Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

VIEWS:Innovations In Islam?(A Complete Deen)!

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • VIEWS:Innovations In Islam?(A Complete Deen)!

    On request of Aabi bahi
    i am posting some of my thinking (right or wrong ) obviously i think them to be true as everyone thinks of his thinking to be true

    main jo samjta hoon
    wo hay Islam aik complete mazhab hay
    yeh complete hoa tha jab Hazoor PBUH per ayat nazil hoi thee key aj main ney tum per tumhara deen mukamal ker dia

    ab koi cheeze jis ko bi baad main islam main shamil kia jaey ga wo bidat hay
    qias , ijtihad etc key through hmm kis cheeze ko islamic asoolon key tehat acceptable or not acceptable to bana saktay haan lakin islam ka part naeen
    chayeh wo kitni hi accha lagay

    filhal chaleen itnay sey hi start kertay haan
    Last edited by tauruskhan; 5 February 2008, 22:39.
    People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

  • #2
    Re: Is Islam complete or not ?

    Originally posted by tauruskhan View Post
    On request of Aabi bahi
    i am posting some of my thinking (write or wrong ) obviously i think them to be true as everyone thinks of his thinking to be true

    main jo samjta hoon
    wo hay Islam aik complete mazhab hay
    yeh complete hoa tha jab Hazoor PBUH per ayat nazil hoi thee key aj main ney tum per tumhara deen mukamal ker dia

    ab koi cheeze jis ko bi baad main islam main shamil kia jaey ga wo bidat hay
    qias , ijtihad etc key through hmm kis cheeze ko islamic asoolon key tehat acceptable or not acceptable to bana saktay haan lakin islam ka part naeen
    chayeh wo kitni hi accha lagay

    filhal chaleen itnay sey hi start kertay haan
    w/ salaam bhai.:rose
    bohat acha sawal hy laikin is ka jawab denay se pehly main aap ko itna wazy kardon k main is ka jawab roman urdu ki bajay unicode urdu main don ga kay aap k liye koi mushkil to naheen hogi?
    us k ilawa mujhy jawab deny main khuch waqat bhi lagay ga aur us k sath sath ye bhi arz karon k main chonk pardees main hon meri zati librery pakistan mary ghar main hy is liye hawala jaat k liye bhi mushkil hogi .is liye ziyada tar jo mery zehan main mehfooz hy usi par inhisaar karon ga magar taham internet se serch kar k hawala jat ki bhi koshish karon ga.
    is k ilawa main ye bhi chahta hon k ye guftgu serf mery aur aap k dermian rahay aur is ko nateeja khaiz sabit karnay k liye main chahoon ga k hum dono baham milkar khuch usool teh karlaytay hain.kaya khial hy aap ka?
    ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

    Comment


    • #3
      Re: Is Islam complete or not ?

      Originally posted by aabi2cool View Post
      w/ salaam bhai.:rose
      wasalam
      bohat acha sawal hy laikin is ka jawab denay se pehly main aap ko itna wazy kardon k main is ka jawab roman urdu ki bajay unicode urdu main don ga kay aap k liye koi mushkil to naheen hogi?
      unicode ki jaga ager app inpage use ker lain , ya roman to mujeh pernay main asani ho gi
      thanx
      us k ilawa mujhy jawab deny main khuch waqat bhi lagay ga aur us k sath sath ye bhi arz karon k main chonk pardees main hon meri zati librery pakistan mary ghar main hy is liye hawala jaat k liye bhi mushkil hogi .is liye ziyada tar jo mery zehan main mehfooz hy usi par inhisaar karon ga magar taham internet se serch kar k hawala jat ki bhi koshish karon ga.
      is k ilawa main ye bhi chahta hon k ye guftgu serf mery aur aap k dermian rahay aur is ko nateeja khaiz sabit karnay k liye main chahoon ga k hum dono baham milkar khuch usool teh karlaytay hain.kaya khial hy aap ka?
      bilkul teek go ahead
      People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

      Comment


      • #4
        Re: Is Islam complete or not ?

        Originally posted by tauruskhan View Post
        wasalam

        unicode ki jaga ager app inpage use ker lain , ya roman to mujeh pernay main asani ho gi
        thanx

        bilkul teek go ahead
        lolz inpage mery liye masla hy chalo khair inpage hi main koshish karlon ga jaysa aap chaheen.:rose
        han to ab aaty hain usool o qwaied ki taraf.
        sab se pehli baat ye to sabhi dawa kartay hain k hamari baat quran o sunnat k mutabik hy to is masla ka ahal kaya hoga yani main agar koi ayat peesh karon aur us se jo mafhoom akhaz horaha ho yani us ayat k amoom se to kaya mera peesh kardena hi kafi hoga ya phir salf o saleheen nay jo mafhoom muradf liya hoga wo moatbar gardana jay ga is ki wazahat kardeen? yani jis ayat se aap jo mana samjh rahay hain wo moatbar hoga ya phir tafaseer k hawala se baat honi chaiye? kaya kehtay hain aap?
        aik hota hy wazy mani yani ayat ya hadeeth se sarhat k sath sabit hota hy aur aik hota hy mujmal hukam jo k ayat ya hadeeth se ulmah hi nikal sakty hain agar koi aysi ayat peesh ki gai ya hadeeth to us main kin logon k aqal ko aap moatbar mantay hain tak wahan se shahadat dilwai jay.
        baqi hum main se dono fareeqain ko aik dosray ki tehqeeq par aytmaad hona chaiye magar hawala jaat ka mutaliba koi bhi fareeq kisi bhi waqat karsakta hy..yani agar jab koi aysa muqaam ajay k aap kisi baat se agreed hon laikin agar aap itna keh dain k ye baat agar prove hojay bahawala to main man jaon ga to aysi surat main jab aap ko hawala mil jay to phir kam azkam aik masla ko hamary dermian clear hojana chaiye..
        filhal itna hi aap meri peesh karda tajaweez main guftgu se pehly pehly koi bhi tabdili karsakty hain magar hum dono ki raza se.
        je to kaya kehtay hain aap?
        ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

        Comment


        • #5
          Re: Is Islam complete or not ?

          Originally posted by aabi2cool View Post
          lolz inpage mery liye masla hy chalo khair inpage hi main koshish karlon ga jaysa aap chaheen.:rose
          thanx
          han to ab aaty hain usool o qwaied ki taraf.
          sab se pehli baat ye to sabhi dawa kartay hain k hamari baat quran o sunnat k mutabik hy to is masla ka ahal kaya hoga yani main agar koi ayat peesh karon aur us se jo mafhoom akhaz horaha ho yani us ayat k amoom se to kaya mera peesh kardena hi kafi hoga ya phir salf o saleheen nay jo mafhoom muradf liya hoga wo moatbar gardana jay ga is ki wazahat kardeen?
          aik hota hy wazy mani yani ayat ya hadeeth se sarhat k sath sabit hota hy aur aik hota hy mujmal hukam jo k ayat ya hadeeth se ulmah hi nikal sakty hain agar koi aysi ayat peesh ki gai ya hadeeth to us main kin logon k aqal ko aap moatbar mantay hain tak wahan se shahadat dilwai jay.
          meray khial main yeh bi fix ker letay haan

          Quran key tarjumay key liya Yousuf Ali ka tarjuma
          http://www.harunyahya.com/Quran_tran...tion_index.php

          and tafseer key liya tafseer ibn kathir
          http://www.tafsir.com/

          aur ahadees key liya
          http://www.usc.edu/dept/MSA/reference/searchhadith.html
          http://www.iiu.edu.my/deed/hadith/index.html
          translater (muhsin khan)

          ko istamal kertay haan

          yani jis ayat se aap jo mana samjh rahay hain wo moatbar hoga ya phir tafaseer k hawala se baat honi chaiye? kaya kehtay hain aap?
          yeh thora ambiguous baat shayed ho jay
          is leya dono hi chala saktay haan


          baqi hum main se dono fareeqain ko aik dosray ki tehqeeq par aytmaad hona chaiye magar hawala jaat ka mutaliba koi bhi fareeq kisi bhi waqat karsakta hy..yani agar jab koi aysa muqaam ajay k aap kisi baat se agreed hon laikin agar aap itna keh dain k ye baat agar prove hojay bahawala to main man jaon ga to aysi surat main jab aap ko hawala mil jay to phir kam azkam aik masla ko hamary dermian clear hojana chaiye..
          agreed
          filhal itna hi aap meri peesh karda tajaweez main guftgu se pehly pehly koi bhi tabdili karsakty hain magar hum dono ki raza se.
          je to kaya kehtay hain aap?
          filhal to koi zehan main neen aa rahi
          Last edited by tauruskhan; 5 February 2008, 23:59.
          People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

          Comment


          • #6
            Re: Is Islam complete or not ?

            Originally posted by tauruskhan View Post
            thanx



            meray khial main yeh bi fix ker letay haan

            Quran key tarjumay key liya Yousuf Ali ka tarjuma
            http://www.harunyahya.com/Quran_tran...tion_index.php

            and tafseer key liya tafseer ibn kathir
            http://www.tafsir.com/

            aur ahadees key liya
            http://www.iiu.edu.my/deed/hadith/index.html
            translater (muhsin khan)

            ko istamal kertay haan


            yeh thora ambiguous baat shayed ho jay
            is leya dono hi chala saktay haan



            agreed

            filhal to koi zehan main neen aa rahi
            bhai aap nay jitnay bhi link fiye hain wo sab angreezi k hain aur ye baat sab janaty hain k meri angreezi itni achi naheen is liye masla hojay ga...:cc:
            ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

            Comment


            • #7
              Re: Is Islam complete or not ?

              Originally posted by aabi2cool View Post
              bhai aap nay jitnay bhi link fiye hain wo sab angreezi k hain aur ye baat sab janaty hain k meri angreezi itni achi naheen is liye masla hojay ga...:cc:
              chaleen app urdu main likh dejay ga , main us ki translation yahan english sey dehk loon ga
              wasey ager app yahan sey dehk lain itni mushkil english yahan naeen hay
              Last edited by tauruskhan; 6 February 2008, 00:11.
              People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

              Comment


              • #8
                Re: Is Islam complete or not ?

                tafseer ibne kaseer ka urdu tarjuma to mujy mil gaya hy aik masla to hal hua baqi aysa kartay hain k ahdeeyj urdu tarjuma ya quran ka urdu tarjuma jis kisi ka bhi wo qabil e qabool hoga kionk mera naheen khail k tarajum main koi itna bara farq hy.kaya khial hy? link drj zail hy is main urdu main bukhari o muslim bhi hy..
                http://www.quranurdu.com/books/urdu_books/
                Last edited by aabi2cool; 6 February 2008, 00:07.
                ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                Comment


                • #9
                  Re: Is Islam complete or not ?

                  Originally posted by aabi2cool View Post
                  tafseer ibne kaseer ka urdu tarjuma to mujy mil gaya hy aik masla to hal hua baqi aysa kartay hain k ahdeeyj urdu tarjuma ya quran ka urdu tarjuma jis kisi ka bhi wo qabil e qabool hoga kionk mera naheen khail k tarajum main koi itna bara farq hy.kaya khial hy? link drj zail hy is main urdu main bukhari o muslim bhi hy..
                  http://www.quranurdu.com/books/urdu_books/
                  chaleen is ko bi usi list main shamil ker lain
                  People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

                  Comment


                  • #10
                    Re: Is Islam complete or not ?

                    یہ کائنات نا تمام ہے ابھی شاید
                    کہ آرہی ہے صدائے کن فایا کون دما دم



                    شاید شعر کچھ غلط لکھ دیا ہے مگر آپ کا جواب اسی میں ہے۔

                    Comment


                    • #11
                      Re: Is Islam complete or not ?

                      Originally posted by tauruskhan View Post
                      chaleen is ko bi usi list main shamil ker lain
                      THEEK HY MAIN AIK DO DIN MAIN AAP K BASIC SAWAL KA JAWAB POST KARDON GA ASAL MAIN JAB SE YAHAAN AYA HON BOHAT PROBLUB HOGAI HY KITABEEN MUYSSAR NAHEEN HAIN YAHAAN MERI APNI LIBRERY MAIN TO MASHALLAH SE SEREF TAFASEER HI KI 20 KITABEEN HAIN LAIKIN AFSOOS K NET PAR MATLOOBA JITNI BHI KITABEEN HAIN UN MAIN SE KOI AIK BHI NET PAR DASTIAB NAHEEN .BAHARHAL KOSHISH KARON GA K AAP KI TASHAFI KARSAKON. DEER SAWEER BHI HOSAKTI HY IS LIYE MOAZRAT PEESHGI.
                      Last edited by aabi2cool; 6 February 2008, 15:42.
                      ساقیا ہور پلا ہور پلا ہور پلا

                      Comment


                      • #12
                        Re: Is Islam complete or not ?

                        Absolutely Complete :alhamd: :)
                        Biddat "us Innovation/tabdeeli/additional thing" ka naam hai jo pehly mojood na ho or hum apni sooch or khyaalat k mutabiq usko DEEN mai shaamil kr dain.....

                        Gupshup mai apny "Quran Khwani" ko Biddat kaha.......isk lye mera concept ye hai k jb kise ki death hooti hai like mere Father ki death hoi....to hum ny na hi unky Qul kiye na hi Chaliswaa'n.....na hi Barsi....na hi unki Qabar pakki hai....!

                        in sab cheezon sy mere Father ny apni death sy pehly humin mana kr diya tha k ye Biddat hain.
                        so hum ny nahi kiya......or ye sab mery nazdeek bhi Biddat hai.......!

                        Mery nazdeek ghar k log poory khaloos or neik niyaati sy Quran Paak khatam kr lain wo ziada behter hoota hai
                        q k jo khaloos Family Members ka hoota hai wo laakh chahty hoe bhi bahir k logoon ka nahi ho sakta....:)

                        Comment

                        Working...
                        X