Hamarey moashrey mein waldein aur usatza kam besh dono hi bachey ki tarbiyat sey la'taluq ho chukey hain aur aik doosrey ko qasoor war gardaantey hain. Waldein meyaar-e-zindagi buland karney mein ghan-chaker ban chukey hain aur ustaad-o-talib-e-ilm ka bahimi ta'aluq class-room mein biyaan kardah aik taqreer tak mehdood ho geya hai. Kya aisa moashra khush'haal rahon per qadam rakh sakta hai???
Announcement
Collapse
No announcement yet.
Unconfigured Ad Widget
Collapse
Muashrey Mein Bachon Ka Muqaam
Collapse
X
-
Re: Muashrey Mein Bachon Ka Muqaam
bilkul bhi nahi rakh sakta
aik bachey ki shaksiyat bana ney mey walaideyn aur usatza dono ka hath hota hai leykin aik non muslim country mey usatza ka kaam bhi walaideyn key zimmey mey aata hai
akser parents aik certain age per apney bachon ko chor deytey hein bakol un key ab issey sahih aur ghalt ki pehchan hai aur hamarey zimmey mazeed kuch nahi hai ....
inhein is tarhan bilkul nahi kerna chahiye kyoon key bacha chahey jitna bhi barha kyoon na ho jaye ussey rehnumai ki her qadm per zaroorat rehti hai" Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "
-
Re: Muashrey Mein Bachon Ka Muqaam
bohat acha topic masood :thmbup: or bachon ki zimadari waldein,teachers n poore moashre par aid hoti he,sab se pehle parents ki zimadari he ke wo apne bachon ko sahi or ghalat ki pehchan den har har qadam par un ki rehnumai karen.us ke baad teachers ki jahan bache apne din ka aik bara hisa guzarte hen.
is ke elawa media bhi aik nehayat ehem role play karta he aj kal bachon ki tarbeyat me,or jo haal media(TV waghera) ka he us se bachon par acha aser nahi par raha.
Comment
Comment