Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Kala bagh dam ?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Kala bagh dam ?

    Assalamalikum
    Zardari nay kala bagh dam ka mansooba khutem kar dia ....acha kia ya ghalat ?:)
    14
    sahi kia
    14.29%
    2
    ghalat kia
    64.29%
    9
    pata nahi...
    21.43%
    3
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

  • #2
    Re: Kala bagh dam ?

    Walaikum ASsalam Aanchal Sahiba..

    Dam Mulk Ki Mu'aashi Taraqqi Main Ehem Kirdaar Ada Karta Hai..

    Lekin Dam Ki Ta'meer K Liye Mulk K Tamaam SoboN (KhuSooSan" ZereeN SoboN) Ki RaZa-mandi Zaroori Hoti Hai.. Ijaazat K Baad Us Ki Drawing Aur Location K Havaalay Se Bhi SoboN Ko E'timaad Main Liya Jaata Hai..

    --

    Kaala Baagh Dam !!

    Kaala Baagh Dam K Havaalay Se Pakistan K 4 SoboN Main Se 3 SoboN Ko TaHaffuz^aat HaiN.. Aur Phir Is Ki Drawing Aisi Banaayi Gayi Hai K Is Se SIRF Aik Soobay Ko Faaida Aur Baaqi 2 Ko Bhaari NuqSaan Puhanch Sakta Hai.. Jub K Aik Sobay Ko Koi KhaaS Masla Paish Nahi Aana..

    --

    Zardari Ki T^araf Se Kaala Baagh Dam Ka ManSooba Khatam Karna Meray Nazdeek To Khush-Aaind Baat Hai..

    Shukriya.
    Muflisi K DinoN Main Jo BichhaR Gaya Mujh Se
    Usay Talaash KarooNga Main Naukari Ki T^arah..

    Comment

    • #3
      Re: Kala bagh dam ?

      Wa Alaikum Assalam ,
      Ghalat kiya :lpop:

      dams ban'nay detay nhin phir rotay hain bijli ko :fuming:
      Last edited by Eshaa Chaudhry; 5 June 2008, 00:21.
      sigpic

      Comment

      • #4
        Re: Kala bagh dam ?

        As far I know, there is an alternative plan.

        If I'm wrong, they do have a plan to build multiple smaller dams, instead of a big dam. And I think, that would be more easy to manage the distribution of power and water and this will also save a big area of line coming under water and so now people in that area would not affected as they were pointing out.

        Last edited by Farrukh; 5 June 2008, 10:32.
        -*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-

        Comment

        • #5
          Re: Kala bagh dam ?

          Originally posted by Farrukh View Post
          As far I know, there is an alternative plan.

          If I'm wrong, they do have a plan to build multiple smaller dams, instead of a big dam. And I think, that would be more easy to manage the distribution of power and water and this will also save a big area of line coming under water and so now people in that area would not affected as they were pointing out.
          Kaan idhar se pakro ya udhar se baat aik hi hai ... yahan bhi kuch na kuch ho jaey ga daikh lena
          sigpic

          Comment

          • #6
            Re: Kala bagh dam ?

            Originally posted by sccorpion81 View Post
            Kaan idhar se pakro ya udhar se baat aik hi hai ... yahan bhi kuch na kuch ho jaey ga daikh lena
            Yeh ab depend karta hay Politicians aur Leaders par key wo kia kartay hain.

            Laikin Kam Az Kam aik alternative plan hay to na. Ho sakta hay Zardari na kary to Nawaz Sharif kar day.
            -*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-

            Comment

            • #7
              Re: Kala bagh dam ?

              ghalat kiya
              ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

              Comment

              • #8
                Re: Kala bagh dam ?

                Originally posted by Farrukh View Post
                As far I know, there is an alternative plan.

                If I'm wrong, they do have a plan to build multiple smaller dams, instead of a big dam. And I think, that would be more easy to manage the distribution of power and water and this will also save a big area of line coming under water and so now people in that area would not affected as they were pointing out.
                to jab woh dam ban jatay tab yeh project khutem kartay to baat banti the ...kay ab thee thaak bijli peda hoo rahi hai or is dam ki zarorat nahi isay khutem kar deena chaye ....jab woh mansoobay bhi wesay paraay hain or yeh mansooba bhi khutem kar dia is ki tuk nahi banti the :)
                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                Comment

                • #9
                  Re: Kala bagh dam ?

                  Hamarey mulk mein jahan lakhon problems hain wahan per aik yeh bhi hai keh Information deney aur ussey samajhney ki khatir khawa kami hai. Na samjhaney waley theek tarha sey samjha patey hain aur na samajhney waley samajhtey hain - sab sey pehla kaam jo ham log kartey hain woh mukhalfat hai aur is mein aa ker kaii aik projects khatam kar detey hain - ghalt huwa!
                  tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                  tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                  Comment

                  • #10
                    Re: Kala bagh dam ?

                    Originally posted by Masood View Post
                    Hamarey mulk mein jahan lakhon problems hain wahan per aik yeh bhi hai keh Information deney aur ussey samajhney ki khatir khawa kami hai. Na samjhaney waley theek tarha sey samjha patey hain aur na samajhney waley samajhtey hain - sab sey pehla kaam jo ham log kartey hain woh mukhalfat hai aur is mein aa ker kaii aik projects khatam kar detey hain - ghalt huwa!

                    ASsalam U Alaikum Masood Sahib..

                    Kisi Muaamlay Par Beja Mukhaalfat Koi Karta Hai To Samajh Lijiye K Us Ki Tarbiyat Main Koi Kami Reh Gayi Hai.. Ya Phir Voh Apnay Mufaad Ko Ziyaadah Ehem Jaanta Hai DosroN K Mufaad K Aagay..

                    Khair.. Pichhli Hukoomat Main Sindh K Vazeer-E-Aala Ghulam Arbab Raheem Nai Bhi Kaala Baagh Dam K Havaalay Se Aik Vaqt Par Soobay Ki T^araf Se TaHaffuz^aat Ka Zikar Kiya Tha.. Lekin Thay To Voh Musharraf Family Se.. Is Liye Aglay Din Hi Bayaan Tabdeel Karna PaR Gaya.. Na Kartay To Itni Dair Se Nahi.. Bulkai Un K Apnay Daur-E-Hukoomat Main Hi Musharraf Ka Joota PaR Jaata..

                    Dam Chaahay Koi Bhi Ho.. Us Ki Ta'meer Se Pehlay SooboN Se Ijaazat, Location Aur Drawing Par Discussion Aur Phir Maahireen Se Madad Lena Zaroori Hai.. Yeh CheezeN Is Had Tak Zaroori HaiN K Ba'aZ Mumaalik Main In Step By Step Iqdaamaat Ko Qanoon Ka Darjah HaaSil Hai..

                    Kaala Bagh Dam K Havaalay Se SoboN Ko TaHaffuz^aat HaiN.. Aur Is Havaalay Se Siyaasat'daanoN Ko To ChhoRiye.. Aabi Zakhayir K Mahireen, Zarrayi Maahireen Aur Nehri Nizaam K Mahireen Ko Bhi TaHaffuz^aat HaiN.. Aur T.V Channels Par Is ManSoobay Par BeHec Mubaahicay K Prog Chaltay Rahay HaiN.. Jin Main Mukhaalifat BaRh ChaRh Kar Dekhi Gayi Hai..

                    Jub Kisi ManSoobay Par Is Qadar Ikhtilaaf-E-Raaye Paaya Jaata Ho To Behtar Yehi Lagay Ga K Usay Khatam Kar K Mahireen Se Mashvarah Kar K Koi Mutabaadil Raasta Apnaaya Jaye..

                    Shukriya.
                    Muflisi K DinoN Main Jo BichhaR Gaya Mujh Se
                    Usay Talaash KarooNga Main Naukari Ki T^arah..

                    Comment

                    • #11
                      Re: Kala bagh dam ?

                      Originally posted by Aanchal View Post
                      to jab woh dam ban jatay tab yeh project khutem kartay to baat banti the ...kay ab thee thaak bijli peda hoo rahi hai or is dam ki zarorat nahi isay khutem kar deena chaye ....jab woh mansoobay bhi wesay paraay hain or yeh mansooba bhi khutem kar dia is ki tuk nahi banti the :)

                      Aanchal Sahiba..

                      Agar Aap Meri Pichhli Post Dekh LeNgi To Kaafi Had Tak Aap Ko Is ManSoobay Ko Khatam Karnay Ki Vujoohaat Samajh AajayeNgi..

                      Sada Khush RaheN..

                      Shukriya.
                      Muflisi K DinoN Main Jo BichhaR Gaya Mujh Se
                      Usay Talaash KarooNga Main Naukari Ki T^arah..

                      Comment

                      • #12
                        Re: Kala bagh dam ?

                        Originally posted by Farrukh View Post
                        Yeh ab depend karta hay Politicians aur Leaders par key wo kia kartay hain.

                        Laikin Kam Az Kam aik alternative plan hay to na. Ho sakta hay Zardari na kary to Nawaz Sharif kar day.
                        Farrukh Sahib..

                        Ab Koi Karay Ya Na Karay.. Lekin Hum Dua Kar Saktay HaiN.. K Dams K Saath Saath Deegar Masaayil Bhi Khatam Ho JayeN..

                        Shukriya.
                        Muflisi K DinoN Main Jo BichhaR Gaya Mujh Se
                        Usay Talaash KarooNga Main Naukari Ki T^arah..

                        Comment

                        • #13
                          Re: Kala bagh dam ?

                          Originally posted by sccorpion81 View Post
                          Kaan idhar se pakro ya udhar se baat aik hi hai ... yahan bhi kuch na kuch ho jaey ga daikh lena

                          ........ Sahib..

                          Aap Ki DuaeN Aur Naik TamannayeN RahiiN To Zaroor Kuch Na Kuch Hoga.. Aur Jo Hoga Behter Hoga :)

                          Khush RaheN.
                          Muflisi K DinoN Main Jo BichhaR Gaya Mujh Se
                          Usay Talaash KarooNga Main Naukari Ki T^arah..

                          Comment

                          • #14
                            Re: Kala bagh dam ?

                            Originally posted by alwaysalone View Post
                            ASsalam U Alaikum Masood Sahib..

                            Kisi Muaamlay Par Beja Mukhaalfat Koi Karta Hai To Samajh Lijiye K Us Ki Tarbiyat Main Koi Kami Reh Gayi Hai.. Ya Phir Voh Apnay Mufaad Ko Ziyaadah Ehem Jaanta Hai DosroN K Mufaad K Aagay..

                            Khair.. Pichhli Hukoomat Main Sindh K Vazeer-E-Aala Ghulam Arbab Raheem Nai Bhi Kaala Baagh Dam K Havaalay Se Aik Vaqt Par Soobay Ki T^araf Se TaHaffuz^aat Ka Zikar Kiya Tha.. Lekin Thay To Voh Musharraf Family Se.. Is Liye Aglay Din Hi Bayaan Tabdeel Karna PaR Gaya.. Na Kartay To Itni Dair Se Nahi.. Bulkai Un K Apnay Daur-E-Hukoomat Main Hi Musharraf Ka Joota PaR Jaata..

                            Dam Chaahay Koi Bhi Ho.. Us Ki Ta'meer Se Pehlay SooboN Se Ijaazat, Location Aur Drawing Par Discussion Aur Phir Maahireen Se Madad Lena Zaroori Hai.. Yeh CheezeN Is Had Tak Zaroori HaiN K Ba'aZ Mumaalik Main In Step By Step Iqdaamaat Ko Qanoon Ka Darjah HaaSil Hai..

                            Kaala Bagh Dam K Havaalay Se SoboN Ko TaHaffuz^aat HaiN.. Aur Is Havaalay Se Siyaasat'daanoN Ko To ChhoRiye.. Aabi Zakhayir K Mahireen, Zarrayi Maahireen Aur Nehri Nizaam K Mahireen Ko Bhi TaHaffuz^aat HaiN.. Aur T.V Channels Par Is ManSoobay Par BeHec Mubaahicay K Prog Chaltay Rahay HaiN.. Jin Main Mukhaalifat BaRh ChaRh Kar Dekhi Gayi Hai..

                            Jub Kisi ManSoobay Par Is Qadar Ikhtilaaf-E-Raaye Paaya Jaata Ho To Behtar Yehi Lagay Ga K Usay Khatam Kar K Mahireen Se Mashvarah Kar K Koi Mutabaadil Raasta Apnaaya Jaye..

                            Shukriya.
                            Iss dam ki location kidher banti thi? i mean kahaN aur kitna area iss ney cover kerna tha
                            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                            Comment

                            • #15
                              Re: Kala bagh dam ?

                              Originally posted by alwaysalone View Post
                              Walaikum ASsalam Aanchal Sahiba..

                              Dam Mulk Ki Mu'aashi Taraqqi Main Ehem Kirdaar Ada Karta Hai..

                              Lekin Dam Ki Ta'meer K Liye Mulk K Tamaam SoboN (KhuSooSan" ZereeN SoboN) Ki RaZa-mandi Zaroori Hoti Hai.. Ijaazat K Baad Us Ki Drawing Aur Location K Havaalay Se Bhi SoboN Ko E'timaad Main Liya Jaata Hai..

                              --

                              Kaala Baagh Dam !!

                              Kaala Baagh Dam K Havaalay Se Pakistan K 4 SoboN Main Se 3 SoboN Ko TaHaffuz^aat HaiN.. Aur Phir Is Ki Drawing Aisi Banaayi Gayi Hai K Is Se SIRF Aik Soobay Ko Faaida Aur Baaqi 2 Ko Bhaari NuqSaan Puhanch Sakta Hai.. Jub K Aik Sobay Ko Koi KhaaS Masla Paish Nahi Aana..

                              --

                              Zardari Ki T^araf Se Kaala Baagh Dam Ka ManSooba Khatam Karna Meray Nazdeek To Khush-Aaind Baat Hai..

                              Shukriya.
                              agar kisi pooray soobay ko nuqsaan pounchna hota to yeh manooba shuru hi na kia jata :mm:

                              Working...
                              X