Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Human Face of Pakistan's Halaat

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Human Face of Pakistan's Halaat

    Salam All,

    Pakistan key halaat pichley kuch arssey kharab sey kharab tareen hotey ja rahey heiN. Blasts ki waja sey, mehangai ki waja sey, crimes ki waja sey, aur jahaN ye sab kuch ho wahaN aur bohot saarey massley janam ley letey heiN.

    zahir hai key aik aeysey muashrey mey rehtey huye in sab cheezoN ka asar hamari zaat pey bhi hota hai, aur agar aap uss muashrey mey nahi rehtey heiN ...door heiN tabhi bhi aap per, aap ki soch per, aap ki psycho pey ye sab cheezeiN kafi asar andaz hoti heiN.

    Aap ney yahaN iss thread mey wo sab batana hai jo key aap ney mehsoos kiya hai, wo saarey asraat jo key aap ki zindagi mey in sab halaat ki wajey sey directly ya indirectly perhey ....

    Have your Say!!! :rose
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

  • #2
    Re: Human Face of Pakistan's Halaat

    Mulk kay halaat kharabb houn to banda to zaror asar leta hai in sab ka chaye mulk say bahir houn ya andar ....har waqat TV ki news suntay rehtay hian ..or humesha vohi blast ki khabrian dil kharab karti hain ...pehlay main News nahi deekhti the ..abhi kuch arsay say dekhna shuru kia hai ...or pak main jo relatives hain un kay baray main bhi banda suchta rehta hai kay itnay blast hoo rehye hain Khudanakhawasta udher kuch na hoo jaye ..pakistan say jo bahir rehtay hain aap kay mulk kay baray main loog batian karia acha to nahi lagta ...
    wesay umeed pay dunia qaim hai agar abhi halat sahi nahi hain to inshallha agay achay hoo jaian gay :thmbup:
    Last edited by .; 7 October 2008, 23:24.
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

    Comment


    • #3
      Re: Human Face of Pakistan's Halaat

      is bare me kia kahun xenya...ye sab kuch itna zeada depressing he k shaed beyan nahi kia ja sakta:(.ab to ye daily ki baat ban gai he..har thori daer baad koi esi hi breaking news...zakhmi log...deewaron par insani khoon....hamla awar ka sar...rote bilakte log:(...pata nahi ye kesa bheyanak khwab he jo khatam hone me nahi araha...hukmaran apni security kar k choohon ki tarah bill me beth gaey hen..rahi awaam to un se zeada lawaris kon:embarasse....ye sab dekh dekh kr depression hi hota he..or surat-e-haal itni gher yakini he k is bare me koi kuch nahi keh sakta k ye akhar kab tak chale ga,halaat kab tak theek hon ge??:mm:

      Comment


      • #4
        Re: Human Face of Pakistan's Halaat

        Haalaat na guftah beh :(

        Fall view from inside my car
        near my work place :)

        Comment


        • #5
          Re: Human Face of Pakistan's Halaat

          Halaat humesha aik jesay nahi rehtay ..sab theek hoo jaye ga ..:thmbup:
          اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
          اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

          Comment


          • #6
            Re: Human Face of Pakistan's Halaat

            Originally posted by Aanchal View Post
            Halaat humesha aik jesay nahi rehtay ..sab theek hoo jaye ga ..:thmbup:
            hamad mir ki ye tehreer shaed bata sake k halat kese theek hon:embarasse
            Attached Files

            Comment


            • #7
              Re: Human Face of Pakistan's Halaat

              In Halaat Me Pessimism Parwaan Charr Raha Hai Aur Kiya......
              شاہ حسین جیہناں سچ پچھاتا' کامل عِشق تیہناں دا جاتا

              Comment

              Working...
              X