Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

VIEWS: Shopping Mall In ISB.......No Entry 4 Poors?

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • VIEWS: Shopping Mall In ISB.......No Entry 4 Poors?

    Assalam o Alikum Peghamianz.........! :salam:

    Summer apny peak pr hai......i hope sab hi ziada active n fresh ho gae hon gy summer season mai........! :)

    Buhaat arsy sy ik baat hai jo sooch sooch k mujeh ajeeb sa feel ho raha hai or shadeed herat bhi........ap mai sy kuch log janty hoon gy k Islamabad mai ik shopping mall open hoa hai jiska naam "Metro Shopping Mall" hai n it is located in I/11,Islamabad.

    Basically isk Owners Shaukat Aziz & Dr,Salman hain.......ager dekha jae to ye shopping mall buhat accha hai q k is mai sui sy lekar electronics item tk sab kuch available hai......

    pr is mai kuch conditions hain jin sy mujeh ikhtilaaf hai:

    1stly ye k is mai entry k lye ik PASS required hai ov cost Rs.300/- jis pr 4 log ja sakty hain
    2ndly ap ik bar enter ho jao to minimum Rs.2000/- ki shopping krna must hai

    in dono conditions ka matlab yahi hai na k "No Entry 4 Poor People" ?

    to akhir aisa q?
    hum q ameer tabky k lye hi her sahoolat muhayya krty hain? jink pas already sab hoota hai
    q hum log Ghareebon k lye koi Mall open nahi krty jahan sasty damoon cheezin bikti hoon?

    kiya is tarah poverty khatam ho gi?
    ya mazeed berhy gi????

    kiya poverty ko sath ly k hum economic developement kr sakty hain?
    off-course not........to phr???

    humin in conditions ko khatam krny k lye kiya steps uthaany chahye??
    apk repliez ka intizar rahy ga

    KHUSH RAHYYE
    MA'ASSALAM

  • #2
    Re: VIEWS: Shopping Mall In ISB.......No Entry 4 Poors?

    METRO Cash & Carry Pakistan opens first wholesale center in Islamabad


    Last edited by Shaim; 1 May 2008, 13:06.

    Comment


    • #3
      Re: VIEWS: Shopping Mall In ISB.......No Entry 4 Poors?

      is tarah ghurbaat kam ho gi na dear shaim dekha nahi ghareeb log kese apne bachon samet khud kusheyan kar rahe hen kitna acha intezaam he na ghurbaat khatam karne ka na rahen ge ghareeb na ho gi ghurbat:donno:

      Comment


      • #4
        Re: VIEWS: Shopping Mall In ISB.......No Entry 4 Poors?

        Originally posted by hamzad View Post
        is tarah ghurbaat kam ho gi na dear shaim dekha nahi ghareeb log kese apne bachon samet khud kusheyan kar rahe hen kitna acha intezaam he na ghurbaat khatam karne ka na rahen ge ghareeb na ho gi ghurbat:donno:
        pr Hamzad.......currently is situation pr mujeh lgta hai k ye dono un-neccessary conditions ko khatam krna chahye.......q k is taraf din ba din ameer tabka dominated hi hota chala ja raha hai.......or sath mai hum apny ghareeb behn/bhaion ko kuchalty hi ja rahy hain

        aj ik Mall khula hai kal iski dekha dekhi or Malls open hon gy
        humin is mai kuch krna chahye
        but i dont know exactly wat 2 do

        ik baat or btaon?
        wo Mall illegal zameen pr bnaya gya hai.......ager Cheif Justice bahaal ho jain poori tarah to i hope ye Mall band ho jae ga.......

        pr again m thinking koi bhi poor nation k lye nahi sochta.........?
        Roz e Qiyamat humin hisaab bhi dena hoga.......tb kiya karin gy hum??

        Comment


        • #5
          Re: VIEWS: Shopping Mall In ISB.......No Entry 4 Poors?

          is ko bananay waloon nay apnay mafad ko madd-e-nazar rakhtay hoye yeh mall banaya hai....dosrooN ki saholat ko dekhtay hoye nahin....
          aurmain jab ISB gai thi tu main nay yehi dekha tha wahan per tu .....bari bari shops bhi aisi hi hain keh ghareeb banda sochay bhi na wahan janay ka....tu phir malls....aur woh bhi is qisam kay malls tu aik totally diffrent jaga hain....
          For New Designers
          وَ بَارِکْ لِيْ فِيْمَا أَعْطَيْتَ

          Comment


          • #6
            Re: VIEWS: Shopping Mall In ISB.......No Entry 4 Poors?

            Wealth ameeron ke darmyan ghoom rahi hay, ameer , ameer tar hota chala ja raha hay aur ghareeeb awam ghareeb tar hoti chali ja rahi hain, ameer jo sarmaya dar tabqa hota hay ghareebon ka rajj ke istehsaal karta hay, in ki pedah ki hoi cheezon main ghareebon ke lye koi KOTA nai hay, ghareeb apni masoom si dunya main khush hain, Reryon aur thailon se khareedari kar ke, jahan koi PASS ki zaroorat nai, aur koi shopping limit ki zarorat nai ...

            Ameer tabqy per taxes lagaye jayin, aur ghareebon ko relief dya jaye, taxes wagaira na lagye jain, Yahan Govt. AmeeroN aur ghareebon ko aik chakki main pees rahi hay,
            Allah

            Comment


            • #7
              Re: VIEWS: Shopping Mall In ISB.......No Entry 4 Poors?

              yeh tu seedha saadha paisay kamany ke liye Mall banaya gaya hay....

              Maine duniya mey kahi nahi dekha ke is qasam kay Mall ke entry ke liye "Pass" hona chahye....

              Comment


              • #8
                Re: VIEWS: Shopping Mall In ISB.......No Entry 4 Poors?

                Originally posted by jums View Post
                yeh tu seedha saadha paisay kamany ke liye Mall banaya gaya hay....

                Maine duniya mey kahi nahi dekha ke is qasam kay Mall ke entry ke liye "Pass" hona chahye....
                Han yar pese kamao, lekan us tareeke se jis se sab ko relief milay, lekan unhon ne yahi socha ho ga banate waqt ke sab ko relief milay ga. :D
                Allah

                Comment


                • #9
                  Re: VIEWS: Shopping Mall In ISB.......No Entry 4 Poors?

                  Originally posted by *Rida* View Post
                  is ko bananay waloon nay apnay mafad ko madd-e-nazar rakhtay hoye yeh mall banaya hai....dosrooN ki saholat ko dekhtay hoye nahin....
                  aurmain jab ISB gai thi tu main nay yehi dekha tha wahan per tu .....bari bari shops bhi aisi hi hain keh ghareeb banda sochay bhi na wahan janay ka....tu phir malls....aur woh bhi is qisam kay malls tu aik totally diffrent jaga hain....
                  ji bilkul
                  yahi point hai k Pakistan mai q her koi sirf APNY lye hi sochta hai?
                  jbk sab ko aggregate level pr sochna chahye specially wid reagrds 2 financial n economic conditions ov the country

                  ji sahii.....hmary ik Sir previous week hi ye bat kr rahy thy k foriegn countries mai q k purchasing power ziada hai to log ziada shopping krty hain jbk ISB (Pakistan) mai log bari mushkil sy shopping krty hain or shopping k lye itna rush nahi hoota jitna k foriegn countries mai hoota hai.........

                  or usk bawajood humin parking k lye jaga nahi milti :D

                  Comment


                  • #10
                    Re: VIEWS: Shopping Mall In ISB.......No Entry 4 Poors?

                    Originally posted by Yaaram View Post
                    Wealth ameeron ke darmyan ghoom rahi hay, ameer , ameer tar hota chala ja raha hay aur ghareeeb awam ghareeb tar hoti chali ja rahi hain, ameer jo sarmaya dar tabqa hota hay ghareebon ka rajj ke istehsaal karta hay, in ki pedah ki hoi cheezon main ghareebon ke lye koi KOTA nai hay, ghareeb apni masoom si dunya main khush hain, Reryon aur thailon se khareedari kar ke, jahan koi PASS ki zaroorat nai, aur koi shopping limit ki zarorat nai ...

                    Ameer tabqy per taxes lagaye jayin, aur ghareebon ko relief dya jaye, taxes wagaira na lagye jain, Yahan Govt. AmeeroN aur ghareebon ko aik chakki main pees rahi hay,

                    ji sahii
                    chakki mai to sirf ghareeb hi piss rahy hain......pr jis tarah sy inflation berh rahi hai yaqeenan ameeron ki purchasing power bhi pehly c to nahi rahi pr unk pas itny zarae hooty hain k wo apni PP (purchasing power) berha sakin

                    koi solution nahi.......in conditions ko khatam karany k lye? :(
                    Originally posted by jums View Post
                    yeh tu seedha saadha paisay kamany ke liye Mall banaya gaya hay....

                    Maine duniya mey kahi nahi dekha ke is qasam kay Mall ke entry ke liye "Pass" hona chahye....

                    Comment


                    • #11
                      Re: VIEWS: Shopping Mall In ISB.......No Entry 4 Poors?

                      Originally posted by jums View Post
                      yeh tu seedha saadha paisay kamany ke liye Mall banaya gaya hay....

                      Maine duniya mey kahi nahi dekha ke is qasam kay Mall ke entry ke liye "Pass" hona chahye....
                      lolzZz Pakistan ISB a jayye.......ye bhi dekh lain gy :(
                      jo developed countries nahi krtiin wo hmari developing country kr rahi hai :(

                      Comment


                      • #12
                        Re: VIEWS: Shopping Mall In ISB.......No Entry 4 Poors?

                        Originally posted by Shaim View Post
                        pr Hamzad.......currently is situation pr mujeh lgta hai k ye dono un-neccessary conditions ko khatam krna chahye.......q k is taraf din ba din ameer tabka dominated hi hota chala ja raha hai.......or sath mai hum apny ghareeb behn/bhaion ko kuchalty hi ja rahy hain

                        aj ik Mall khula hai kal iski dekha dekhi or Malls open hon gy
                        humin is mai kuch krna chahye
                        but i dont know exactly wat 2 do

                        ik baat or btaon?
                        wo Mall illegal zameen pr bnaya gya hai.......ager Cheif Justice bahaal ho jain poori tarah to i hope ye Mall band ho jae ga.......

                        pr again m thinking koi bhi poor nation k lye nahi sochta.........?
                        Roz e Qiyamat humin hisaab bhi dena hoga.......tb kiya karin gy hum??
                        pata nahi shaim dear ham kis kis baat ka hisab den ge:donno:

                        Comment


                        • #13
                          Re: VIEWS: Shopping Mall In ISB.......No Entry 4 Poors?

                          Originally posted by Shaim View Post
                          ji sahii
                          chakki mai to sirf ghareeb hi piss rahy hain......pr jis tarah sy inflation berh rahi hai yaqeenan ameeron ki purchasing power bhi pehly c to nahi rahi pr unk pas itny zarae hooty hain k wo apni PP (purchasing power) berha sakin

                          koi solution nahi.......in conditions ko khatam karany k lye? :(
                          us chakki se murad mera yeh hay ke jo bhi policies banti ahin, un main bohat kam ghareebon ke lye relief hota hay, us chakki ki baat kar raha hon jo policy makers ki tarf se tayyar karda hoti hay, jis main sab pis jate hain, ameeron ka pisna yeh hay ke woh pehle se kam nisbat per apni purchasing power le aate hain lekan rujhaan to wahi rehta hay, lekan ghareeb to wahan ke wahan hi rahe phir
                          Allah

                          Comment

                          Working...
                          X