Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
mera qasoor?
Collapse
X
-
Re: mera qasoor?
wasallam.
nahi khan g...hosla kiya karoon??
mujh par QURAN KI BY HURMATYI JAISI BARI TUHMAT LAGI HAI.....
main too halfan kehnay ko tiyaar hon keh meri yeh niyyat ya iradah nahi tha....
aor bhai hum too seedhi seedhi baat karain gay chahay koi hum ko 1 HAFTAY KAY LIYAE
BAN KARAY YA SAARI UMER KAY LIYAEsigpic
Comment
-
Re: mera qasoor?
Suffard...aap nay jo kaha wo yay ha..
.....iss silslay main itni hi baat kerna chahoo ga kay insaan hameesha ..na to taaleem say ..na hi falsafay say....na hi aflatooni soch rakhnay say...pehcana jata ha..balkay insaan to pehchana jata ha apnay "Zarf " say..Zarf wo wahid cheez ha jo doosray insaano say muamlaat kay doran khul ker apna aap dikhati ha...insaan ko kissi bhi halat main apna aik standard " Zarf" bana ker rekhna chiaaye....chahay jo bhi ho jaay,,,asmaan toot paray ya zameen phat paray...insaan ko apnay zarf ka mayar nahi kam kerna chiaaye....yahi "Zarf" aapki doosray insaano kay saamnay identity hota ha....yani apki nature ko show krnay wala id card....gussa aaye..ya baat berh jaaye,,,,ya koi qatal ho jaaye.ya kisi ki izat loot li jaaye..insaan ko her halat main zarf kay mutabik faisla aor amal paira hona chiaaye ...werna soora-e-haal buhat bigar jaati ha.,,,Islamic system ka naam hum log asay laytay hain jasay koi joke ho...jissay he 2 second bad suna diaa...Islamic system wo log kasay kaaim ker saktay hain jo baat kernay ki ahliat na rekhtay hon....kissi ki baat tahamul say sunn;nay ka hohsla na rkhtay hon....kissi ki izat ko zehan main aor khatir main na laatay hon...kasay ho sakta ha kay asa moaashra islamic revolution lay aaye jo inn tamaam aalaaisho say bherpoor ho...jahan din dehaaray chowks per aauroton ki izzat loot li jaati ho..aor jaha kahi aura ko respect aor mukaam mila ha waha say bhi unhain ruswa kernay ki musalsil koshish ki jaaye,,..hum sab asay hi socciety main bas rahay hain...we really dont deserve it to say we want islamic system...kiu kay hum apnay aap ko tabdel kernay ko hi tyaar nahi..behas per behas...aor wo bhi fazool..jis ka mantaqi injaam sifar ha....sifar ha...!!....hum baat kernay main kissi ka lihaaz nahi kertay....aor aourat jis say Allah aor usskay nabhi nay acha muamla kerny ki talkeen ki..us ko bhi nahi bakhstahay....yaad rakhiaay iss forum per jitni bhi females hain wo sab kissi na kissi ki maain,,,behnain aor baityaana ..aor bewian hain...aik background rkhti hain....kam az kam ochay alfaaz say inhain haanknay ki koshish na kerain,,yay bhi insaan hain,,,aor Allah muamlaat ka y baaray main poochay ga..aor buhat sakht pakar hogi...islamic system ka mutaliba us wakt acha lagta ha jab..hum sab aik compact form main hon...system hum say banay ga..na kay system hummain banaaye ga,,,,:)
shukriaa....
Comment
-
Re: mera qasoor?
Originally posted by wUtHeRinG hEiGhts View PostSuffard...aap nay jo kaha wo yay ha..

shukriaa....sigpic
Comment
-
Re: mera qasoor?
:)
Kamal hai Sahib! Kamal!
Aik tarf aap farmatey hain:
"kisi bhi musalman sey chahey woh kitna hi gunah'gar kyun na ho, koi bhi is baat ka andesha nahin rakh sakta keh woh Qurani Aayat ki be'hurmati ya un key saath mazzaq karey ga..."
aur doosri tarf aap KHUD hi Qaum aur Leadron ko Qurani Tilawat key istimaal per unkey saath alfaaz'bazi kartey huwey nazar aa rahey hain :)
Suffar kya yeh to nahin keh ham logon ney apni aadat bnaa rakhi hai keh ham sirf aur sirf KHUD-KO haq per samajhtey hain aur doosra har haal mein hamein batil nazar aata hai? Kabhi ham logon ney apney garebanon mein jhaank ker dekha hai keh kahin ham sey koi kotahi to nahin ho gaii?? Mera zati khiyaal hai keh agar ham aisa kar lein to qaum khud ba'khud sanwar jaey - magar nahin. Hamein apni baton mein woh kuchh nazar nahin aata.
Aap ko shayid lafz ta'assub ka mani bhi nahin patah - agar mujhey aap sey koi ta'assub hota to main aap ko Pegham per aik bhi post karney ki ijazat na deta - magar baat sari samajh ki hai - aur jab ham jazbaat ko apney ooper haavi kar lein to samajh nakara ho jati hai. Aap ko aik baat samjhaney ki koshish ki hai aur aap ney ussey apney liyey nafrat ka beej bnaa liya hai - yeh tang'nazri aik tarf rakh ker zara khuley dimagh sey sochiyey ga.مجھے تلاش نہ کر ذوقِ بیخودی سجود
نظر کی چند شعاعوں میں گھر گیا ہوں میں
Comment
Comment