Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

CURRENT: 6 oct. 2007

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • #16
    Re: 6 oct. 2007

    Originally posted by Xenya View Post
    :mm:
    PPP ka boycott - hahahah what a hoax!
    Ander hi ander hakoomat sey deal karna aur samney boycott karna, fraud ka kitna "jamhoori" andaaz hai :khi:
    tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
    tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

    Comment

    • #17
      Re: 6 oct. 2007

      [quote=Xenya;537831]bilkul hona chahiye .. coz sirf inhi saari news key liye mey sehri key baad soi bhi nahi thi

      quote]

      Aap to ho hi nikathoo - jab insaan ko ilm ho keh "Jis ki laathi bhens usi ki" to phir apni zindagi ajeeran karney sey faidah?
      tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
      tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

      Comment

      • #18
        Re: 6 oct. 2007

        Originally posted by Masood View Post
        PPP ka boycott - hahahah what a hoax!
        Ander hi ander hakoomat sey deal karna aur samney boycott karna, fraud ka kitna "jamhoori" andaaz hai :khi:
        Originally posted by Masood View Post

        Aap to ho hi nikathoo - jab insaan ko ilm ho keh "Jis ki laathi bhens usi ki" to phir apni zindagi ajeeran karney sey faidah?
        mey ney socha shayad meyri neend qurbaan kerney sey hamari siyasat mey Inqilaab aa jaye :hehe:
        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

        Comment

        • #19
          Re: 6 oct. 2007

          maloom hai Zinia hamarey mulk mein siyasat aik farz nahin samjha jata, balkeh aim mansab samjha jata hai, aur mansab sey jitna fraud kiya jaa sakey wohi jaiz hota hai. Yeh log intihaii makrooh hain jo siyasat ka itna ganda aur bhiyanak khail khailtey hain - mujhey to ab yun lagney laga hai keh in logon ka naam ley ker zuban gandi honey lagi hai....

          Aur nahin, aap key neend qurban karney sey to kya, khoon baha deney sey bhi koi farq nahin parney wala, so meri manein to aaj sey ghorrey khotey ghadey bech kar so jaya kijiyey - kam sey kam apni sehat to achhi ho gi na :p
          tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
          tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

          Comment

          • #20

            Allah T'ala in sab ko poocheiN gey inshALlah..............aik baar ye mar to jayein zara :d

            btw jo log sotey rehtey heiN ...... unheiN to kaha jata hai key ghaflat ki neend sey beydaar ho jao ab ............ aur aap iss list mey mazeed izafa kerna chah rahey hein :P
            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment

            • #21
              Re: 6 oct. 2007

              Originally posted by Xenya View Post
              Allah T'ala in sab ko poocheiN gey inshALlah..............aik baar ye mar to jayein zara :d

              btw jo log sotey rehtey heiN ...... unheiN to kaha jata hai key ghaflat ki neend sey beydaar ho jao ab ............ aur aap iss list mey mazeed izafa kerna chah rahey hein :P
              :comfort: tumharey soney sey ghafilon ki list mein izafa nahin ho ga balkeh tumhari aankon aur sehat per achha asar parrey ga, jab keh jin ghafilon key liyey yeh kaha geya hai woh jagtey huwey bhi ghafil hain, kyun - Uncle Mushi, BebeyNazeer, Musalsal Shareef :p
              tumharey bas mein agar ho to bhool jao mujhey
              tumhein bhulaney mein shayid mujhey zamana lagey

              Comment

              • #22
                Re: 6 oct. 2007

                Originally posted by Masood View Post
                :comfort: tumharey soney sey ghafilon ki list mein izafa nahin ho ga balkeh tumhari aankon aur sehat per achha asar parrey ga, jab keh jin ghafilon key liyey yeh kaha geya hai woh jagtey huwey bhi ghafil hain, kyun - Uncle Mushi, BebeyNazeer, Musalsal Shareef :p
                Nawaz shareef is extra shareef.................issi liye bohot asaani sey bewakooof ban jatey heiN..... khas ker abhi .......

                khair......chalta hai aur Pakistani politics mey to sab chalta hai

                leykin Maujzey bhi issi dunya mey hotey hein:........ so koi maujza hi hamein aik achi democratic state dey sakta hai :dua
                " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                Comment

                • #23
                  Re: 6 oct. 2007

                  Originally posted by Masood View Post
                  maloom hai Zinia hamarey mulk mein siyasat aik farz nahin samjha jata, balkeh aim mansab samjha jata hai, aur mansab sey jitna fraud kiya jaa sakey wohi jaiz hota hai. Yeh log intihaii makrooh hain jo siyasat ka itna ganda aur bhiyanak khail khailtey hain - mujhey to ab yun lagney laga hai keh in logon ka naam ley ker zuban gandi honey lagi hai....

                  Aur nahin, aap key neend qurban karney sey to kya, khoon baha deney sey bhi koi farq nahin parney wala, so meri manein to aaj sey ghorrey khotey ghadey bech kar so jaya kijiyey - kam sey kam apni sehat to achhi ho gi na :p
                  Mein aap se agree karti hoon masood bhai!Balke mein aapki baat ko agay barhati hoon.
                  Is saray precedure mein main bohat indulge rahi hoon,aur mujhay siwaye zehni thakawat ke kuch nahin mila.

                  Hamaray hukmaraan aur siasatdaan mil kar hamain bewakoof banatay hain aur ham bantay hain.
                  Opposition apnay hissay ka kaam nahin karna chahti,aur apna bojh adlia per daal daina chahti hai,bilkul aisay hi jaisay yeh hamesha apna bojh army per daal daitay hain.Pahlay fouj ko hakoomat ki da'awat daitay rahay hain,ab fouj ke khilaaf adlia ko istaimaal karna chahtay hain.
                  Opposition ki taraf se aik bhi serious koshish hui hai?
                  Hartaal ki caal dein ya rally nikalnay ki baat ho top leadership gharon mein chup jati hai ya police ko rishwat de kar gariftaar ho jatay hain.Kabhi lathi aur goli ke samnay aanay ki koshish nahin kartay.
                  Sirf aish-o-araam ki zindagi chahtay hain.To hamain fouji leader kiya kahta hai?Jamhooriat mein bhi hamaray haan amriat chalti hai,tab bhi mahngai hamari kamar torti hai,us waqt bhi hukmaraan hamaray paison per aish kartay hain.Hamaray liay kiya badlay ga?
                  Kuch nahin
                  So hamain waqai araam ki neend sona chahiay

                  Ya phir jamhoriat ke liay 2 marahil te karna lazmi hongay.

                  1.Sab leaders ko sari qoum sarak per khara kar ke phainti lagay.Khua koi bhhi ho.
                  2.Phir un se kahay ab ham aapko vote daitay hain aur parliament mein baith kar sirf tankhuahain mat khana aur qoumi khazanay ko lootnay ke programme mat banana balke awam ka bhala karna.
                  Tab muamila darust hoga.Awam ka check lazmi hai.Agar awam check nahin rakh saktay to jamhooriat aur aamariat mein koi farq nahin.[/B][/I]
                  Mind Sciences

                  Comment

                  • #24
                    Re: 6 oct. 2007

                    Originally posted by Xenya View Post
                    Nawaz shareef is extra shareef.................issi liye bohot asaani sey bewakooof ban jatey heiN..... khas ker abhi .......

                    khair......chalta hai aur Pakistani politics mey to sab chalta hai

                    leykin Maujzey bhi issi dunya mey hotey hein:........ so koi maujza hi hamein aik achi democratic state dey sakta hai :dua
                    Dear moujzay ka intizaar woh log kartay hain jo khud be amal hotay hain.Aur yeh bhi haqeeqat hai ke ham be amal qoum hain.Laikin jo qoum beamal hoti hai us per nagahani afat to aati hai rehmat nahin.
                    Mind Sciences

                    Comment

                    • #25
                      Re: 6 oct. 2007

                      Originally posted by Xenya View Post
                      bilkul hona chahiye .. coz sirf inhi saari news key liye mey sehri key baad soi bhi nahi thi

                      AWWWWWW.......:)
                      phr to zaroor hi hona chahye tha :phool:

                      Comment

                      • #26
                        Re: 6 oct. 2007

                        Originally posted by zapk7 View Post
                        Dear moujzay ka intizaar woh log kartay hain jo khud be amal hotay hain.Aur yeh bhi haqeeqat hai ke ham be amal qoum hain.Laikin jo qoum beamal hoti hai us per nagahani afat to aati hai rehmat nahin.
                        " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                        Comment

                        • #27
                          Re: 6 oct. 2007

                          Originally posted by Shaim View Post
                          AWWWWWW.......:)
                          phr to zaroor hi hona chahye tha :phool:
                          " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

                          Comment

                          • #28
                            Re: 6 oct. 2007

                            is nek kaam ke leay me bhi u ke sath hon

                            Comment

                            • #29
                              Re: 6 oct. 2007

                              sis......yahi system hai Pakistan ka.........ye so called leaders hum pr imposed hain....inhy sirf designations se pyar hai........na hi inhy nation se koi sincerety hai na hi Pakistan se...........ye self loving ppl hain jinhy sirf or sirf apni zaat se pyaar hai.........

                              or danda to ik buhat chooti cheez hai........inhi ki wajah se roz kae masoom janin jaati hain.......inhy danda nahi ik line mai khara kr k shoot krna chahye.......wo bhi qistoon mai..........!

                              Comment

                              • #30
                                Re: 6 oct. 2007

                                Originally posted by hamzad View Post
                                is nek kaam ke leay me bhi u ke sath hon

                                me too :)

                                Comment

                                Working...
                                X