Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

kiya pakistan jamhooriyat ke qabil hai???

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: kiya pakistan jamhooriyat ke qabil hai???

    Originally posted by javed khan View Post
    woh tu main ne par liya tha lekin aap ne baad main jo baat ki thee iss se kuchh shak huwa tha lekin aap ke jawab se woh doooor ho gia hai.
    so plz naraz na hoooon:D



    arrey bhai
    aap ihtesaab aor kiss ko kehte hain jahan par ek leader ko phansee de gai aor ek ko mulk bada kiya giya aor iss se pehle jo haal leader ka kiya gia main uss baare main nahi kahooon ga lekin kissi aamir ko koi saza aajtak nahi dee gai
    iss liye aap jab jamhooriyat ki hamayat kare ge tu phir aap ko bi pakistan main denmark se behttar situation nazar aaye :insha:
    bas zarooorat iss baat ki hai hum sab ko mil kar iss ke liye koshish karna ho geee.
    tu phir kiya khiyaal hai aap ka iss baare main????



    tum phir mere thrad main aaa gai ho lagta hai aap bi mush jaise logooon ki tara ho jo har jaga par jana apna haq samajte hain.:donno:
    Allah tum ko hidayat de aor samaj de taake tum haq ko samajh sakoo aor haq baat keh bi sako.lahoul
    kia yahan bs tum ko bolne ka haq hai... ?:na:

    Comment


    • #32
      Re: kiya pakistan jamhooriyat ke qabil hai???

      Originally posted by Xenya View Post
      punjabi tau mujhey ati hi nahi :P

      to main kab khaha k punjabi main tarjuma karo urdu main kardoo plzzzzzzzzzzzz
      ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

      Comment


      • #33
        Re: kiya pakistan jamhooriyat ke qabil hai???

        Is Hamaam Mein Sabhi Nangey Hain...

        Sorry meri tabiyat aaj bohat na'saaz hai is liyey main InPage mein nahin likh saka....

        Phansi Zulifqar Ali Bhutto ko di gaii thi. Aur kisi leader ko Pakistan mein phansi nahin di gaii. Bhutto ki phansi un ki siyasi bad'unwani ki wajah sey nahin thi. Aur shayid Pakistan key jamhoori leadron mein woh leader tha jo Awwami Leader tha. Awwam ney uski phansi per jo rona roya tha, woh dil sey tha.

        Bhutto tareekh mein woh wahid leader hai jisney Aqwam-e-Muthida mein beth ker US aur doosri taqaton ko unki beaucracy per lalkara tha aur kaghiz unkey munh per phaink ker walk-out kiya tha.

        Bhutto woh wahid muslim leader tha jisney Turkey-Greece jang mein Turkey ki maddad ko apni airforce bheji.

        Bhutto woh leader tha jisney Pakistan mein Atomic Technology ka plant shuru kiya.

        Bhutto ney sahih mano mein logon ko roti kapra makaan dilwaya...
        Yehi woh qasoor hain jinki wajah sey America ney Bhutto ko apney rastey sey hatwaya - lehaza yeh phansi Pakistan mein ehtisaab ki wajah sey nahin thi.

        Zia ki maut kisi ehtisab ka nateeja nahin thi, balkeh yeh bhi America key adam-interest ki wajah sey hui thi.

        Mr. Nawaz Shareef ney mulk ko jis tarha loota hai aur jo jo beghairti usney mulk mein ki hai, us per agar issey bar bar phansi di jati, to bhi drust tha! Uska watan sey jana, us AYYASHI ka sila tha, jo Nawaz Shareef ney Arbon ko Murree, Bahawalpur, Multan waghera mein karwaii hai. Nawaz Shareef Pakistani siyasat ka aik aisa nasoor hai, jo aik wazeer tak baneney key qabil nahin tha, chaploosiyon, rishwaton, bad'unwaniyon ney ussey mulk ka Wazir bnaya.

        Benazir ney jila'watni kaati - apni khud'sakhta! Jab ussey patah chal geya keh ab uska Pakistan mein woh asar-o-rasookh nahin raha to woh Dubaii aur London ja bethi.

        Musharraf ney shayid apni siyasi tareekh mein aik, do ya teen ghaltiyan ki hain:
        1) America key kehney per mushtaba afrad ko pakar kar america key hawaley karna
        2) Nawaz Shareef ko deal key tehat Saudia janey ki ijazat dena
        3) Aur inhein (Nawaz aur Benazir) ko deals key tehat wapis aaney ki ijazat dena
        (Jameaa Hifsaa ka qissah - haqeeqat kya hai aur kya nahin, yeh hamein kabhi patah nahin chal sakta usi tarha jaisey Benazir ka qatal! Jabkeh mujhey yaqin hai keh Benazir ka qatal Asif Ali Zardari ney karwaya hai - Main ba'haisiyat Musalman is baat key khilaaf hoon keh aap kisi jaggah per qabza kar key us per masjid banwaa dein keh musalman masjid shaheed nahin kar sakta - yeh Islam key saath mazzaq hai - Akbar Ali Bugti ka qatal aik bohat zabardast amal tha, kyun keh woh shakhs riyasat mein riyasat qayim kar raha tha, aisey bandey ki saza maut hai. Jo musalman apna mufaad hasil karney key liyey apney aap key saath bomb bandh ker logon ka khoon karey ga, woh intihaii bura insaan hai, balkeh woh bad'tareen terrorist hai, uska safaya hona chahiyey - Adliyah Pakistan mein aik alag mafia hai, adliya bad'unwaan idara hai aur ab is bad'unwani ko mazeed urooj miley ga. Main aik baat bar bar poochhta hoon: Agar Pakistani Adliya aazad hoti aur awwam ki muhafiz hoti, to Pakistani awwam pichhley 60 saal mein is ka rona kyun roti rahi hai keh, insaaf nahin milta? Ya to adliya bad'unwaan hai, ya phir pakistani awwam jhooti hai! Dono drust nahin ho saktey! In judges per haath daalna kisi aerey ghairey ka kaam nahin tha. Magar yeh mafia phir sey JEET gaii :))

        Meri in baton sey aap jaisa insaan yehi aik baat akhaz karey ga keh main Musharraf ka hami hoon - yeh haqeeqat nahin. Main Musharraf ka hami 1997-2001 tak tha. Us waqt Pakistan ko aik mazboot leader ki zaroorat thi aur Musharraf woh leader ban ker samney aaya tha. Yeh Musharraf hi tha jisney Hindostan mein jaa ker unhein Kashmir ko "an issue between two atomic nation" bna ker pesh kiya tha. Warna aaj tak Hindostan aap sey Kashmir key masley per baat tak karna pasand nahin karta tha!
        Mujhe is per bhi yaqin hai keh Musharraf, Bush key hathon mein nahin aaney wala. Kyun keh jaisa keh ham log kehtey hain keh Musharraf america ka paltoo hai, to america ko kya parri hai ussey hataney ki? Agar america ko apna interest Mush key zariyey hasil ho raha tha, to woh paghal hain jo Benazir ko wazir-e-aazam key ohdey ka wada dey ker pakistan bhejta? Aur kya aap samajhtey hain keh Pakistani siyasat mein jo kuchh hota hai, us mein America ki marzi shamil nahin hoti????? Benazir ko DEAL america ney dilwaii thi, Nawaz Shareef mein america ko koi dilchuspi nahin, agar hoti to woh ussey aagey rakhta!

        Asif Zardari ney jo jail kati hai, woh awwam key dukh key liyey nahin kati, balkeh yeh us rupey ko safed karney key liyey Benazir ney katwaii thi, jo awwam ka paisa in logon ney loota tha. Jin sey Dubaii mein mahal banaey gaey hain.

        Pakistan mein jamhooriyat ka qatal, army nahin. Na hi Pakistan ko kisi fauji ney yarghmal bnaya hai, yeh soch un ki hai jo haqaeeq ko nahin dekhtey aur na samajhtey hain. Pakistan mein jamhooriyat ka qatal aur Pakistan ko yarghmaal bnaney wala woh tabqa hai jisney Liaqat Alikhan aur doosrey leaders ka khoon kiya hai. Yeh woh tabqa hai jo itna powerful hai keh woh Pakistan mein KISI KISAM ki hakoomat ko kamyab nahi honey dey ga - chahey woh fauji ho ya jamhoori. Yeh woh tabqa hai jissey ham UMRAA ka tabqa kehtey hain. Is mein woh 4.000 khandan aatey hain jo is mulk ki siyah aur safed key malik hain. Yeh wohi tabqa hai jisney Pakistan ki tashkeel key baad, issey yarghmaal bnaa liya tha. Is tabqey mein Fauj bhi shamil hai aur fauji Generals bhi, is mein Jamhoori Hukmraan bhi shamil hain aur woh log bhi jinhon ney yeh nizaam bnaey hain, in mein woh bhi shamil hain jo qanoon bnatey hain aur qanoon ka paas karwatey hain, in mein woh mutlinational companies hain jo sirf aik baat ko sochti hain: apna mufaad!!

        Yehi wohi mufaad hai jis ki wajah sey logon ko taleem sey mehroom rakha jata hai, taleemi idarey is mufaad ki zad mein hain aur woh sirf paisa kamaney key chakron mein hain, yehi woh mufaad hai jo aslah ka karobar kar raha hai aur ghairat, jehad, irritation key naam per qatal-o-gharat karwa raha hai. Pakistan mein na aatey ki kami hai aur na chini ki, yeh kami yehi woh mufaad-prast tabqa hai jo pedah karta hai aur un mein bhi inhi logon ka naam aata hai - kya aap samajhtey hain keh Nawaz Shareef ya Asif Zardari key ghar mein aatey k qilat hogi?? Hargiz nahin! Yeh inhi logon ka phailaya huwa woh tension hai jis mein awwam ko aqal sey mehroom kiya jaa raha hai.

        Yehi woh mufaad hai jisney Osama Bin Ladin ko gardish mein rakha hai, warna Iraq key ta'meer mein American companies key baad sab sey ziayda contracts Bin Ladin Goup ko na miltey :)

        Log phal phool dekhney key aadi hain - inkey ander kya andhera hai, yeh aap log na sochtey ho na sochney ka waqt hai. Main ney aik doosrey mazmoon mein likha tha keh hamein soney key khilaf mein gobar bhi nazar aaey to ham us per bhi fida ho jatey hain :) - Isi America ko ham galiyan nikaltey hain aur usi ki agent Benazir ko saron per uthaey rakha aur ussey shaheed tak ka laqab dey diya - astaghforullah - shahadat kitni sasti hai Paksitan mein!

        Agar mojoodah halaat bhi aap ki soch ko badalney key liyey kaafi nahin, to wohi baat hai, keh aap key khiyalaat kabhi nahi badlein gey. Woh log jo Sadar Mush ka muahizah chahtey they woh aik dam uskey asteefey per raazi ho gaey - is sey badey mujrim bhi koi hain? Agar yeh log sach per hotey to kuchh bhi ho jata, sadar ko bina saza diyey janey na detey - magar woh zarb-ul-misaal hai keh: is hamaam mein sabhi nangey hain! Mushh ney in logon ko deals di thin, woh unhon ney lauta din.

        Pakistan ka revival sirf is tarha ho sakta hai keh in 4.000 khandono mein sey jo CREAM hai, yani choti key log hain, unka khoon kiya jaey - aisa khoon jis sey Pakistan ki naii taqdeer likhi jaey. Main Pakistan mein sirf aik shay key haq mein hoon: KHANA JANGI! Aur woh hogi aik din, aaghaz ho chuka hai, magar aisa koi leader paida honey wala hai, jo awwam ko in na'sooron sey chhutkara dilaey ga - ham dekhein ya na, magar yehi Pakistan ka revival hai.

        Yahan per aap Khilafat ley aaein, yahan per aap naam'nehad jamhooriyat ley aaein, yahan per aap fauji dictatorship ley lein - is hamaam mein sabhi nangey hain!


        Originally posted by javed khan View Post
        naam main aap ko zarooor bataoon ga kyunke aap sab kuch samajte huwe bi meri zaban se kehlawana chahte hain
        tu phir sunye
        yahan par qauid-e-Azam jaise azeem leader ke saath kiya haal kiya gia,
        liaqat ali khan ko kiss ne qatal kiya tha
        sikander mirza aur Ghulam muhammad jaise mazoor amrooon ko kissi ne poochha tha k liaqat ali khan aor muhammad ali bogra jaise leaders ki touheen karne ke bawjood woh aakhir tak azadi se phirte rahe
        ayub khan ne mulk main Fatima jinnah jaisi belous leader ke saath kiya kiya tha lekin uss ne bi jaate jaate ek dosre aamir ke hawale hakoomat kar dee jaise yeh mulk uss ke baap ka ho .
        aor yahya khan ne mulk ko dolakht kiya lekin uss ko bi poore fouji ezaz ke saath dafan kiya gia.
        bhuto se bi ghaltiyaan hoi thee lekin uss ko uss ki bahut sakht saza phaansee ki sooorat main dee gai.
        zia ul haq ne islam ke naam par logooon ko apni danist main bewaqoof banaya aor aakhir main ajal ne hi uss se jaan chhurai.
        Nawaz shareef ne mulk ko taraqi ke raaste par dala aor logoon ke andir mulk ki kashish paida ki.aor bahut se achhe kaam kiye lekin uss se bi ghaltiyaan hoi jiss ki saza ke tour par uss ko mulk badar kar diya gia.
        jabke mush ko kissi ne abhi tak pooochha bi nahi hai.
        aap zardaari jaise aor iltaaf hussain aor fazalurrehman jaise leaders ki waja se pooori jamhooriyat ko bura bhal nahi keh sakte yeh agar chor,corrupt aor lutere hain tu inn ka bi ek din ihtesaab zaroor ho.zardaari tu pehle hi 12 saal jail main guzaar chuka hai.
        aaap bi koi aisa nizaaam pesh karen ya phir koi aisa aadmi zarooor batain jo aap ki nazar main pakistan ke liye achha tha.
        ya phir saare pakistan ko hi jaahil(aap ki zaat ke siwa) sanajhte hain aap???
        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

        Comment

        Working...
        X