Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

TAJZIYA: Kaash Main Aik Dictator Hota!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: Kaash Main Aik Dictator Hota!

    Originally posted by Masood View Post
    Sarfraz mujhey aap ki is baat sey qatan itfaaq nahin keh dictator muhibb-e-watan nahin ho sakta - balkeh meri 'naqis' soch key mutabiq aik dictator hi sab sey bada muhibb-e-watan hota hai, kyun keh usney apni awwam ka dard mehsoos kiya hota hai. I come back to Hitler - merey nazdeek Hitler aik bohat bada muhibb-e-watan tha, jisney German qom ko uski khoii hui shanakhat di, Moussollini muhibb-e-watan tha usney Italian qom ko shanakhat di, Fiedel Castro (jissey USA dictator kehta hai) apni qom ka Hero tha, Stalin ney Zars ki paadshahi sey Russians ko nijaat dilwaii, Mao Ze Teng jissey tareekh dictator likhti hai usney Chinese ko shanakhat di...

    Ham log alfaaz ko ghalt istimaal karney key aadi ho chukey hain, Unka asal mafhoom jaaney bghair. Agar ko apney mazhab per qayim ho to duniya ussey Fundamentalist likhti hai :)

    Merey bhai aap jamhooriyat ka na'ara laganey sey pehley jamhooriyat ko samjhein to sahi...
    Massood Bhaii,, main abb bhhee aap sayy ittiffaq nahee karroo gaaa,,,
    Pakistan Eik Jamhooree ammal kayy Nateejaa main wajood main aayaaaa naa kehh kissee Dictator nayy issayy bannayaa haii,,,,Qaid e Azamm bhee jamhooriatt passand thayyy,,,,,,
    saree duniaa koo choorain Pk main Jamhooriatts ayy ziada Dictatorshipp rahee haiii,,,, Gen Ayub sayy layy karr Gen Musharraf takk koii aikk dictaor bhee aissa batain joo Mohab e wattann hoooo yaa uss nayy Mulkii tarqee kayy kuch kiaa hoooo,,,,,
    masood Bhai Dictator hameshaa Iqtadarr kii Hawass main Mubtalaa rehhtaa haii aoor iss kayy lieyy harr fair and Foul way Ikhtiar karrttaa haii ..khawww iss kaa Nateejaa Mulkee Tabahii kii soorrat main kuunn naa hoooo...
    Musharrff kii Taazzzaa tareenn missaal aap kayy samnnay haii
    "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

    Comment

    • #32
      Re: Kaash Main Aik Dictator Hota!

      Originally posted by sarfraz_qamar View Post

      Sarfraz aap ki age kitni hai? Aur aap ki tareekh per kitni gehri nazar hai?

      General Ayyub aik sakht muhib-e-watan insaan tha, Usney jo Pakistan key liyey kiya hai, aaj tak koi nahin kar saka - Pakistan ko apney paoun per kharra karney wala Ayyub Khan tha, woh daur bila'shuba Pakistan ka aik sunehri daur tha - mukhalif to aap ko Quaid-e-Azam key bhi mil jaein. Magar Ayyub ka daur taraqi aur istaqlaal ka daur tha, us waqt tak jab tak World Bank ka aik khabees insaan wazir-e-Khizana nahin bana tha - haan uskey baad Ayyb bhi seedhey raastey sey bhatak geya tha, magar aap har kisi ko aik hi takrri mein tolney key aadi na baniyey...

      General Zia ney bilashuba Pakistan mein tareekh tareen daur likha hai, magar Zia agar chahta to wohi danda phair sakta tha, jo main ney apney mazmoon mein likha hai - magar hamarey leader to beghairat hain, magar unkey musheer un sey badey beghairat hotey hain...

      Mujhey aik kamil yaqin hai keh Pakistan hi ki nahin balkeh Islam ki baqaa kisi fauji leader key hathon hi hogi :)
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment

      • #33

        Massood bhaii Mannaa kayy aap kii knoweldge mujh sayy ziadaa hee hoo gee ,,but main bhee history ka student hoooo aoor thoree bohhat Shudh Budh main bhee rakhhtaa hoo iss hawallay sayyy......
        Manna kayy Ayub Khan kayy Door main Panchh salaa Manssoobaa Kamiaab howaaa aoor Maaashee taraqee hoii butt aaapp Ayub Khan kii Entry too dekhain kehh Kiss tarahh unhoo nayy Skindar Mirzaa kayy sathh Mill karr Iqtadar parr qabbzzaa kii sazishh kii aaoor Badd Main Skindar Mirrzaaa koo bhee Iqtadarr sayy Bahirr karr kayy Khood Siahh o Sufain kaa Malikk bann giaaa....i think aap nayy Qudarrt ulllahhh Shabbb kaa "Shahhab Nammaa " zarroor parrhaa hoo gaa joo Ghaliban Ayub door main Burocrecy kaa aahham poorzzaa rehh chukkayy hainn,,,,iss main unhoo nayy Ghair janib darranaa toor parr sabb kuchh biian kiaa haii,,aoor Shimlaa Agreement jiss kayy zariaa sayy Victory ko defeat main kaissayy tabdeeel kiaa giaaa yehh bhee sabb hii jannttay hainnn........
        Gen Ziaa nayy islamm kaa naam istammal karr kayy appnnay Iqtadadr koo Too diaaa,aoor USA Proxy War main Paksitan koo shakiall dalaaaa...aaj Pk main Herwainn sayy layy karr Kallashankkof culture aaoor aabb Socide attacks usssee Doorr kaa nateejaa haiii joo hamm Bhuggat rahhay hainnnnn....
        Gen yahhiaaa Jaissa Baghairrat aoor Sharabee Dictatorr too shayaad hee koii hee,,1971 kaa Almiaa unn sahabb kayy door main hee howaaaa,,,,,,
        aoor abb Gen Musharraff kaa Kachaa Chathaa aap kayy samnnay hainnnnnnn........
        i hope u understand my point of view
        "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

        Comment

        • #34
          Re: Kaash Main Aik Dictator Hota!

          Sarfraz aik shay jiska main bohat sakht mukhalif hoon, woh hai likhi hui tareekh jo hamein schoolon aur collegon mein parhaii jati hai. Yeh kehna keh Yahya Khan saqoot-e-dhaka ki wajah hai to yeh sarasar ghalt hai!! Yahya Khan aik intihaii beghairat, ayyash, sharabi, zani insaan tha, no doubt about it, per saqoot-e-Dhaka siraf aik insaan ka qasoor nahin tha. Balkeh yeh un ziyadatiyon ka samar tha, jo Maghrabi Pakistaniyon ney Mashriqi Pakistaniyon (yani bangaliyon) sey rawa rakha! Mujeeb-ur-Rehman jaisa ghadar pedah karna uni na'insafiyon ka hissah hai!

          Jahan tak ta'aluq Shahab Nama ka hai to main Qudrat-ullah Shahab ka bohat qadardaan hoon. Unhon ney bohat sari haqeeqaton sey pardah uthaya aur bohat sari haqeeqatein chhupa li, yehi woh Qudrat-ullah Shahab hain jinkey mutaliq yeh bhi kaha jata hai keh yeh jab tak jis bhi Hakoomat key saath rahey hain, ussi key gun gatey rahey hain :)

          Hamein apney aap sey aik shay khatam karna hogi, kabhi bhi koi bhi fard-e-tanhaa kisi buraii/tabahi/na'insani ka akela zimmedar nahin hota! Agar aik in baton ko janam deta hai to doosra unhein parwan charhata hai - mulki tabahi ka zimmedar sirf leadron ko kehna chhoorr dijiyey :)

          • #35

            agar Likhee hoii Tareekh kayy sahee hoonay ya aghallat hoonay parr Behasss karroon gaa to topic say hatt jaoo gaaaa,,,, Saqoot e Dhakaa kay 3 kirdarr Mujjeb ul rahman ,Bhuttoo aoor Yahhyaaa,,,Iqtadarr kee hawas main mubtala athayy waghairaa waghairaaaa..............
            Jahan takk baat haii Qudarratuullah Sahabb kii Mannaa kahh unhhooo nay boohat haqeeqtoo koo chhupaiaa haii iss kii bhee shayyad koiii wajjaa hoo giiiiiiii...Hoo saktaa hai kuch aissa hoo jo state secret kayy zummrray main aataa hooooo......
            Jabb koii Eik fard e wahidd kisssee tabahee kaa akailaa zimaa darr nahee hoo sakktaa isee tarahhh Akaillaa Dictatorr kissee bhee Mulkk koo Taraqee kii janibb Gamzzann nahee karr sakktaa iss kayy lieyy jamhooree Ammall hii Zarrooree haiii....bahaisett majammiee iss kayy lieyy hamm sabb koo kooshishh karrnaa hoo giiiiii.....
            in the End yehhee yehh kahhoo gaa Dictator koo Hameshaa iqtadarr kee hawwass hootee haiii....Kisee bhee Mulkkk kii Awwam Dictaorship koo kabbool naheee karteee ,,j..and this is reality
            "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

            Comment

            • #36
              Re: TAJZIYA: Kaash Main Aik Dictator Hota!

              Pata nai kesi jamhooryat hay, na roti na kapra na makan - Kuch log is muashre ka nasoor hain, jin ke lye aik Dictator ki zaroorat hay - Jahan sab k mufaad ki baat ho aur kuch log rukawat ban rahe hon to Dictatorship chalti hay

              Acha likha hay
              Allah

              Comment

              Working...
              X