Assalamo allaikum
Yeh masla har saal uth'ta hai, har saal behas hoti hai magar har saal kuchh result nahin nikalta.
Ham musalmaan is qadar taqseem ho chukey hain keh ham namaz roza bhi aik muqrarah waqt per ada nahin kar saktey. Yeh aap ney bhi dekha ho ga keh masajid mein aazanein kuchh kuchh waqt key baad hoti hain.
Ramzan ka muqaddas maheena saal mein aik baar aata hai. Magar hamarey ILM rakhney walon ney is mein bhi taqseem daal di hai.
Sari duniya mein musalmaano key liye na Ramzan key shuru honey ka koi waqt muqrar hai aur na hi Eid ka tehwaar manena ka. Main ney yahan tak dekha hai keh aik hi khandaan key kuchh log aik masjid key saath roza rakhtey hain, aur baqi doosri key saath, yun aik hi khandaan mein do do eidein hoti nazar aati hain.
Yeh aik bohat tashweesh'nak lamha hai. Aik muddat sey hamarey ulma ney is masley ko suljhaney key bjaey uljhay hai. Sad'hef keh ham aaj tak aik platform per jama nahin ho sakey.
Aap yeh btaiye keh aap key nazdeek is masley ka hal kaisey nikalna chahiye keh sari duniya key musalmaan aik hi tareekh per roza rakhein, aur aik hi tareekh per Eid karein?

Comment