Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

aik confusion....

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • aik confusion....

    aik sawal hai ....

    jab insaan ko koi cheez nahi milti ya koi cheez usay chaye woh baar baar kushish kay bhi usay nahi mill rahi to aik taraf to yeh kaha jata hai banda SABAR karey ....jo cheez app ko nahi mill rahi woh aap ki kismat main hai hi nahi is leye kushish karna bekaar hai ...islamic point of view say sabar ki talqeen ki jati hai .....

    or doosri taraf yeh kaha jata hai kay try try again one day !!! koi cheez aisay nahi milti aap ko mehnat karni parti hai ..aik na aik din banda kamyaab hi hoo jaye ga woh kushish karta rehaye ..himmat nahi harni chaye waghera waghera ..........

    to yeh confusion wali baat hai na banda kis cheez ko choorey or kis cheez ki kushish kartaa rehaye ???
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔


  • #2
    Re: aik confusion....

    Originally posted by Aanchal
    aik sawal hai ....

    jab insaan ko koi cheez nahi milti ya koi cheez usay chaye woh baar baar kushish kay bhi usay nahi mill rahi to aik taraf to yeh kaha jata hai banda SABAR karey ....jo cheez app ko nahi mill rahi woh aap ki kismat main hai hi nahi is leye kushish karna bekaar hai ...islamic point of view say sabar ki talqeen ki jati hai .....

    or doosri taraf yeh kaha jata hai kay try try again one day !!! koi cheez aisay nahi milti aap ko mehnat karni parti hai ..aik na aik din banda kamyaab hi hoo jaye ga woh kushish karta rehaye ..himmat nahi harni chaye waghera waghera ..........

    to yeh confusion wali baat hai na banda kis cheez ko choorey or kis cheez ki kushish kartaa rehaye ???
    Kis chiz ko chooRey aur kis chiz ki koshish karey...yehi to confuse hai...:cc:
    Waise mera man.na hai ke sabar wabar kuchh nahin hota, kahtey hain sabar ka phal meetha hota hai, zyadah sabar nahin karna chahiye warna phal saR bhi sakta hai,
    Rah gayi baat kismat ki to main kismat ko bhi nahin maanta,
    haan mehnat hai, mehnat sab se badi chiz hai, bandey ki taqdeer unki mutthi mein band hai kisi chiz ko hasil karna ho to mehnat kar ke haasil kiya jaa sakta hai
    Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
    Hamarey naam ka patthar zaroor milega

    Comment


    • #3
      Re: aik confusion....

      Aanchal waqaee boht kashmaksh wali bat hey k aisi soorat mein insan kia karay, asaan se lafzon mein kahoon gi k insan pehlay koshish karay k wo cheez ussay mil jaye, agar nhi mil rahi to saber karay kiyoon k Allah Ta'ala behtar janta hey k wo cheez insan k liye achi hey ya nhi hey,yeh bhi ho skta hey k abhi uss cheez k pa lenay ka waqt nah ho aur issi mein allah ki behtari ho k wo cheez insan ko nah milay to insan ko koshish aur saber jari rakhni chahiye, jaisa k spy bhai ne kaha k insan ki taqdeer uss ki muthi mein band hoti hey lekin koi cheez baghair mehnat aur saber k hasil nhi hoti, aur jo ho jati hein unn mein woh mazah aur sakoon nhi hota jo insan ko mehnat se hasil ki hui cheez mein hasil hota hey.

      Comment


      • #4
        Re: aik confusion....

        dono baatin hi sahi hain phlay insaan ko apni bhaerpor koshish kerni chiye ager jub bhi na mily to saber ker kay bhat jayo Allah bhater kerta hay sub:)

        Comment


        • #5
          Re: aik confusion....

          Asalam alaikum Aanchal,
          Hamein apni saari mehnat ker key result Allah per chor deyna chahiye
          aur is baat kok zeyhan mey rakhtey huye key Allah hamesha apney bando key liye behtar kerta hai

          hamesha be realistic in making decisions...
          koi bhi kaam ho ussey kerney key liye kuch points hotey
          1-hum ye kyoon kerna chah rahey hein
          2-us ki requirements (jaisey being a student kaheen admission leyna hai ya job key liyhaaz sey)
          3-agar kuch missing hai to wo kya hai --- us ka kya hal ho sakta hai?--
          4-time...

          in sab cheezon ko soch ker---faisla ker lo--agar tum positive to poori jaan laga lo phir result ALlah per chor do ....

          hope mey clear hun???
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment


          • #6
            Re: aik confusion....

            Aanchal dekho Spy ki is baat sey mujhey itfaaq hai keh sab sey badi confusion yeh hai keh hasool kis cheez ka hai?

            Bohat sey logon ko dekha hai keh woh halaat sey tang aa ker khud'kushi kar letey hain. Maut unhein yun hasil ho jati hai. Magar yeh maut dar'asal unkey asal azab ka aaghaz hai. Is key bar'aks woh log jo unhi ki tarha kasam'pursi ki zindagi guzartey hain, magar apni jaan Allah ki amanat samjhtey hain woh haqeeqat mein saber key maaney jantey hain.

            Eeman-e-mufassal mein likha hai:

            "main eeman laya Allah Tala per aur uskey farishton per, aur uski kitabon per, aur uskey rasoolon per, aur qayamat key din per aur ACHHI BURI TAQDEER PER KEH WOH ALLAH TALA KI TARAF SEY HAI aur marney key baad ji uthney per"

            Ab iski roshni mein taqdeer ki wazahat hoti hai. Is mein yeh hargiz nahin hai keh aap koshish mat kijiye aur sab kuchh Allah per chhorr dijiye. Bina maangey to Allah bhi kuchh nahin detey.

            Rasaee jis cheez ki mumkin hai woh misaal key tor per aik diploma hai jis mein bar bar ki nakami key baad bil aakhir kamyabi hoti hai, aik azm hai jo agar to Allah key qanoon key khilaf nahin to hasil ho jata hai, uskey liye bar bar try karna chahiye.

            Ab agar ko kahey keh main bghair kisi saaz-o-samaan key Mount Everst ko fatah karna chahta hoon aur bar bar ki nakami key baad bilaakhir aik din to kamyabi ho gi - aisa insaan bewaqoof hai. Haan agar aap professional koh'pema hain aur aap ko maloom hai keh Mount Everst ko fatah karney key liye kya kiya jana cahiye to uskey liye bar bar ki nakami raastey ki deewar sabit nahin hoti.
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment

            Working...
            X