Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

kia sabak seekha ????

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • kia sabak seekha ????

    assalamalikum

    haal hi main jo pakistan main zalzala aya is say aap nay kia sabak seekha ? humaye kia ehteyatai tadabeer karni chaye ??? ham main kin kin cheezoun ki kami hai jin ko poora karna hai ????

    aik to yeh kay hamaray han science technology ki kami hai ....humaye latest technology seekhni hoo gee......
    First Aid ki taleem har banday ko hasil karni chaye...

    or kia kia hona chaye aap kay khayal main ????
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔


  • #2
    Re: kia sabak seekha ????

    Good Post Aanchal :thmbup: ,
    1. Haan first aid ka knowledge her kisi ko hona chahiye
    2. Dosra yeh ke aaj pakitan main is tarah ki situation main humari apni rescue teams honi chahiye, jinhein Gov ko training ke liyeh foreign bhejna chahiye, aur wo sab equipments jo aisey operations main zarori hotey hain wo sab honey chahiyeh, takey khuda na karey kal ko aisa ho to bajyeh dosri counties se aisi team ke aaney ka intezar kerne ke , jo 2 - 3 days baad pohanchey , visa issues etc ki waja se , humari apni team foran kaam shuroo ker dain. Aur zada se zada logo'n ko is aafat se bajaya ja sakey.
    3. Her sheher main kam se kam ek yaan do Volunteers teams honi chahiyeh, jo aisi kisi bhi situation main kaam ker sakein aur chizon ko behter tariqey se handle ker sakein. Logo ko handle ker sakein.
    4. Humarey apen mulk main zarorat ek waqt field hospitals ki facility honi chahiye.
    5. Sab se bari aur eham baat yeh ke jesa Aanchal ne kaha, latest technology aur equipments ki kami hai humarey mulk main, oun ki sakht zarorat hai.
    sigpic

    Comment


    • #3
      Re: kia sabak seekha ????

      main ny to tooba kerna sekh lia hay...

      Comment

      Working...
      X