur hum is dharti ka qarz chokanay kay qabeel ho jain gay.
    Aur mujhay yaqeen hai kay wo din bhi duur nahi kay humaray andar pokhta irada pada ho gay ga aur waqat ki bay raham mojain humara kuch nahi bigar sakain gin.hum apni zameen per lagay her zakham ko bhar dain gay.main dekh rahe hoon wo din bhi duur nai jab syacheen per islami jhnda lahrai ga :insha:.jis tarhan hum nay atmi dhmaka kia hai yeh dhmaka bhi ker kay dekhain gay aur sabit karain gay kay :

    ~ iraday jin kay pokhta hoon , nazar jin ki khuda per ho
    talataeem khaz moojon se wo ghbraya nahi kartay

    MEHWISH AFSAR
    __________________


    میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


    میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

  • #2
    Re: Talataeem khaz moojon se wo ghbraya nahi kartay

    wah ....
    main nay parhe he nahi.
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: Talataeem khaz moojon se wo ghbraya nahi kartay

      Assalam O Alaikum...
      Bohat Bohat Shukria :)
      Jab Parh Lain Tou Tabsirah Kijya Ga...

      Mehwish Afsar


      میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


      میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

      Comment


      • #4
        Re: Talataeem khaz moojon se wo ghbraya nahi kartay

        hummm..:eye:
        sigpic

        Comment


        • #5
          Re: Talataeem khaz moojon se wo ghbraya nahi kartay

          ji


          میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


          میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

          Comment


          • #6
            Re: Talataeem khaz moojon se wo ghbraya nahi kartay

            inshAllah :-)
            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment


            • #7
              Re: Talataeem khaz moojon se wo ghbraya nahi kartay

              Originally posted by mehwish afsar View Post
              ji
              ach
              sigpic

              Comment


              • #8
                Re: Talataeem khaz moojon se wo ghbraya nahi kartay

                Assalam O Alaikum...
                Bohat Bohat Shukria aap dono ka....

                Mehwish afsar


                میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


                میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

                Comment

                Working...
                X