Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Debate:"barhtey huye itla dahi key wassail aur insaano mey barhtey huye faasley"

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Debate:"barhtey huye itla dahi key wassail aur insaano mey barhtey huye faasley"

    Asalam alaikum Respected Members,

    Aap sab ko khushamdeed hamara debate ka mauzoo hai "barhtey huye Itl'a dahi (communication) key wassail --- aur insaano mey barhtey huye faasslay " Iss debate mey her koi participate ker sakta hai leykin aap ney bas mandarja zeyl asooloN ki passdari kerni hai inshAllah. Jo key itney khatarnaak kisam key asool nahi heiN :-) bas aik friendly debate key liye kuch friendly asool


    Asool:-
    1. Topic sey bilkul nahi haTna..SIrf topic pey baat ho gi
    2. Topic key favour ya against mey koi team nahi hai. koi bhi member for mey bhi baat ker sakta hai aur against bhi
    3. Debate sirf 5 din chaley gi
    You may start your debate but plz with Respect :rose
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

  • #2
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment


    • #3
      Re: Debate:barhtey huye Itl'a dahi (communication) key wassail --- aur insaano mey ba

      Yes Xenya i will agree with u :thmbup:

      jahan buhat se saholiat insaan ke life mein aayein hai, wahin insaan kisi kaam ka nehi raha mean ke araam parasat ho gaya hai

      pehle hota tha ke Relatives se milne jaya karte the, sare relatives aik jagah akhtay hotay the aur khub mazay hote thay, laken aaj kal aisa bilkul nehi hota insaan is qadar masroof ho chuka hai ke is kaliye kisi ke pas bhi time nehi, bas zara relatives ko phone kar liya ya fer internet pe chating ho gaye aur webcams se aik dosre ke shakal dekh lee bas.

      baqi Inshallah mazeed tafseel se ............... baad mein

      Comment


      • #4
        Re: Debate:barhtey huye Itl'a dahi (communication) key wassail --- aur insaano mey ba

        Originally posted by Adnans View Post
        Yes Xenya i will agree with u :thmbup:

        jahan buhat se saholiat insaan ke life mein aayein hai, wahin insaan kisi kaam ka nehi raha mean ke araam parasat ho gaya hai

        pehle hota tha ke Relatives se milne jaya karte the, sare relatives aik jagah akhtay hotay the aur khub mazay hote thay, laken aaj kal aisa bilkul nehi hota insaan is qadar masroof ho chuka hai ke is kaliye kisi ke pas bhi time nehi, bas zara relatives ko phone kar liya ya fer internet pe chating ho gaye aur webcams se aik dosre ke shakal dekh lee bas.

        baqi Inshallah mazeed tafseel se ............... baad mein
        jee bilkul ... inhi sabhi sahooliat ney insaani zindagi kafi had tak massnoi bana di hai.... wo machines key sath kaam ker ker key un ka itna adi ho gaya hai key khud bhi aik machine ki tarhaN sochta hai aur amal kerta hai.... ye tau aik point hai....Aap key baqi points ka inteyzaar rahey ga inshAllah
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment


        • #5
          Re: Debate:"barhtey huye itla dahi key wassail aur insaano mey barhtey huye faasley"

          Assalam O alaikum ..!

          Buhat hee acha aur yun kahiyay k ...kafi informative rahay ga
          iss Topic per baat karna ...hum sab k liyay ..aur shayd ho saka
          Tu Buhat se Positive Results b aa saktay hein ...! :insha:

          Kaha jata hay k Pelay waqtouN mein
          LarkiyuN ko iss liyay Parhaya jata tha
          K BetiyaaN Shadi k baad Maa Baap Ko ...
          at least some lines hee kheriyat ki khat ki soorat mein
          Likh diya karein gee,....Yeh soorat-e Haal waqi pehlay
          Workable and favorable b thee ,, K hamaari MaaeiN , apnay parents
          Ko Khat k zariyay ya Post card per likh deyti thee k hum kheriyat se hain
          and koi chota mota Pegham bhi ....! as oss waqt communication ka Zairya
          Khat O Kitaabat hee hota tha ....! and Wo kafi use b hota tha ...!
          Even k beytiyaaN same City mein hotay howay b ..Letters likhti theeN

          Waqt k sath sath Communication k zara-ey .....yani ways and means
          Bhartay gay ........telegram,,,..Phone aya ..Magar Khat ka silsila chaltaa
          raha Kion k wo kum qeeemat tha aur insnan ziyada kuch share kar sakta
          thaa ....

          Communication k ways abhi iss hadd tak hee advance howay thay
          K loagoN k pass kisi ka Fone ana aik Modern ICON ki shape ekhtiyaar kar
          giya ..social status Fone ka hona ...aur social status ka Modern setup
          Kisi ki Call anaa...anyway ....JooN jooN Communication k ways increase
          Howay ..logon k pass Time kum rehnay laga ...KioN inn Ways and means ko
          practically adopt karnay k liyay ..PESAY ki zaroorat thee so pessa kamanay
          K liyay log itna busy howay k wo fone ka use karnay lagay baat karnay k
          liyay ...ek shehar mein rehtay howay b Milnay ka time nahi hota tha ....
          so fone per baat honay lagi ...aur yeh behtar samjha jaata tha k koan
          khat likhay ....aur kis k pass time hai k wo beyth kar parhay ....! chalo
          aadhay time mein fone per baat ho ja-ay gee aur awaz ka tabadala b ho
          ja-ay gaa ...aur yeh aadhi mulaqat ziyada Khoobsoorat lagab karti thee..

          phir Computer and then Cell Phones ka zaman aa giyaa..

          Emailing was also an interesting thing ...K aap ko koi stamp ki parwaah nahi
          Koi ...Post nahi karnay jana ..just type and send ....kaam ho b giya
          E-card send honay lagay ... CellPhone se txt msg honay lgay ...
          and sab khush thay k kitna Modern way ho giya hai ....!
          Kisi ka Voice msg ana was a New thing ...Phir images anay lagay ..
          Sabhi khush...thay

          Yeh wasaail din ba din cheaper hotay chalay gay magar ....

          PROBLEMS b kafi honay lagay ..

          Firstly .... Letter Tu ghar tak jata tha aur poora khandaan osss ko
          easily access kar sakta tha ...aur jitni baar chahay oss ko read kiya ja
          sakta tha ....! aur phir sambhaal k rakha ja sakta tha..!

          emails ytak ghar k certain ppl ko access hoti hai ..and sab parents
          oss ko nahi parh saktay ...second problem virus aya tu
          sab kuch khatam ...computer format karo
          bla bla .......aur phir wo agar web per save b hai tu
          WO baat nahi hoti Jo Khat ko parhnay se milti thee!
          and again kisi k pass itna time nahi raha k wo email ka jawab
          email se de ..so ...E-Cards tak baat aai ..jo kisi k reply na anay
          ki wajh se ab shayd hee koi send karta ho ....!

          Cell ..sms ...voice msgs ..howay ...
          ab yeh kaam b sirf Fwd msgs per chala giya ...

          itni lambi tamheed ka maqsad ....View POINT of discussion ko
          Clear karna tha:)

          Comment


          • #6
            Re: Debate:"barhtey huye itla dahi key wassail aur insaano mey barhtey huye faasley"


            Baat actually yeh hai k ...har relationship ka tasalsal rakhnay k liyay
            Human Behaviors ki baat main matter karti hai ....!

            Relationship ko aap ahmiyat dein tu har tareeqa-e
            Mawaselaat ..Communication cha-hay kitnay b mehngay hoon
            aap use kareiN gay!
            Buhat ziyada masroof hooN tab bhi aap apnouN se
            dostouN se Milnay zaroor jaeiN gay ...!

            aur zindgee ko iss tarah se divide karein gay
            k sab emotions sentiments ...
            Multiply hoN na k ....
            Nafii ...ya Minus hoN ..

            Baat sirf behavior ki hai ...
            Jiss ko badlna...zaroori hai ..

            Warna tu Ghar ko hee lijay
            Hum TV show ko time de saktay hein
            Hum Internet surfing per time
            Guzar saktay hein magar
            Ghar k afraad se Dinner table per b Baat karna
            Gawaara nahi kartay kion k
            Computer and Tv Monitors ko itna Time de chukay hotay hein
            K ghar waloun k faces Ko monitor karnay ka hamaray pass
            Zehani tur per fresh time nahi rehta
            Hum kahin na kahin Oljhay hotay hein...!

            SO .ummm
            .........Baqqi phir inshaAllah :)

            Comment


            • #7
              Re: Debate:"barhtey huye itla dahi key wassail aur insaano mey barhtey huye faasley"

              و علیکم اسللام
              بہت اچھا ٹاپک ہے بحث و مباحثہ کے لیے،اس بات میں کوئی شک نہیں کہ جدید ذرائع مواصلات باہمی فاصلے کم کرنے میںنہایت اہم کردار ادا کر رہے ہیں ۔مشلاآج آپ اپنے موبائل فون کے ذریع سے پرری دنیا میںجہاں چاہیں فوری رانطے کر سکتے ہیں ،جبکہ اس مفید ایجاد سے پہلے صورتحال اس کے بالکل برعکس تھی،جو یہ کہتے ہیں کہ ان ایجادات کی وجہ سے فاصلے بڑھے ہیں تو میرے مطابق اس کی وجہ یہ ایجادات نہیں بلکہ اور معاشی اور سماجی وجوہات جنہوں نے آج ہمیں اتنا الجھا یا پھرمصروف کر دیا ہے کہ ہم اپنوں کے لیے ٹائم بمشکل نکال پا رہےہیں،،،،،کوئی بھی چیز غلط نہیں ہوتی یہ اس کا استعمال ہوتا ہے جو غلط یا صحیح ہوتا ہے،،،
              Last edited by sarfraz_qamar; 27 July 2008, 22:19. Reason: no reason
              "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

              Comment


              • #8
                Re: Debate:barhtey huye Itl'a dahi (communication) key wassail --- aur insaano mey ba

                Fassally Barrhhanyy kii wajjaa Harrgizz bhee yehhh nahee haii jooo aap biian karr rahaeee haiiiin,,,,,,Balkehh iss kii wajjabb Madiett parastee haii joo aaj hamm sabb kuchh chhoor chhar karr paiissayy kayy pechhayy bhagg rahhay hainnnnnnn,,,,,,,,,Inn aijjaddat nayy hamain sahooliiat dee hainn kehh aaj kayy iss nmasrrroof door main hamm aasanni sayy appnayy Doosttooo aoor Chhahhnnay walloo sayy Rabbtaa karr sakkttay hainnnnn........Lihazzaa iss Dooree kii sirff eikk yehh wajjaa karrarr dennaa ghallat hoo gaaaaa
                "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

                Comment


                • #9
                  Re: Debate:"barhtey huye itla dahi key wassail aur insaano mey barhtey huye faasley"

                  Aap sab ka bohot sara shukrya.... as promised mey report zaroor post karun gi her debate ki alag sey ... thora sa waqt ley ga leykin mey zaroor inshAllah post ker duN gi

                  once again thank you very much for your contributions :rose
                  " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                  Comment

                  Working...
                  X