9/11 ke baad America ne Pakistan per anti terrorism act ke liye kaafi invest kiya, Musharraf ne bharpur tawwun detay huwe Pakistan ko ek aman o chain wala mulk bananey ka wada bhi kiya, Benazir wapis aayein, Nawaz Sharif lautay, Musharraf ne uniform utaray inn sab se ek ummid jagi thein, lekin iss qatl se Musharraf hukumat ke saarey daway khokhlay aur jhootay saabit huway.
Benazir ki qatl Pakistan ke liye ek bahut badi crisis hai. Qatl ke pichhay Al qaida, Islamic Parties, Army ya ISI mein kiska haath tha, kaam anjam denay walon nei sajish ko anjam de hi diya. Koun kiske saath kiya mansuba banaya kaha nahin ja sakta lekin is mansube ki shikar Benazir huwin. Security ke liye Musharraf hukumat mujrim hai, iss se wo bach nahin saktey, kyon ke qatl kisi gaon ya qasba mein nahin huwa, high alert walay shahar Rawalpindi jahan Army ka Headquarter hai, hairani ki baat hai ke koi hamlawar itni aasani se unke itnay qarib aa saka. Qatilana wardat ke pichhay koi bhi ho sakta hai. Mojuda hukumat mein bhi aise elements ho saktey hain aur unn sabka rishta naata dahshat gard ya orthodox Islamic party se ho sakti hai.
Benazir ki maut Pakistan ki siyasat pe kayi saal tak rahega. Pakistan peaceful mulk hota to bhi iss tarah ki maut pe afsos hota, wahan to pehle se bikhra huwa mahol hai aise halat mein awam ko agey aana hoga aur ek rahbar ko chu-na hoga.

Comment