Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Warning!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: Warning!!

    Originally posted by Ms. Rooh
    Yehaan jo log iss topic par daad day rehay hain, unn say meri aik darkhowaast hay, Quran kehta hay "Tafakaroo", yaani ghor kiya karo.

    Zara ghor to farmaain, iss waqaye main koi aik dancer, singer, actor, actress halaak hoi? Katrina aur Rita ka qehar Mississippi main aaya jahan ghareeb aur black log rehtay hain, naach gaana to Hollywood main ho reha tha, woh kesay bach gaya?

    Bollywood bay hayaai ka monh bolta ishtihaar bana howa hay aur Zulzala Ahmedabad (India) main aaya, hay na?

    Behooda raqs aur zoo maani gaanay gaanay walay Lollywood aur Stage waghera par bethay hain aur door kaheen pehaaron par bakriyaan charaanay deewaaron tallay dubb kar marr gaye, kion?

    Yeh kesa azaab hay, yeh kesa qehar hay jo gunaah gaaron ko chhor kar maasoon logon say unn kay maan baap, behan bhai aur betay betiyaan chheen leta hay?

    Yeh azaab nahi, yeh aazmaaish hay, Allah ka farmaan hay kah woh hum say aazmaaish lega.

    Azaab ki baaten karnay walay Allah ko (Naooz billah) Naa Insaaf saabit karnay ki naa kaam koshish kar rehay hain.
    ye topic aik hadees par base karta he or Allah ka hukam ho ya hmare nabi ka ham ankhen band kar ke us ki sachai ki tasdeek karte hen us me behes nahi karte,or is waqt ham sab hi ko toba ki zarirat he ye warning ham sab ke leay he,wo to masoom log the Allah ne un ko ramzan me shahadat ki moat di lekin ham apne gunahon ka kafara kese ada karen ge?ye warning to ham bach jane walon ke elay he ke Allah chahe to in few seconds hamen kahan se kahan pohancha de.

    Comment


    • #17
      Re: Warning!!

      Aik aayet ka turjuma suniay:

      "Aur her shaksh ko uss kay kiay ka badla diya jaaiga aur unn par zara zulm na kiya jaaiga." Paara 25, Al Jaasia, (22).

      Ab gunaah kon kar rehay hain? HUM... takleef deh mot kiss ko mili? Masoom bachon ko, right?

      To phir iss aayet main to kuch aur likha hay na? Kisi kay gunaah ko hota dekh kar Allah nay uss gunaah gaar ko to kuch na kaha, WARNING denay kay liay school main bethay bachay dabba diay... hain na?

      Toba.

      Allah ko Ghufoor o Raheem bhi kahtay hain aur aisa ghalalt aqeeda bhi rakhtay hain?

      Comment


      • #18
        Re: Warning!!

        Originally posted by shy
        aaj konsi esi burai he jo ham me nahi he?loot ghasoot,be eemani,milawat,rishwat,dhoka bazi,hirs,nafsa nafsi,islam se doori,be hayai ke kamon me barh charh kar hisa lena(fun ke naam par)akher aap kia chahte hen ke ye sab jo hua wo kia tha phir?ye Allah ki warning hi he mohtarm,ke ab bhi sambhal jao,ab ye to apni apni soch par munhasir he ke koi ise kese leta he,Allah ki warning samjh kar toba estafghaar karta he or apna muhasiba karta he ya ab bhi kisi ghalat fehmi me mubtila ho kar mazeed Allah ke ghuse ko awaz deta he.
        hazrat Ali ka irshad he ke nahi nazil hoti koi bala mager gunahon ke sabab,nahi door hoti koi museebat-o-balaa magar toba ki waja se.to ye waqt toba ka he apni gini chuni kisi neki ko samne rakh kar ye kehne ka nahi ke ham me kuch ache log hen jin ki waja se ham par azab nahi aey ga,baaz time gunah itne barh jate hen ke jab saza milti he to ache bure sab us me aa jate hen.haan ache log shaheed ka darja pate hen or gunah gaar apni saza ko pohanchte hen,in me bhi be shumaar shaheed hen.
        wese ye baat me ne apni taraf se nahi kahi thi jo aap mujh se pooch rahe hen ye hadees he or ghor karen ke is me kia kaha gya or or ham sab poori qoam kahan khare hen??
        Aap aggar meri posts ko ghor say parhten to aap ko phir poochnay ki zaroorat na parti... yeh jo bhi ho reha hay, yaa hota aaya hay, yeh sub Allah ki aazmaaish hay jo Allah apnay bandon ki leta hay, jaan day kar, jaan lay kar, maal day kar, maal lay kar.

        Yeh saari buraaiyan jinn main hain woh to aaj bhi zameen par dandanatay phir rehay hain, aur unn ko burraai say roknay kay liay unn maasoomon ko maar diya gaya jo bay hayaai kay maani bhi nahi jaanti thi?

        Kiya baqol aap kay Allah ki warning ka yehi tareeqa hay kah woh burron ko burraai say roknay kay liay achoon ko jannat ka keh kar maar day?

        Farz karen, aik baap ki 2 aulaaden hain, aik acha hay aur aik burra, ab burray ko buraai say roknay kay liay aggar baap achay ko thhappar maar day to aap issay insaaf kahen gi?

        Aap kehti hain hadees say base kiya hay iss topic ko, to zara woh hadees to bayaan farmaa den.

        Toba ka sirf yehi waqt nahi, toba ka waqt her waqt reha hay aur rehay ga, lakin kisi gunaah gaar ki saza kisi bay gunaah ko kabhi nahi milay gi.

        Zara kisi Islami waaqiay say saaabit to karen, kisi aayat, kisi Hadees ka hawaala to den kah Allah gunaah gaaron ko warning denay kay liay begunaah ko maar dega.

        Aap falsafa bayaan kar rehi hain aur main aap ko Quran or Hadees say dalaail day rehi hoon. Apni baat saabit karnay kay liay jazbaat say nahi, waqiyaat say hawaala den.

        Bataain na koi aisa waqaaya jiss main Allah nay pehlay kabhi aisa kiya ho? Qom e Aad ko uss kay kiay ki saza di gai, uss kay baraaber waalay qabeelay ko warning kay tor par barbaad kion nai kiya?

        Comment


        • #19
          Re: Warning!!

          Originally posted by Saima Shaheen
          Tumhari batein sahi hain dear, magar wo masoom jo is ka shikar huwey hain wo shaheed hain, aur khuda ne is Mubarak mahiney main ounhein paney pass bulaney ka faisla kiya to yeh ous ki marzi. Rahi baat yeh ke baqi log jo is ka shikar huwey hain wo gunaha gaar they, hain yaan nahi yeh khuda behtery janta hai. Oun ke muqabley main hum kitney gunah gaar hain yeh bhi khuda janta hai. Magar aazmaish bhi to khuda ki taraf se aati hai na, aur yeh baat bhi ous paak zaat ne khudh hi kahi hai ke jo banda ousey pasand hota hai wo ousey hi azmaish main dal'ta hai. Bas khuda se dua hi ker saktey hain ke ager yeh ous ka gussa tha to humari khatao'n ko moaf karey aur rah-e-rast per gamzan karey, aur ager azmaish to himat aur hosla dai, aur sabr-o-shuker ki taufeeq.
          AAP kay jawab ka shukeria.

          Jo marr gaye, woh shaheed ho gaye, aur ab uss 1 saal 6 maheenay ki bachi ko kiya mila jo maan baap kho bethi? unn bachon ko kiya mila jinka ab koi nahi reha?

          Iss mubarak maheenay main marnay waalay maan baap kay bachay dar dar ki thokar nahi khaatay hain?

          Aur kiya Ramzan main sirf achay log martay hain?

          Aap zara mozoo say hutt gain, mera point kuch aur tha, aur aap Khuda ki marzi par baat lay gain, mujhay bhi pata hay kah pata pata Khuda ki marzi say hilta hay. Hum yehaan baat kar rehay thay keh yeh khuda ka azaab hay ya aazmaaish.

          Aaap nay issay Khuda ka ghussa kaha to phir aap yeh saabit karna chahti hain kah Allah ko aggar burray kaamon main mubtila logon per gussa aaye to woh unn ko to kuch nahi karta hay, Jannat kay naam par maasoon bachay maar deta hay. Good, kaafi acha aqeeda hay aap ka. Ghair muslim sunn kar bohat khoosh hongay.

          Comment


          • #20
            Re: Warning!!

            ms rooh aap mere thread ko ghor se parhen us me hadees likhi he or me aap se koi fazool behes nahi karna chahti,aap is sab ko jese bhi lein me ise apne leay warning samjhti hun or Allah se toba karti hun or apne karda na karda gunahon ki moafi mangti hun or jo is hadse ka shikar huey un ki maghfirat ki dua karti hun.bas

            Comment


            • #21
              Re: Warning!!

              Mr-Rooh ap ki batoon per Tafseeli jawab Insha Allah jald Doon ga :)

              Comment


              • #22
                Re: Warning!!

                Originally posted by Ms. Rooh
                AAP kay jawab ka shukeria.

                Jo marr gaye, woh shaheed ho gaye, aur ab uss 1 saal 6 maheenay ki bachi ko kiya mila jo maan baap kho bethi? unn bachon ko kiya mila jinka ab koi nahi reha?

                Iss mubarak maheenay main marnay waalay maan baap kay bachay dar dar ki thokar nahi khaatay hain?
                Lagta hai dear aap ne meri bato'n ko yahan samjhi hain na hi shy ki.........
                Jo marr gayeh, jin ke maan baap marr gayeh aur jo besahara reh gayeh (aap ki nazar main) .......... kiu ke humarey aqeeday ke mutabiq humari nazar main koi tanha ho ker bhi besahara nahi rehta .......... khuda her pal her insan ke sath hota hai aur ouse jab jis waqt jis chiz ki zarorat hoti hai wo poori kerta hai ....... insan ko yaqin hona chahiye. Werna tum ne news main oun logo ko bhi dekha ho ga jo 7-8 din baad malbey se nikaley gayeh bachey bhi ......doctors ke mutabiq ek tandarust insan 6 yaan 7 din se zada is tarah bina kuch khayeh piyeh zinda nahi reh sakta ...to yeh log aur yeh bachey kasiey bach gaye ?????? yeh sab khuda ki marzi hai jis main kisi ka koi dhakal nahi. Ab aagey wo darr dar kithokrein khayein gai yaan oun ki zindagi sudhrey gi yeh sab ki khuda ki marzi hai, hum log oun ki madad ki koshish ker saktey they jo ki aur ker rahey hain.

                Originally posted by Ms. Rooh
                Aur kiya Ramzan main sirf achay log martay hain?
                Aap ne mera jawab sahi parha aur samjha hota to samajh jati main ne yeh pehley bhi kaha hai ........... kon kitna naik yaan gunah-garr hai is ka faisla hum main se koi nahi ker sakta. Yeh sab khuda janta hai, woh hi sab ki niyato'n aur dil ke halat janta hai. Ramzan mein wafat paney waley sirf achey hotey hain yaan burey issey kon judge ker sakta hai ????

                Originally posted by Ms. Rooh
                Aap zara mozoo say hutt gain, mera point kuch aur tha, aur aap Khuda ki marzi par baat lay gain, mujhay bhi pata hay kah pata pata Khuda ki marzi say hilta hay. Hum yehaan baat kar rehay thay keh yeh khuda ka azaab hay ya aazmaaish.
                Yeh khuda ka gussa tha yaan aazmaish, is per behas kerne ki gunjaish nahi, shy ne article main hadees ka hawala diya hai. Sacha musalman woh hot ahai jo apney khuda aur rasool ke ehkam aur taleemat ko suney, samjhey aur amal karey, ous main nuqtey nikal ker behas nahi.

                Originally posted by Ms. Rooh
                Aaap nay issay Khuda ka ghussa kaha to phir aap yeh saabit karna chahti hain kah Allah ko aggar burray kaamon main mubtila logon per gussa aaye to woh unn ko to kuch nahi karta hay, Jannat kay naam par maasoon bachay maar deta hay. Good, kaafi acha aqeeda hay aap ka. Ghair muslim sunn kar bohat khoosh hongay.
                Hum yahan aqeeday per behas na karein to buhut behter ho ga, mera aqeeda kya hai aur aap ka kya hai yeh hum dono behtery jantey hain aur humara khuda. Magar tum se itna zaror kahoon gi ke aisey logo ka hi imaan kamzor hota ha jo her kaam kerne se pehley yaan kisi baat per yeh sochtey hain ke non-muslim kya sochein gai ????? kis qadar tang soch ho chuki hai hum musalmano ki ke hum khuda ke ehkamat ki pairwi ki bajayeh dosrey logo ko jawab deney ki fiker zada kertey hain, jo ke muslim hain hi nahi, yaan dosrey lafzon main jinhein kafir kehtey hain, aap ko apney mazhab se zada oun ki rayeh ki perwa hai ???????

                main apney aqeedey per yaan aap ke aqeeday per behas nahi kerna chahti na kero gi.............. khush rahiyeh :rose
                sigpic

                Comment


                • #23
                  Re: Warning!!

                  PHP Code:
                  [quote=Ms. Rooh]Main zara sa ikhtilaaf karongi, dance Hollywood, Bollywood aur Lollywood waalay karen ya unn kay parastaar, aur Allah ka qehar 500 maasoom bachay aur bachion par aaye jo school main bethay parh rehay thay? 
                  
                  Kafiroon ko Janat Naseeb nahe Ho ge un ka koi Hisab kitab nahe Ho ga wo Direct Duzak may Dalay Jain gay lihaza ager wo koi Acha kam kertay hain to us ka sila un ko Dunya may Hasil Ho jata hai......Janat Muslim k liye Bani hai or Muslims k liye Dunya Aik Examination Hall say Zaida Kuch nahe :)

                  PHP Code:
                  Kiya burraai sirf Muzaffar Aabad waghera kay ilaaqay waalay kar rehay thay jo unn par Allah ka azaab naazil howa? 
                  
                  MFA k loog Ab be Nahe Sudar Rahay hain Wahan Masajid Kafi hain per koi jata nahe Aazab uder He Aita Hai Jahaan sab k sab Buri may Hoon or Nimaz na perna koi Chota Guna nahe Masajid ko Aabad na kerna koi CHota Guna nahe ( jin jin Qomoon ) per Aazab Nazil howe hain un say Sirf aik aik Galti howe or Aj Hum kitni kertay hain ? ( Bad-Nazari , Girls Parda Nahe Kerti Hain , TV, Music, Tawaif ki Tasaver Apne Gharoon ki Zinat Bani Hain, Quran ko pertay nahe sirf Ponkay Marnay k liye rkha diya hai ??????????? or yeh jo kuch hum kertay hain es k badlay may yeh kuch be nahe hai Q k es Qoom per Aazab Nazil nahe Hoga......

                  PHP Code:
                  Islamabad main kion zulzala nahi aata jin ki hukoomat ki wajja say log apnay bachay god main lay kar train kay aagay kharray ho jaata hain? 
                  
                  ISB ko GOVT nahe Hai GOVT Pak ki hai :) ur Kind Information F10-3 Margala Tower ki Area may koi ( Masjid ) Nahe or Yeh Tower Fahashi ka Main Aada be Tha or ISB ka sab say Modren Area be.......

                  PHP Code:
                  Karachi main 4 saal ki bachi kay saath badtameezi hoi to Karachi kesay bacha? 
                  
                  Karachi may or be bara kuch hota hai per karachi may Masajid Aabad hain loog Karab hain to Deen ki jainb be kai loog hain :)

                  PHP Code:
                  Punchaayat kay faislay main Mukhtaraan maai jiss ilaaqay main barbaad hoi woh kesay salaamat reha? 
                  
                  Yeh to Mukamal Darama Tha NGOS ka or kuch be nahe Ap nay Muktaraan Mai ko Dheka kisay Muskurati Hoti thei ????? or Aik baat Ba-Ezat loog Aisay Apne Aizat ka Dandora nahe Pettay jisa k inoon nay kia
                  PHP Code:
                  Zara sochen, kiya Allah itna zaalim hay (naooz billa) kah woh kisi aur kay karni ki saza maason bacho ko dega? 
                  
                  Insaan Naqis-ul-Aqal hai Ramzan ka Month + Rehmat ka Ashra :) Neek Logoon or Masoon ki Paki Thaki Baksish yeh Bachay Kamiyab Ho gahe hain in ko Aakrat Hasil Ho gahe Hai ( Allah Bheter Janta Hai )

                  Toofan e Noah main koi aik bhi maasoon dooba? Allah kay qehar say kabhi koi paakbaaz halaak howa hay? to kiya woh bachay paak nahi thay?

                  PHP Code:
                  Agha Khan board ka course Islami Jamhooria Pakistan main laanay walay bach jaatay hain aur door kisi pahaari main rehnay walay ghareeb ki bachi marr jaati hay.... Sonia kay saath burra sulook karnay walay police walay ko aanch nahi aati aur Maansuhra main apnay maan baap ka iklota bacha deewaar kay neechay dabb kar mar jaata hay.... Allah ka insaaf andhaa to nahi... Allah ka qehar mujrimon kay liay hoga, maasoomon kay liay nahi. 
                  
                  Dooor say Mountain Bohat Achay Lagtey Hain :) In Logoon k Paas Sakoon nahe Hai Allah ki Lathi Be-Aawaz hai koi Zaaalim insaaan Allah k Insaaf say Bach nahe Sakta hai :)
                  Last edited by *Roomi*; 17 October 2005, 16:53.

                  Comment


                  • #24
                    Re: Warning!!

                    Mey ney aap sab key replies perhey aur aik baat mey yahan kehna chahun gi
                    sirf yahan nahi ye saari baatein mey apney ird gird bhi sun rahi hun jab koi log issey azaab aur koi issey azmaish kah raha hai
                    deykhein shy ney is thread ka title warning jahan tak meyri apni samjh hai isi liye rakha hai key hum kuch seekh lein jo kuch hua us sey....kya mey sahih hun shy??
                    ab azaab aur azmaish ki baat ki taraf aatey hein, plz apney liye mushkilaat mat paida kiya karein
                    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                    Comment


                    • #25
                      Re: Warning!!

                      g barg-e-gul aap theek samjhen hen,me ne ye hadees parhi n share ki ta ke ham jo log bach gaey hen wo toba karen kiun ke ham sab aaj bohat dher sari burayon me mubtila hen or ehsas bhi nahi ke jo kar rahe hen wo Allah ko naraz kare ga,me ne na ksi area ka nam lia ke wahan ye hota tha ya wo hota tha v simply aik hadees btai or hadees par to ham ko ankh band kar ke yakeen karna he na.so jo log bila waja ki behes me par gaey hen un se yehi kahun gi plzz jo baat kehne ki koshish ki ja rahi he us ko samjhen or hujat bazi se parhez karen.

                      Comment


                      • #26
                        Re: Warning!!

                        Ms. Rooh aap iss mozou ke peechhey bahas kyon karne lagin, Shy ne jo kuchh likha wo to unka view hai unka thought, aur ham se bahut se log unke iss thought ko accept kartey hain,
                        Waqtan fauqtan Allah ka qahar se hamein warning hi milta hai, hollywood, bollywood, dance aur gunah in sab ko ek taraf rakhen, apna ama'al apne saath hai na ke ham kaafiron se apne aap ko muqabla karen, agar koi khinjir ka gosht khata hai, sharab pita hai gunah sare aam karta hai, wahan Allah ka azab nahin hai ti iska matlab yeh nahin ke Masjidon ko abaad karne wala musalman bhi uska naqal kare.

                        Dusri baat Zalim ne bhi saHi kaha hai ke kafiron ko kabhi hidayat nahin milta
                        Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
                        Hamarey naam ka patthar zaroor milega

                        Comment


                        • #27
                          Re: Warning!!

                          Originally posted by shy
                          ms rooh aap mere thread ko ghor se parhen us me hadees likhi he or me aap se koi fazool behes nahi karna chahti,aap is sab ko jese bhi lein me ise apne leay warning samjhti hun or Allah se toba karti hun or apne karda na karda gunahon ki moafi mangti hun or jo is hadse ka shikar huey un ki maghfirat ki dua karti hun.bas
                          Ab zara note kejiay aap, kahan to aap logon ko Allah kay azaab say darra rehi theen, aur main nay jab aap say Quran or Hadees kay hawaalay say baat ki to woh aap ko FAZOOL BEHAS laggi. Ab jo log Quran or Hadees kay hawaalon ko FAZOOL BEHAS qarraar den unn kay baaray main aap ko WARNING post karengi?

                          Aap kay paas daleel nahi hay, werna aap meray jawaab ko fazool na qarraar deten.

                          Comment


                          • #28
                            Re: Warning!!

                            Originally posted by Saima Shaheen
                            Lagta hai dear aap ne meri bato'n ko yahan samjhi hain na hi shy ki.........
                            Jo marr gayeh, jin ke maan baap marr gayeh aur jo besahara reh gayeh (aap ki nazar main) .......... kiu ke humarey aqeeday ke mutabiq humari nazar main koi tanha ho ker bhi besahara nahi rehta .......... khuda her pal her insan ke sath hota hai aur ouse jab jis waqt jis chiz ki zarorat hoti hai wo poori kerta hai ....... insan ko yaqin hona chahiye. Werna tum ne news main oun logo ko bhi dekha ho ga jo 7-8 din baad malbey se nikaley gayeh bachey bhi ......doctors ke mutabiq ek tandarust insan 6 yaan 7 din se zada is tarah bina kuch khayeh piyeh zinda nahi reh sakta ...to yeh log aur yeh bachey kasiey bach gaye ?????? yeh sab khuda ki marzi hai jis main kisi ka koi dhakal nahi. Ab aagey wo darr dar kithokrein khayein gai yaan oun ki zindagi sudhrey gi yeh sab ki khuda ki marzi hai, hum log oun ki madad ki koshish ker saktey they jo ki aur ker rahey hain.



                            Aap ne mera jawab sahi parha aur samjha hota to samajh jati main ne yeh pehley bhi kaha hai ........... kon kitna naik yaan gunah-garr hai is ka faisla hum main se koi nahi ker sakta. Yeh sab khuda janta hai, woh hi sab ki niyato'n aur dil ke halat janta hai. Ramzan mein wafat paney waley sirf achey hotey hain yaan burey issey kon judge ker sakta hai ????



                            Yeh khuda ka gussa tha yaan aazmaish, is per behas kerne ki gunjaish nahi, shy ne article main hadees ka hawala diya hai. Sacha musalman woh hot ahai jo apney khuda aur rasool ke ehkam aur taleemat ko suney, samjhey aur amal karey, ous main nuqtey nikal ker behas nahi.



                            Hum yahan aqeeday per behas na karein to buhut behter ho ga, mera aqeeda kya hai aur aap ka kya hai yeh hum dono behtery jantey hain aur humara khuda. Magar tum se itna zaror kahoon gi ke aisey logo ka hi imaan kamzor hota ha jo her kaam kerne se pehley yaan kisi baat per yeh sochtey hain ke non-muslim kya sochein gai ????? kis qadar tang soch ho chuki hai hum musalmano ki ke hum khuda ke ehkamat ki pairwi ki bajayeh dosrey logo ko jawab deney ki fiker zada kertey hain, jo ke muslim hain hi nahi, yaan dosrey lafzon main jinhein kafir kehtey hain, aap ko apney mazhab se zada oun ki rayeh ki perwa hai ???????

                            main apney aqeedey per yaan aap ke aqeeday per behas nahi kerna chahti na kero gi.............. khush rahiyeh :rose
                            Acha, aggar woh aap kay aqeeday kay mutaabiq besahaara nahi howay to phir hum log unn ki maddad kion kar rehay hain? Maddad to ussi ki ki jaati hay na jiss kay saath koi masla ho?

                            Aap phir baat ko doosri taraf lay gain, mera point yeh hay kah yeh Allah ka azaab nahi, balkah uss ka imtihaan hay jo woh hum say leta tha, hay aur leta rehay ga. Baaqi aap ki kitaabi baaten hain jo main khood bhi keh sakti hoon, aap woh baat karen jiss par yehan behas ho rehi hay.

                            Aap keh rehi hain kah koi nek hay ya gunaah gaar yeh faisla sirf Allah kar sakta hay to phir iss topic ko shoro say parh len, iss main gaana gaanay, bajanay, basant manaanay walay... waghera waghera, ko burra kesay keh diya? Aap nay yeh faisla Allah par kion nahi chhora, ho sakta hay Allah ki nazar main woh aap say behter hoon? Kion, hay na?

                            Aap ki nazaron main sirf shy ki bataai Hadees ki ahmiyat hay? Main nay Hadeess kay ilaawa Quran ki aayat bhi tehreer kar di, aap ko woh nazar nahi aai?

                            Comment


                            • #29
                              Re: Warning!!

                              [quote=Zaal!m]
                              PHP Code:
                              [quote=Ms. Rooh]Main zara sa ikhtilaaf karongi, dance Hollywood, Bollywood aur Lollywood waalay karen ya unn kay parastaar, aur Allah ka qehar 500 maasoom bachay aur bachion par aaye jo school main bethay parh rehay thay?[/quote] 
                              
                              Originally posted by Ms. Rooh
                              Kafiroon ko Janat Naseeb nahe Ho ge un ka koi Hisab kitab nahe Ho ga wo Direct Duzak may Dalay Jain gay lihaza ager wo koi Acha kam kertay hain to us ka sila un ko Dunya may Hasil Ho jata hai......Janat Muslim k liye Bani hai or Muslims k liye Dunya Aik Examination Hall say Zaida Kuch nahe :)

                              Rooh ka jawab "Janab Zaalim sahib, aap nay kiya parha aur kiya jawab diya? Main nay kaha likha hay kah jannat kaafiron ko milay gi? unn say hisaab kitab ka kisa bhi aap lay kar beth gaye, main nay to iss mozo par kuch nahi kaha.

                              Bollywood aur Lollywood main kiya Musalmaan nahi hain? aap nay to aik hee waar main sub ko kaafir qarraar day diya, jab keh Saima Shaheen bhi keh rehi hain kah sirf Allah jaanta hay kon kitna gunaah gaar hay.

                              PHP Code:
                              Kiya burraai sirf Muzaffar Aabad waghera kay ilaaqay waalay kar rehay thay jo unn par Allah ka azaab naazil howa? 
                              
                              MFA k loog Ab be Nahe Sudar Rahay hain Wahan Masajid Kafi hain per koi jata nahe Aazab uder He Aita Hai Jahaan sab k sab Buri may Hoon or Nimaz na perna koi Chota Guna nahe Masajid ko Aabad na kerna koi CHota Guna nahe ( jin jin Qomoon ) per Aazab Nazil howe hain un say Sirf aik aik Galti howe or Aj Hum kitni kertay hain ? ( Bad-Nazari , Girls Parda Nahe Kerti Hain , TV, Music, Tawaif ki Tasaver Apne Gharoon ki Zinat Bani Hain, Quran ko pertay nahe sirf Ponkay Marnay k liye rkha diya hai ??????????? or yeh jo kuch hum kertay hain es k badlay may yeh kuch be nahe hai Q k es Qoom per Aazab Nazil nahe Hoga......

                              Rooh ka jawab: "Masha Allah, aap to bohat hee achay musalmaan hain, aap nay naa jaanay kesay pata chala liya kah Muzafarabad kay log sudhar bhi rehay hain ya nahi. Aap nay kaha kah azaab waheen aata hay jahan sub kay sub buraai main mubtila hoon, janab aap waqai barray Zaalim niklay, werna aap ko unn masoom bachon kay kirdaar par shak karnay say pehlay dukh zaroor hota jo zulzalay main jaan say haath dho bethay. Jo jo marra woh sub aap ki nazar main gunahgaar thehra, jab kay Allah ka farmaan to yeh hey kah Zulzalay main marnay walay shaheed hotay hain.

                              Aap ki baaten Allah maaf hee karay, toba.

                              PHP Code:
                              Islamabad main kion zulzala nahi aata jin ki hukoomat ki wajja say log apnay bachay god main lay kar train kay aagay kharray ho jaata hain? 
                              
                              ISB ko GOVT nahe Hai GOVT Pak ki hai :) ur Kind Information F10-3 Margala Tower ki Area may koi ( Masjid ) Nahe or Yeh Tower Fahashi ka Main Aada be Tha or ISB ka sab say Modren Area be.......

                              Lejiay, kitnay zaheen niklay aap, foren bata diya Govt. Islamaabad ki nahi, Pakistan ki hay, zara ghor say parhiay meri baat, mera matlab tha kah jo log Isb main bethay hain Govt. main. :tauba

                              Aur barbaadi say meri muraad thi khood woh buildings girten jahan wazeer rehtay hain :tauba :tauba konsay school main parhay hain aap?

                              PHP Code:
                              Karachi main 4 saal ki bachi kay saath badtameezi hoi to Karachi kesay bacha? 
                              
                              Karachi may or be bara kuch hota hai per karachi may Masajid Aabad hain loog Karab hain to Deen ki jainb be kai loog hain :)

                              Yaa Allah, bhai aap meri samajh say baahar hain, aap ko bachi kay saath behrehmi aur masjid aabad na karnay main farq nahi mehsoos ho reha?

                              PHP Code:
                              Punchaayat kay faislay main Mukhtaraan maai jiss ilaaqay main barbaad hoi woh kesay salaamat reha? 
                              
                              Yeh to Mukamal Darama Tha NGOS ka or kuch be nahe Ap nay Muktaraan Mai ko Dheka kisay Muskurati Hoti thei ????? or Aik baat Ba-Ezat loog Aisay Apne Aizat ka Dandora nahe Pettay jisa k inoon nay kia

                              Are you ok? yeh baaten likhtay waqt aap ki zehni haalat kesi thi bhai jaan? meri samajh main nahi aareha kah aapki inn fazool soch ka kiya jawab doon.

                              PHP Code:
                              Zara sochen, kiya Allah itna zaalim hay (naooz billa) kah woh kisi aur kay karni ki saza maason bacho ko dega? 
                              
                              Insaan Naqis-ul-Aqal hai Ramzan ka Month + Rehmat ka Ashra :) Neek Logoon or Masoon ki Paki Thaki Baksish yeh Bachay Kamiyab Ho gahe hain in ko Aakrat Hasil Ho gahe Hai ( Allah Bheter Janta Hai )

                              Yeh bachay kaamiyaab ho gaye to aap kion jannat say peechay reh gaye? Aap bhi line main lag jaain, aap ko janat nahi chaiay?

                              Toofan e Noah main koi aik bhi maasoon dooba? Allah kay qehar say kabhi koi paakbaaz halaak howa hay? to kiya woh bachay paak nahi thay?

                              PHP Code:
                              Agha Khan board ka course Islami Jamhooria Pakistan main laanay walay bach jaatay hain aur door kisi pahaari main rehnay walay ghareeb ki bachi marr jaati hay.... Sonia kay saath burra sulook karnay walay police walay ko aanch nahi aati aur Maansuhra main apnay maan baap ka iklota bacha deewaar kay neechay dabb kar mar jaata hay.... Allah ka insaaf andhaa to nahi... Allah ka qehar mujrimon kay liay hoga, maasoomon kay liay nahi. 
                              
                              Dooor say Mountain Bohat Achay Lagtey Hain :) In Logoon k Paas Sakoon nahe Hai Allah ki Lathi Be-Aawaz hai koi Zaaalim insaaan Allah k Insaaf say Bach nahe Sakta hai :)
                              Zaalim bhai, main nay ghair muslims ki baaten bhi suni aur unn ki Islam par tanqeed bhi, lakin main kasam khaa kar keh sakti hoon kah main nay jo kuch aik MUSALMAAN say sunna hay aaj, woh unn sub ghair Muslims ki tanqeed say ziyada zehreela hay.

                              Allah hee maaf karay mujhay jo main nay yeh sub parha.

                              Aainda aap ki koi post nahi parhongi. Insha Allah

                              Comment


                              • #30
                                Re: Warning!!

                                Originally posted by Spy009
                                Ms. Rooh aap iss mozou ke peechhey bahas kyon karne lagin, Shy ne jo kuchh likha wo to unka view hai unka thought, aur ham se bahut se log unke iss thought ko accept kartey hain,
                                Waqtan fauqtan Allah ka qahar se hamein warning hi milta hai, hollywood, bollywood, dance aur gunah in sab ko ek taraf rakhen, apna ama'al apne saath hai na ke ham kaafiron se apne aap ko muqabla karen, agar koi khinjir ka gosht khata hai, sharab pita hai gunah sare aam karta hai, wahan Allah ka azab nahin hai ti iska matlab yeh nahin ke Masjidon ko abaad karne wala musalman bhi uska naqal kare.

                                Dusri baat Zalim ne bhi saHi kaha hai ke kafiron ko kabhi hidayat nahin milta
                                Agar shy nay jo likha woh unka view or thought tha to jo main nay likha woh bhi to mera view aur thought hay na? Aap ghor karen to aap ka rawaya double standards wala hay na?

                                Shy kuch kahay to woh unn ka view aur thought, main kuch kahoon to woh behas?

                                Aik aur double standard yeh kah aggar aap yeh samajhtay hain kah bollywood aur lollywood ko aik taraf rakh kar hum ko apna amal dekhna chahiay to bhai aap nay yeh baat Shy ki post parh kar kion nahi kahi kah Basant waghera jo manaatay hain unn ko aik taraf rakh kar humen apna ammal dekhna chahiay?

                                Kion hay na aap ka double standard?

                                Zalim nay jo kaha aap nay uss ki daad farma di, lakin main nay kab kaha kah kafiron ko hidyaat milti hay? zara woh text mujhay quote to kar den. Ya phir Lollywood aur Bollywood main sub kaafir hain? zara yeh saaf keh den to phir main jo hadees sunaaongi woh parh lena kah Musalamaan ko kafir qarraar dena kitna barra gunaah hay.

                                Wesay Zalim nay aur bhi bohat si baaten ki hain, aap nay uss kay baaray main kuch nahi farmaaya?

                                Double standard na?

                                Comment

                                Working...
                                X