:)
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Aazadi aur Pakistani Zameer
Collapse
X
-
Re: Aazadi aur Pakistani Zameer
aap ne jo kuchh likha hai uss par ghaur karne ki zaroorat hai
aap ki kuchh baatoon se ittefaq kiya ja sakta hai lekin aap ne kuchh baatoo ko khawmkhaw tool diya hai.
aap ne pakistani qoum ki mojooda halit par sahi roshni daali hai
lekin kitne afsoos ki baat hai k aap jaise kuchh saathi musharraf ki hamayat bi karte rahe hain.
pakistan ke awam ki sirf jaali kutti sunane se kaam nahi chale ga balke hum ko khus bi amli namoona dena ho ga.
aur jamhoori logoon ki himayat karni ho gee
dictator ko hamesha ke liye good bye kehna ho ga.
aor leaders ki jaiz kamoon par tareef aor un ke ghalat kamoon par tanqeed karni ho geee.
tab hi hum kuchh kirdar ada kar sakte hasi apne mulk pakistan ki behtari ke liye.
warna "Hassan Nisaar" jaise colom nigaar ki tarah har waqat mayusee ki baaten karne se kaam nahi chale ga.
majmoi tour par aap ke khiyalat achhe hain.Pakistan ke awam zinda dil aur bashaoor hain iss liye awam ko kamzor na samjha jaaye. ab mulk
main jamhooriyat ho gee aur aamriyat ke haami bhaag jaayen ge.:insha:
Comment
-
Re: Aazadi aur Pakistani Zameer
Originally posted by aabi2cool View Postaur aap hameesha ki tarah jali katti suna kar pakistan ki khoob khidmat karrahay hain shabash lagay rahoooooo
Aabid bhai main ney to phir bhi qalam utha ker kuchh baton ki nishan'dehi ki hai keh hamari raggon mein nasoor kahan pal rahey hain - main ney biki hui sochon, bikey huwey qalmon ki tarha Pakistan ki akhoowat ka jhoota dhong to nahin rachaya na - balkeh apni khamiyon ko be'niqab kiya hai aur unhi mein hamari akhoowat ka hal bhi hai - agar aap ghaur farmaein to :) - Magar baat phir wohi aa jati hai keh ham alfaz ko parhtey hain, uski gehraii mein nahin jaatey :)tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: Aazadi aur Pakistani Zameer
Originally posted by javed khan View Postaap ne jo kuchh likha hai uss par ghaur karne ki zaroorat hai
aap ki kuchh baatoon se ittefaq kiya ja sakta hai lekin aap ne kuchh baatoo ko khawmkhaw tool diya hai.
aap ne pakistani qoum ki mojooda halit par sahi roshni daali hai
lekin kitne afsoos ki baat hai k aap jaise kuchh saathi musharraf ki hamayat bi karte rahe hain.
pakistan ke awam ki sirf jaali kutti sunane se kaam nahi chale ga balke hum ko khus bi amli namoona dena ho ga.
aur jamhoori logoon ki himayat karni ho gee
dictator ko hamesha ke liye good bye kehna ho ga.
aor leaders ki jaiz kamoon par tareef aor un ke ghalat kamoon par tanqeed karni ho geee.
tab hi hum kuchh kirdar ada kar sakte hasi apne mulk pakistan ki behtari ke liye.
warna "Hassan Nisaar" jaise colom nigaar ki tarah har waqat mayusee ki baaten karne se kaam nahi chale ga.
majmoi tour par aap ke khiyalat achhe hain.
Maslan woh kaun si batein hain jinko tool diya geya hai? Aik baat yaad rakhein, jab bhi baat karein poori tafseel key saath kiya karein - warna baat karney ka faidah nahin!
Is poorey article mein aap aik bhi jumla aisa btaa dijiyey jis mein Musharraf ki hamayat ka ansar paya geya ho! Is article mein na Musharraf ki baat ho rahi hai aur na kisi doosrey teesrey ki .... rahi baat aap ki SO-CALLED jamhooriyat ki - to jaisa main ney apney mazmoon mein likha keh ham soney ka cover dekh ker khush ho jatey hain, us mein kya gand chhupa huwa hai, is sey hamein behas nahin - Pakistan ki mojoodah jamhooriyat ki aisi ki taisi - yeh wohi log hain na jo kal tak currupt kehlwatey they? In per behas kisi doosrey thread mein rahey gi!tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujheytumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey
Comment
-
Re: Aazadi aur Pakistani Zameer
''pir jab kuch logon real jo sahi baat zayda sachi hoti hai un ko kaafi hard lagti hai.. k asa kuin kaha gya hai.. kahir... bahi masood jo b aap ne linka hai sahi aur bahut acha likha hai..
jamhooriyat ki - to jaisa main ney apney mazmoon mein likha keh ham soney ka cover dekh ker khush ho jatey hain, us mein kya gand chhupa huwa hai, is sey hamein behas nahin - Pakistan ki mojoodah jamhooriyat ki aisi ki taisi - yeh wohi log hain
sahi kaha.. ab aik baar pir saray sath ho rahen hain last baar kuch reh gya tha ab ki baar wo b pura kar len gay...Last edited by wajid hanif; 20 August 2008, 17:14.
Comment
-
Re: Aazadi aur Pakistani Zameer
Originally posted by Masood View Post:)
Aabid bhai main ney to phir bhi qalam utha ker kuchh baton ki nishan'dehi ki hai keh hamari raggon mein nasoor kahan pal rahey hain - main ney biki hui sochon, bikey huwey qalmon ki tarha Pakistan ki akhoowat ka jhoota dhong to nahin rachaya na - balkeh apni khamiyon ko be'niqab kiya hai aur unhi mein hamari akhoowat ka hal bhi hai - agar aap ghaur farmaein to :) - Magar baat phir wohi aa jati hai keh ham alfaz ko parhtey hain, uski gehraii mein nahin jaatey :)
moaf kijiya ga aap nay jin batoon ki nishandhi ki hay us main aap munfrid naheen hain k un batoon ko koi aaps e pehly janta na tha magar haqeqat haal khuch aur hay jis par aap ka qalam hameesha hi khamoosh raha hay . .. . aur wo hay k kabhi in masail k hal per bhi khuch wazay lafzoon main likh diya kareen . . . . . . jazak ALLAHساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا
Comment
-
Re: Aazadi aur Pakistani Zameer
[quote=javed khan;798440]aap ne jo kuchh likha hai uss par ghaur karne ki zaroorat hai
aap ki kuchh baatoon se ittefaq kiya ja sakta hai lekin aap ne kuchh baatoo ko khawmkhaw tool diya hai.
aap ne pakistani qoum ki mojooda halit par sahi roshni daali hai
lekin kitne afsoos ki baat hai k aap jaise kuchh saathi musharraf ki hamayat bi karte rahe hain.
pakistan ke awam ki sirf jaali kutti sunane se kaam nahi chale ga balke hum ko khus bi amli namoona dena ho ga.
aur jamhoori logoon ki himayat karni ho gee
dictator ko hamesha ke liye good bye kehna ho ga.
aor leaders ki jaiz kamoon par tareef aor un ke ghalat kamoon par tanqeed karni ho geee.
tab hi hum kuchh kirdar ada kar sakte hasi apne mulk pakistan ki behtari ke liye.
warna "Hassan Nisaar" jaise colom nigaar ki tarah har waqat mayusee ki baaten karne se kaam nahi chale ga.
'' yeh sab baten hain baton ka kia..
Comment
-
Re: Aazadi aur Pakistani Zameer
Aap ne likha hai k koi bi baat kissi saboot ke beghair nahi karni chahiye
lekin aap ek taraf yeh kehte hain k pakistan ke awam ko gumrah kar ke aag aor khoon ki stories batai jaati hain lekin yeh tu tareekh ki ek talakh haqeeqat hai aur yeh sirf iss liye new generation ko bataya jata hai taake un ko pata chal jaaye k un ka dushman kaun hai
jis ne aaj tak paksitan ko dil se tasleem nahi kiya hai.
aap kehte hai k indo pak ke logoon ki yeh nafsiyaat hai k yeh qatal-o-gharat pasand karte hain
lekin kiya waja hai k india main paksitan ki nisbat bahut traqi ho rahi hai
aur wahan par logoon ka mazaj kaafi had tak change ho chuka hai
lekin paksitan main ek mansoobe ke teht army ne hamesha logoon main phoot daali hai
awam ko groups main taqseem kiya hai.mqm jaise group amroo ke dour hi ki paidawaar hain.india main army ne kabhi mudakhlat nahi ki lekin paksitan main hamesha army ne mulk ko bachane ke naam par shab khoon mara hai.
aor iss ki waja yeh hai k hamare kuchh log in ki himayat karte hain aor jamhooriyat ko gaaliyaan dete hain jabke khud jamhoori mulkoon main beth kar jamhoori azadi ke maze lete hain lekin apne hi hum watnoooon ko iss jamhoriyat ke laiq nahi samajhte aor dosre mulkooon main ja kar khud ko koi a'ala makhloooq samajne lagte hain.
apne mulk main logooon ko ihtejaaj ka haq dene ke liye tayar nahi hain lekin un par kissi dictator ki hukmarani ko jaiz samajte hain
kyunke jab aap apne mulk ki political leadership par tanqeeed karte hain uss ka matlib hota hai k aap mulk par political taqatooon ki bajae kissi aor taqat ko masallat dekhna chahte hain.
aap deen ki baat karte hain lekin apne islami iqdaar ke haamil leaders ko sakht napasand karte hain.
jabke paervez musharraf jaise mujre ke shouqeen aor sharabi ko pasand karte hain.
do kitaabe par kar apni awam ko jaahil aor nalaiq kehna un ka takya kalam hota hai.
aap ki sab baate har giz ghalat nahi hain lkin aaap ne joshe khatabat main sb baaten sahi nahi keh dee hain iss liye yeh na kahen
k mustanand hai mera farmaya huwa.
ziyada tawelll baat ka faida nahi hai issi par apni baat khatam karta hooon
k agar hum apni apni shakhsiyat ko sahi karne ki koshish karen aor iss ke elawa sahi haq ki baat ko apna len tu hamare bahut se masael hal ho jaayen ge.Pakistan ke awam zinda dil aur bashaoor hain iss liye awam ko kamzor na samjha jaaye. ab mulk
main jamhooriyat ho gee aur aamriyat ke haami bhaag jaayen ge.:insha:
Comment
-
Re: Aazadi aur Pakistani Zameer
Originally posted by javed khan View Post
Aap ne likha hai k koi bi baat kissi saboot ke beghair nahi karni chahiye
lekin aap ek taraf yeh kehte hain k pakistan ke awam ko gumrah kar ke aag aor khoon ki stories batai jaati hain lekin yeh tu tareekh ki ek talakh haqeeqat hai aur yeh sirf iss liye new generation ko bataya jata hai taake un ko pata chal jaaye k un ka dushman kaun hai
jis ne aaj tak paksitan ko dil se tasleem nahi kiya hai.
aap kehte hai k indo pak ke logoon ki yeh nafsiyaat hai k yeh qatal-o-gharat pasand karte hain
lekin kiya waja hai k india main paksitan ki nisbat bahut traqi ho rahi hai
aur wahan par logoon ka mazaj kaafi had tak change ho chuka hai
lekin paksitan main ek mansoobe ke teht army ne hamesha logoon main phoot daali hai
awam ko groups main taqseem kiya hai.mqm jaise group amroo ke dour hi ki paidawaar hain.india main army ne kabhi mudakhlat nahi ki lekin paksitan main hamesha army ne mulk ko bachane ke naam par shab khoon mara hai.
aor iss ki waja yeh hai k hamare kuchh log in ki himayat karte hain aor jamhooriyat ko gaaliyaan dete hain jabke khud jamhoori mulkoon main beth kar jamhoori azadi ke maze lete hain lekin apne hi hum watnoooon ko iss jamhoriyat ke laiq nahi samajhte aor dosre mulkooon main ja kar khud ko koi a'ala makhloooq samajne lagte hain.
apne mulk main logooon ko ihtejaaj ka haq dene ke liye tayar nahi hain lekin un par kissi dictator ki hukmarani ko jaiz samajte hain
kyunke jab aap apne mulk ki political leadership par tanqeeed karte hain uss ka matlib hota hai k aap mulk par political taqatooon ki bajae kissi aor taqat ko masallat dekhna chahte hain.
aap deen ki baat karte hain lekin apne islami iqdaar ke haamil leaders ko sakht napasand karte hain.
jabke paervez musharraf jaise mujre ke shouqeen aor sharabi ko pasand karte hain.
do kitaabe par kar apni awam ko jaahil aor nalaiq kehna un ka takya kalam hota hai.
aap ki sab baate har giz ghalat nahi hain lkin aaap ne joshe khatabat main sb baaten sahi nahi keh dee hain iss liye yeh na kahen
k mustanand hai mera farmaya huwa.
ziyada tawelll baat ka faida nahi hai issi par apni baat khatam karta hooon
k agar hum apni apni shakhsiyat ko sahi karne ki koshish karen aor iss ke elawa sahi haq ki baat ko apna len tu hamare bahut se masael hal ho jaayen ge.Last edited by wajid hanif; 20 August 2008, 17:48.
Comment
Comment