Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

ELECTION SPECIAL: 18th feb. a historical day

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: ELECTION SPECIAL: 18th feb. a historical day

    waqai historical day hai aaj ka :pagal:
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment


    • #17
      Re: ELECTION SPECIAL: 18th feb. a historical day

      Originally posted by Masood View Post
      Beta isi section mein mera aik mazmoon hai, HALAAT BADAL NAHIN SAKTEY - us waqt bhi yehi haal tha, aaj bhi wohi hai, aaindah bhi wohi rahey ga
      Indeed...
      aur ye itna dissapointing hai...
      Originally posted by GumShuda View Post
      soochnay wala kaam mein nai karta , khud hi socho .
      woh hai na " Jis ka kaam osi ko sajhay"
      :tauba
      Originally posted by Masood View Post
      :a stick: aisa nahin boltey, kehtey hain: jiska dimagh uski key keerrey :lol
      bhaiiii :(
      Originally posted by GumShuda View Post
      :kr:
      Hey!!
      Originally posted by hamzad View Post
      Allah behter janta he kia ho ga?:donno:
      yep...Aman hi rahey bass baki elections to waisey bhi aeyesy hi hotey rahey hein to aaj bhi wahi sab repeat ho raha hai...


      Originally posted by sarfraz_qamar View Post
      joooo loog kisee party see mutmain nahee un kayy lieyy free mashwara haii kehh apnee alehdaa Party banaa lain aorr abhee see agallyy Elections kee prepration shoroo karr dain
      aoor jooo boyycoot wallay hainn i think this is a big mistake
      asal mey meyra point tha key jo nahi satisfy kisi bhi party sey un ke liye best option kya thi?
      magar un key liye key liye kya kisi key liye bhi koi option nahi hai aaj :D
      Originally posted by Shaim View Post
      Walikum Assalam Xeni.......:lpop:

      jinho ny elections ka boycott kia.....apni taraf sy unho ny ik +ve step uthaya.....pr elections k yuun boycott krny sy elections nahi ruky......to mery khyal mai ager boycott krna hi maqsood tha to zara firm hoona chahye tha k wo overall elections ko hi rook sakta otherwise nahi krna chahye tha.....q k youth ki majority Imran Khan k lye willing thi....or chuunky wo 1st time Pakistan mai rule krty to ho sakta hai k WAQAI koi inqilaab a sakta.....is lye jinho ny boycott kiya shaid unho ny ghalt kiya.......khud ko ik chance zaroor dena chahye......:)

      or jo log elections ka boycott kr rahy hain.......unsy main yahi kahoon gi k wo GHALT kr rahy hain q k unky vote na krny sy aisa nahi hai k koi bhi select nahi ho pae ga.......yaani unky vote krny sy output na hi +ve nikalta hai or na hi unky boycott sy unki marzii k mutabiq hi kuch ho pae ga
      pr unky ik vote sy shaid humin DAAKO ki jagah CHOOR mil jae soooooo........:)
      yani at the end ....doesnt matter :d


      Originally posted by ScorpioN_RulzZ View Post
      w/salam

      koi shaks kisi party say mutma'in ho ya na ho, election kay waqt hamdar'di kay jazba't zaroor ubhar aatay hain :blush: ab yeh hamdar'di kisi jama't say bhi ho sakti hai aur apnay aap say bhi....!!

      jo loog election say door rehtay hain, woh sara din t.v daikhtay hain :lpop:, aur jo party jeet jati hai us ka jhanda apni gari par laga kar subah itratay phirtay hain :eye:

      ba'shaor aadmi kisi bhi terha election kay process say baher nahe ho sakta, kuch loog aisay bhi haiN jo kisi say mutma'in nahe hotay magar phir bhi apna vote zaroor istemal kartay hain...!! ab yeh alag kahani hai kay woh vote par dilchasp fiqray likhaiN ya koi shair....!!



      election kay boycott ka maq'sad turn out kam karna hota hai, agar turn out haqiqi ma'noN maiN kam howa to yaqinan boycott karnay wali jamatoN ko kuch hasil ho jaiy ga, sheem nay likha kay election to ho rahay hain boycott ka kia maqsad? maqsad election rukwana nahe hota, balkay qanoni tareeqay say us ki haisiyat khatam karna hota hai :blush:

      boycott karnay wali jamataiN mulki satah par itna asar nahe rakhteeN sivaiy jamat-e-islami kay, jamat-e-islami ka mas'la yeh hai kay is ka faisla haqiqatan aik shaks karta hai aur phir sab ko wohe karna paRta hai, aur qazi sahab kay baray maiN to mash'hor hai kay Allah nay unhaiN paida he aihtejaj karnay kayleay kia hai... :khi:

      Imran khan yaqinan young tabqay ka fav. hai par yeh wohe ghalti hai jo kal kay nojawanoN bhi kar chukay hain....!! imran khan bolnay ki had tak waqai bohot acha hai magar haqiqatan us kay pass koi plan nahe hai.. :donno:, par kia hai na :blush: hum jab tak khud thokar na khaiN tab tak sambhal kar nahe chaltay...!!

      so :cc:

      :lpop:
      turn out to waqai bohot kam hai...even hamari expectations sey bhi :d
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment


      • #18
        Re: ELECTION SPECIAL: 18th feb. a historical day

        turn out was 35% only lols
        phir bi vote tu baqi 75% kay bi cast ho chukay hoon gai lols
        Kis nooN haal sunawaN dil daa ....Koi mehram raaz nai mildaaa!
        Sadly, common sense is not very common..!!

        Comment


        • #19
          Re: ELECTION SPECIAL: 18th feb. a historical day

          ^^yep!

          magar kal raat sey aur even subha bhi aik dar tha magar Alhumdulillah din kafi pursakoon tha.....aur hopefully jo bhi results hon gey wo Pakistan key bhaley key liye hoN inshAllah...
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment

          Working...
          X