Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
ARTICLE: Hukumran Iteyhaad aur Pervaiz policies by Hasan Nisar
Collapse
X
-
Re: Hukumran Iteyhaad aur Pervaiz policies by Hasan Nisar
Originally posted by wajid hanif View Postyeh sab kana kisi b dosray ko bahut he easy hai.. hasan saab khud hotay to kia kartay..?" Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "
Comment
-
Re: Hukumran Iteyhaad aur Pervaiz policies by Hasan Nisar
Hassan nisaar ko main bahut arsa se read kar raha hoon lekin ab iss ka nateeja yeh nikala hai k iss ko sirf mayusee phelana hi aataa hai aor iss ne intehai bad-tameez andaz se coloum ko likhne ka theka le rakha hai.
kuchh logoon ki fitrat hoti hain k unhooon ne kabhi bi umeeed aur achai ke qareeb nahi jana aor hasan sahib bi un hi ashaab main shamil hain.Pakistan ke awam zinda dil aur bashaoor hain iss liye awam ko kamzor na samjha jaaye. ab mulk
main jamhooriyat ho gee aur aamriyat ke haami bhaag jaayen ge.:insha:
Comment
-
Re: Hukumran Iteyhaad aur Pervaiz policies by Hasan Nisar
Originally posted by javed khan View PostHassan nisaar ko main bahut arsa se read kar raha hoon lekin ab iss ka nateeja yeh nikala hai k iss ko sirf mayusee phelana hi aataa hai aor iss ne intehai bad-tameez andaz se coloum ko likhne ka theka le rakha hai.
kuchh logoon ki fitrat hoti hain k unhooon ne kabhi bi umeeed aur achai ke qareeb nahi jana aor hasan sahib bi un hi ashaab main shamil hain.
Aur main yeh kehta hoon keh jis tarha Ghafil logon ney apney ooper ghaflat ki rida taan li hai, aur Allah Rab-ul-Izzat ki wahdaniyat ko jaan boojh ker tasleem nahin kar rahey, isi tarha ham log apney halaat sey waqif bhi hain magar us sey umeed lagaey bethey hain. Khaas ker jab baat Nawaz Shareef/Benazir(ab Asif) jaisey luteron ko leader bnaney ki ho!
Hassan Nisar ney jo likha 100% sach likha hai.
Yahan per wohi kuchh ho ga jo hota raha hai. Aap key jamhoori leader Yusu Raza Gilani (jinki merey nazdeek koi haisiyat hi nahin, kyun keh sharm'naak baat yeh hai keh jis mulk mein Parlement ho, State Minister ho wahan per phir bhi faisley Zardari jaisa qamash insaan karey) woh haal hi mein America ka daura kar key aaya hai, kya mila? Kya unhon ney America ki aankhon mein aankhein daal ker dekha? Kya unhon ney America ko kaha keh mind your own business mister? Harigz nahin, balkeh Gilani sahib aaindah ki hikmat-e-amli seekh ker aaey hain aur wohi sab kuchh ho raha hai aur yehi kuchh ho ga... aap logon ko Hassan Nisar jaisey bandon ka itna to shukerguzar hona chahiyey keh woh aap ko woh dikha rahey hain jo aap ney na dekhney ki qasam khaa rakhi haitumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: Hukumran Iteyhaad aur Pervaiz policies by Hasan Nisar
Mery paas koi bhi words nahi.....
Mujeh ehsaas hoony lga hai k sb hi ik jesy hoty hain
kise ko bhi favour nahi krna chahye.......pr in sb mai sy jo mera intikhaab tha...wo pooori tarah sy govt mai nahi hai.....
pr ab mujeh unsy bhi koi ummed nahi
Pakistan ki Political n internal situation buhat critical hai....
plz Pray.........:rose
Comment
Comment