Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

VIEWS: Benazir ka qatal or Baitullha mashoud..

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • VIEWS: Benazir ka qatal or Baitullha mashoud..

    Assalamalikum
    Benazir kay qatal main Baitullah mashood ka naam hi lia jata hai ...us banday nay shuru say is ka inkaar kia hai ..or haal hi main us ka interview lia gia to us main bhi us nay inkaar kia ...to Benazir kay qatal main sirf is banday ko hi kio mulawais samjha jata hai ...or loog bhi to hoo saktay hian ? un ka naam kio nahi lia jata ?:mm:
    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

  • #2
    Re: Benaiz qatal or Baitullha mashoud..

    Originally posted by Aanchal View Post

    Wa Alaikum Aslam

    Dil ko lagti he baat bakri ki
    :thmbup:

    Comment

    • #3
      Re: Benaiz qatal or Baitullha mashoud..

      Its a pretty old and cheap way to do a crime aur Ilzaam kisi aur par laga do.

      Khud hi daikh lo, keh Benazir kay Murder say kis kis ko kitna faida howa aur mulk mein jo bhi destruction hoee, us say kon kon Khush howa aur kis kis nay faida uthaya.

      Zara sa soacho, to baat khud samajh mein aa jaey gi.

      Baitullah Mehsud par to mehz is liey ilzaam lagaya gaya hay key wo USA aur dosray Kuffar ka Dushman hay, jabkey yeh hakomat USA aur dosray Kuffar say dostian kartay aur unsay aisi chalon ki qeemat wasul kartay phirtay hain..
      -*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-*-

      Comment

      • #4
        Re: Benaiz qatal or Baitullha mashoud..

        Originally posted by Aanchal View Post
        Assalamalikum
        Benazir kay qatal main Baitullah mashood ka naam hi lia jata hai ...us banday nay shuru say is ka inkaar kia hai ..or haal hi main us ka interview lia gia to us main bhi us nay inkaar kia ...to Benazir kay qatal main sirf is banday ko hi kio mulawais samjha jata hai ...or loog bhi to hoo saktay hian ? un ka naam kio nahi lia jata ?:mm:
        musharaf govt ne baitullah masooh ka nam lia ta k aik teer se do shikar hon,aik to ese logon ko islami dehshat gardi ki aar me mazeed bandnam kia jaey or apne aaqa america ko khush kar k mazed dollars batore jaen dusra koi khud un par ilzam na laga sake:donno:or doosri raey ye bhi he k america khud bhi is qatal me shamil he..aik to ye america:fuming:

        Comment

        • #5
          Re: Benaiz qatal or Baitullha mashoud..

          kabi kabi ju dekhai deta hai aisa hota nahi aur phir gaib ka ilm sirf KHUDA k pass hai
          haqeeqat kia hai ? koch malom nahi...

          Comment

          • #6
            Re: Benaiz qatal or Baitullha mashoud..

            Originally posted by Aanchal View Post
            Assalamalikum
            Benazir kay qatal main Baitullah mashood ka naam hi lia jata hai ...us banday nay shuru say is ka inkaar kia hai ..or haal hi main us ka interview lia gia to us main bhi us nay inkaar kia ...to Benazir kay qatal main sirf is banday ko hi kio mulawais samjha jata hai ...or loog bhi to hoo saktay hian ? un ka naam kio nahi lia jata ?:mm:
            Wa salaam :)
            Nahin Benazir ko Bush ney qatal karwaya hai...
            Nahin ussey India ney qatal karwaya hai..
            Nahin ussey afrika mein bhook sey martey huwey aik bachey ney qatal karwaya hai...

            Kehney walon ka kya hai? Na is duniya mein sach hai na ho ga, yeh duniya jhoot per chal rahi hai aur chalti rahi gi, sach kya hai? Yeh Allah hi janta hai.

            Qatal to Zardari bhi bho sakta hai.... :)
            tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
            tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

            Comment

            • #7
              Re: Benaiz qatal or Baitullha mashoud..

              Originally posted by Masood View Post

              this is the point which is now being common among ppl :)
              main hamesha sochti thi k Hubby kesy apni wife ka murder kara sakta hai.....pr after knowing the history......or jesy current halat hain.......jahan abhi Mr Zardari hain........ye sb dekh kr is bat pr ittifaq bhi kiya ja sakta hai

              Comment

              • #8
                Re: Benaiz qatal or Baitullha mashoud..

                Originally posted by Shaim View Post
                [/b]

                this is the point which is now being common among ppl :)
                main hamesha sochti thi k Hubby kesy apni wife ka murder kara sakta hai.....pr after knowing the history......or jesy current halat hain.......jahan abhi Mr Zardari hain........ye sb dekh kr is bat pr ittifaq bhi kiya ja sakta hai
                Bacha, Benazir aik buri leader nahin thi, ussey currupt karwaney mein Mr. Zardari ka bohat bada haath hai. Saal ha saal ki jail kaatney key baad Mr. Zardari aik ba'shaoor aur alfaaz sey khailney wala samajhdar sarmaya'dar ban geya hai. Sarmayadar apna mufaad hasil karney key liyey kisi waqt kuchh bhi kar sakta hai. Benazir key roop mein Zardari ko woh muqaam hasil karney ka sunehri moqa mil sakta tha, aur woh usney hasil karliya. Hamari qom ahmaqon ki sardar hai. Benazir key qatal ko fori Musharraf per daal diya, yeh bhi na socha keh us mulki halaat jaisey hain, us mein Benazir ka qata agar kisi key liyey sab sey ziyada nuqsandeh sabit ho sakta hai woh khud Musharraf hai aur aisa hi huwa - Mr. Zardari ko 100% faidah huwa. Warna aik shakhs jo currupt sarmayadar mash'hoor hai, woh mulk ki sab sey badi siyasi party ka chair person ban jaey, yehi hamarey mulk ki badqismati ki elamat hai...
                tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                Comment

                • #9
                  Originally posted by senorita View Post
                  doosri raey ye bhi he k america khud bhi is qatal me shamil he..aik to ye america:fuming:

                  بدقسمتی سے بحيثيت ايک قوم پچھلی دو دہاہيوں سے اپنے ہر مسلۓ کا ذمہ دار ہم بل واسطہ يا بلاواسطہ امريکہ کو ہی قرار ديتے آۓ ہيں۔ ہم يہ زمينی حقيقت کيوں بھول رہے ہيں کہ پاکستان ميں دہشت گردی ايک مسلم حقيقت ہے۔ پچھلے چند ماہ ميں دہشت گردی کے واقعات ميں ہلاک ہونے والوں ميں پاکستان کے ہر مکتبہ فکر کے لوگ بغير کسی مذہبی اور سياسی تفريق کے شامل ہيں۔ ايک طرف تو ہم بے نظير بھٹو کے قتل سميت امريکہ پر يہ غير منطقی الزام لگاتے ہيں کہ وہ پاکستان کو کمزور کر کے اس کے ايٹمی اساسوں پر قبضہ کرنا چاہتا ہے ليکن يہ بھول جاتے ہيں کہ جو چيزپاکستان کو کمزور کر رہی ہے وہ دہشت گردی اور اس کے نتيجے ميں پيدا ہونے والی بے چينی کی فضا ہے نا کہ امريکی حکومت جو کہ اب تک حکومت پاکستان کو دہشت گردی کے خاتمے اور معيشت کے استحکام کے ليے کئ ملين ڈالرز کی امداد دے چکی ہے۔ اگر امريکہ کا مقصد پاکستان کو کمزور کرنا ہوتا تو اس کے ليے دہشت گردوں کی کارواۂياں ہی کافی تھيں، امريکہ کو اپنے 10 بلين ڈالرز کی امداد دينےکی کيا ضرورت تھی۔

                  Comment

                  • #10
                    Re: VIEWS: Benazir ka qatal or Baitullha mashoud..

                    sawal aik yeh bhi peda hota hai kay jab Bait ullah masood nay usay qatal nahi karwaya to yeh loog usay qatal ki dhamkiyan kio deytay they :mm: ..ab zahir hai qatal kay bad ilzaam in pay ana hi tha ...
                    اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                    اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                    Comment

                    • #11
                      Originally posted by Fawad View Post
                      بدقسمتی سے بحيثيت ايک قوم پچھلی دو دہاہيوں سے اپنے ہر مسلۓ کا ذمہ دار ہم بل واسطہ يا بلاواسطہ امريکہ کو ہی قرار ديتے آۓ ہيں۔ ہم يہ زمينی حقيقت کيوں بھول رہے ہيں کہ پاکستان ميں دہشت گردی ايک مسلم حقيقت ہے۔ پچھلے چند ماہ ميں دہشت گردی کے واقعات ميں ہلاک ہونے والوں ميں پاکستان کے ہر مکتبہ فکر کے لوگ بغير کسی مذہبی اور سياسی تفريق کے شامل ہيں۔ ايک طرف تو ہم بے نظير بھٹو کے قتل سميت امريکہ پر يہ غير منطقی الزام لگاتے ہيں کہ وہ پاکستان کو کمزور کر کے اس کے ايٹمی اساسوں پر قبضہ کرنا چاہتا ہے ليکن يہ بھول جاتے ہيں کہ جو چيزپاکستان کو کمزور کر رہی ہے وہ دہشت گردی اور اس کے نتيجے ميں پيدا ہونے والی بے چينی کی فضا ہے نا کہ امريکی حکومت جو کہ اب تک حکومت پاکستان کو دہشت گردی کے خاتمے اور معيشت کے استحکام کے ليے کئ ملين ڈالرز کی امداد دے چکی ہے۔ اگر امريکہ کا مقصد پاکستان کو کمزور کرنا ہوتا تو اس کے ليے دہشت گردوں کی کارواۂياں ہی کافی تھيں، امريکہ کو اپنے 10 بلين ڈالرز کی امداد دينےکی کيا ضرورت تھی۔

                      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                      Comment

                      • #12
                        Re: VIEWS: Benazir ka qatal or Baitullha mashoud..

                        Originally posted by Aanchal View Post
                        sawal aik yeh bhi peda hota hai kay jab Bait ullah masood nay usay qatal nahi karwaya to yeh loog usay qatal ki dhamkiyan kio deytay they :mm: ..ab zahir hai qatal kay bad ilzaam in pay ana hi tha ...
                        Yeh sab hawaein hain Aanchal - paani ka bulbula.

                        Fawad ki post mein yeh baat 100% drust hai keh hamarey haan dehshatgardi urooj ko pohanch chuki hai. Aur is mein kisi be'rooni taqat ka haath nahin, hamarey apney log apney apney mufaad key liyey aik doosrey ka khoon baha rahey hain.

                        Agar Nawaz Shareef aur Asif Zardari kisi conference sey bahir aatey huwey hanstey huwey nazar aatey hain to iska matlab yeh nahin keh unka mahol khushgwar hai. In logon ko moqa miley to aik doosrey ka khoon choosney lagein.
                        tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
                        tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

                        Comment

                        • #13
                          Originally posted by Masood View Post
                          Magar Fawad mujhey aap ki is baat sey qatan koi itifaq nahin keh Amerika agar pakistan ko kamzor dekhna chahta to itni sarmayadari na karta :) Merey bhai, YEHI to woh khufiyah jang hai jo Amerika ney hamarey ooper 1964 sey musalat kar rakhi hai. Jab World Bank key aik officer ko hamara wazir-e-khizana bnaya geya tha, aur jisney international qarzey dila ker pakistani meyishat ka satyanas kar diya. Yeh amerika sarmakari hi to dar'asl hamari mua'shi tabahi ki wajjah hai. Hamarey khet weeran kar diyey hain keh gandum ka aik zakheera amerika sey import kiya jaey ga, fulan cheez amerika sey import ki jaey gi etc.... Zara ghaur farmaein to yeh ghairmulki sarmayadari hi hamarey paisey ki devolution ki wajjah ban rahi hai.

                          محترم

                          امريکہ کے پاکستان ميں اثر و رسوخ کے حوالے سے آپ کے جذبات پڑھ کر مجھے اپنے کالج کے زمانے کا ايک واقعہ ياد آ گيا جب ايک مذہبی نما سياسی جماعت کے ليڈر نے ہمارے کالج کا دورہ کيا تھا اور ہمارے کالج کی طلبہ تنظيم نے ان کے اعزاز ميں ايک تقريب کا اہتمام کيآ تھا۔ ميں چونکہ پاکستان ميں نووارد تھا اور کسی پاکستانی ليڈر کی تقریر براہراست سننے کا يہ ميرے ليے پہلا موقع تھا اس ليے ميں بھی اس تقريب ميں چلا گيا۔

                          اس واقعے کا سب سے دلچسپ پہلو يہ ہے کہ جس وقت يہ مذکورہ ليڈر امريکہ سے نفرت کے حوالے سے زمين آسمان ايک کر رہے تھے اس وقت ان کے اپنے دونوں بيٹے امريکہ کی يونيورسٹيوں ميں اعلی تعليم حاصل کر رہے تھے اور اپنے تابناک مستقبل کے لیے بنياديں مضبوط کر رہے تھے۔

                          يہاں يہ بھی بتاتا چلوں کہ ان ليڈر صاحب کے دونوں بيٹے آج بھی اپنی فيمليز کے ساتھ امريکہ ميں مقيم ہيں اور تعليم مکمل کرنے کے بعد اعلی اداروں ميں ملازمتيں کر رہے ہيں۔

                          يہ واقعہ پاکستان کے کسی ايک سياسی ليڈر کی زندگی تک محدود نہيں ہے۔آپ کسی بھی سياسی جماعت کی اعلی قيادت کا جائزہ لےليں وہ ہر پبلک فورم اور ہر عوامی اجتماع ميں "امريکہ سے نفرت" کا ٹکٹ ضرور استعمال کرتے ہيں ليکن اس کے باوجود اپنے اور اپنے خاندان کے ليۓ وہ تمام آسائشيں ضرور سميٹتے ہيں جو امريکی معاشرہ اپنے ہر شہری کو ديتا ہے۔ امريکہ سے نفرت کے يہ نعرے محض عوام کی توجہ اپنی ناکاميوں سے ہٹانے کے ليے تخليق کيے جاتے ہيں۔ کسی بھی قوم کی معاشی اور سياسی پاليسيوں کی کاميابی يا ناکامی کے ذمہ دار "بيرونی ہاتھ" نہيں بلکہ اس ملک کے سياستدان ہوتے ہيں جو اسمبليوں ميں جا کر قآنون سازی کے ذريعے اس ملک کی تقدير بناتے ہيں۔

                          يہی وجہ ہے کہ 1985 سے لے کر اب تک آپ کوئ بھی اسمبلی اٹھا کر ديکھ ليں، کوئ بھی سياسی جماعت اپنے کسی منشور، پروگرام اور عوامی بہبود کے کسی منصوبے کے ليے عوام کے سامنے جوابدہ نہيں کيونکہ تمام تر مسائل کا ذمہ دار تو امريکہ ہے

                          Comment

                          • #14
                            Re: Benaiz qatal or Baitullha mashoud..

                            Originally posted by Masood View Post
                            Wa salaam :)
                            Nahin Benazir ko Bush ney qatal karwaya hai...
                            Nahin ussey India ney qatal karwaya hai..
                            Nahin ussey afrika mein bhook sey martey huwey aik bachey ney qatal karwaya hai...

                            Kehney walon ka kya hai? Na is duniya mein sach hai na ho ga, yeh duniya jhoot per chal rahi hai aur chalti rahi gi, sach kya hai? Yeh Allah hi janta hai.

                            Qatal to Zardari bhi bho sakta hai.... :)
                            umm haan sahi kaha bahi
                            Qatal to Zardari bhi bho sakta hai.
                            ab dako to kitna kush hota hai.......

                            Comment

                            • #15
                              [/quote]

                              يہی وجہ ہے کہ 1985 سے لے کر اب تک آپ کوئ بھی اسمبلی اٹھا کر ديکھ ليں، کوئ بھی سياسی جماعت اپنے کسی منشور، پروگرام اور عوامی بہبود کے کسی منصوبے کے ليے عوام کے سامنے جوابدہ نہيں کيونکہ تمام تر مسائل کا ذمہ دار تو امريکہ ہے
                              umm acha .. in k kia apne mind nahi hain .. ase he kabi dosron ko kana yeh b acha nahi hota ...
                              Last edited by wajid hanif; 4 June 2008, 16:14.

                              Comment

                              Working...
                              X