Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Questions of Benazir's Assassination

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Questions of Benazir's Assassination

    1.) Pakistan Home Ministry ka byan ke Benazir ko qatl nahin kiya gaya balke vehicle roof se chot lagnay ki wajah se huwi. Benazir ke saath saath rahney wali Sherry Rehman ka dawa hai ke unhone janaze ko ghusl detay huway sir per goli lagney ki nishaaan saaf saaf dekhay. Geo channel per bhi goli chalaney waley ka haath dekha gaya jo security guard ke thik peechhay khada hai

    2.) According to international rule kisi bhi VIP ke qatl ke baad postmortem zaroori hai, Postmortem se parhez kyon kiya gaya.

    3.) Death/Murder spot ki tahqeeqi report aaney se pehle 72 ghantay tak wardat spot ko seal kiya jata hai. Home ministry ne within 24 hours mein wardat spot ko dho dala, where is report

    4.) Benazir ne apni qatl ke imkaanat pehley hi bataya tha, apni hifazat ke liye western countries security guard lana chahti thein, Parvez Musharraf ne iski manzoori nahin di

    5.) Rawalpindi ke jis maidan mein Benazir ko nishana banaya gaya wahan, kafi high alert tha, aslahaband aadmi kaise dakhil huwa.

    6.) Uss dayere mein 30 ya 40 chahay jitna bhi log jaan bahaq huwe, marnay walon mein koi fauj nahin

    7.) Hospital ke report ko kyon badla gaya

    8.) Baithullah Masood ke pleader mullah Umar ne ek anjan jagah se telephone per bataya "Main Benazir ki qatl mein Baithullah Masood ka haath honay ko kharij karta hoon, Qabaeili riti rewaj ki mutabiq ham aurton per hamla nahin kartay."

    9.) Aur bhi kayi sawal ubhartay hain.
    Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
    Hamarey naam ka patthar zaroor milega

  • #2
    Re: Questions of Benazir's Assassination

    bohot achey sawal heiN spy... magar meyrey pass in ka koi jawab nahi ... aur na hi shayad gov. key pass ho :donno:

    jahan tak baat hospital ka bayan badalney ki hai.... to meyrey khayal mey wo shayad iss liye kaha gaya hai key "wo goli sey atleast nahi faut huyeiN" key log thora sambhal jayeiN....

    aur postortem ki ijazat ho sakta hai key un key family ney na di ho....

    n Allah knows the best .... aur ye dua key saarey halaat bohot jald sambhal jayein Ameen....
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment


    • #3
      Re: Questions of Benazir's Assassination

      good questions..but aaj zaroorat iss amar ki hai kay mustakbil ki taraf zayada ghor say daikha jaay..pakistan ko sahara dainay ka wakt hai ...inn sawalaat kay jawaabat tu shayad kabhi bhi na milain..

      Comment


      • #4
        Re: Questions of Benazir's Assassination

        Originally posted by Spy009 View Post
        1.) Pakistan Home Ministry ka byan ke Benazir ko qatl nahin kiya gaya balke vehicle roof se chot lagnay ki wajah se huwi. Benazir ke saath saath rahney wali Sherry Rehman ka dawa hai ke unhone janaze ko ghusl detay huway sir per goli lagney ki nishaaan saaf saaf dekhay. Geo channel per bhi goli chalaney waley ka haath dekha gaya jo security guard ke thik peechhay khada hai

        Goli bhi chalai gai the..lekan yeh confirm nahi howa kay moot Goli lagnay say hovi ya sun roof say takrnay say ...
        2.) According to international rule kisi bhi VIP ke qatl ke baad postmortem zaroori hai, Postmortem se parhez kyon kiya gaya.

        un kay Husband nay mana kar dia tha ...tv pay yehi suna hai ...warna wo loog shoor na machatay kay kay bagheer post martam kay dafan kar dia gia :)
        3.) Death/Murder spot ki tahqeeqi report aaney se pehle 72 ghantay tak wardat spot ko seal kiya jata hai. Home ministry ne within 24 hours mein wardat spot ko dho dala, where is report


        ..............
        4.) Benazir ne apni qatl ke imkaanat pehley hi bataya tha, apni hifazat ke liye western countries security guard lana chahti thein, Parvez Musharraf ne iski manzoori nahin di

        Benazir ki apni security bhi to kafi the ..us pay koi naam koi nahi aya kay galati un ki taraf say bhi hovi hai :mm:

        5.) Rawalpindi ke jis maidan mein Benazir ko nishana banaya gaya wahan, kafi high alert tha, aslahaband aadmi kaise dakhil huwa.

        May be in ki apni party ka koi banda involve hoo jo kay koi deshatgard itna qareeb a kay nishana laga gia .......!6.) Uss dayere mein 30 ya 40 chahay jitna bhi log jaan bahaq huwe, marnay walon mein koi fauj nahin


        koi bhi leader hoo un kay sath agay un ki apni security hoti hai or peachay Govt ....to nishana jab qareeb say lagaya gia to un ki apni party kay security guard hi foot hovey ...
        7.) Hospital ke report ko kyon badla gaya

        don't know............yeh bhi to confirm nahi hai kay badla gia ya nahi ......:mm:
        8.) Baithullah Masood ke pleader mullah Umar ne ek anjan jagah se telephone per bataya "Main Benazir ki qatl mein Baithullah Masood ka haath honay ko kharij karta hoon, Qabaeili riti rewaj ki mutabiq ham aurton per hamla nahin kartay."

        un kay mobile phone to tape kar leye jatay hian in logoo ko pakra kio nahi ja sakta :khi:....Osama Bin Laden ki taraha :khi:
        9.) Aur bhi kayi sawal ubhartay hain.

        ji pouchye :mm:
        اللھم صلی علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما صلیت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔
        اللھم بارک علٰی محمد وعلٰی آل محمد کما بارکت علٰی ابراھیم وعلٰی آل ابراھیم انک حمید مجید۔

        Comment


        • #5
          Re: Questions of Benazir's Assassination

          Originally posted by Aanchal View Post
          un kay mobile phone to tape kar leye jatay hian in logoo ko pakra kio nahi ja sakta :khi:....Osama Bin Laden ki taraha


          ji pouchye :mm:
          aap ke jawab ke mutabiq to Osama bin Laden bhi pakda jana chahiyie jab time to time unka mssg. Al Jazira ke pas pahunchta hai


          aage aage dekhen kya kya hota hai:dua
          Khandar wafa ka yaaro kured kar dekh lo
          Hamarey naam ka patthar zaroor milega

          Comment

          Working...
          X