Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

sakoon ki talash mey

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • sakoon ki talash mey

    Aik muslim psychatrist ka kehna hai key aaj key daur mey adm sakoon ki sab sey barhi waja madhab sey doori hai....
    Attached Files
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

  • #2
    Re: sakoon ki talash mey

    Buhut acha topic :)

    Aur yeh baat buhut hadth tak sahi hai ke Besakoni ki sab se bari waja mazhab se doori hai. Jab tak insan ka kamil yaqin khuda pe rho aur wo her kaam ous ke naam se shuroo karey to yaqinan kamyab hota hai. Zindagi ke mukhtalif outar cherhao main ousey apni himat ke sath apne khudha per poora bharosa hota hai, wo himat se apni mushkilon aur pareshanio main sabit qadam rehta hai, aur kamyab hota hai. Dosri taraf jo insan mazhab se dour ho wo sab se pehley ek mushkil se ghabra jata hai, ous ki ghabrahat ousey sabit qadam rehne aur sahi faisla kerne se qasir rakhti hai, aur phir wo oaham aur waswaso'n main mubtala hota hai, aur phir khuda aur taqdeer se shikwo'n per outer aata hai, yahan ous ka sakoon khatam ho jata hai.

    To is tarah mazhab se douri is ki waja hai.
    sigpic

    Comment

    • #3
      Re: sakoon ki talash mey

      yehan mery zehan main aik swal aata hay k sakoon kiun cheyee?.

      kia hum yehan es dunia main skoon k liy aaye hain.
      yeh jo tension aur bakee es kisam kee chezain hain wo sab hamari hee apni paida kee hui hain.
      siraf sakoon kee talash main hee aisi tention laity rehty hain.
      abi mera swal ka jawab ka thora hints mily to main agy baat kerta hun.

      Comment

      • #4
        Re: sakoon ki talash mey

        Originally posted by khl

        Mmm,
        khl mujhey aap ki baat bilkul bhi nahi samjh ayi hai .... pehley aap ye batayie key aap "sakoon" ko kaisey define kertey hein? ya simply aap key nazdeek sakoon kya hai?
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment

        • #5
          Re: sakoon ki talash mey

          Originally posted by Saima Shaheen
          Buhut acha topic :)

          Aur yeh baat buhut hadth tak sahi hai ke Besakoni ki sab se bari waja mazhab se doori hai. Jab tak insan ka kamil yaqin khuda pe rho aur wo her kaam ous ke naam se shuroo karey to yaqinan kamyab hota hai. Zindagi ke mukhtalif outar cherhao main ousey apni himat ke sath apne khudha per poora bharosa hota hai, wo himat se apni mushkilon aur pareshanio main sabit qadam rehta hai, aur kamyab hota hai. Dosri taraf jo insan mazhab se dour ho wo sab se pehley ek mushkil se ghabra jata hai, ous ki ghabrahat ousey sabit qadam rehne aur sahi faisla kerne se qasir rakhti hai, aur phir wo oaham aur waswaso'n main mubtala hota hai, aur phir khuda aur taqdeer se shikwo'n per outer aata hai, yahan ous ka sakoon khatam ho jata hai.

          To is tarah mazhab se douri is ki waja hai.
          yep...
          jo log Madhab key kareeb hotey hein , agar unhein koi masla ho chahey chota ho ya barha wo foran Allah sey baat ker leytey hein (du'a key zarye) aur yun wo poorsakoon ho jatey hein
          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

          Comment

          • #6
            Re: sakoon ki talash mey

            afra tafree bhag dor is sab ne mil kar sakoon khatam kar dia he,or kuch jab insan ka eeman kamzor par jata he to wo is tarah ki baton ka shikar ho jata he.

            Comment

            • #7
              Re: sakoon ki talash mey

              Well meri nazar mein aaj kul skoon hasil kerne ka formula change ho gaya he, jub insaan apne skoon ke liye doosron ka skoon barbaad kerta he, un ke hakook ka istehsaal kerta he to wo doolat to khareed leta he, lekin skoon nahi pata.

              Skoon hasil kerne ke liye bohat zaroori he ke aap doosray loogon ko skoon dene ki kooshish karein, ager koi dosra aap ki waja se khush'haal ho ga, khush ho ga, to believe me aap ki rooh ko skoon pohanchay ga.
              :thmbup:

              Comment

              • #8
                Re: sakoon ki talash mey

                Originally posted by shy
                afra tafree bhag dor is sab ne mil kar sakoon khatam kar dia he,or kuch jab insan ka eeman kamzor par jata he to wo is tarah ki baton ka shikar ho jata he.
                bikul theek shy,

                Originally posted by munda_sialkoty
                Well meri nazar mein aaj kul skoon hasil kerne ka formula change ho gaya he, jub insaan apne skoon ke liye doosron ka skoon barbaad kerta he, un ke hakook ka istehsaal kerta he to wo doolat to khareed leta he, lekin skoon nahi pata.

                Skoon hasil kerne ke liye bohat zaroori he ke aap doosray loogon ko skoon dene ki kooshish karein, ager koi dosra aap ki waja se khush'haal ho ga, khush ho ga, to believe me aap ki rooh ko skoon pohanchay ga.
                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment

                • #9
                  Re: sakoon ki talash mey

                  Originally posted by barg.e.gul
                  Mmm,
                  khl mujhey aap ki baat bilkul bhi nahi samjh ayi hai .... pehley aap ye batayie key aap "sakoon" ko kaisey define kertey hein? ya simply aap key nazdeek sakoon kya hai?
                  right aap ny kaha tha k ik muslim psycatrist ny kaha hay k mazhab sy doori sy hum loag be skoon hain.
                  aap batao k muslims ko es dunia main sknoon kerny ka hukam mila hay
                  kia hamra her lamha ka emitihan nahi hy yehan.
                  jab sari dunia skoon kee neend so rahi huti hy to kia hum namaz tahajad nahi parr rahy huty.
                  ...........
                  my dear mery kehny ka maksad hy k muslim ko es dunia main skoon nahi dia gia hay.
                  siraf aur siraf Jehdo Jehad kerny hain muslims ny aur wo b akhrat k skoon k liy...
                  aur hum yehan kiun sakoon talash kerain...???

                  Comment

                  • #10
                    Re: sakoon ki talash mey

                    Originally posted by munda_sialkoty
                    Well meri nazar mein aaj kul skoon hasil kerne ka formula change ho gaya he, jub insaan apne skoon ke liye doosron ka skoon barbaad kerta he, un ke hakook ka istehsaal kerta he to wo doolat to khareed leta he, lekin skoon nahi pata.

                    Skoon hasil kerne ke liye bohat zaroori he ke aap doosray loogon ko skoon dene ki kooshish karein, ager koi dosra aap ki waja se khush'haal ho ga, khush ho ga, to believe me aap ki rooh ko skoon pohanchay ga.

                    Assalaam o alekum,

                    kuch hud tak to numde nien such hi kaha hai ke jab jab hum doosroon kaa saqon chheente hain yaa barbaad kerte hain tab tab humaara saqoon bhi chhin jaataa hai lekin aisa isliye hootaa hai ke hum apnien mazhab se bahoot door jaa chuke hain wernaa aisa naa ho
                    :tang: RISK IS MY BUSINESS

                    DANGER IS MY GAME

                    DONT PLAY WITH ME
                    BCOZ KHURRAM IS MY NAME :tang:

                    Kisi nien bhi to naa dekha nigaah bher ke Mujhe

                    Gaya phir aaj kaa din bhi udaas ker ke mujhe

                    Comment

                    • #11
                      Re: sakoon ki talash mey

                      Originally posted by khl
                      right aap ny kaha tha k ik muslim psycatrist ny kaha hay k mazhab sy doori sy hum loag be skoon hain.
                      aap batao k muslims ko es dunia main sknoon kerny ka hukam mila hay
                      kia hamra her lamha ka emitihan nahi hy yehan.
                      jab sari dunia skoon kee neend so rahi huti hy to kia hum namaz tahajad nahi parr rahy huty.
                      ...........
                      my dear mery kehny ka maksad hy k muslim ko es dunia main skoon nahi dia gia hay.
                      siraf aur siraf Jehdo Jehad kerny hain muslims ny aur wo b akhrat k skoon k liy...
                      aur hum yehan kiun sakoon talash kerain...???
                      khl aap bohot mushkil maaini nikaal rahey hein ... meyra sawal to bohot simple hai
                      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                      Comment

                      • #12
                        Re: sakoon ki talash mey

                        Wohee jo hamy os dunia ky sakon desakta hy to ese dunia my be ham osy mehrom nahee rehsaktay. Sakon dono dunia ky leye zaroree hy. Or :insha: momen hee esko pasakta hy.:dua :dua
                        u can't gain RESPECT by choice nor by requesting it... it is earned through your words & actions."

                        :pr:

                        Comment

                        • #13
                          Re: sakoon ki talash mey

                          ^inshAllah Hala :)
                          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                          Comment

                          • #14
                            Re: sakoon ki talash mey

                            Originally posted by barg.e.gul
                            khl aap bohot mushkil maaini nikaal rahey hein ... meyra sawal to bohot simple hai
                            haha ok its al right main asan talash kerta hun:rose

                            Comment

                            • #15
                              Re: sakoon ki talash mey

                              Originally posted by Hala
                              Wohee jo hamy os dunia ky sakon desakta hy to ese dunia my be ham osy mehrom nahee rehsaktay. Sakon dono dunia ky leye zaroree hy. Or :insha: momen hee esko pasakta hy.:dua :dua
                              :insha: very nice reply

                              Comment

                              Working...
                              X