Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Warning!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #31
    Re: Warning!!

    Originally posted by Ms. Rooh
    Acha, aggar woh aap kay aqeeday kay mutaabiq besahaara nahi howay to phir hum log unn ki maddad kion kar rehay hain? Maddad to ussi ki ki jaati hay na jiss kay saath koi masla ho?

    Aap phir baat ko doosri taraf lay gain, mera point yeh hay kah yeh Allah ka azaab nahi, balkah uss ka imtihaan hay jo woh hum say leta tha, hay aur leta rehay ga. Baaqi aap ki kitaabi baaten hain jo main khood bhi keh sakti hoon, aap woh baat karen jiss par yehan behas ho rehi hay.

    Aap keh rehi hain kah koi nek hay ya gunaah gaar yeh faisla sirf Allah kar sakta hay to phir iss topic ko shoro say parh len, iss main gaana gaanay, bajanay, basant manaanay walay... waghera waghera, ko burra kesay keh diya? Aap nay yeh faisla Allah par kion nahi chhora, ho sakta hay Allah ki nazar main woh aap say behter hoon? Kion, hay na?

    Aap ki nazaron main sirf shy ki bataai Hadees ki ahmiyat hay? Main nay Hadeess kay ilaawa Quran ki aayat bhi tehreer kar di, aap ko woh nazar nahi aai?

    Aap intihayi bachganey andaz main yahan behas ker rahi ho, jabkey aisi bato'n per behas kerna iman ki kamzori hai. Jahan tum ne kaha yeh kitaabi batein hain to yeh kitabi batein nahi, wo batein hain jo bachpan se humarey maan baap, teachers ne sikhayi hain, jinhein samajhna insan ke liyeh zarori hai magar insan in bato'n se gafil hai. Aur kitabi batein bhi asmano'n se nahi aati, insano'n hi ki likhi huwi hoti hain.

    Main tumhari ek ek baat ka ousi tara jawab dai sakti hoon jese tum ne diya, laikin yeh behas tool pakar jayeh gi aur jesa main ne pehley bhi kaha main behas nahi kerna chahti aur ab bhi yahi kehti hoon. So Bato'n ki ek baat, hum issey azmaish samjhein yaan Azaab dono soorto'n main khuda hi ki taraf se hai na, dono soorto'n main humein khuda se dua mangani chaiyeh ke jin per yeh qayamat barpa huwi ounhein sabar aur himat dai, aur humein apni hifz-o-amaan main rakhey, rah-e-rast per chalney ki taufeeq dai, aur her haal main sabar shuker ki taufeeq dai. Ameen.

    khush raho :rose

    Last edited by 'SamRazi'; 19 October 2005, 10:22.
    sigpic

    Comment


    • #32
      Re: Warning!!

      Originally posted by Ms. Rooh
      Agar shy nay jo likha woh unka view or thought tha to jo main nay likha woh bhi to mera view aur thought hay na? Aap ghor karen to aap ka rawaya double standards wala hay na?

      Shy kuch kahay to woh unn ka view aur thought, main kuch kahoon to woh behas?

      Aik aur double standard yeh kah aggar aap yeh samajhtay hain kah bollywood aur lollywood ko aik taraf rakh kar hum ko apna amal dekhna chahiay to bhai aap nay yeh baat Shy ki post parh kar kion nahi kahi kah Basant waghera jo manaatay hain unn ko aik taraf rakh kar humen apna ammal dekhna chahiay?

      Kion hay na aap ka double standard?

      Zalim nay jo kaha aap nay uss ki daad farma di, lakin main nay kab kaha kah kafiron ko hidyaat milti hay? zara woh text mujhay quote to kar den. Ya phir Lollywood aur Bollywood main sub kaafir hain? zara yeh saaf keh den to phir main jo hadees sunaaongi woh parh lena kah Musalamaan ko kafir qarraar dena kitna barra gunaah hay.

      Wesay Zalim nay aur bhi bohat si baaten ki hain, aap nay uss kay baaray main kuch nahi farmaaya?

      Double standard na?
      aap ki is double standerd wali baat se aap ki aqal ka andaza ho raha he,wo shy ka VIEW nahi he mohtarma,HADEES he.jo me ne share ki wo hadees he.mera zati view nahi.zati view par aap jitna marzi behes karen mujeh koi etraz nahi,lekin koi hadees sunai jaey to us par behes karna or us ko ghalat sabit karna apne eeman ko khrab karne wali baat he.is leay ager aap behes karne ke marz me mubtila hen to karti rahen.meri taraf se next aap ko yahan koi jawab ya baat nahi mile gi .

      Comment

      Working...
      X