Announcement

Collapse
No announcement yet.

Unconfigured Ad Widget

Collapse

Siasi Game

Collapse
X
 
  • Filter
  • Time
  • Show
Clear All
new posts

  • Siasi Game

    Leijiay politicians qoum ko bewaqoof bananay ke liay phir game khel rahay hain.
    Pahlay to aik arsa tak resign karnay ke waday kartay rahay laikin as assembly members benifits nahin chor saktay thay so in wadon se mukartay rahay,aur ab jabke assembly ki muddat khatam ho rahi hai to asteefon ka drama racha rahay hain.
    Yeh to aisa hi hai ke koi saari zindagi afsari karta rahay aur retirement ke waqt kahay ke mujhay afsari nahin chahiay so mein isay chor raha hoon.
    Phir asteefay dainay ki baat ho rahi hai to bhi government ke saath friendly match khel rahay hain.
    Inhain maloom hai ke sirf asteefon se baat nahin banay gi;agar presidential election rokna hai to aik assembly (N.W.F.P assembly jahan M.M.A ki govt hai) torna paray gi.Laikin iqtadaar koun chorna chahta hai,so is ke liay time baray mazay ka chuna gaya hai.
    2nd October(Assembly is se pahlay dissolve hona chahiay thi.)
    Ab zara daikhain yeh tareekh kiyun rakhi gai hai.
    1st october: Government ko mouqa mila ke woh tahreek-e-adam aitmaad la sakay.
    2nd october:Chief minister assmbly dissolve karnay ki summry nahin bhijwa saktay kiyunke constitution ke mutabiq is tahreek ke baad wo aisa nahin kar saktay.
    2,3,4th october:Kuch nahin ho sakta constitution ke mutabiq tahreek-e-adam aitmaad per 3 din baad aur 7 din se pahlay karwai hona hoti hai.
    5th october: Tahreek-e-adam aitmaad per voting hogi jo zahir hai nakaam hogi.
    Agar isi din bhi chief minister assembly dissolve karnay ki summry bhaijain aur governer is per khamosh rahain to bhi assembly dissolve ho jaye gi Laikin 48 hrs baad yeni
    7th october ko hi assembly dissolve hogi is se qabl nahin aur presidential election hain
    6th october ko
    So
    6th october ko electoral college mukamil hoga aur aap is ki credibility per koi sawalia nishaan nahin utha saktay.
    Khali asteefon se kuch nahin hoga.Yeh election nahin ruk sakta kiyunke president ko required himayat hasil hai.
    Yeh woh game hai jo govt aur opposition mil kar kar rahay hain.Awam ke aankhon mein dhool jhonk rahay hain.Sab milay huay hain,aur america ke isharay per yeh sab kuch kar rahay hain.
    Yeh mairi prediction hai aur iski taed media bhi kar raha hai.
    Mind Sciences

  • #2
    Re: Siasi Game

    Zap!
    aap koi link mujhey dey sakti heiN jo key pakistan key parliament/assembly key mut'aliq just to know how it all functions
    " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

    Comment

    • #3
      Re: Siasi Game

      Originally posted by zapk7 View Post

      aur issi saari game mey NUQSAAN sirf awaam ka hota hai. jaisey aap ney kaha key opposition aur gov. ki mili bhagt hai, mey mukmal taur pey muttafiq huN, plus (i might be worng) magar ab tak meyri apni observation jo hai wo ye hai key army aur bureaucrats iss country ko chalatey hein aur dono key darmayan aik deal keh leiN hoti hai time to time kabhi army in charge hoti hai aur phir doosri party, politicians ka naam iss liye nahi liya key Pakistan mey koi hai hi nahi jissey ham politician keh sakeiN aur America key baarey mey kuch nahi kahun gi coz wo to hai hi big boss
      " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

      Comment

      • #4
        Re: Siasi Game

        Originally posted by Xenya View Post
        Zap!
        aap koi link mujhey dey sakti heiN jo key pakistan key parliament/assembly key mut'aliq just to know how it all functions

        http://www.senate.gov.pk/

        Comment

        • #5
          Re: Siasi Game

          Tairay azad bandon ki na yeh dunia na woh dunia.

          Comment

          • #6
            Re: Siasi Game

            thanks saahir ...deykhtey hein iss site ko
            " Obstacles are what you see when you take your eyes off your goals "

            Comment

            • #7
              Re: Siasi Game

              Shukriya saahir! aap ne mairi ghairmojudgi mein members ki help ker ke khala nahin anay diya.Xenya ji! Yahan se aap agar constitution download kar lain to aapko sahih pata chalay ga.
              Mind Sciences

              Comment

              • #8
                Re: Siasi Game

                Originally posted by Xenya View Post
                aur issi saari game mey NUQSAAN sirf awaam ka hota hai. jaisey aap ney kaha key opposition aur gov. ki mili bhagt hai, mey mukmal taur pey muttafiq huN, plus (i might be worng) magar ab tak meyri apni observation jo hai wo ye hai key army aur bureaucrats iss country ko chalatey hein aur dono key darmayan aik deal keh leiN hoti hai time to time kabhi army in charge hoti hai aur phir doosri party, politicians ka naam iss liye nahi liya key Pakistan mey koi hai hi nahi jissey ham politician keh sakeiN aur America key baarey mey kuch nahi kahun gi coz wo to hai hi big boss
                Mairi aik aur observation bhi hai.Daikhain jab bhi hamaray mulk mein aik party ne doosri party ki hakoomat ko girana chaha to madad ke liay army ko bulaya.Ayub khan ko skindar mirza ne da'awat di taham woh pahlay khud army ki madad se president banay,ba'ad mein Ayub ne mukamil take over kiya.
                Zia-ul-haq ko mazhabi jama'aton ne da'awat di thi.

                Haan musharaf ne accidently take over kiya tha.</p>Is saray amal mein hamaray siasatdaan sirf tamasha daikhtay rahay hain(chahay aik doosray ka sahih)
                Ab yeh log army se chutkara paanay ke liay courts ko da'awat de rahay hain aur aisi petitions bhi dair kar rahay hain jo court ke daira-e-ikhtiaar mein nahin hain.Aaj ham awam bhi khush hain ke supreme court boldly faislay kar rahi hai.Laikin kal inhi faislaon ki badolat adlia ki amriat ka dour shuru ho jaye ga.
                Phir hamaray yehi politicians aik baar phir army ko da'awat dein gay.Is saray amal mein politicians qoumi khazanay ko bhi loot'tay hein aur inka aihtisaab bhi nahin hota.
                Mukhalif hakoomat mein bhi inkey case latak jatay hein aur koi faisla nahin hota,ya phir inhain muafi mil jati hai jaisay ke masalihati ordinance ke zariay se hua hai.
                Saray khail mein amy aur bureucrates agarchay hakoomat kartay hain laikin badnaami bhi kamatay hain jabke siasatdaan sirf doulat se khailtay hain.Aish kartay hain,aur jab bhi hota hai awam naray lagatay nazar aatay hain:
                Ya Allah,Ya Rasool
                Benazir bequsoor
                &

                Nawaz sharif bequsoor

                waghaira.
                Yeh siasatdaan hain jo hamaray mulk ko loot kar kha gaye hain.
                Last edited by zapk; 7 October 2007, 16:13.
                Mind Sciences

                Comment

                • #9
                  Re: Siasi Game

                  Aik mazay ki baat yeh hai ke jab politicians ne faida uthana hota hai to dictator se baat karta hain aur uskay haath mazboot kartay hain.jaisa ke MMA ne 2004 mein kiya.Constitution mein us waqt tak tabdeeli nahin aa sakti jab tak 2/3rd majority na ho.Govt ke paas yeh majority nahin thi.MMA ne govt ka saath diya aur amendment ho gai jis se musharaf sahib ko 2 ohaday rakhnay ki ijazat mili.
                  Laikin phir ab yeh supreme court se keh rahay hain ke yeh ikhtiar khatam karo.
                  Apnay hissay ka kaam court se karwana chahtay hain.Yeni gunah khud karain aur kaffara court ada karay.
                  Yeh saray politicians awam ko bewakoof banatay hain.Khud hamesha faiday mein rahtay hain.
                  Agar aaj court apni hudood se tajawuz kar ke koi faisla karay gi,to phir court hamesha hudood se tajawuz karay gi aur aik din adlia amariat ka raasta apna lay gi.
                  Phir yehi siasatdaan dobara fouj ko da'awat dein gay.Aaj tak hamaray haan yehi silsila chalta raha hai.Jamhooriat istarah nahin aati aur na hi hamaray siasatdaan isay yahan anay dein gay.
                  Last edited by zapk; 10 October 2007, 16:55.
                  Mind Sciences

                  Comment

                  • #10

                    • #11
                      Re: Siasi Game

                      Ji Xenya! Aap ne darust kaha.Yeh sab fraud hain.Koi bhi jamhooroat nahin lana chahta,sirf apna faida hasil karna chahta hai.
                      Hamaray haan to america jis ke sar per haath rakh de woh uska himayati ban jata hai,doosra "anti america" ka label laga laita hai.Phir america ke himayati anti ho jatay hain aur doosray himayati,aur yeh silsila chalta rahta hai.Awam sirf tamasha daikhtay aur taalian bajatay rahtay hain.
                      Mind Sciences

                      Comment

                      Working...
                      X