Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Warning!!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Warning!!


  • #2
    Re: Warning!!

    buhat hee khubsurat baat kee hay
    aap ny 100% sahee baat kee hay
    hum sab kuch janty huy b farar kee rah talash kerty hain
    ALLAH aap ko es ka ajer aur sab ko sahee rasty per chalny kee himat dy

    Comment


    • #3
      Re: Warning!!

      Originally posted by khl
      buhat hee khubsurat baat kee hay
      aap ny 100% sahee baat kee hay
      hum sab kuch janty huy b farar kee rah talash kerty hain
      ALLAH aap ko es ka ajer aur sab ko sahee rasty per chalny kee himat dy
      ameen n thanxx

      Comment


      • #4
        Re: Warning!!

        abhi bhi waqt hai hamare samjhne ka ...!

        ~Main tu samjha tha ke lout atey hain janey waley
        tu ney jaker tu judai meri qismat karde...~

        Comment


        • #5
          Re: Warning!!

          :jazak: ......... buhut sach likha hai shy .......... Khuda taa'la humein apni hifz-o-amaan main rakhey aur hidayat dai, Ameen
          sigpic

          Comment


          • #6
            Re: Warning!!

            Main zara sa ikhtilaaf karongi, dance Hollywood, Bollywood aur Lollywood waalay karen ya unn kay parastaar, aur Allah ka qehar 500 maasoom bachay aur bachion par aaye jo school main bethay parh rehay thay?

            Kiya burraai sirf Muzaffar Aabad waghera kay ilaaqay waalay kar rehay thay jo unn par Allah ka azaab naazil howa?

            Islamabad main kion zulzala nahi aata jin ki hukoomat ki wajja say log apnay bachay god main lay kar train kay aagay kharray ho jaata hain?

            Karachi main 4 saal ki bachi kay saath badtameezi hoi to Karachi kesay bacha?

            Punchaayat kay faislay main Mukhtaraan maai jiss ilaaqay main barbaad hoi woh kesay salaamat reha?

            Zara sochen, kiya Allah itna zaalim hay (naooz billa) kah woh kisi aur kay karni ki saza maason bacho ko dega?

            Toofan e Noah main koi aik bhi maasoon dooba? Allah kay qehar say kabhi koi paakbaaz halaak howa hay? to kiya woh bachay paak nahi thay?

            Agha Khan board ka course Islami Jamhooria Pakistan main laanay walay bach jaatay hain aur door kisi pahaari main rehnay walay ghareeb ki bachi marr jaati hay.... Sonia kay saath burra sulook karnay walay police walay ko aanch nahi aati aur Maansuhra main apnay maan baap ka iklota bacha deewaar kay neechay dabb kar mar jaata hay.... Allah ka insaaf andhaa to nahi... Allah ka qehar mujrimon kay liay hoga, maasoomon kay liay nahi.

            Allah Taala ka farmaan hay kah woh humen aazmaaye ga... jaan lay kay, maal lay kay, Aulaad ka dukh day kay, maan baap chheen kay, aur dekhay ga kah kon hay jo saabir o shaakir rehta hay.

            Comment


            • #7
              Re: Warning!!

              Allah kabhi bhi zalim nahi ho sakta,yakinan wo bohat rehem karne wala he,or us ke kiis kaam me kia maslehet he ham nahi soch sakte,na us se shikayat kar sakte hen na shikwa.masoom bachon ko dekh kar konsa esa dil he jo khoon ke ansoo na rota ho lekin Allah jo 70 mothers se zeada piyar karta he ham se kia maloom us ne is me kia hikmat poshida rakhi he.un masoom bachon ko is haal me dekhna hmare leay kisi saza se kam to nahi:(

              Comment


              • #8
                Re: Warning!!

                :jazak: :masha app ki likhi threre sabaq amooaz hoti hain .khossh rahoo jahan bhi rahoo:insha:







                Comment


                • #9
                  Re: Warning!!

                  MashaAllah Shy boht hi sabeq amooz article likha hey aap ne...........Allah Ta'ala hum sub ko hadayet day, sirate mustaqeem per chalnay ki taufiq ata farmaye aur buraiyon se bachnay ki himmat ata karay ,,,, ameen

                  Comment


                  • #10
                    Re: Warning!!

                    Originally posted by nice man
                    :jazak: :masha app ki likhi threre sabaq amooaz hoti hain .khossh rahoo jahan bhi rahoo:insha:
                    bohat shukria

                    Comment


                    • #11
                      Re: Warning!!

                      Originally posted by Muskan
                      MashaAllah Shy boht hi sabeq amooz article likha hey aap ne...........Allah Ta'ala hum sub ko hadayet day, sirate mustaqeem per chalnay ki taufiq ata farmaye aur buraiyon se bachnay ki himmat ata karay ,,,, ameen
                      ameen n thanxx

                      Comment


                      • #12
                        Re: Warning!!

                        Originally posted by shy
                        Allah kabhi bhi zalim nahi ho sakta,yakinan wo bohat rehem karne wala he,or us ke kiis kaam me kia maslehet he ham nahi soch sakte,na us se shikayat kar sakte hen na shikwa.masoom bachon ko dekh kar konsa esa dil he jo khoon ke ansoo na rota ho lekin Allah jo 70 mothers se zeada piyar karta he ham se kia maloom us ne is me kia hikmat poshida rakhi he.un masoom bachon ko is haal me dekhna hmare leay kisi saza se kam to nahi:(
                        To phir aap nay issay warning kesay qarraar diya?

                        Allah ka azaab sirf uss qom par aaya hay jo poori kay poori buraai main mubtila ho gai thi, Qom e Aad, Qom e Samood, yeh poori qomen hee buraai main masroof thi, tabhi inn par Allah nay apna azaab naazil kiya.

                        Allah kabhi kisi qom ko iss wajjah say azaab nahi deta kah uss ki akseriyat ya aqliyat gunaahon main mubtila thi. Aggar aisa howa hay to mujhay aik misaal to dey kar saabit karen.

                        Nabi e Kareem (SAW) ko Rehmat Ul Lil Aalameen kaha gaya hay, aur Allah kabhi apnay payaray Nabi ki ummat ko uss waqt tak azaab main mubtila nahi karega jab tak kah uss main aik bhi Allah aur Nabi (SAW) par darood parhnay wala baaqi hay.

                        Comment


                        • #13
                          Re: Warning!!

                          Yehaan jo log iss topic par daad day rehay hain, unn say meri aik darkhowaast hay, Quran kehta hay "Tafakaroo", yaani ghor kiya karo.

                          Zara ghor to farmaain, iss waqaye main koi aik dancer, singer, actor, actress halaak hoi? Katrina aur Rita ka qehar Mississippi main aaya jahan ghareeb aur black log rehtay hain, naach gaana to Hollywood main ho reha tha, woh kesay bach gaya?

                          Bollywood bay hayaai ka monh bolta ishtihaar bana howa hay aur Zulzala Ahmedabad (India) main aaya, hay na?

                          Behooda raqs aur zoo maani gaanay gaanay walay Lollywood aur Stage waghera par bethay hain aur door kaheen pehaaron par bakriyaan charaanay deewaaron tallay dubb kar marr gaye, kion?

                          Yeh kesa azaab hay, yeh kesa qehar hay jo gunaah gaaron ko chhor kar maasoon logon say unn kay maan baap, behan bhai aur betay betiyaan chheen leta hay?

                          Yeh azaab nahi, yeh aazmaaish hay, Allah ka farmaan hay kah woh hum say aazmaaish lega.

                          Azaab ki baaten karnay walay Allah ko (Naooz billah) Naa Insaaf saabit karnay ki naa kaam koshish kar rehay hain.

                          Comment


                          • #14
                            Re: Warning!!

                            Originally posted by Ms. Rooh
                            Main zara sa ikhtilaaf karongi, dance Hollywood, Bollywood aur Lollywood waalay karen ya unn kay parastaar, aur Allah ka qehar 500 maasoom bachay aur bachion par aaye jo school main bethay parh rehay thay?

                            Kiya burraai sirf Muzaffar Aabad waghera kay ilaaqay waalay kar rehay thay jo unn par Allah ka azaab naazil howa?

                            Islamabad main kion zulzala nahi aata jin ki hukoomat ki wajja say log apnay bachay god main lay kar train kay aagay kharray ho jaata hain?

                            Karachi main 4 saal ki bachi kay saath badtameezi hoi to Karachi kesay bacha?

                            Punchaayat kay faislay main Mukhtaraan maai jiss ilaaqay main barbaad hoi woh kesay salaamat reha?

                            Zara sochen, kiya Allah itna zaalim hay (naooz billa) kah woh kisi aur kay karni ki saza maason bacho ko dega?

                            Toofan e Noah main koi aik bhi maasoon dooba? Allah kay qehar say kabhi koi paakbaaz halaak howa hay? to kiya woh bachay paak nahi thay?

                            Agha Khan board ka course Islami Jamhooria Pakistan main laanay walay bach jaatay hain aur door kisi pahaari main rehnay walay ghareeb ki bachi marr jaati hay.... Sonia kay saath burra sulook karnay walay police walay ko aanch nahi aati aur Maansuhra main apnay maan baap ka iklota bacha deewaar kay neechay dabb kar mar jaata hay.... Allah ka insaaf andhaa to nahi... Allah ka qehar mujrimon kay liay hoga, maasoomon kay liay nahi.

                            Allah Taala ka farmaan hay kah woh humen aazmaaye ga... jaan lay kay, maal lay kay, Aulaad ka dukh day kay, maan baap chheen kay, aur dekhay ga kah kon hay jo saabir o shaakir rehta hay.

                            Tumhari batein sahi hain dear, magar wo masoom jo is ka shikar huwey hain wo shaheed hain, aur khuda ne is Mubarak mahiney main ounhein paney pass bulaney ka faisla kiya to yeh ous ki marzi. Rahi baat yeh ke baqi log jo is ka shikar huwey hain wo gunaha gaar they, hain yaan nahi yeh khuda behtery janta hai. Oun ke muqabley main hum kitney gunah gaar hain yeh bhi khuda janta hai. Magar aazmaish bhi to khuda ki taraf se aati hai na, aur yeh baat bhi ous paak zaat ne khudh hi kahi hai ke jo banda ousey pasand hota hai wo ousey hi azmaish main dal'ta hai. Bas khuda se dua hi ker saktey hain ke ager yeh ous ka gussa tha to humari khatao'n ko moaf karey aur rah-e-rast per gamzan karey, aur ager azmaish to himat aur hosla dai, aur sabr-o-shuker ki taufeeq.
                            sigpic

                            Comment


                            • #15
                              Re: Warning!!

                              Originally posted by Ms. Rooh
                              To phir aap nay issay warning kesay qarraar diya?

                              Allah ka azaab sirf uss qom par aaya hay jo poori kay poori buraai main mubtila ho gai thi, Qom e Aad, Qom e Samood, yeh poori qomen hee buraai main masroof thi, tabhi inn par Allah nay apna azaab naazil kiya.

                              Allah kabhi kisi qom ko iss wajjah say azaab nahi deta kah uss ki akseriyat ya aqliyat gunaahon main mubtila thi. Aggar aisa howa hay to mujhay aik misaal to dey kar saabit karen.

                              Nabi e Kareem (SAW) ko Rehmat Ul Lil Aalameen kaha gaya hay, aur Allah kabhi apnay payaray Nabi ki ummat ko uss waqt tak azaab main mubtila nahi karega jab tak kah uss main aik bhi Allah aur Nabi (SAW) par darood parhnay wala baaqi hay.
                              aaj konsi esi burai he jo ham me nahi he?loot ghasoot,be eemani,milawat,rishwat,dhoka bazi,hirs,nafsa nafsi,islam se doori,be hayai ke kamon me barh charh kar hisa lena(fun ke naam par)akher aap kia chahte hen ke ye sab jo hua wo kia tha phir?ye Allah ki warning hi he mohtarm,ke ab bhi sambhal jao,ab ye to apni apni soch par munhasir he ke koi ise kese leta he,Allah ki warning samjh kar toba estafghaar karta he or apna muhasiba karta he ya ab bhi kisi ghalat fehmi me mubtila ho kar mazeed Allah ke ghuse ko awaz deta he.
                              hazrat Ali ka irshad he ke nahi nazil hoti koi bala mager gunahon ke sabab,nahi door hoti koi museebat-o-balaa magar toba ki waja se.to ye waqt toba ka he apni gini chuni kisi neki ko samne rakh kar ye kehne ka nahi ke ham me kuch ache log hen jin ki waja se ham par azab nahi aey ga,baaz time gunah itne barh jate hen ke jab saza milti he to ache bure sab us me aa jate hen.haan ache log shaheed ka darja pate hen or gunah gaar apni saza ko pohanchte hen,in me bhi be shumaar shaheed hen.
                              wese ye baat me ne apni taraf se nahi kahi thi jo aap mujh se pooch rahe hen ye hadees he or ghor karen ke is me kia kaha gya or or ham sab poori qoam kahan khare hen??

                              Comment

                              Working...
                              X