Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

MUBAHISA 1: Govt Sector Ya Private Sector???

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • MUBAHISA 1: Govt Sector Ya Private Sector???

    Assalam o Alikum Peghamianz!!


    Ik ummed k sath k sab kharyat sy hoon gy :insha: :)
    aj kal ik cheez pr research jaari hai to soocha q na sab mil kr discuss kr lain :)
    itz a sort ov Country Matter......not a social Mubahisa in real sense!

    Poochna ye hai k ap sab k nazaryaat or xperiences kiya kehty hain k ziada efficiently kon sy idaary kaam kr rahy hain.......?

    Govt. Sector?
    Private SEctor?


    thora Economics sy related issue hai.......pr still sb log is pr discuss kr sakty hain q k sab ki kuch na kuch observation to hooti hi hai apni country ki efficiency pr

    Ap sab yahan apna xperience bhi btaye ga ager koi hai....regarding the sector u worked/work in?

    Apny views dijiye k Pakistan ko ziada kis sector ki zaroorat hai?

    In dono sectors mai ziada behter konsa sector hai?

    Apko chance mily to kis sector mai kaam krna pasand karin gy?


    Ummed hai k ye Mubahisa hum sb k views ko ik plat form dy ga
    Apny views zaroor share kijiye with regards 2 the "Bold Wordings"

    ise Mubahisy se linked ik or Mubahisa :insha:next week shuru kiya jae ga :thmbup:
    KHUSH RAHYYE :)
    MA'ASSALAM

  • #2
    Re: MUBAHISA 1: Govt Sector Ya Private Sector???

    Shaim mashALLAH bohat acha mubahisa shoro kya hay aap ne

    Ji to aaye sab se pehle hum yeh maloom karte hain ke private sector ka mulk main kya role hay aur Governement sector ka kya role hay
    Jahan tak private sector ki baat hay to yahan har kaam niji tor per hota hay, makhooso ilaqe ya mahol ko pesh-e-nazar rakh kar har faisla sar anjam dya jata hay. yahan main aik baat gosh guzar karta chalon ke private sector main lalich inteha ki hoti hay aur har fesle ke peeche Price ka unsar numayaN hota hay - private sector ko hum economics ki zubaan main Nizam-e-Sarmaya kari keh dete hain. Dekha jye to aaj nizam sarmaya kari apni asal shakal main kisi bhi mulk main nai hay, Jitna private sector awam ka istehsaal karta hay shayd hi koi karta ho. is sector main poora muqable paya jata hay. is ziman main main aap ko aik factory ki misaal deta hon jo private hay. to agr us ke sarmaya kar ne itni sarmaya kari kar di hay ke woh apni pedawar ke zarye logoN ki zarooryat poori kar raha hay. ab farz karein ke achanak logoN ki demands kam ho jati hani keunke insaan ka konsa pata hay. to us sarmaya kar ko nuksaan ka samna karna parega. keunke us ki cheezain bin bikay reh jain gi aur woh sarmaya kari ko kam kar de ga. jis se us ki factory ke mulazmin ka bhi istehsaal ho ga keunke agar usay nuksaaan ho ga to woh un ki salary main bhi kami karay ga. jis se mulazmeen bad zan ho jain gay. is main aik aur point hay maslan jo niji farmein hoti hain un ke darmian aksar hi muqable ki halat payi jati hay keunke un ki products aik si hoti hain . ab agar aik ne apni cheez ki keemat main kami ki hay to zahir se baat hay doosri ko bhi karni pare gi keunke agar us ne na ki to us ki cheezain nai bikain gi. keemton main kami se mulazmeen aur baqi afrad ko bhi nuksaan puhance ga. aur Wese bhi private sector main har kaam aik fard ya kuch afraad mil kar karte hain. is silsale main har kaam profit ko mad-e-nazar rakh kar kya jata hay. jahan munafa ziada ho ga wahi kaam kya jaye ga. awam ki falah ko madd-e-nzar nai rakha jata. maslan aik aadmi wahan chemicals aur doosri kemyayi mawad ki factory laga leta hay jahan logoN ki khas tadad abad hay to mera nai khayal woh un logon ke lye acha karey ga. logon ko nuksaan ho ga lekan sarmaya kar ko faida ho ga keunke us ki chemical industry ki demand bohat hoti hay. yahan phir logon ko private sector nuksaaan puhancha raha hay. is ziman main akhir main yeh baat batata chaloN ke PRIVATE SECTION MAIN AWAM KA ISTEHSAAL HOTA HAY - AUR HAR KAM KEEMAT AUR MUNAFA KO MADDE NAZAR RAKH KAR KYA JATA HAY.

    aur Jahan tak Government Sector ki baat hay to yahan aik centrel authority hoti hay jo is cheez ka faisla karti hay ke logon ki demands kya hain. log kya chahte hain . log ghareeb hain to hum woh ashya peda karein gay jis ki price kam ho gi aur faida poora poora ho ga. hum woh ashya peda nai karein gay jin se awam ko nuksaan puhanche ga. koi bhi factory jo hakoomat ke Under ho gi usay lagany se pehle kayi baar yeh socha jaye ga ke jahan yeh lagayi ja rahi hay wahan ke logoN ko to is ke asrat se nuksan ni puhanche ga. Yani Government sector aisay Economical Decision leta hay jo Sirf aur sirf logoN ki falah per base ho. Jahan logoN ki zarooryat ka khayal rakha jaye. lekan har system main kharabi to phir hoti hay . Governement Sector ko hum doosri zuban main NIZAM_E_ISH TIRAKYAT kehte hain. Yahan koi bhi faisla keemat ki bunyad per nai kya jata. Profits ko bhi bohat kam hadh tak zehn main rakha jata hay. yani logoN ke woh cheezein muhayya ki jati hain jo Haqeeqat main un ke lye faida mand hain. lekan is ki bhi bohat si khamyan hain Yeh sector bhi awam ka bohat had tak istehsaal karta hay. maslan yeh authority mil kar yeh faisla kar de ke gandam ki keemat 700 Rupay per mond hay to is se kasht kar tabqay ko to bohat faida ho ga lekan ghareeb awam ka kya bane ga. woh kahan jain gay. aur aik baat aur ke yahan jo centrel authority hoti hay jis ne mulk ke muashi faisle karne hote hain un main kuch log corrupt bhi hotey hain aur aap to jantey hi hain corruption humain Wirse main mili hay. Government sector main kisi hadh tak MONOPLY bhi dekhne main aaati hay. Government agar yeh dekhti hay ke FalaN mehkma agar AWAM ko behter sahoolyat muhayya kar deta hay aur un ka istehsaal nai karey ga to Govt. us ko pedaishi haqooq de de ga. kisi new farm ko competition ki ijazat nai ho gi. yani hakoomat ki suggest karda farm ko pedaysh ka poora poora haq hota hay. is ziman main aap ko pata hi hay ke Monopolist kis tarah logoN ka khoon choosta hay. Jese Pakistan wapda aaj kis tarah logoN ka istehsaal kar raha hay. kher is ke peechay kuch aur facts hain. kher main baat kar raha tha Corrupt logoN ka . jo centrel authority main hote hain. yeh log mulk aur awam ki falah ke ooper apne siasi muamlat ko zada tarjeeeh dete hain. jese pakistan main Dams ka masla siasat ki nazar ho gaya hay. aur kis tarah logoN ka nuksaan ho raha hay aur AWAM main inteshar phela hua hay. doosri taraf Monopolist apni products apni marzi ki di hoi keemat per sale karta hay. awam ko woh har haal main khareedni parti hain keunke koi aur product to un ke samne hoti nai. bus aakhri main yahi arz karna chahon ga ke Khamyan donoN sectors main hain . lekan Govt. sector private sector se kisi hadh tak behter hay. Just Kisi hadh tak :)

    Regards
    Last edited by Yaaram; 18 April 2008, 10:08.
    Allah

    Comment


    • #3
      Re: MUBAHISA 1: Govt Sector Ya Private Sector???

      Originally posted by Shaim View Post
      Assalam o Alikum Peghamianz!!


      Ik ummed k sath k sab kharyat sy hoon gy :insha: :)
      aj kal ik cheez pr research jaari hai to soocha q na sab mil kr discuss kr lain :)
      itz a sort ov Country Matter......not a social Mubahisa in real sense!

      Poochna ye hai k ap sab k nazaryaat or xperiences kiya kehty hain k ziada efficiently kon sy idaary kaam kr rahy hain.......?

      Govt. Sector?
      Private SEctor?


      thora Economics sy related issue hai.......pr still sb log is pr discuss kr sakty hain q k sab ki kuch na kuch observation to hooti hi hai apni country ki efficiency pr

      Ap sab yahan apna xperience bhi btaye ga ager koi hai....regarding the sector u worked/work in?

      Apny views dijiye k Pakistan ko ziada kis sector ki zaroorat hai?

      In dono sectors mai ziada behter konsa sector hai?

      Apko chance mily to kis sector mai kaam krna pasand karin gy?


      Ummed hai k ye Mubahisa hum sb k views ko ik plat form dy ga
      Apny views zaroor share kijiye with regards 2 the "Bold Wordings"

      ise Mubahisy se linked ik or Mubahisa :insha:next week shuru kiya jae ga :thmbup:
      KHUSH RAHYYE :)
      MA'ASSALAM
      Wailakom salllammm ,nice topic
      there is no dout Private sector is better than Govt sector..........
      Govt sector koo agarr hamm Curroption kaa majmooaa kahain too kuchh ghallat na hoo gaaa....Privatization kayy ammall sayy pehhllayy Barray Barrayy Govt Iddarray jinn mian Wapadaa,Railwayy sayy layy karr Banks takk tammamm kayy tammamm Khassarrayy main jaa rahhay thayyy ,,,,Every year Lakhoomm Arabb kaaa kHasssaa Pk Govt koo bardashatt karnaa parrtaa thaaaaaaaa.....aoor abb bhee karnaa parr rahaa haiiiiii...lihazzaa ham yehh kehh sakkttay hain kehh Govt Idarray iss mulkk kayy maffad main sirrayy sayy haii hee naheeeeeeeeeeeeee....
      jabkeh Jinn Idarroon koo Privatizee kiaa gia hainn Jinn mainn PTCL aoor chand Banks bhee shamill haii ...aggar unn kee pehlee aoor mojjoodaa karrkardagee kaa Baghhorr Jaizzaa liaa jaieyy too zammenn aassmann kaa farqq nikalltaa haiii pehhllayy yehheee Idarray Mulkee Maeeshatt parr boojhh thayy jabkehh abbb Arbooooo rupess kaa Tax Govt koo dayy rahhay hainnnnnnnnnnn..........
      "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

      Comment


      • #4
        Re: MUBAHISA 1: Govt Sector Ya Private Sector???

        Private sector is better then Govt. Sector

        Main tu khud private sector ko prefrence deta hooon ... govt Sector main kia hai ??
        jhoot, Be Eemani, Rishwat Khori aur sab kuch ... na kam k na kaaj k dushman anaj k
        sigpic

        Comment


        • #5
          Re: MUBAHISA 1: Govt Sector Ya Private Sector???

          private sector is bether then govet in every matter

          Comment


          • #6
            Re: MUBAHISA 1: Govt Sector Ya Private Sector???

            Uzair U R Right

            Comment


            • #7
              Re: MUBAHISA 1: Govt Sector Ya Private Sector???

              ap sab k views perhy
              Private Sector k lye ziada votz hain
              pr mazeed discussion INSHALLAH is pr hogi meri taraf sy ap sab k saath........:)

              Hum in dono hi sectors ko :insha:discuss krin gy 4 a more better n clear conclusion :)

              KHUSH RAHYYE SAB
              MA'ASSALAM

              Comment


              • #8
                Re: MUBAHISA 1: Govt Sector Ya Private Sector???

                pakistan main private sectors
                or
                pakistan say bahir Govt sector :D:

                waja yeh kay pakistan main loog ameer hain or Govt gareeb.:D ..logoo kay paas zaida pesa hota hai to woh apna kaam khud kar leytay hain to usi pay tawajoo daytay hian or govt sector ko peechay choor dia hai ..
                Govt bhi cheezian banati hia lekan agay pher itni tawajoo nahi di jati ....faraz karian aik rule pass kia govt nay ...cheez bana di...salary fix kar di......agay nahi deekhtay kaam kitna hoo raha hai ...ya jo cheez banai the chal kesay rahi hai ....new Govt ai to ji cheezian bhi badal jati hain ..jis ki waja say loog private sector ki taraf jatay hian ....qasoor sirf govt ka nahi logoo ka bhi hota hai ...Doctors govt hospitals ki bajye apnay private hospital pay zaida tawajoo say kaam kartay hian ..
                govt school teachers jin main say zaidatar aisay hian beethay beethaaye salary lay rehye hian ..taleem ko bas part timebana lia hai ..or tawajoo bhi nahi ..or sath sath apna dosra karoobar shuru kia hota hai ...jabkay agar pvt school ho to sirf apnay usi aik kaam ki traf zaida tawajoo deytay hain ....

                bahir kay mulkoo main govt ameer hoti hai ..woh kafi facilities daiti hian logoo ko ..or pvt kaam agar loog karna chaian to Govt kafay saray rules unhay bana daiti hia kay woh loog Govt say oper nahi ja patay ..apnay control main rekhti hai sab kuch govt..
                Last edited by .; 22 April 2008, 23:24.
                اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
                اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

                Comment


                • #9
                  Re: MUBAHISA 1: Govt Sector Ya Private Sector???

                  inshallah bohat jald tafseeli jowab likoon ga
                  People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                  Comment

                  Working...
                  X