Hamarey yahan last week aik bohat bura hadisa huwa hai. Jis ney ham (pakistaniyon) ka image bohat kharab kiya hai.
Aik larki ki chat per kisi pathan larkey sey dosti hui, dono aik doosrey sey miley aur pasand kiya, nobat shadi tak pohanch gaee. Larki ney apney waldein, jo - afsos'nak baat hai keh merey paidaishi shehar key aik qareebi gaoun key rehney waley hain, aur apney elaqey mein uka bohat asar-o-rasookh hai, sey baat ki to woh biggar gaey keh yeh nahin ho sakta.
Larki aur larka aik doosrey ko bohat chahtey they, unhon ney waldein ki razamandi key bghair shadi karney ka faesal kar liya aur larki ney ghar chhorr diya aur Police ko itlaa kar di keh unki hifazat ki jaey. Woh doosrey shehar chaley gaey.
Aik haftah talaash key baad bhai aur baap ney (ghalban chhoti behan ko majboor kiya keh btaey keh uski behan kahan hai, jo usney ugal diya). Bhai ney us shehar mein jaa ker itfaqan ussey woh bazaar mein nazar aaey aur bhai ney firing kar ki. Larki moqa per mari gaee lekin larka bach geya hai.
Is waqeya key bohat sey aspects hain:
..... kuchh bhi ho, is waqeya ney aik baar phir hamara yahan is moashrey mein munh kala kar diya hai

- kya woh larki apney haq per thi?
- kya waldein ko uski baat maan jana chahiye thi?
- kya bhai ka apni behan ko qatal karna banta hai?
- kya yeh qatal bad'nami sey bachney key kiya geya hai, ya is sey bad'nami mazeed phailti hai?
- Maghribi media har baat Islam sey mansalook karta hai, aap key nazdeek problem kahan hai?
- kya chating karni chahiyr? aur kya nobat yahan tak aani chahiye?
- yeh waqeya is baat ka saboot nahin keh larkiyon ko apni marzi sey apney mustaqbil ka koi bhi faesla karney ka haq nahin?

Comment