Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

VISUALS: Presidents of Muslim countries

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • VISUALS: Presidents of Muslim countries












    People should not be afraid of their governments. Governments should be afraid of their people

  • #2
    Re: Presidents of Muslim countries

    lolss Nice
    But it is a way of presenting/comparing things, Har chamaknay wali cheez sona nahi hoti :D
    Ankhein dhoka khaa jati hain aur waisay bhi bhai kia pata Allah ki nazar mein kaun acha hai :)
    Last edited by GumShuda; 7 December 2007, 16:55.
    Kis nooN haal sunawaN dil daa ....Koi mehram raaz nai mildaaa!
    Sadly, common sense is not very common..!!

    Comment


    • #3
      Re: Presidents of Muslim countries

      Originally posted by GumShuda View Post
      lolss Nice
      But it is a way of presenting/comparing things, Har chamaknay wali cheez sona nahi hoti :D
      Ankhein dhoka khaa jati hain aur waisay bhi bhai kia pata Allah ki nazar mein kaun acha hai :)
      yeh aap kaisay keh sactay hain.....
      ahmadi nizaad is a great person..woh buhat sada insaan hai.
      janab BAAZ CHAMAKTI CHEEZAIN WAQAI SONA HOTI HAIN.waisay hamaray paas yeh acha fiqrah hai buray insaan ko acha sabit karnay kay liyae as u say ''pata nahi kon allah ki nazar main acha hai aor kon nahi''....lakin hum nay too zahri amal dhaikna hai.
      musharaf ayyaash hai.
      sigpic

      Comment


      • #4
        Re: Presidents of Muslim countries

        Fitna_e_millat_e_beeza Hai Immamat Us Ki.
        Jo Musalman Ko Slateen Ka Puristaar Karay.
        sigpic

        Comment


        • #5
          Re: Presidents of Muslim countries

          Originally posted by suffard View Post
          yeh aap kaisay keh sactay hain.....
          ahmadi nizaad is a great person..woh buhat sada insaan hai.
          janab BAAZ CHAMAKTI CHEEZAIN WAQAI SONA HOTI HAIN.waisay hamaray paas yeh acha fiqrah hai buray insaan ko acha sabit karnay kay liyae as u say ''pata nahi kon allah ki nazar main acha hai aor kon nahi''....lakin hum nay too zahri amal dhaikna hai.
          musharaf ayyaash hai.
          aray bhai jaan ap ghusa hi ho gai lolsss
          mein ne kab kaha Ahmadi nizaad bura insaan hai ??? :)
          barhaal nevermind , wo hadees suni hai na jis ka mafhoom hai...
          " Aur Allah ki Rasi ko mazbooti se thamay rakho aur tafirqay mein na parro "
          es lye aisi chezain point out karnay se kia faraq paray ga ? itnay loog maray gai kuch nahi howa. barhaal Qisa-e-Mukhtasir aisa mawad dikhanay ki bajaye kuch aisi chezain batain jo humaray lye achi hoon.
          Bura tu sabhi kahtay hain aur har kisi ko kahtay hain, bas har banday ki apni sooch hoti hai.
          agar Musharaf ayaash hai tu Allah ne osko ap pe hukamraan banaya hai wo bhi tu sochain kah Allah ne aisa kuyn kia ?
          Kis nooN haal sunawaN dil daa ....Koi mehram raaz nai mildaaa!
          Sadly, common sense is not very common..!!

          Comment


          • #6
            Re: Presidents of Muslim countries

            Originally posted by GumShuda View Post
            aray bhai jaan ap ghusa hi ho gai lolsss
            mein ne kab kaha Ahmadi nizaad bura insaan hai ??? :)
            barhaal nevermind , wo hadees suni hai na jis ka mafhoom hai...
            " Aur Allah ki Rasi ko mazbooti se thamay rakho aur tafirqay mein na parro "
            es lye aisi chezain point out karnay se kia faraq paray ga ? itnay loog maray gai kuch nahi howa. barhaal Qisa-e-Mukhtasir aisa mawad dikhanay ki bajaye kuch aisi chezain batain jo humaray lye achi hoon.
            Bura tu sabhi kahtay hain aur har kisi ko kahtay hain, bas har banday ki apni sooch hoti hai.
            agar Musharaf ayaash hai tu Allah ne osko ap pe hukamraan banaya hai wo bhi tu sochain kah Allah ne aisa kuyn kia ?
            BILKUL SAHI...
            JAISI QAOM WAISA HUKMARAN.
            :salam:
            BUT HE IS AYYAAAAAAAAAAAAASSHHHHHHHHH
            sigpic

            Comment


            • #7
              Re: Presidents of Muslim countries

              Tarus Khan....bhii Great Work ........nice sharing

              Comment


              • #8
                Re: Presidents of Muslim countries

                well...................!!! :)

                What can i say.......:)
                waisy wo jo bhoot Aunty hain pink dress mai :D lolzZz unko dekh k mush uncle dary nahi :D Jokinggggg:p

                ALLAH TAALA HER IK KO SEEDHA RASTA DIKHAE AMEEN!

                Comment


                • #9
                  Re: Presidents of Muslim countries

                  now @ topic!

                  ik point yahan kaafi uthaya ja raha hai k "Jesi qom wasa hukmiraan"
                  or in tamam visuals ko dekhty hoe nihayat sharmindgi se ik baat kehna chahoon gi k kia hum ny khud ka living style dekha hai?

                  hum khud bhi to AYASH hi hain......hum bhi to rat din isy competition k lye roozi kama rahy hain k living standard ko mazeeed increase kr sakin....

                  acchy sy accha mobile fone......PC se LCD ya phr Laptop.......dressz main particular Brands ka intikhaab........ager dekha jae to majority in basic cheezon mai bhi ab ik standard maintain krna chahti hai........or in Economics Term........hamari "Utility" hi yahan maximize hooti hai.
                  or ye ik fact hai!

                  Comment


                  • #10
                    Re: Presidents of Muslim countries

                    Originally posted by suffard View Post
                    BILKUL SAHI...
                    JAISI QAOM WAISA HUKMARAN.
                    :salam:
                    BUT HE IS AYYAAAAAAAAAAAAASSHHHHHHHHH
                    Bhai lekin yeh bhi tu daikhna hai sabhi buray nahi hain achay bhi hain lekin majority apnay sahi rastay se hat gai hain. Sawal yeh paida hota hai Kaun Aayaash nahi hai ?

                    majority aisay hi hain, Cinema ko sab bura kahtay hain lekin wo full hotay hain Punjabi stage daramas daikhain wo full hotay hain har show mein itnay itnay loog ( mein yeh nahi kahta kah mein nahi gaya mera jana bhi howa cinema mein aur stage darama ek baar daikhnay gaya tha :D lolss ), mein Pakistan mein nahi hoon lekin mujhe pata hai media pe sab nazar ata hai, kuch hi din pahlay ek interview yahan kay local TV pe aa raha tha " Dinner With Musharaf " wo ek Pakistani Khatoon jo England mein rahti hain wo interview lainay gai thein.... tu os mein jo halat thi bayaan karta hoon :D.....

                    Un Khatoon ne Islamabad pohanch kay baad Kisi Army Officer ko fone kia kah kis waqat wo niklay gai this n that, os Aurat ne Sleeveless Qameez pehni howi thi jo apnay ap ko Muslaan kahti thein aur pakistani bhi thein....dupata tu na honay kay qabil tha.
                    Phir wo President kay ghar gain aur dinner table pe baithein kuch questions kiye wahan Sehba Musharaf aur Musharaf ki Valida bhi thein... aur os kay saath hi next scene mein Sindh ki ek Ghareeb family dikhaye ek Khatoon tail walay cholhay pee rooti bana rahi thi aur ghar nahi tha wo ek jhoompri thi aur end mein wo loog zameen pe baith kay khana khatay dikhaye gai ek hi burtan mein maaan beti aur baap aur doosri taraf President ko jo Khana serve kar raha tha os ne haath pe gloves pehnay howay thay lolss ... aisa comparison kay banda daikh kay paraishaan.

                    Phir isb mein Khawateen ka ek jaloos dikhaya gaya jis mein wo Molvyoon ko bura kah rahi thein aurtain , gali galooch kar rahi thein aur chilaa rahi thein kah Mullas humaray mulaq ko tabah kar dain gai ......

                    Barhaal os mein Cinemas dikhaye gai wahan bahir itni lambi lines thein itna rush aur jo posters thay unper Paint Phainka tha takah actress ki tasveerein chuph jain aur Cinema kay andhar intaahayee fehash Qisam ka Dance chal raha tha jis mein Resham aur Mohmar Rana dance kar rahay thay lolssss....

                    aur doosri taraf Scarf Wali aurtein dikhayee gai thein Pakistan mein....
                    aur next scene tha pakistan ka showbiz lolss u know what Photo shoot ho raha tha aur larki ne jo libaas pehna howa tha lagta tha jism pe libaas hi nahi hai lolsss...

                    Os aurat ne kaafi loogoon se interview liyaaa kuch loog Musharaf ko bura kuch loog Acha gardaaan rahay thay... phir wo Pakistan kay qabaili elaqa mein bhi gai khair lambi baat hai :D

                    Media pe sab dikhatay hain aur specially Pakistan tu aj kal yahan pe hit pe hai daily News mein aur itnay programes atay hain Pakistan kay baray mein kah uff ajeeb culture hai adhay loog Moderated Muslmaan hain aur adhay intehaa pasand lolsss..sahi wala musalmaan kaun hai ???



                    Kis nooN haal sunawaN dil daa ....Koi mehram raaz nai mildaaa!
                    Sadly, common sense is not very common..!!

                    Comment


                    • #11
                      Re: Presidents of Muslim countries

                      Originally posted by Shaim View Post
                      now @ topic!

                      ik point yahan kaafi uthaya ja raha hai k "Jesi qom wasa hukmiraan"
                      or in tamam visuals ko dekhty hoe nihayat sharmindgi se ik baat kehna chahoon gi k kia hum ny khud ka living style dekha hai?

                      hum khud bhi to AYASH hi hain......hum bhi to rat din isy competition k lye roozi kama rahy hain k living standard ko mazeeed increase kr sakin....

                      acchy sy accha mobile fone......PC se LCD ya phr Laptop.......dressz main particular Brands ka intikhaab........ager dekha jae to majority in basic cheezon mai bhi ab ik standard maintain krna chahti hai........or in Economics Term........hamari "Utility" hi yahan maximize hooti hai.
                      or ye ik fact hai!
                      Bilkul sahi kaha.
                      Loog chothi chothi cheezon pe itnay paisay kharach kartay hain....
                      Lahore mein jab mein tha meray dost tha ek Nabeela se appointment lai kar baal katwatay thay lolssss... amazing na :D, asain paindo banday pind mein naayee aa kar baal kaat jata tha humaray lye tu shocking tha. lolsss

                      aur meray ek dost ne apni Car mein stereo system per aj se 4 saal pahlay 40,000 RS lagaa...
                      mein unko bura nahi kah raha , sirf ek tasveer ka rukh paish kar raha hoon...

                      aur mera ek aur dost tha wo taqreeban har thoray arsay baad ek Mobile khareedta tha aur os ki qeemat 30,000 se kam nahi hoti thi aur, mein poochta tha yeh kuyn kahta tha new features hain es mein :D

                      aisi tu ek lambi line hai , aj kal ki young genration ayaash nahi hai kia ???

                      mein larkyoon ko daikhta tha ghar se Hijaab mein ati thien unka Baap drop kar jata tha ya driver tu seedha aa kar hijaab waghaira utaar daitain thein aur neechay se jeans aur bas ek chothi si shrit nikal aati thi jo sara din aisay hi rahti thi lolsss aisi baat nahi hai kah un larkyoon ka character kharab tha bohat achi larkyaan thein bas yeh unka life style tha jo unko acha lagta tha... tu humaray pakistan mein aisa life style nahi chati awaam ???

                      Khooti Reerhi ( Gadha gaarri ) Walay bhi mobile haath mein rakhtay hain.

                      Jis ki jitni himat hai wo utni ayaashi zaroor karta hai........

                      mein ne oper ek interview ka tazkara kia os mein ek party dikhaye gai Karachi mein beech pe larkyaan smoke kar rahi thein even drink bhi aur dance bhi( aur larkay tu kia hi kahna sabhi drunk thay unki tu baat hi kia hai, unko tu koi bura nahi kahay ga chahay jo bhi karain :D ). wo bhi tu loog hain aur pakistan mein aj kal aisi parties bohat urooj per hain ...
                      aur Qazi Hussain sahab kay betay bhi USA mein hain aur bhi aisay yeh jitnay sayasat daan hain molvi sab ki adhi families tu abroad mein hain aur wahan unka life style totally different hai....

                      tu kaun ayaash nahi ? :D
                      Last edited by GumShuda; 8 December 2007, 11:33.
                      Kis nooN haal sunawaN dil daa ....Koi mehram raaz nai mildaaa!
                      Sadly, common sense is not very common..!!

                      Comment

                      Working...
                      X