Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Kia Waqae Hum Azad Hain

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Kia Waqae Hum Azad Hain

    Itnay saloon se azadi hasil ker lainay kay baad bhi aaj hum azad kion nahi hain ? aaj bhi jabr o istadad ka wohi dor dora hai jo ghar molki aqaoon kay zamanay main howa karta tha.thanoo main shahryoon kay sath police ka salook ho , tax wasoli kay bajay jaan wasoli ho , kisi jageer dar ki niji jail ho ya sarkari jail ho jahan hazaroon moqadmay chalay baghair paray hoon , sanati karkoon ho , zameen ka sena cheer ka sab ka pait bhernay wala kisan ho , daftar main kaam karnay wala molazim ho ya qoom ki tameer karnay wala ustad ho.sab bay basi ki tasveer banay la chari ki zindagi kion basr ker rahay hain aur nadari kay bojh talay pisay ja rahay hain.
    soch ka dhara ranwa hai aur ab asbab ki talash hai.kion hum un nataeej se bhra mand na ho sakay jis kay mazay aaj azad qomain lay rahee hain.adalatain bad insafya aur intazamyan bad intazamya phala rahee hai.rahber rah zan ban gay hain aur aala ikhlaq iqdar kay bajay mafad parasti kay hunar sikhay ja rahay hain.tou kia hum rasta khota ker chokay hain ? kia hum ghorbat ki lakir se nichay hi safar tae kartay rahain gay ?
    jahan tak mera khayal hai yeh samarat tou azadi kay nahi hain.azadi koi mujeerad shae tou na thi , kia yeh azadi safad aaqaoon se mili thi , aur wo bhi un kay wafadaroon ko , kia yeh azadi hasil nahi ki gai thi ? azadi kay maa'oon kay dularay aur bahnoo kay weer yoon hi kat maray thay , kia unhain yeh bhi maloom nahi tha kay yeh akhri larai nahi hai ?
    dushman nay islam dosti ka chola pahan lya hai.aur ab inhi kay sabz khowaboon se in ka shikar karay ga.masawat ka naam lay ga aur insaf ki zanjeerain lat kay gaaur jamhooriat ka dhndora peetay ga.dolat ki ghar monsefana taqseem taqdeer ki jholi main dal day ga.aur " INLAHA MAAS SABEERIN " ko qomi aur islami nazarya qarar day ker insani khon ko chameeno kay dhooin main tabdeel karta rahay ga.
    jo loog humaray molk main invest karna chahtay hain , humaray molk main khelna chahtay hain us kay haseen taraeen nazaroon se lotf andooz hona chahtay hain kia hum un ko motmaeen ker saktain hain kay un kay aanay per koi khud kash hamal nahi ho ga , kahin blast karnay ki awaz nahi sunaie day gi , aman ki fakhta kisi konay main dari hoi sahmi hoi dekhai nahi day gi balkay fiza main aman ka geet gatay howay parwaz karti hoi dekhai day gi , koi aisi maan dekhai nahi day gi jis ka beta dahsheet gardi ki nazar ho gaya ho ya ghalat fahmi ki waja se khon o khak ho gaya ho aur us borhi maan ki ankhain apnay bachay ki yaad main zaya ho gay hoon , koi bewi asi nahi dekhai day gi jis se us kay sohag ko cheen ker us ko bay asra aur bewgi ki chadar per samatnay per majboor ker dya ho , koi aisay yateem bachay dekhay nahi dain gay jin se un kay baap ki shafqat o mohbat cheen ker unhain bay yaroo maddad gar aur yateemi kay jholay main samtnay per majboor ker dya ho , koi aisa insan dekhai nahi day ga jo humaray molk ki jarain andar hi andar khokili kernay main masroof yeh.yeh sun ker wo tanzya hasi hasain gay aur kahain gay kay tumharay molk main aam insan tou kia tumharay syasatdaan bhi mahfooz nahi hain tou phir hum kia cheez hain ?
    sooch ka jhakar thmnay ka naam hi nahi lata hai.jo bhi tasveer banti hai pahlay se bhi zada bigri hoi hoti hai.bachpan main suni hoi naat ka sheer kanoon main gujnay lagta hai kay :

    ~ AIE KHASA KHASAN-E-RASOOL WAQT-E-DUA HAI
    UMAT PER TARE AAKAY AJAB WAQAT PARA HAI

    aisay main tadbeer ki aik hi soorat nazar ati hai aur wo hai taleem , likin kon se taleem jo angrazoon kay no abadyati nazam ka ahlay kar banati hai ya wo taleem jo " IQBAL , AKBAR AUR AFGANI " datay thay jo zoge yaqeen pada karti hai , wohi zoqae yaqeen jo guhlami ki in zanjeeron ko kat dalay gi , jo dhaqa ko rozi farham na karnay walay her khosha-e-gundoom ko jalanay ki salhyat aata kart hai.

    mehwish afsar


    میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


    میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

  • #2
    Re: Kia Waqae Hum Azad Hain

    islami nizam aa jay ga to ALLAH razi ho jay ga.
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: Kia Waqae Hum Azad Hain

      haN ji...ham bilkul 100 fee-sad "aazaad" haiN...kin mo'aamiloN meN?...in mo'aamiloN meN...aazaad-Khayaali meN, noch-khasoT meN, be-iimaanii-daGhaabaazii meN, dusroN kii jaan, maal aur 'izzat ke looTne meN, chor-baazaarii-rishwat_khorii meN, qaum-o-millat ko bech khaane meN, apnii tijoriiyoN ke hii kia bal k baahar ke mulkoN ke bankoN kii vaults meN Haraam kaa maal bharne meN, apnii bahoo-betiyoN kii, bahnoN kii, maaoN kii asmat-darii aur unkaa saudaa karne meN.......aur ginvaauuN?...kitnii taraqqii kii hai ham muslims ne 60 saaloN meN...meraa to Khayaal hai k yeh taraqqii meN ba-tadreej sur'at ke saath hotii rahegii jab tak k ham meN se koi Allah ko Darnewaalaa paidaa nahii hogaa aur hamaarii qaum o millat kii falaaH aur bahbood kii baag Dor nahiiN sambhaalegaa...lets hope and pray that that Allah kaa nek banda saaloN pahle paidaa ho gayaa hogaa...ab to hameN usii kaa intizaar hai...usii Mehdii kaa :)
      Last edited by SherAli; 10 November 2008, 15:39.

      Fall view from inside my car
      near my work place :)

      Comment


      • #4
        Re: Kia Waqae Hum Azad Hain

        Aassalam O Alaikum...
        Ammen Sumameen...

        Ap Dono Ka Shukria Ap Nay Apnay Khyalat Ka Izhar Kia :)
        Apna Khayl Rakhya Ga...
        Aur Duaoon Main Yaad...
        Dua Go...
        Mehwish Afsar


        میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


        میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

        Comment


        • #5
          Re: Kia Waqae Hum Azad Hain

          Originally posted by suffard View Post
          islami nizam aa jay ga to ALLAH razi ho jay ga.
          islami nizaam.. hmm.. wo to afghanistan mein b aya tha .. khair ALLAH hum sab par rahem kare..

          Comment


          • #6
            Re: Kia Waqae Hum Azad Hain

            Originally posted by mehwish afsar View Post
            Aassalam O Alaikum...
            Ammen Sumameen...

            Ap Dono Ka Shukria Ap Nay Apnay Khyalat Ka Izhar Kia :)
            Apna Khayl Rakhya Ga...
            Aur Duaoon Main Yaad...
            Dua Go...
            Mehwish Afsar
            w.salam.. aap likhti bahut acha ho.. aur likhti he rana aap.. is leya kaha hai k easy to nahi hota .. likhna ..
            ALLAH HAFIZ

            Comment


            • #7
              Re: Kia Waqae Hum Azad Hain

              Mehwish aap ki sulagti hui soch ko mera salaam.
              aap ne sirf apni hi nhi balkeh har aik pakistani ki soch ko sapurd e qalam kiya hey.
              Sher Ali bhai aap ki baat se bhi mein 100% mutaffiq hoon.
              Quote:
              Originally Posted by suffard
              islami nizam aa jay ga to ALLAH razi ho jay ga.
              Suffard Bhai (ma'azrat k saath) aap ki baat se mein thora sa ikhtelaaf kartay huye aap ki baat ko zara waazeh karna chahoon gi.......Humaray paas islami nizam mojood hey. QURAN aur SUNNAT E RASOOL hi humaray liye mukammal nizaam e zindagi hey jo k humein 1500 saal pehlay ata kar diya gaya tha phir hum kis ISLAMI NIZAM k muntazir hein?................HUMEIN zaroorat hey sirf amal kernay ki, iss nizam ko sahee aur mutwazen andaaz mein raayej kernay ki...........aur uss k liye HUMAIN zaroorat hey apnay A'AMAAL ko DRUST kernay ki.....yehan HUMAIN se meri muraad sirf MEIN aur AAP ya PEGHAM MEMBRAAN hi nein hein balkeh humara poora mu'aashra shaamil hey. humaray iwaanon mein bethay huye humaray hukamraan hein..........mera yaqeen hey k jis din hum mein se har aik ne apni apni soch ko drust kar liya QURAN aur SUNNAT k usuloon ko apnaa liya jo k humari asal taaqat hein to insha'Allah hum apni peda kardah mehkoomi k hisaar se baaher nikel aayein gay.

              Comment


              • #8
                Re: Kia Waqae Hum Azad Hain

                mera kehnay ka matlab yahi tha keh aa jay yani RAIJ ho jay.
                sigpic

                Comment


                • #9
                  Re: Kia Waqae Hum Azad Hain

                  Originally posted by wajid hanif View Post
                  islami nizaam.. hmm.. wo to afghanistan mein b aya tha .. khair ALLAH hum sab par rahem kare..
                  dhaikhain bhai AFGHANISTAN MAIN ISLAMI NIZAM NAHI AYA THA BALKEH
                  "70% ISLAMI SAZAIN HE NAFIZ HUI THIN KEH WAHAN PAR MUKAMAL SAKOON HO GYA THA LAKIN POORA NIZAM ANAY SAY PEHLAYAMERICA NAY APNOO KAY SATH MIL KAR US PAR HAMLAH KAR DIYA."
                  sigpic

                  Comment


                  • #10
                    Re: Kia Waqae Hum Azad Hain

                    Aassalam O Alaikum...
                    Ammen Sumameen...

                    Ap Sab Ka Shukria Ap Nay Apnay Khyalat Ka Izhar Kia
                    Apna Khayl Rakhya Ga...
                    Aur Duaoon Main Yaad...
                    Dua Go...
                    Mehwish Afsar


                    میرے الفاظ ہی پردہ ہیں میرے چہرے کا


                    میں ہوں خاموش جہاں ، مجھ کو وہاں سے سنئیے

                    Comment

                    Working...
                    X