Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

SOCIAL MUBAHISA: Disputes Among Relation 4 Wat..??

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • SOCIAL MUBAHISA: Disputes Among Relation 4 Wat..??

    Assalam o Alikum Peghamianz............~


    Ik Acchi C Ummid K Sab Khar-o-Afyat Sy Hoon Gy :insha:
    Aj main ik social Mubahisa start kr rahi hoon...ap sab k qeemti views ka intizaar rahy ga....thoora sensitive hai....or ap sab ki deep thoughts ki muntazir hoon~

    Jesa k hum sabhi jaanty hain k aksir relations mai,Families mai,Friends mai,Collegues mai......apas mai disputes,misunderstandings,gily-shikwy,narazgi,larayaan or pta nahi kiya kiya hoota rehta hai

    poochna ye hai k kiya ye larae-jhagry/narazgian/gily-shikwy/disputes (blaa blaa blaa) natural hain?
    or kuch behteri ly kr aaty hain? :cc:
    ya sirf tabahi.....or rishtoon ko khokla krny k lye hooty hain???

    kuch baatin clear krna chahti hoon.......aksir kaha jaata hai na k:

    * larayan wahi hooti hain jahan pyaar hoota hai
    * gily-shikwy wahi krta hai jo apki hr hr baat ki care krta ho

    kuch -ve sense mai:

    * larayan/jhagry wahin hooty hain jahan understanding ki kami ho
    * gily-shikwy wahan hooty hain jahan trust na ho,sincerety na ho

    ap logon k samny mainy dono aspects rakhy hain ab apko apni soch k zarye humsy apna opinion share krna hai.....:)

    ap in disputes or misunderstandings mai hr relation ko consider kr sakty hain:
    it can b:

    Among Friends
    Family Members
    Husband Wife
    Saas-Baho Jhagry
    Among Collegues
    Among Ladies

    anything u wanna consider
    pr plz poke ur opinion.....:rose

    I ll b waiting.....:)

    KHUSH RAHYYE
    MA'ASSALAM

  • #2
    Re: SOCIAL MUBAHISA: Disputes Among Relation 4 Wat..??

    Bohat acha mubahisa shoro kya hay aap ne Shaim sis :thmbup:

    Dar asal yeh jo choti choti batein jin ko aap gilay shikway aur pata nai kya kya naam de rahi hain yeh aisi bilkul nai hotiN - Yeh sab kuch behtri ki taraf aik kadam hota hay - agar hum ksii se naraz hain ya koi gila shikwa hay to humain chaye ke jald az jald apna mind us cheez se clear kar leiN - dil main koi bhi baat na rakhein - agar hum dil main us gilay shikway aur shikayat ko rakhein gay to yeh barbaad ki taraf humara kadam ho ga - hum nafrat ke darakht ko paani de rahe hon gay aur us ki parwarish kar rahe hon gay - agr hum aik khushgwar mahol pedah karna chahte hain to yeh hum pe hay - aur woh isi soorat main mumkin hay ke yeh sab gilay shikway aap us person se share kar lein jin se aap ko hain - gilay shikway usi insaan se hote hain jin se aap ko kuch ummid wabsta hoti hay - ya jin ki qadar aap ke dil main baqi logon se kuch zada hoti hay - aur jahan tak nok jhok ka taluq hay to yeh larayN jhagray wahin janam lete hain - jahan pyar mhabbt jese anasar hote hain - lekan aik soorat yeh bhi hoti hay ke nok jhok ki noyat kya hay - noyat ke hisaab se hum us ke barey main sahe se disscussion kar sakte hain aur yeh usi soorat main possible hay agar us ke sarey aspects humarey samne rakhey gaye hoN :)
    Allah

    Comment


    • #3
      Re: SOCIAL MUBAHISA: Disputes Among Relation 4 Wat..??

      mujhe bhi aj tak in larai jhagron ki sahi waja samjh nahi aei:donno:me to ye sochti hon k ager har koi apni boundries ka khyal rakhe k kahan se us ki khatam ho kar dosron ki shiru hoti hen to larai jhagre na hon.baki kuch rishton me gile shikwe is leay zeada ho jate hen k wahan aik dusre se tawakoat barh jati hen.

      Comment


      • #4
        Re: SOCIAL MUBAHISA: Disputes Among Relation 4 Wat..??

        Originally posted by Shaim View Post
        Assalam o Alikum Peghamianz............~


        Ik Acchi C Ummid K Sab Khar-o-Afyat Sy Hoon Gy :insha:
        Aj main ik social Mubahisa start kr rahi hoon...ap sab k qeemti views ka intizaar rahy ga....thoora sensitive hai....or ap sab ki deep thoughts ki muntazir hoon~

        Jesa k hum sabhi jaanty hain k aksir relations mai,Families mai,Friends mai,Collegues mai......apas mai disputes,misunderstandings,gily-shikwy,narazgi,larayaan or pta nahi kiya kiya hoota rehta hai

        poochna ye hai k kiya ye larae-jhagry/narazgian/gily-shikwy/disputes (blaa blaa blaa) natural hain?
        or kuch behteri ly kr aaty hain? :cc:
        ya sirf tabahi.....or rishtoon ko khokla krny k lye hooty hain???

        kuch baatin clear krna chahti hoon.......aksir kaha jaata hai na k:

        * larayan wahi hooti hain jahan pyaar hoota hai
        * gily-shikwy wahi krta hai jo apki hr hr baat ki care krta ho

        kuch -ve sense mai:

        * larayan/jhagry wahin hooty hain jahan understanding ki kami ho
        * gily-shikwy wahan hooty hain jahan trust na ho,sincerety na ho

        ap logon k samny mainy dono aspects rakhy hain ab apko apni soch k zarye humsy apna opinion share krna hai.....:)

        ap in disputes or misunderstandings mai hr relation ko consider kr sakty hain:
        it can b:

        Among Friends
        Family Members
        Husband Wife
        Saas-Baho Jhagry
        Among Collegues
        Among Ladies

        anything u wanna consider
        pr plz poke ur opinion.....:rose

        I ll b waiting.....:)

        KHUSH RAHYYE
        MA'ASSALAM
        Nicee bohht hee nice rthread shooroo kiaa haiii.............
        Jhagrrayy kee wajoohatt bohhtt saree hotee hain jinn main Misunderstandings,Bardashat kee kamee see layy kayyy Annaa kee Aabiaree takk tamamm factors shamil hainnnn.......
        aorr Khassoosan Elections kayy dooran joo Families main jhaggrray hoottay hain unn kaay Nataijj khassay Khoofnakk hoottay hainnnn......Jabb apnnay point of view koo Dalaill kee bajieyy zabrdastee 2nd personn parr Thoopaa jaieyy to nateejaa jhagrraa hee hootaa haiiiii.......
        "Can you imagine what I would do if I could do all I can? "

        Comment


        • #5
          Re: SOCIAL MUBAHISA: Disputes Among Relation 4 Wat..??

          assallam u allaikum.
          meray nazdeek too 2 hi wajhain hain
          1 badgmani......quran main bhee is kay khilaaf zoor diya giya hai.
          2 apni main....
          ab in dono ki tashtreeh aap khud kar sakti hain.
          sigpic

          Comment

          Working...
          X