ASSALAM O ALAIKUM...
insaan ki bay shomaar zarooryat-e-zindagi main se aik aham zaroorat is ka apna ghar hai.aik aisi jagha hai jahan aaram o sakoon ho.ghar aik makhsoos qata-e-arzi per moheet chaar dewari kay andar apni bisat kay motabiq aik imarat ka naam hai.jis main azadi kay sath rah saktay hain.tazeen o araesh ker saktay hain.ghar zameen ka aik aisa tukra hota hai jo humari apni jageer hota hai.aur jis ko hum kabhi tabh o barbad honay nahi datay...
ayea ab hum aisay ghar ki taraf chaltay hain jis kay makeen karooron insaan hain.yeh ghar bazaheer tou bohat kashadah , roshan aur hawadaar hai.magar is main rahnay walay kion tang nazar , tareek aur motaseeb diloon kay malik hain ? Yeh ghar koi aur nahi humara apna mulk hai , humara watan pakistan hai.jo korah-e-arz per qudrat ki namatoon se mala maal aur aik khubsorat qita-e-zameen hai.jis main baraf posh pahar , ser sabz wadiyana , insaani jism main sharyanoo ki tarhan bahtay howay darya aur nahrain , shadab lahlahatay kheet , madni khazanoo se bahray pahar , thatay marta howa samander yahan tak kay mosam bhi tamama mizajoon ka morqa hain...
yeh ghar humain kis tarhan mila is se tamaam pakistani bakhobi waqif hain.aur aaj yeh jis moqam per khara hai.is ki wojohat sobai asbyat , lasani asbyat , mazhabi firqa warayat , ghonda gardi , rishwat o choor bazari , dahshet gardi aur la qanoonyat hain. Jo kay humaray is azeem ghar ko janat se jahanum main badal rahee hain.issay tabahi o barbadi se bachanay k lian agar aab bhi yakjahti , pyaar o mohabat aur bhai charay jaisay hathyaar istamal kiya jain tou yeh bari shaan o shukat kay sath taraqi ki door main hisa lay sakta hai.is kay lian humain apnay diloon ko tasooobat se paak karna ho ga.itahaad , tanzeem , aur yaqeen-e-mohkam jaisay usoolon ko apnana ho ga.quran o sunat kay rastay per chlna ho ga.hazrat muhamaad salalah alaihi wasalm kay aswah-e-husna ko apna nasb-ul-aien banana ho ga.in tamam bayroni taqatoon ka jawan mardi se moqabla karna ho ga.jin kay roob talay dab ker aaj humara mulk jaan balb hai.is se pahlay kay naie nasal aslaf kay chalan bhool ker bay rah rawi aur gumrahi ka shikar ho is ki bahtareen taleem o tarbyat ker kay isay azadi kay sahi mafhoom se agah karna ho ga,aur ab yeh sab kahnay ki nahi balkay karnay kay kaam hain.jo koi aik pakistani anjam nahi day sakta.yeh ghar kay tamam makenoo ka moshtarka fareeza hai.lakhoon qurbanyoon se milay is watan ko is ghar ko mojodah zamaydaar afrad tabha karain aur is ka khamazah aanay wali nasal bhogtay kion ? Is tamam tahreer ka jawab koi nahi hai.likin agar aab bhi koi ghor o fikar aur bar waqat aamal na kia gaya tou mujhay daar hai kay yeh qoam apnay khubsorat aur janat nazeer ghar se dar badar bhi ho sakti hai allah na karay.
main is dua kay sath is tahreer ko khatam karti hoon kay allah tala humaray is watan kay mustaqbil ko khushgawar banay main hum sab ki madad karay aur ta qayamat sabz o halali parcham lahrata rahay ameen..
pakistan zinda baad....
apna khayal rakhya ga...
aur duaoon main yaad...
dua go...
mehwish afsar
__________________
"Don't tell ALLAH how big your problems are...
tell your problems how big your ALLAH is" :rose

Comment