Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

hamari hakoomat?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • hamari hakoomat?

    After oct 8 hamari hakoomat ney "president reliefe fund " key naam sey aik muhum chalai hai tak key saarey Pakistani jo mulk mey hein aur jo mulk sey bahar hein is mey funds daalein...

    magar aik baat note ki gai hai key logon ka apni hakoomat per sey trust bikul khatam sa ho gaya hai aur wo funds to dey rahey hein magar ziada un ki koshish hoti hai key wo Non gov. organisations ko dein jo key wahan kaam ker rahi hien,

    aap sab key khayal mey hamari Awaam ka apney hukumraano per sey aiytebaar kyoon uth gaya hai??
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

  • #2
    Re: hamari hakoomat?

    Originally posted by barg.e.gul
    After oct 8 hamari hakoomat ney "president reliefe fund " key naam sey aik muhum chalai hai tak key saarey Pakistani jo mulk mey hein aur jo mulk sey bahar hein is mey funds daalein...

    magar aik baat note ki gai hai key logon ka apni hakoomat per sey trust bikul khatam sa ho gaya hai aur wo funds to dey rahey hein magar ziada un ki koshish hoti hai key wo Non gov. organisations ko dein jo key wahan kaam ker rahi hien,

    aap sab key khayal mey hamari Awaam ka apney hukumraano per sey aiytebaar kyoon uth gaya hai??
    Gul yeh baat koi aaj ki nahin, yeh to hamari tareekh mein hai keh awwam apni hakoomat per trust nahin karti. Tareekh ko parhein to agar kisi ko awwam ki support mili thi to woh shuru mein Ayyub ko mili keh Ayyub ney mulk mein bohat taraqiyaati kaam karwaey, magar baad ki aamirana sochein ussey ley doobein. Uskey baad agar saheeh mano mein kisi ko awwam ki support mili thi to woh Bhutto ko mili thi aur uski maut per awwam bhi khud ko murdah samajh baithi. Phir Benazir ko support mili. Magar Bhutto aur Ayyub ney awwam key liye kuchh kiya tha, jo Benazir ney nahin kiya. Nawaz Shareef ko bhi support to hasil thi, magar unkey qartooton ki wajah sey aur pehley tajarbaat ki wajah sey log phir hakoomaton per trust nahin kartey they.

    Trust bohat nazuk shay hota hai, yeh to do insano key darmiyan bhi aik resham key dhagey ki manind hota hai, yeh to phir bhi awwam aur hakoomat ka masla hai. Jahan awwam ko hakoomat sey tawaquaat hoti hain. Hamari hakoomaton ney kabhi awwami tawaquaat ko pura nahin kiya.

    Musharraf hakoomat per sab sey badi zarb "war against terrorism" ney lagaee hai. Mera zaati khiyaal hai keh Musharraf aik mazboot hosley ka bohat achha leader hai, magar duniya ki badalti hui halat ney, aur khasoosan Islam key khilaf mohim ney Musharraf key dushman pedah kiyey hain. Magar mulk ko bachaney key liye Musharraf ki policies ghalat nahin thin.

    Yeh jo aafat aai hai, is ka koi hakoomat tadaruk nahin kar sakti thi. Haan yeh baat bilkul baja hai keh hamari hakoomat muamlaat ko suljhaaney mein nakaam rahi hai, aur yeh koi naee baat nahin. Aur awwam wohi kuchh dekhti hai jo hakoomaton key khilaf ho. Mind u hamari aik batalion fauj (more than 3000 fauji) bhi is aafat ka shakaar hui hai. Aur hakoomat hi mein mojood kaee generals apni beton ki maut ko bhool ker apni apni duties per lagey huwey they....
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment


    • #3
      Re: hamari hakoomat?

      ^baat sahih bhi hai ...beychari Awwam kahan tak sath dey jab hakoomat hi un ka sath nahi deyti jab Awaam ko us ki zaroorat hoti hai

      Mey ney President ki speech bhi perhi thi newspaper mey, jis sey zahir ho raha tha key unhein khud bhi ehsaas hai is baat ka aur ab jo plans unhon ney public key saamney rakhey hein deykhein un per kya kaam hota hai

      Mera bohot limited knowledge hai about politics plus apni saari history key baarey mey magar apni fauj mujhey hamesha achi lagi hai wo is liye key jo kaam fauj key hawaley kiya jata hai wo ussey acha poora kertey hein...
      aagey Allah behtar jaanta hai.

      hamari Qaum aik zinda Qaum hai aur issey zinda leader bhi mil jaye to inshAllah sab theek rahey ga
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment

      Working...
      X